Poetry / 0
Aaj
Shab-e-Tanhai Mein
Palkon Pe Sitare Sajaey
Gham Ki Chokhat Pe Beth Kr
Soch Raha Hon
Jab Mein Ne Usky Hath Ko Chuwa Tha
Tu Wo Muskura Kr Boli Thi
Tumhare Hath Kitne Garm Hain,
Or Jante Ho,
Garm Hath Wafa Ki Alamat Hote Hain"
Ye Sun Kr Mein Itna Khush Hoa
K Baqi Sub Bhool Gya
K Us K Hath Kitne Sard Thy..
Post Sanam Khan
Palkon Pe Sitare Sajaey
Gham Ki Chokhat Pe Beth Kr
Soch Raha Hon
Jab Mein Ne Usky Hath Ko Chuwa Tha
Tu Wo Muskura Kr Boli Thi
Tumhare Hath Kitne Garm Hain,
Or Jante Ho,
Garm Hath Wafa Ki Alamat Hote Hain"
Ye Sun Kr Mein Itna Khush Hoa
K Baqi Sub Bhool Gya
K Us K Hath Kitne Sard Thy..
Post Sanam Khan
·
1 Like ·
Apr 23, 2015 at 08:04
Category: 0
Poetry / 0
Kamal E Zabt...
Kamal e zabt ko khud bhi to azamaungi
Main apne hath se us ki dulhan sajaungi
Supurd kar ke use chandani ke hathon
Main apne ghar ke andheron ko laut aungi
Badan ke karb ko wo bhi samajh na payega
Main dil main roungi ankhon main muskuraungi
Wo kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
Main kis se ruth sakungi kisey manaungi
Wo ik rishta e benam bhi nahi lekin
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungi
Bicha diya tha gulabon ke sath apana wajud
Wo so ke uthe to khwabon ki raakh uthaungi
Ab us ka fan to kisi aur se manasub hua
Main kis ki nazm akele main gungunaungi
Jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
Wo kah raha tha ke main us ko bhool jaungi
Samaaton may ghane jangalon ki sansen hain
Main ab kabhi teri awaz sun na paungi
Parveen Shakir

Apr 23, 2015 at 02:04
Category: 0
Poetry / 0
Ager Wo Meharban Hota
Ager wo meherban hota
To meri aankh men na
Jhilmilati ye nami hoti
Na mere dil ki waadi men
Khizzan ka karwan rukta
Agr wo meherban hota
Meri benoor aankhon men
Sitarey qaid kr deta
Meri zakhmi hatheli per
Wo koi phool rakh deta
Mere haathon ko apne
Hathon men le kr wo ye kehta
Mohabbat roshni hai
Rang hai khushbu hai
Sitaara hai
Qasem mujhko mohabbat ki
Mujhe tu subse pyara hai
Mgr esa wo tub kehta
Agr wo meherban hota....!!!!
To meri aankh men na
Jhilmilati ye nami hoti
Na mere dil ki waadi men
Khizzan ka karwan rukta
Agr wo meherban hota
Meri benoor aankhon men
Sitarey qaid kr deta
Meri zakhmi hatheli per
Wo koi phool rakh deta
Mere haathon ko apne
Hathon men le kr wo ye kehta
Mohabbat roshni hai
Rang hai khushbu hai
Sitaara hai
Qasem mujhko mohabbat ki
Mujhe tu subse pyara hai
Mgr esa wo tub kehta
Agr wo meherban hota....!!!!
·
1 Like ·
Apr 22, 2015 at 19:04
Category: 0
Poetry / 0
Ager Wo Meharban Hota
AGER WO MEHARBAN HOTA
Ager wo meherban hota
To meri aankh men na
Jhilmilati ye nami hoti
Na mere dil ki waadi men
Khizzan ka karwan rukta
Agr wo meherban hota
Meri benoor aankhon men
Sitarey qaid kr deta
Meri zakhmi hatheli per
Wo koi phool rakh deta
Mere haathon ko apne
Hathon men le kr wo ye kehta
Mohabbat roshni hai
Rang hai khushbu hai
Sitaara hai
Qasem mujhko mohabbat ki
Mujhe tu subse pyara hai
Mgr esa wo tub kehta
Agr wo meherban hota....!!!!
Ager wo meherban hota
To meri aankh men na
Jhilmilati ye nami hoti
Na mere dil ki waadi men
Khizzan ka karwan rukta
Agr wo meherban hota
Meri benoor aankhon men
Sitarey qaid kr deta
Meri zakhmi hatheli per
Wo koi phool rakh deta
Mere haathon ko apne
Hathon men le kr wo ye kehta
Mohabbat roshni hai
Rang hai khushbu hai
Sitaara hai
Qasem mujhko mohabbat ki
Mujhe tu subse pyara hai
Mgr esa wo tub kehta
Agr wo meherban hota....!!!!
·
1 Like ·
Apr 22, 2015 at 13:04
Category: 0
Poetry / 0
Tum Kuch Nahi Kehna
Suno Tum Kuch Nahi Kehna
Yahan Koi Nahi Sunta
Ye Dasht-o-Sahra Ki Matti
Yahan Koi Phool Nahi Chunta
Suno Tum Bass Sabar Kerlena
Un Saray Ghumoon Per
Yahan K Loag Aesay Hayn
Unhay Kise Ka Dukh Nahi Dikhta
Suno Jab Bohat Toot Jaoo To
Tum Kuch Dair Ro Lena
Yahe Dastoor-e-Duniya Hay
k Yahan Per Dil Nahi Miltay
Wafa K Patay Nahi Khiltay
Sunoo Ab Bhi Sambhal Jaoo
Mayn Tum Say Durr Hon Kitna
Mujhee Abb Yaad Mat Kerna
Meri Qismat He Aisi Hay
Suno Tum Kuch Nahi Kehna
Yahan Koi Nahi Sunta..!
Yahan Koi Nahi Sunta
Ye Dasht-o-Sahra Ki Matti
Yahan Koi Phool Nahi Chunta
Suno Tum Bass Sabar Kerlena
Un Saray Ghumoon Per
Yahan K Loag Aesay Hayn
Unhay Kise Ka Dukh Nahi Dikhta
Suno Jab Bohat Toot Jaoo To
Tum Kuch Dair Ro Lena
Yahe Dastoor-e-Duniya Hay
k Yahan Per Dil Nahi Miltay
Wafa K Patay Nahi Khiltay
Sunoo Ab Bhi Sambhal Jaoo
Mayn Tum Say Durr Hon Kitna
Mujhee Abb Yaad Mat Kerna
Meri Qismat He Aisi Hay
Suno Tum Kuch Nahi Kehna
Yahan Koi Nahi Sunta..!
·
1 Like ·
Apr 22, 2015 at 07:04
Category: 0
Poetry / 0
Suno Larki
ABHI TUM ISHQ MAT KARNA
ABHI GURIYA SE KHELO TUM
TUMHARI UMAR HI KYA HAI
FAQT SATRA BARAS KI HO
ABHI MASOOM BACHI HO
NAHIN MALOOM ABHI TUM KO
K JAB YEH ISHQ HOTA HAI
TO INSAAN KITNA ROTA HAI
SITARAY TOOT JATAY HAIN
SAHARAY CHOOT JATAY HAIN
ABHI TUM NAY NAHIN DEKHA
K JAB SATHI BICHARTAY HAIN
TU KITNA DARD MILTA HAI
K HAR FURQAT K MOUSAM MAIN
HAZARON GHUM UBHARTAY HAIN
HAZARON ZAKHM KHULTAY HAIN ?
SUNO LARKI .... MERI MANO
PARHAI PAR TAWAJO DO
KITAABON MAIN GULABON KO
KABHI BHOOLAY SAY MAT RAKHNA
KITABAIN JAB BHI KHOLO GI
YEH KANTON KI TARHAN DIL MAIN
CHUBHAIN GAY KHOON BAHAYEN GE
TUMHAIN PEHRON SATAYEN GE
KISI KO KHAT NAHIN LIKHNA
LIKHAI PAKRI JATI HAI
BARI RUSWAI HOTI HAI
KISI KO PHONE MAT KARNA
SADAYEN DIL DUKHATI HAIN
WOH AWAZAIN SATATI HAIN
MERI NAZMAIN NAHIN PARHNA
YEH MEHSHAR UTHA DEIN GI
TUMHAIN PAGAL BANA DEIN GI ?
SUNO LARKI ..... MERI MANO
APNI TAQDEER SAY TUM
KHUL K MAT LARNA
ABHI GURIYA SE KHELO TUM
ABHI TUM ISHQ MAT KARNA.
ABHI GURIYA SE KHELO TUM
TUMHARI UMAR HI KYA HAI
FAQT SATRA BARAS KI HO
ABHI MASOOM BACHI HO
NAHIN MALOOM ABHI TUM KO
K JAB YEH ISHQ HOTA HAI
TO INSAAN KITNA ROTA HAI
SITARAY TOOT JATAY HAIN
SAHARAY CHOOT JATAY HAIN
ABHI TUM NAY NAHIN DEKHA
K JAB SATHI BICHARTAY HAIN
TU KITNA DARD MILTA HAI
K HAR FURQAT K MOUSAM MAIN
HAZARON GHUM UBHARTAY HAIN
HAZARON ZAKHM KHULTAY HAIN ?
SUNO LARKI .... MERI MANO
PARHAI PAR TAWAJO DO
KITAABON MAIN GULABON KO
KABHI BHOOLAY SAY MAT RAKHNA
KITABAIN JAB BHI KHOLO GI
YEH KANTON KI TARHAN DIL MAIN
CHUBHAIN GAY KHOON BAHAYEN GE
TUMHAIN PEHRON SATAYEN GE
KISI KO KHAT NAHIN LIKHNA
LIKHAI PAKRI JATI HAI
BARI RUSWAI HOTI HAI
KISI KO PHONE MAT KARNA
SADAYEN DIL DUKHATI HAIN
WOH AWAZAIN SATATI HAIN
MERI NAZMAIN NAHIN PARHNA
YEH MEHSHAR UTHA DEIN GI
TUMHAIN PAGAL BANA DEIN GI ?
SUNO LARKI ..... MERI MANO
APNI TAQDEER SAY TUM
KHUL K MAT LARNA
ABHI GURIYA SE KHELO TUM
ABHI TUM ISHQ MAT KARNA.
·
1 Like ·
Apr 22, 2015 at 01:04
Category: 0
Poetry / 0
Ankhin Bheeg Jaati Hain
Samander mai utterta hoon to ankhiin bheeg jaati hain
Teri ankhoon ko perhta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Tumharaa naam likhnay ki ijaazat chin gai jaab se
Koi bhi naam likhta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Teri yaadon ki khushboo,khirkion mai raqs kerti hai
Tere ghaam mai sulagta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Mai hans ke jheel leta hoon judaai ki sabhi rasmain
Galay jaab uskay lagtta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Na jaane hoo gayaa hoon is qadar hassas mai kab se
Kisee se baat kerta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Wo sab guzre huey lamhaat mujhkoo yaad aate hain
Tumhaare khaat jo perta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Mai sara din buhaat masroof rehta hoon magar juunnhi
Qadaam chaukhaat pe rakhta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Her ik muufliss ke maathe per alam ki dastanin hain
Koi chehra bhi perta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Barey logoon ke oonche,badnumaa or sard mehloon ko
Ghareeb aankhoon se taktaa hoon to aankhin bheeg jaati hain
Tere kooche se aab mera taulluq wajibi saa hai
Magaar jaab bhi guzartaa hoon to aankhin bheeg jaati hain
Hazaroon mausamoon ki hukmiraani hai mere dill per
Wasi mai jaab bhi hasta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Wasi Shah

Apr 21, 2015 at 16:04
Category: 0
Poetry / 0
Kaise Kehdoon Ke Mulaqaat Nahi Hoti Hai
Kaise kehdoon ke mulaqaat nahi hoti hai
Roz milte hain magar baat nahi hoti hai
Aap lillah na dekha karen aaina kabhi
Dil ka aa jana barri baat nahi hoti hai
Chhup ke rota hoon teri yaad mein duniya bhar se
Kab meri aankh se barsaat nahi hoti hai
Haal-e-dil poochne waale teri duniya mein kabhi
Din hota hai magar raath nahi hoti hai
Jab bhi milte hain toh kehte hain kaise ho 'Shakeel'
Is se aagay toh koi baat nahi hoti hai

Apr 21, 2015 at 10:04
Category: 0
Poetry / 0
Khuwaab Saath Rehne Ke Nit Naye Dekhata Hai
Khuwaab saath rehne ke nit naye dekhata hai
Ye jo asal mausam hai ye guzarta jaata hai
Khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein
Warna hijar ka mausam kis ko raas aata hai
To hawaon ka mausam tujh ko kiya khabar janaa
Gard-e-badgumaani se dil toot bhi jaata hai
Aik tum hi thay warna aadmi muhabbat mein
Laakh aayein deewarein raastey banata hai
Hum to khair nadaan thay muntazir rahe warna
Kaun apni beenayi is tarah ganwata hai
Kitne khuwaab aankhon mein zakham banne lagte hain
Jab hawa ke honton pe tera naam aata hai
Senkron dukaanein hain wasl ke charaghon mein
Kaun hijar mein apna ab lahoo jalata hai

Apr 21, 2015 at 04:04
Category: 0
Sponored Video