Poetry / Love

Chehra Mera Tha Nigaheen Us Ki

Chehra Mera Tha Nigaheen Us Ki
Khamoshi Main Bhi Wo Baatein Us Ki


Meray Chehray Pay Ghazal Likhti Gaii
Sher Kehti Hoi Aankhain Us Ki


Shokh Lamhon Ka Pata Denay Lagi
Taiz Hoti Hoi Saansay Us Ki


Aisay Mousam Bhi Guzara Hum Nay
Subhain Apni Thi Shamain Us Ki

Dehaan Main Us Kay Yeh Aalam Tha Kabhi
Aankhay Mahataab Ki Yaaday Us Ki


Faislay Mouj -e- Hawa Nay Likhay
Aandhiyaan Meri Baharain Us Ki


Neend us Soch Say Tooti Aksar
Kis Tarah Kaati Hain Raatain Us Ki


Door Reh Kar Bhi Sada Rehti Hain
Mujh Ko Thamay Hoe Bahain Us Ki

· 1 Like · Jun 21, 2017 at 08:06
Category: love
 
Poetry / Love

Yeh Pichlay Ishq Ki Baatein Hein

Yeh pichlay ishq ki baatein hein
jab aankh mein khwaab damaktay thay
jab dil mein daagh chamaktay thay
jab palkein sheher ke raston main
ashkon ka noor lutati thein
jab saansein ujlay chehron k
tan-man mein phool sajati thein
sochon mein bhanwar parr jaatay thay
jab aik talatum rehta tha

apnay beant khayalon mein
har ehad nibhanay ki qasmain
khat khoon se likhnay ki rasmain
jab aam thein hum dil walon mein
ab apni ujri aankhon mein
jitni roshan si raatein hein
us umer ki sab soughatain hein
jis umer ke khwaab khayaal huye
woh pichli umer thi beet gai
woh umer beetay saal huye

ab apni deed ke rastay mein
kuch rang hai guzray lamhon ka
kuch ashk ki baratain hein
kuch bhoolay bisray chehray hein
kuch yaadon ki barsaatein hein
yeh sab pichlay ishq ki baatein hein

· 1 Like · Jun 20, 2017 at 07:06
Category: love
 
Poetry / Love

Usey Barish Pasand Hai

Usey Barish pasand Hai.

Mujha Barish Mein Wo…

Usey Hasna Pasand Hai..

Mujhe Hastey Hoe Wo…

Usey Bolna Pasand Hai..

Mujha Bolti Hoi Wo…

Usey Sub Kuch Pasand Hai…

Aur Mujha Bus Wo….

· 1 Like · Jun 20, 2017 at 00:06
Category: love
 
Poetry / Love

Yeh Jo Waqt He Meray Shehar Par Kayi Mosmoon Sy Ruka Hoa

Yeh jo waqt he meray shehar par kayi mosmooN sy ruka hoa
issay izn day k safar karay
issay hukm day k chal parray, meray aasmaaN say door ho
koyi chand chehra kushaa karay, koyi aaftaab zahoor ho
k nawa-e-chashm-e-kheyaal mein woh jo khwaab thay, woh dhuaaN hoye
woh jo aag thi woh naheen rahi, jo yaqeen thay woh gumaaN hoye
koyi dhund hai jissay dekhtay meri aankh baraf si ho gayi
woh ibarat-e-sir-e-loh-e-dil, kissi rabt say naheen aashna
k jo roshni thi kitaab mein wohi harf harf si ho gayi
koyi gardbaad uthay kaheen, kissi zalzalay ki namood ho
meri aankh mein yeh jo raat hai, meri umr si, issay taal day
meray dasht-e-raig-e-malaal ko kissi khushkhabri ka ghazal day
yeh falk pe jitnay nujoom hain teray hukm kay hain yeh muntazir
woh jo subh-e-nau ka naqeeb ho meri simt us ko uchhaal day

· 1 Like · Jun 19, 2017 at 17:06
Category: love
 
Poetry / Love

Zindgi Kay Mailay Main

zindgi kay mailay main,khowishon kay railay main
tum say kya kahain jana!
es qadar jhamailay main
waqt ki rawani hai,bakht ki girani hai
sakht bay zameeni hai,sakht la makani hai
hijr kay samandar main
takht aur takhtay ki ek hi khani hai
Tum ko jo sunani hai
Baat go zara si hai
Baat umar bhar ki hai
Umar bhar ki baatain kab do gharri main hoti hain?
dard kay samandar main
un ginat jaziray hain,bay shumar moti hain
aankh kay dareechay par tum nay jo sajaya tha
Baat us diay ki hai,baat us gilay ki hai
jo lahoo ki khilwat main chor ban kay aata hai
lafz ki fasiloon par toot toot jata hai
zindgi say lambi hai,baat ratjagay ki hai
PYAAR KARNAY WALON KO EK NIGAH KAFI HAI
ho sakay to sun jaao ek din akailay main
Tum say kaya kahain jana!es qadar jhamailay main!!!

· 1 Like · Jun 19, 2017 at 10:06
Category: love
 
Poetry / Love

Chupchap Kahin Rakha To Hai

Chupchap kahin rakha to hai,
Ek khwaab humne dekha to hai

Kal shaam yun hi tanha baith kar
Tere baray me socha to hai,

Doobte sooraj ugte chand par,
Tere liye paigaam bheja to hai,

Behti hawa,saagar ki lehron par,
Tera hi naam likha to hai,

Aasman ko jab gaur se dekha,
Tera hi chehra daikha to hai,

Karib ka nahi door ka sahi,
Koi ek rishtaa banaa to hai

· 2 Like · Jun 18, 2017 at 04:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muje Usse Muhabbat Itni Hy

MUJE USSE MUHABBAT ITNI HY

Jtni Suraj ko
Hiddat se,

Jazbe ko
ShiddaT Se,

Saagar ko
Rawani se,

Abar ko Pani Se
RAAT ko
Andhere Se,

SUBHA ko
Sawere se,

Hawa ko
Shor Se,

TUFAN ko
Zor se,

Mahi ko
Samandar sE,

SAQI ko
Jaam Se,

Shair ko
KaLam se,

MOTI ko
Seep Se,

PARWANE ko
Deep se,

"MUJE USKI TALAB HY YUN"

Jese "KALI" ko
Khilne Ki,

Bichernay ko
Milne Ki,

Paon ko
Payal ki,


Hijar ko
Wasaal ki,

Zawal ko
Kamal ki,

Sitaron ko
Qamar ki,

Paton ko
Shajar ki

Dewar ko
Dar ki

awara ko
GHAR ki

Wehshi ko
Janon ki

Zahid ko
Sukun ki

Bimar ko
Shifa ki

Wali ko
KHUDA ki

Teer ko
Kamaan ki

Pathar ko
Zuban ki

Ajnbi ko
Pehchan ki

Jism ko
Jan ki

Haar ko
Jeet ki

MAN ko
Meat ki

MGAR ME BE BAS H0N ITNA

Jtna Parinda
Jaal me

Maazi
Haal me

Khuwab
Khiyal me

Urooj
Zawal me

Jiwan
Zaman me

Insan
Jahan me

"BUS MUJE USSE MOHABBAT HY ITNI..

· 2 Like · Jun 17, 2017 at 22:06
Category: love
 
Poetry / Love

Aankhon Main Baaqi Reh Gaye Ab Teray Khad o Khaal Se


Aankhon Main Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad o Khaal Se
Lub Pe Hain Kuch Sawal Se, Dil Main Hain Kuch Malaal Se

Tu Jo Gaya To Yuun Laga, Tanha Hoon Kainaat Main
Raatain Thaki Thaki Meri, Din Bhi Meray Nidhaal Se

Itne Qareeb Hoon Teray, Rasta Na Wehem Ko Milay
So jao Teray Hisaar Main, Jagoon Teray Jamal Se

Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal
Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Se

Tujh Si Haseen Ghazal Koi, Mujh Sa Ghazal Sara Koi
Dunia Main Ho Ager Kaheen, Waazeh Karo Misaal Se

Uss Se Gila Ay Dosto, Itna Sa Hai Ke Wo Mujhe
Samjha Nahi Hai Aaj Tak, Ghaafil Hai Meray Haal Se

· 1 Like · Jun 17, 2017 at 02:06
Category: love
 
Poetry / Love

Mujh Se Milta Tha To Kerta Tha Wo Bojhal Baatain

mujh se milta tha to kerta tha wo bojhal baatain
us ki aankhon main likhi hoti theen jal thal baatain

kitnay asraar thay pinhaan uski zaat main
us ki khamoshi samander thi aur saahil baatain

uski aankhon main tha junoon or chehray pay skoon
kitna deewana tha wo shakhs aur pagal baatain

meri tanhaai ka jungle bhi mehak uthta hai
yaad aati hain jab bhi wo sandal baatain

meri hasti ko chupa leti thi jo saaye main
dhoop mausam main wo ker jaata tha badal baatain

log lafzon se bhi mar jaatay hain ehsaas karo
rooh ko duss leti hain aksar yahaan qaatil baatain

bheegti aankhon main khushbu samait rakhta tha
jheel aankhon main likhi hoti thee kanwal baatain

· 1 Like · Jun 16, 2017 at 20:06
Category: love
 
10 cheezen
Posted by afza altaf
Posted on : Aug 03, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS