Poetry / 0

Zeeshan Kaliya

Yeh Dunya Rahguzar Hay Aur

Yeh dunya rahguzar hay Aur
Hum bhi musafir tum bhi musafir
kon kisi ka howe
kahi chhup chhup roye
Koy sath de k na sath de
Yeh safar akely hi kaat le
Jis ne bhi yahan pyaar kiya hay
Us ne sab kuch khoya
Pahly kiya kiya sapne dekhe
Akhir main kiya roya
Jab pyaar ka hasil aanso hain
To chhoor yeh pyaar ki baat
Is dunya main sab hain akele
Tan se juda hain sayee
Koy kisi ko paa kar khoye
koy kho kar paye
Palak jhupakty chut jata hay
Bars bars ka sath
Koy sath de k na sath de
Yeh safar akely hi kaat le

· 1 Like · Apr 16, 2015 at 01:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Zakham Ban Jate Hai Jumle Jo Utar Jaate Hai Dil Me

ZAKHAM BAN JATE HAI JUMLE JO UTAR JAATE HAI DIL ME
UN KA SINE ME NISHA HO YE ZAROORI TO NAHI

ASHKO KO PIYA, HONTO KO SIAA HAR ZAKHM CHUPAYA SINE KA
IS JURM ME ZALIM DUNIYA NE HAQUE CHEEN LIYA HAI JEENE KA

JISE ZAKHME DIL HUM DIKHANE GAYE
WAHI HATH ME LE KE PATHAR UTHA

HUM TO SAMJHE THay KI EK ZAKHAM HAI BHAR JAYEGA
KYA KHABAR THI KI RuGg JAA ME UTAR JAAYEGA

KHULUS DIL NA HU SHAMIL TO BANDAGI KYA HAI
ZAMANA KHEL SAMJHTA HAI SAR JHUKANay KO

BHAR NA AAYE JO KISI KI BE KASI PAR AE HAFEEZ
US KO KAISE AANKH KAH DEin, US KO KAISE DIL KAHEn

TERI BANDOOK KYA MARE GI MUJH KO
KAHI SE TAIG LA KIRDAAR WALI

MAI KAISE CHUKAOONGA IHSAAN KA WO BADLA
MAIYAT KO MERI KANDHA AHBAB JO KAL DEENGE

· 1 Like · Apr 14, 2015 at 01:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Chahat Se Jyada Chaha Hai Tume..

Chahat se jyada chaha hai tume..
Dil se saccha pyar diya hai tume..
Tanhayi mei teri yaad mujse baate karti hai..
Tumhare bina har pal mei majbooriyan hai..
Kuch log sochte hain k pyar ke ujaalon mei hamesha khushiyon ke diya hi jalte hain..
Lekin wo kya jaane k pyar karne waale hi hame aksar rulate hain

· 1 Like · Apr 13, 2015 at 12:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Batoo Se Badlti Hai Kahi Qaum Ki Taqdeer

BATOO SE BADLTI HAI KAHI QAUM KI TAQDEER
BIJLI KE CHAMKNE SE ANDHERE NAHI JAATE

SHAM KI LO THI K WO TU THA, MAGAR HIJR KI RAAT
DER TAK ROTA RAHA KAON SARAHANE MERE

FAREEB AAISA DIYA ROSHNI NE JUGNU KO
CHIRAG LE KE BHTAKTA RAHA SAHER KE LIYE

CHU KAR NA DEKH CHUI HUI BAAT KAR KE DEKH
PATHAR KA AADMI HUn JIGAR AANSUOON KA HAI

ZARA BHI JIS KI WAFA KA YAQEEN AYA HAI
QASAM KHUDA KI USI SE FAREB KHAYA HAI

FARYAD KAR RAHI HAI TARSI HUI NIGAHE
DEKHE HUE KISI KO ZAMANE GUZAR GAYE

DEKHA NAHI KISI KO HIQAARAT KI NAZAR SE
MUJH SE MERI NIGAH KI QIMAAT NA PUCHIYE

TU TAIRAN ABABIL SE HARGIZ NAHI KAMZOR
BECHARGI PE APNI NAJA SHAN E KHUDA DEKH

BE SAHARA HU AGAR KOI TU GIR SAKTA HAI
EK MAIN HUn K SAHaROOn NE GIRAYA MUJH KO

KANTOO SE BACH KE CHALIYE JAWANI KE BAAG ME
DAMAN ULJH GAYA TU CHUrAYA NA JAYEGA

HALaAT NE CHEHRE KI CHAMAK CHEEN LI WARANA
DO CHAR BARAS ME TU BUDHAPA NAHI AATA
IS DARJA MASAIYB KE JHANAM ME JALA HUn
AB KOI BHI MAUSAM HU PASINA NAHI AATA

US PER HI MUSIBAT AATI HAI JU KAAM KA INSAA HUTA HAI
WO PHUL HI TUDA JAATA HAI JO ZEB E GULISTAA HUTA HAI

THUKAR SE MERA PAOON TU ZAKHMI HUA ZAROOR
RASTE ME JO THA WO KUHSAAR HAT GAYA

MUTAHID HU TU BADAL DO GE NIZAM E AALAM
MUNTASHIR HU TU MAROO SHoR MACHATE KYA HU

· 1 Like · Apr 13, 2015 at 06:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Ae Yaar Aksar Tera Intizaar Rahta Hai

AE YAAR AKSAR TERA INTIZAAR RAHTA HAI
IS DIL ME BAS FAQAT TERE PYAR RAHTA HAI

AATA HAI kun LAUT KAR WO JO JATA HAI YAHA SE
PHIR BHI UNKA INTIZAAR RAHTA HAI

TUM HI HU BASE DIL ME JIGAR ME AOUR NAZAR ME
HAR PAL IN AANKHOO KO BAS TERA INTIZAR RAHTA HAI

AAJYE LAUT KE WO PARDES KA BAASI
HAR PAL DUA ME MAA KE BAS YE HI ZIKAR RAHTA HAI

JIS SAMT ME DEKHOO TERE HI NAZARE HAIn
AE YAAR TU KUCH AYSE IN AANKHO ME RAHTA HAI

HAR ZULM HAI JAARI AZAL SE UNHI PER
MAZLOOM KO HI ZALIM PHIR ZAMANA YE KAHTA HAI

AAJYE QAREEN DIL KE AAISA TO NAHI KOI
IS UJDE MAKAn ME AB KOI NAHI RAHTA HAI

MANO k HAQIQAT HAI JANO K SACH HAI YE
IS DAOR ME NAFEES KAON KAB KIS K LIYE JEETA HAI

· 1 Like · Apr 12, 2015 at 18:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Alif Be Se Shuru Ho Kar Jo Colege Padh K Hum Nikle

ALIF BE SE SHURU HO KAR JO COLEGE PADH KE HUM NIKLE
BAHOOT SE SHADMA KHURAM MAGAR HUM CHSHME NAM NIKLE

KOI RUSTAM BANA,SUHRAAB,AFLATOON AOR GALIB
LIYE CERTIFICATE HATHOO ME, KOI JAM E JAM NIKLE

GHADOO PANI PADA JAB MAIKADE SE MAI NE KHUD DEKHA
LIYE HATHOO ME MEENA JHOMTE SHAIKH E HARAM NIKLE

AHINSA KE PUJAARI BAAT MANWANE KO KHUD AAPNI
GHAROO SE LEKE BANDOQYEE, TAPANCHE AOUR BAM NIKLE

HAZAROO,LAKHOO MERE DOST THE SCHOOL O COLEGE ME
MAGAR JO KAM AATE WAQT PER, WO DOST KAM NIKLE

WO KHATE JOTIYA HAR DIN AOUR KAHTE JEE NAHI BHARTA
ISI COLEGE SE PADH KAR AAYSE BHI KUCH BESHARAM NIKLE

WO JAHIL THIEN MAGAR THEE PAK DAMAN AOR KUSH TINAT
KABHI DARWAZE KE BAHAR NAHI JIN KE QADAM NIKLE

HAI O SHARM KA LASHAA UTHANE HAZRATE WAIZ
GAYE THE MAIKADE ME SHAAM KO SUBHA DAM NIKLE

BITHA KE DIL ME JIS KI RAAT DIN KARTE RAHE POOJA
WO ZALIM MOOM KYA BANTE WO PATHAR KE SANAM NIKLE

NAFEES ALLAH RAKHE QAYAM SAADA YE ILMI GAHWAARA
JAHA SE PADH KE TUM NIKLE JAHA SE PADH KE HUM NIKLE


AMEEN
written by NafeesAhemd khan Nafees (1995)

· 1 Like · Apr 12, 2015 at 12:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Ya Rab Na Takht O Taj De Mujh Ko Na Maal De

YA RAB NA TAKHT O TAJ DE MUJH KO NA MAAL DE
INSANIYAT KA DARD MERE DIL ME DAAL DE

YE ALAG BAAT HAI K TAMEER NAHI HO SAKTE
WARNA HAR ZEHAN ME KUCH TAAJ MAHAL HOTE HAIn

YUN TO HAR DuR PE LAHKTE NAZAR AAYE DAMAN
KHENCHTE NAAZ SE JIS KO WAHI DAMAN nA MILA

YUN LAG RAHA HAI TERE RUKHSAAR KE QAREEB
JAISE CHIRAG KOI SURAJ KE SAAMNE

YE KAH KAH KE HUM DIL KO BAHLA RAHE HAIn
WO AB CHAL CHUKE HAIn WO AB AARAHE HAIn

YUN TU DUNIYA ME MIL JAATE HAI AHBAAB BoHaT
PAR KISI SE BHI WAFA KA NA TAQAZA KARNA

· 1 Like · Apr 12, 2015 at 05:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Tere Pyaar Me.n Rusvaa Hokar Jaayen Kahaa.n Devaane Log

tere pyaar me.n rusvaa hokar jaayen kahaa.N devaane log
jaane kyaa kyaa puuchh rahe.n hai.n ye jaane pehchanay log

jaise tumhe.n hamane chaahaa thaa kaun bhalaa yuu.N chaahegaa
maanaa aur bahut aaye.nge tum se pyaar jataane log

kaise dukho.n ke mausam aaye kaisii aag lagii yaaro
ab saharaao.n se laate hai.n phuulo.n ke nazaraane log

kal maatam beqiimat hogaa aaj in ki tauqiir karo
dekho Khuun-e-jigar se kyaa kyaa likhate hai.n afasaane log

jaanate hai.n ye ishq musalasal rog hai aah-o-zaarii kaa
phir bhii usake kuuche me.n jaate hai.n umr ganvaane log

· 1 Like · Apr 11, 2015 at 23:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Hazaroo Azmatey Quraban Us Daman Ki Azmat Per

HAZAROO AZMATEY QURABAN US DAMAN KI AZMAT PER
JO MAJBOORI KE AALAM MEIN BHI PHELAYA NAHI JATA

FAQEERI ME BHI MUJH KO MANGNE ME SHARM AATI HAI
SAWALI HO KE MUJH SE HAATH PHELAYA NAHI JATA

JUDA KISI SE KISI KA HABEEB NA HO
YE DaAG WO HAI JO DUSHMAN KO BHI NASEEB NA HOO

HUM TUJHE BHooL GAYE HAY TERI SADA DILLII
KOI TAIYER KABHI BHOLA HAI NASHEMAN APNA

DEKH LE BULBUL O PARWANA KI BETAABI KO
HIJAR ACHA NA HASEENO KA WISAL ACHA HAI

KAMZARF SE RAKHTE HAI UMEEDE WAFA NADAA
BeHTay HUYE PAANI PE TASWEER BANA TE HAin

· 1 Like · Apr 11, 2015 at 17:04
Category: 0
 
ALLAH k Supurd
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : Feb 20, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS