Poetry / 0

Udaasioon Ka Sabab Jo Likhna

Udaasioon ka sabab jo likhna,
To ye bhi likhna
Kay chaand taaray,
Shahaab ankhien badal gaye hain
Wo zinda lamhay jo teri raahon mein
Tere anay kay muntazir thay
Wo thak kay raahon mien dhal gaye hain
Wo teri yaadien, khayal tere,
Wo ranj tere, milaal tere
Wo teri ankhein, sawal tere
Wo tum say mere tamaam
Rishtay bichar gaye hain,
Ujadh gaye hian
Udaasioon ka sabab jo likna
To ye bhi likhna
Leraztay hoonton pe larhkharhti,
Dua kay soraj
Peghal gaye hain
Tamaam sapnay he jal gaye hain
Baad marnay ke tum meri kahani likna
Kese hoi bardaad meri jawani likhna
Ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese
Bahta raha meri ankhoon say pani likna...

· 1 Like · Apr 20, 2015 at 22:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Cheharaa Meraa Tha Nigaahen Us Ki

Cheharaa meraa tha nigaahen us ki
Khaamushi men bhi vo baaten us ki

Mere chehare pe gazal likhati gain
Sher kahati hui aankhen us ki

Shokh lamhon ka pata dene lagin
Tez hoti hui saansen us ki

Aise mausam bhi guzaare ham ne
Subahen jab apani thin shaamen us ki

Dhyaan men us ke ye aalam tha kabhi
Aankh mahataab ki yaaden us ki

Faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
Aandhiyaan meri bahaaren us ki

Niind is soch se tuuti aksar
Kis tarah kateti hain raaten us ki

Duur rah kar bhi sada rahati hain
Mujh ko thaame hue baahen us ki

Parveen Shakir


· 2 Like · Apr 20, 2015 at 16:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Khuwaab Azaab

Vo Sari Baatein Khuwaab Huien
Aur Khuwaab Se Phir Azaab Huien
Jab Tum Ko Saba k Jhonkay Se
Paigham Hamara Milta Tha
Jab Meri Ik Nazar Se Hi
Chehra Yeh Tumhara Khilta Tha
Kuch Yaad Sa Tum Ko Hay Jaanaa
Jab Phone Ki Aadat Roz Ki Thi
Kuch Dair Jo Mujh Ko Ho Jati
Tum Ghantoon Rootha Karti Thi
Kabhi Geeton Ki Kabhi Shairon Ki
Tum Khuwahish Mujh Se Karti Thi
Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se
Mery Chehrey Se Meri Aankhon Se
Aur Jhank k Meri Aankhon Mein
Tum Khud Ko Dhoonda Karti Thi
Ik Do Din Dekh Na Pao To
Tum BeKal BeKal Rehti Thi
Aur Ab To Aisa Aalam Hay
Koi Chahat Hay Na Ulfat Hay
Kya Pyar Muhabbat Aur Wafa
Iss Zikar Se Tum Ko Vehshat Hay
Main Lakh Tasalli Khud Ko Doon
k Ab b Teri Khuwahish Hoon
Anjaan Bazahir Lagtay Ho
Main Ab b Tera Mehwar Hoon
Par Dhoka Aakhir Dhoka Hay
Kab Tak Dil Ko Behlaye Ga
Do Pal Ki Khushian De Kar Yeh
Mujhay Sadiyan Lahoo Rulaye Ga
Kiun Tum Taqdeer Se Lartay Ho?

· 1 Like · Apr 20, 2015 at 10:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Sirf Mera Ho

Koi to ho aisa jo sirf mera ho
Baton me uski khushbu ho
Dil me uska basera ho
Chahy to chahat meri
Mangy to mohabbat meri

Wo chaand ki chandni ho to
Chaand sirf mera ho

Wo falak ki roshni ho to
Suraj sirf mera ho

Wo pholon ki khushbo ho to
Ehsas sirf mera ho

Wo falak ka ujala ho to
Charagh sirf mera ho

Wo ishq or mohabbat ho to
Dil sirf mera ho

Wo pani ka cheenta ho to
Darya sirf mera ho

Wo kismat ki lakeer ho to
Hath Sirf mera Ho.

· 1 Like · Apr 20, 2015 at 04:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Mohabbat Ab Nahin Hogi

Sitaare jo damakate hain
Kisi ki chashm-e-hairaan men
Mulaaqaaten jo hoti hain
Jamaal-e-abr-o-baaraan men
Ye na abaad vaqton men
Dil-e-naashaad men hogi
Mohabbat ab nahin hogi
Ye kuch din baad men hogi
Guzar jaayenge jab ye din
Ye un ki yaad men hogi

Munir Neyazi


· 1 Like · Apr 19, 2015 at 22:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Bewafai Kaa Ab Gila Kaisa

Bewafai kaa ab gila kaisa
Aap pahle bhi kab hamare the

Meri aankhon main phailte hoye rang
Kal tak aap ko bhi pyare the

Nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
Gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho

Gham to ye hai ki vo kasme waade Toot gaye
Bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi

Badi zaalim nihayat bewafaa hai
Ye duniyaa phir bhi kitani Khush numa hai

Bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
Sirf do char savalat kaa mauqa day day

Kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
Ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen

Na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
Wo muunh chhupa ke jaaye bhi to bewafaa na lage

Sar jukaoge to pathar devata ho jayega
Itana mat chaho use woh bewafaa ho jayega

Teri bewafaaiyon par, teri kaj adaaiyon par
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi munh chupa ke roye


· 1 Like · Apr 19, 2015 at 16:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Mohabbat Kaisa Bandhan Hey?

Mohabbat Kaisa bandhan hey?
Meri tanhaian aksar ye mujhsy poocha karti hain,
Mohabbat kaisa bandhan hey
Mohabbat kaisy hoti hey to me izhaar karti hoon,
Mohabbat aisa darya hai
Ke jis main doob jany se bohat araam milta hai
Mohabbat aik khushboo hai jo aik angan main mahakti hai
Mohabbat aisa sawan hai jo ankho se barasta hai ,
Mohabbat aisi basti hai
K jis mein rahny wala koi bhi piyasa nahi rehta,
Mohabbat aisa jeewan hai
Jo marta hai na miteta hai
Mohabbat aisi shama hai
Jo sari umer jalti hai
Mohabbat aik chaon hai ya MAA ke piyaar jaisi hai
Mohabbat roop hai RUB ka ya RUB ke piyaar jaisi hai

(Writer : Asima Aijaz)


· 1 Like · Apr 19, 2015 at 09:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Phir Say Pyaar

Phir say pyaar ka dhoka khaya ja sakta tha
Dil ka kya hai dil behlaya ja sakta tha

Kyon wapis na aaya ja kar wo janey
Lakin us k paas to jaya ja sakta tha

Gar na hota mom ki surat dil apna
Gham k suraj say takraya ja sakta tha

Ik tumhara saath agar mil jata to
Saari dunya ko thukraya ja sakta tha

Logon nay mujrim tehraya maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha

Lay dooba jab aankhon ka toofan SAGAR
Kaisey dil ka shaher bachaya ja sakta tha


· 1 Like · Apr 19, 2015 at 03:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Aisa Bhi Hota Hay

Mohabbat main tere sar ki kasam
Aisa bhi hota hay
Khabar kiya thi humeen pahle
K gham asa bhi hota hay

Tum apne hi sahi lekin
Tumeen apna naheen sakte
Tumare paas reh kar bhi
Tumeen hum pa naheen sakte

Setam aisa bhi hota hay
Karam aisa bhi hota hay
Yahan woh aa naheen sakte
Wahan hum jaa naheen sakte

Jo majbori hamari hay
Woh hum batla naheen sakte
Bhala kaise tumeen batlayeen hum
Aisa bhi hota hay
Tujhye samjhayen kaise o sanam
Aisa bhi hota hay


· 1 Like · Apr 18, 2015 at 21:04
Category: 0
 
Harvesting Bananas
Posted by Interesting Videos
Posted on : Dec 14, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS