Poetry / Love

Kabhi Tm Khud B Aa K Dekho Ye Manzar Sham Se Pehly

kabhi tm khud b aa k dekho ye manzar sham se pehly
ye lab kesy larazty hain tmhary nam se pehly
nhi mumkin main raah e shoq se palat jaon
pArinday to nhi lotay kbi ghar sham se pehly
nahi malum kb se hai taluq ustawar apna
tmhara aks tha dil main tmhary naam se pehly....

· 1 Like · Jun 28, 2017 at 02:06
Category: love
 
Poetry / Love

Shaam Ho Jaam Ho Subuu Bhii Ho

shaam ho jaam ho subuu bhii ho
tujh ko paane kii justajuu bhii ho

dil se dil ki kahaaniyaaN bhi sune
aaNkhon aaNkhon me guftaguu bhi ho

jheel sii gaharii sabz aaNkhon me
Duub jaane kii aarazuu bhii ho

sirf tere badan ki shamaa jale
or aNdheraa saa chaar soo bhi ho

· 1 Like · Jun 26, 2017 at 12:06
Category: love
 
Poetry / Love

Har Tarannum Me Mile He Teri Awaz Mujhe

har tarannum me mile he teri awaz mujhe
ek hii naghma sunata hai har ek saaz mujhe

ishq ka bhi koi anjaam hua karta hai
ishq me yaad hai aghaz hi aghaz mujhe

jaise virani se Takaraa ke palatti hai sadaa
dil ke har goshe se aa_ii terii aavaaz mujhe

jo kisi ko bhi na chaahe usay chahana
umar bhar apni muhabbat par raha naaz mujhe

· 1 Like · Jun 26, 2017 at 06:06
Category: love
 
Poetry / Love

Soz E Dil Bhi Nahi Sukoon Bhi Nahi

soz-e-dil bhi nahi sukoon bhi nahi
zindagani vabaal yuun bhi hai

teri Khowish or es qadar Khowish
vajah-e-haasil sahii junoon bhi hai

Khush bhi hai iltafaat-e-dost se dil
Gairat-e-ishq sar nigo bhi hai

jal ke bujh bhi gai Zia aksar
aag siine men joon ki tou bhi hai

· 1 Like · Jun 25, 2017 at 16:06
Category: love
 
Poetry / Love

Ab Un Say Khayaalon Mein Hi Ho Jaati Hein Baaten

gum shudah mohabbat ke khwaaboN ki tarah hai
woh rooh ke sehraa mein saraabon ki tarah hai

woh zeest kay maktab meiN nisaaboN ki tarah hai
paRhta hooN usay roz kitaaboN ki tarah hai

ab un say khayaaloN meiN hi ho jaati heiN baateN
go beech meiN parda sa hijaaboN ki tarah hai

us shakhs kay lehjay meiN sheeshe ki khanak hai
rag rag meiN utarta hai sharaaboN ki tarah hai

us shakhs kay paikar meiN hai shaakhoN ki lachak si
us shakhs ka chehraa bhi gulaaboN ki tarah hai

jo wasl ki raatoN meiN hai ik maah-e-munawwar
furqat meiN wohi shakhs azaboon ki tarah hai

· 1 Like · Jun 25, 2017 at 09:06
Category: love
 
Poetry / Love

Tare Naam Zindgani Hay Yehi Meri Kahaani

Yeh ajeeb marhalay hain, Yeh ajeeb silsilay hain
ke jahaaN say hum chalay thay, ussi moR pay kharay hain

Wohi raasta hamara hay wohi dagar humari
jo na jaaey manziloN tak yeh wohi to raastay hain

rahay sath sath har pal na gumaan hoa yeh mil kar
jissey dostii thay kehtay woh kuch aur silsilay hain

ye saraab to nahi he koi khawaab to nahi hay
zara aap hi bataain yeh jo hum mein hain fasilain

nahiN mumkin uss ko paana tou phir uss say kyuN milaiN hum
karaiN justuju bhii kyuN hum issi soch meiN paRRay haiN

tare naam zindgani hay yehi meri kahaani
meri zindagi me roshan teri yaad ke diye hain

meri qurbatoon se pehlay, zara juratoon say pehlay
merii jaan soch lenaa keh yeh raastay karray haiN

· 1 Like · Jun 25, 2017 at 03:06
Category: love
 
Poetry / Love

Mujhay Pyaar Krna Sikha Gya Mera Dost Kitna Zaheen Tha

Usey barishon ne chura lia, K woh badlon ka makeen tha

kabhi murr k ye bhi to daikhta k wajood mera zameen tha

Wohi aik sach tha k es k baad sari tohmatain jhoot hain

Meray dil ko poora yakeen hy wo Mohabatoon ka ameen tha

Usy shoq tha k kisi jazeeray pr us k naam ka phool ho

Mujhay pyaar krna sikha gya mera dost kitna zaheen tha

Kabhi sahiloon pr phiro gy tu tumhain seepiyan ye bataain gi

Meri aankh mein jo simat gya wo ashk sb sy haseen tha

· 1 Like · Jun 24, 2017 at 02:06
Category: love
 
Poetry / Love

Apni He Rawani Men Behta Nazar Aata Hai

apni he rawani men behta nazar aata hai
yeh shehar bulandi say darya nazar aata hai


deta hai koi apnay daaman ki hawa isko
shola sa meray dil men jalta nazar aata hai


us haath ka tohfa tha ik daagh meray dil par
wo daagh bhi ab lekin jata nazar aata hai


aankhon kay muqabil hai kesa yeh ajab manzar
sehra to nhi hai lekin sehra nazar aata hai


ik shakal see banti hai her shab meri neendon men
ik phool sa khowaboon men khilta nazar aata hai


aankhon nay nhi dekhi us jism ki ranaie
yeh chaar taraf jis ka saya nazar aata hai


darya ko kinaray say kya dekhtay rehtay ho
ander say kabhi dekho kesa nazar aata hai

· 1 Like · Jun 22, 2017 at 12:06
Category: love
 
Poetry / Love

Es Dil Nay Teray Bad Mohabbat Bhi Nahi Ki

es DIL Nay Teray Bad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Hadd Ye Keh Dharaknay Ki Jasarat Bhi Nahi Ki

Tabeer Ka Aizaaz Howa Hay Usay Hasil
Jis Nay Meray Khowabon Main Sharakat Bhi Nahi Ki

Ulfat Tu Bari Baat Hay Hum Say Tu Sar -e- Shehar
Logon Nay Kabhi Dhang Say Nafrat Bhi Nahi Ki

Aadab -e- Safar Ab Wo Sikhetay Hain Jinho Nay
Do Chaar Qadam Tay Ye Musafat Bhi Nahi Ki

Kia Apni Safai Main Bayaan Detay Ke Hum Nay
Na Karda Gunahoon Ki Wazahat Bhi Nahi Ki

Khamosh Tamashai Kay Manind Sar -e- Bazam
So Zakham Sahay Dil Pay, Shikayat Bhi Nahi Ki

Us Ghar Kay Sab Hi Log Mujhay Chornay Aaye
Dehleez Talak Us Nay Ye Zehmat Bhi Nahi Ki

Us Nay Bhi Ghulamon Ki Safoon Main Humay Rakha
es DIL Pay Kabhi Jis Nay Hakomat Bhi Nahi Ki

· 1 Like · Jun 22, 2017 at 05:06
Category: love
 
Aawwww
Posted by waseem awan malik
Posted on : Nov 01, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS