Love
Poetry / Love
Sabko Khoob Hansaya, Aur Rulaya Bhee Bahut

Unko Yaad Bhee Khoob Kiya, Aur Bhulaya Bhee Bahut
Khushnaseebi Kya Hai Aur Kise Kehte Hain Badnaseebi, Humse Pooch
Keh Humne Pyar Paya Bhee Bahut Aur Khoya Bhee Bahut
Wo Choar Gaye Humko Kuch Meri Hi Khatta Hogi Zaroor
Par Sach Kehta Hoon… Unko Humne Manaya Bhee Bahut
Ye or Baat Hai Keh Hume To Neend Hee Nahi Aati
Waise Humne Unke Khwabo Ko Apni Aankho Me Sajaya Bhee Bahut
Ye Jo Aankho Ka Samandar Hai, Khatam Hee Nahi Hota
Kitna Pee Liya Humne Aur Bahaya Bhee Bahut
Shayad Sare Jahan Ki Tarah Unko Bhi Yakeen Na Tha Hamara
Warna Hum Kitna Chahte Hain, Yeh Unko Humne Bataya Bhi Bahut
Wo Maane Na Maane Humne Unko Chaaha Tha Bahut....

·
1 Like ·
Jun 08, 2017 at 16:06
Category: love
Poetry / Love
Muhabbat Kay Safar Mein Koi Rasta Nahi Deta
Muhabbat kay safar mein koi rasta nahi deta
Zameen wakif nahin banti falak saya nahi daita
Khushi aur dukh kay mosam sab kay apney hotey hain
kisi ko apne hisay ka koi lamha nahi deta
Udasi jis k dil mein ho neend us ki urti hai
kisi ko apni ankhon say koi sapna nhi daita
uthaana khud he parta hai thaka toota badan apna
keh jab tak saans chalti ha koi kandha nhi daita

Jun 08, 2017 at 10:06
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Karo Tum Mujh Se Mohabat To Kya Baat Ho
Karo Tum Mujh Se Mohabat To Kya Baat Ho
Mil Jae Zindagi Bhar Tumhara Sath To Kya Baat Ho
Saanson Ke Saharay To Jee Raha Hun
Gar Tum Ban Jao Saans Meri To Kya Baat Ho
Dharkan To Chalti Rehti Hain Har Ghari
Gar Tum Ban Jao Dhadkan Meri To Kya Baat Ho
Tumhen Hi Manga Hai Apni Duaon Mein
Gar Tum Ban Jao Dua Meri To Kya Baat Ho
Tumhen Hi Dhoundti Hai Har Soo Meri Yeh Nazar
Gar Tum Ban Jao Nazar Meri To Kya Baat Ho
Maut To Har Kisi Ko Aani Hai, Ik Din Mujhe Bhi Aegi,
Gar Tum Ban Jao Maut Meri To Kya Baat Ho.

Jun 08, 2017 at 04:06
Category: love
Poetry / Love
Koi Ghazal Suna Kar Kya Karna
Koi Ghazal Suna Kar Kya Karna
Yoon baat barha Kar Kya Karna
Tum Mere Thay Tum Mere ho
Duniya Ko bata Kar Kya Kerna
Tum Ehad Nibhao Chaahat Say
Koi Rasm Nibha Kar Kya Karna
Tum Khafa bhi Achay Lagtay ho
Phir Tum Ko Mana Kar Kya Karna
Tere Dar Pe Aa K bethay hain
Ab Ghar bhi Ja Ker Kya Karna
Din Yaad Se Acha Guzray Ga
Phir Tum Ko bhula Ker Kya Karna?
Yoon baat barha Kar Kya Karna
Tum Mere Thay Tum Mere ho
Duniya Ko bata Kar Kya Kerna
Tum Ehad Nibhao Chaahat Say
Koi Rasm Nibha Kar Kya Karna
Tum Khafa bhi Achay Lagtay ho
Phir Tum Ko Mana Kar Kya Karna
Tere Dar Pe Aa K bethay hain
Ab Ghar bhi Ja Ker Kya Karna
Din Yaad Se Acha Guzray Ga
Phir Tum Ko bhula Ker Kya Karna?
·
1 Like ·
Jun 07, 2017 at 16:06
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Bol Hawa Us Paar Zamane Kaise Hain
Bol Hawa Us Paar Zamane Kaise Hain?
Ujray Shehar Men Yaar Purane Kaise Hain?
Chand Utarta Hai Ab Kis Kis Aangan Men?
Kirnon Se Mehroom Gharane Kaise Hain?
Lab Basta Darwazon Py Kia Beet Gai?
Galiyon Sy Mansoob Afsaney Kaise Hain?
Jin K Juhrmat Mien Shamien Dam Torr Gaeen,
Wo Pyary,Pagal,Parwanay Kaise Hain?
MOHSIN,Hum To Khair Khabar Sy Bhi Guzar Gaye,
Apnay Rothay Yaar Na Janay Kaise Hain..

Jun 07, 2017 at 10:06
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Apni Mohabbat Mein Dil Ko Thora Khula Rakhna
Tumhein yaad kar lein to sabar haar jaatay hain
Hijer ke musaafir apna safar haar jaatay hain
Thori duur tak teri tamanna le ke chalte hain
us se aagay phir apnay muqaddar haar jaatay hain
Haey wo husn ki chamak, aur dekh raha hoon
isi shauq mein deewane, nazar haar jaatay hain
pehli mulaqaat mein sach wo meri ho gai thi
laikin taez dornay walay aksar haar jatay hain
tamaam umar chah kar bhi aaj tum se duur hoon
raat saari jaag kar hum, sehar haar jaatay hain
Achanak sath chhor kar be bas kar gia aisay
urran mein jaisay parinday, par haar jaatay hain
apni mohabbat mein dil ko thora khula rakhna
tang dareechon walay loag, aakhir haar jaatay hain

Jun 07, 2017 at 04:06
Category: love
Poetry / Love
Kise K Shauq Main Kya Kya Na Marhalay Aye
ab us se rishta-e-jaaN ustuwar apna hai
wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai
wohi hai saaz-e-moHabbat , wohi hai soz-e-nihaaN
usee k faiZ se dil , laala zaar apna hai !
Khuda kare k usay bhi hamari yaad aye
woh jis ki yaad maiN dil be-qaraar apna hai
chale bhi aao k phir se bahaar aajaaye
bichaR k tum se chaman Khaar Khaar apnaa hai !
woh jin ko chhoray hameN ik zamaana beet gayaa
sunaa hai ab bhi unheN intezaar apnaa hai !
hameN bhi taab nahiN dastaaN sunaane ki
unheN bhi zikr-e-wafa nagawaar apnaa hai !
dayar Ghair maiN kis se kaheN Hadees-e-dil ?
yahaaN pe kon bhala Ghamgusaar apna hai !
yeh iztiraab-e-moHabbat nahiN to phir kya hai?
bahaar maiN bhi chaman sogwaar apnaa hai !
faZaa-e-koocha-e-jaanaN se Saaf zaahir hai
Sabaa k lab pe payaam-e-bahaar apnaa hai !
jigar k Khoon se seencha hai ham ne gulshan ko
ye rang-o-noor ye naqsh o nigaar apnaa hai !
ham aasmaan-e-moHabbat k rehne waale haiN !
har ik dayaar se acha dayaar apna hai !
kisee k shauq maiN kyaa kyaa na marhalay aaye
magar woh josh-e-junooN bar qaraar apnaa hai !
yehi bohut hai moHabbat se aashnaa to howe
balaa se daaman-e-dil taar taar apnaa hai !
maqaam jaisa bhi aaye ruke na apne qadam
rah-e-wafaa maiN yehi ik shuaar apnaa hai

Jun 06, 2017 at 22:06
Category: love
Poetry / Love
Agarchay Tu Koi Suraj Nhi Hai
AGARCHAY TU KOI SURAJ NHI HAI
MGAR MERI ZAMEEN K AASMANON PAR
JAHAN TAK BHI NAZAR JAAEY
FAQT TERA UJALA HAI
TU MERI ZAAT KA ROSHAN HAWALA HAI
MGAR MERI ZAMEEN K AASMANON PAR
JAHAN TAK BHI NAZAR JAAEY
FAQT TERA UJALA HAI
TU MERI ZAAT KA ROSHAN HAWALA HAI
·
1 Like ·
Jun 06, 2017 at 09:06
Category: love
Poetry / Love
Baandh Lain Hath Pe Seenay Pe Saja Lein Tum Ko

Jee Main Ata Hai Ke Taweez Bana Lain Tum Ko
Phir Tumhe Roz Sawere Tumhe Bhartta Dekhin
Kiun Na Angan Main Chanbaili sa Lagga Lein Tum Ko
Jaise Baloon Main Koi Phool Chunna Karta hai
Ghar Ke Guldaan Main Phooloon Sa Saja Lein Tum Ko
Kya Ajab Khwahish uthi Hai Humare Dil Main
Kar Ke Munna Sa Hawaoon Main uchalain Tum Ko
es Kader Toot Ke Tum Pe Humein Pyar Ata Hai
Apnii Bahoon Main Bharain Maar He Daalein Tum Ko
Kabhee Khowaboon Ki Tarah Ankh Ke Parday Main Raho
Kabhee Khwahish Ki Tarah Dil Main Bulain Tum Ko
Hai Tumhare Liye Kuch Aise Aqidat Dil Main
Apne Hathoon Main Duaoon Sa Uthaa Lein Tum Ko
Aan Denay Kii Ijazat Bhe Nahi Detay Ho
Warna Mar Jayin Abhee Mar Ke mana Lein Tum Ko
Jis Tarah Raat Ke Seenay Main Hai Mehtaab Ka Nuur
Apne Tareek Makanon Main Saja Lein Tum Ko
Ab Toh Bas Ek He Khwahish Hai Kisi Morr Per Tum
Hum Ko Bikheray Hue Mil Jao Sanbhalain Tum Ko

Jun 05, 2017 at 12:06
Category: love
Sponored Video