Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aye Kuch Abr Kuch Sharab Aye

Aye kuch abr kuch sharab aye
us ke bad aye jo azab aye

baam-e-miina se maahtab utre
dast-e-saaqi meN aftab aye

har rg-e-KhuuN meN phir charaGhan ho
saamne phir wo be naqab aye

kar raha tha dil Gham-e-jahan ka hisab
aj tum yaad be hisab aye

na gai tere Gham ki sardari
dil men yuun roz inqilab aye

is tarah apni Khamoshi gungi
goya har simt se javab aye

Faiz thi raah sar ba sar manzil
ham jahan pohunche kaamyaab aye

· 1 Like · Jan 20, 2017 at 19:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ap Duniya Bhar Se Ulfat Kejiye

Ap duniya bhar se ulfat kejiye
mujh ko mera dil inayat kejiye

zabt se kya Khuun-e-hasrat kejiye
aik nala kar ke fursat kejiye

zoaq kahta hai ke manzil duur hai
shauq kahta hai ke himmat kejiye

gharq hi hona tha manzoor-e-Khuda
naa Khudaa ki kya shikayat kejiye

hazrat-e-Natiq jahan tak ho sake
apne dil meN zabt-e-ulfat kejiye

· 1 Like · Jan 19, 2017 at 10:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aina Ban Ke Baat Karti Dhuup

Aina ban ke baat karti dhuup
dil ki divar par barasti dhuup

mere andar bhii dhuup kaa aalam
mere baahar bhii raqs kartii dhuup

us ki aaNkhoN meN Khemaazan dekhi
aik ek buuNd ko tarasti dhuup

aina dekh kar ThiThakti hai
ghar kii diivaar se utarti dhuup

taaq-e-maazii meN chhup ke baithi hai
Khauf se kaaNpti larazti dhuup

apna lahjaa Mateen aisa hai
jaise dariyoun me utarti dhuup

· 1 Like · Jan 17, 2017 at 07:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aao K Koi Khuwab Bunain Kal K Vaaste

aao k koi Khuwab bunain kal k vaaste
warna ye raat aaj k sangeen daur ki

Duss legi jaan o dil ko kuch aise k jaan o dil
ta umr phir na koi hasein Khuwab bun sakein

go hum se bhaagti rahi ye tez gaam umr
Khuwaabon k asray pe kati hai tamaam umr

zulfon k Khuwab, honton k Khuwaab, aur badan k Khuwab
meraaj-e-fn k Khuwab, kamaal-e-sukhan k Khuwab

tahzeeb-e-zindagi k, farog-e-wattan k Khuwab
zindaan k Khuwaab, koocha-e-daar o rasan ke Khuwab

ye Khuwab hi to apni jawaani k paas they
ye Khuwab hi to apne amal k asaas they

ye Khuwab mar gaye hain to be rang hai hayaat
yun hai k jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

aao k koi Khuwab bunein kal ke wastay
warna ye raat aaj k sangeen daur ki

Duss legi jaan o dil ko kuch aise k jaan o dil
taa umr phir na koi haseen Khuwab bun sake

· 1 Like · Jan 15, 2017 at 04:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Wo Jo Harf Harf Chiraag Tha

wo jo harf harf chiraag tha

usse kis hawa ne bujha diya ?

kabhi lab helain gey to poochna !

abhi kya kahein abhi kya sunaye

yunhi khuwahishon k fishaar mein

kabhi be'sabab kabhi be'khalal

kahaan kon kis se bichar gya ?

kise kis ne kaise ganwa diya ?

kabhi phir milein gey to poochna

· 1 Like · Jan 14, 2017 at 16:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mujhe Teri Mohabbat Mein Kho Jaane Do

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do

Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai
Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do

Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein
Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do

Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe
Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob
Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do

· 1 Like · Jan 14, 2017 at 09:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Jamal E Yaar Ko Dekhoon, Kamal E Yaar Se Pehlay

Jamal-e-Yaar ko Dekhoon, Kamal-e-Yaar se Pehlay
Main Khushboo ki Trah Mehkoon, Khyal-e-Yaar se Pehlay

Karishmay Husn k Sooraj, Sitaray, Phool Zahir hain
Magr Main kiss Tarf Dekhoon, Misaal-e-Yaar se Pehlay ?

Duaon me Meri Yun to Bohat Taaseer Hai Lekin
Main Khuda se or kya Mangoon, Swaal-e-Yaar se Pehlay ?

Hai Aadat Door Rehne ki, Agr wo Saamnay Aaye
Main Shaam-e-Zindagi Chahoon, Visaal-e-Yaar se Pehlay

· 1 Like · Jan 13, 2017 at 20:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Boseeda Purane Kisi Samaan Main Rakh De

Boseeda purane kisi samaan main rakh de
Ya phir kisi toote hoye guldaan main rakh de

Chahat k chiraaghon ko to jalna hai jalenge
To in ko uthha ker bhale toofaan main rakh de

Qadmon main taray maslay hoye phool nahi hain
Chahat ki chita hai kisi shamshaan main rakh de

Saansen na chuka paai hain qayamat jo wafa ki
Ab jism ki mitti ko bhi tawwan main rakh de

Mohsin tere jazbaat yahan kon sune ga
Be rabt khayalaat ko deewan main rakh de

· 1 Like · Jan 10, 2017 at 14:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mujrim Bhi Tha Mohsin Bhi Mera Lagta Tha

Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
Dast-e-katil bhi mujhy dast-e-HinA lgta tha

Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
Han wo shaks mohabt ka KHUDA lagta tha

kanton bhari shakh nazar aata tha kabi
Phool lagta tha kabi baad-e-saba lagta tha

Ab logon sy pochta phirta hai maire ghar ka pata
Main jisy sare zamany sy bura lgta tha

Us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
Sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha

· 1 Like · Jan 10, 2017 at 04:01
Category: love
 
Peta - Runway Reversal
Posted by Video Ads
Posted on : Jun 06, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS