Poetry / General

Madiha Shahid

Pani Aur Matti Se Keechar Sa Banaya Hoga

· 2 Like · Apr 04, 2018 at 17:04
Category: general
 
Poetry / General

Abdul Kareem

Cheeni Si Gurya Woh

· 0 Like · Apr 04, 2018 at 11:04
Category: general
 
Poetry / Sad

Sehar Saeed

Zamaney Walon Se Chup Ke Roney Ke Din Nahin Hain

Zamaney walon se chup ke roney ke din nahin hain,
Usey kehna yeh udaas honey ke din nahin hain,

Main jaan sakti hoon vasl mein asal bhaid kya hai,
Magar haqeeqat shanaas honey ke din nahin hain,

Hamara khud se makaalma* bhi neya neya hai,
Kisi badan ka libaas honey ke din nahin hain,

Abhi to aankhon mein aansoun ki nami hai baqi,
Zameen-e-dil par pyaas boney ke din nahin hain..

· 0 Like · Apr 04, 2018 at 05:04
Category: sad
 
Poetry / Love

Ashraf Shahid

Kaashe Ke Tumhe Khwab Hi Ajaye

kaash ke tumhe khwab hi ajaye
me be panah mohabbat ka

· 0 Like · Apr 03, 2018 at 23:04
Category: love
 
Poetry / General

Madiha Sultan

Kaisay Aaye Ga Tere Khad O Khaal Ka Mausam

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ?
Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam
Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijr Jhaila Hai
Ab Guzar Gaya Jaanan Is Sawaal Ka Mausam
Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay
Mein Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam
Dil Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein
Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam
Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per
Tere Lams Ka, Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam
Hum Kubhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein
Ay Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam.

#peotry

· 14 Like · Apr 03, 2018 at 16:04
Category: general
 
Poetry / Sad

Usaman Khan

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay
Tou Hum Kubhi Ke Gharon Ko Palat Gaye Hotay
Qareeb Reh Ke Sulaghnay Se Kitna Behtar Tha
Kisi Muqaam Per Hum Tum Bicharr Gaye Hotay
Kubhi Toryat Ko Ham Muthion Mein Bhar Letay
Kubhi Hawaaon Se Apne Mukaalmay Hotay
Hamaray Naam Pe Koi Charaagh Tou Jalta
Kisi Zabaan Pe Hamaray Bhi Tazkaray Hotay
Ham Apna Koi Alag Raasta Bana Letay
Hamaray Dil Ne Agar Hoslay Kye Hotay.

· 16 Like · Apr 03, 2018 at 10:04
Category: sad
 
Poetry / General

Sana Dimple

Kahbi Yeh Chup Main Kabhi Meri Baat Baat Main Tha

Kahbi yeh chup main kabhi meri baat baat main tha,
Tumhara akss meri saari kayenaat mein tha,
Hum ehl-e-ishq bohat bd’gumaan hote hain,

· 9 Like · Apr 03, 2018 at 04:04
Category: general
 
Poetry / Love

Shaheen Fatima

Tujh Se Ab Aur Mohabbat Nahin Ki Ja Sakti

Tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti,
Khud ko itni bhi aziyat nahin di ja sakti,
Jaantey hain ke yaqeen toot raha hai dil par,
Phir bhi ab tarq yeh wehshat ki nahin ja sakti,
Habss ka sheher hai aur is mein kisi bhi surat,
Saans lene ki sahulat nahin di ja sakti,
Roshni ke liye darwaaza khula rakhna hai,
Shab se ab koi ijaazat nahin li ja sakti,
Ishq ne hijar ka azaar to de rakha hai,
Is se barrh kar to reyaayet nahin di ja sakti..

· 4 Like · Apr 02, 2018 at 21:04
Category: love
 
Poetry / Love

Javed Ashraf

Raaston Mein Rahay Na Ghar Mein Rahay

Raaston Mein Rahay Na Ghar Mein Rahay
Umer Bhar Haalat-e-Safar Mein Rahay
Lafz Saaray Charaagh Ban Jayein
Vasf Aisa Mere Hunar Mein Rahay
Zeher Saara Shajar Mein Aa Jaye
Ay Khuda Zindagi Samar Mein Rahay
Is Lye Gardishon Ko Paala Hai
Koi Tou Halqa-e-Asar Mein Rahay
Ek Zamaana Gharon Mein Tha Aabaad
Be-Ghar Ham Teri Nazron Mein Rahay.

· 10 Like · Apr 02, 2018 at 15:04
Category: love
 
Poetry / Love

Iqra Raheem

Teesri Baat Jhoot Hoti Hai, Ishq Hota Hai Ya Nahee Hota

Teesri baat jhoot hoti hai, ishq hota hai ya nahee hota

· 24 Like · Apr 02, 2018 at 09:04
Category: love
 
Poetry / Love

Iqra Raheem

Teesri Baat Jhoot Hoti Hai, Ishq Hota Hai Ya Nahee Hota

Teesri baat jhoot hoti hai, ishq hota hai ya nahee hota

· 24 Like · Apr 02, 2018 at 03:04
Category: love
 
Poetry / Love

Mahu Arish

Tujh Ko Dekha Phir Us Ko Na Dekh

· 2 Like · Apr 01, 2018 at 20:04
Category: love
 
Poetry / Sad

Wafa Chaudhry

Nahi Karni Hai Mohabbat Un Logon Se

nahi karni hai mohabbat un logon se
jo hazaron dil jeet kar bhi kisi ek ka nah ho sakay

· 2 Like · Apr 01, 2018 at 14:04
Category: sad
 
Poetry / General

Obaidullah Khan

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi
Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ?
Be-Wafai Ne Khaak Kar Daali
Chaahaton Ki Hari Bhari Daali
Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi
Os Ne Tasveer Apni Bhijvadi
Tere Gham Ki Jazeerah-e-Dil Mein
Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi
Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai
Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi
Waqt Zaalim Tha Meri Har Khwaahish
Os Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di.

#poetry #mohabbat

· 6 Like · Apr 01, 2018 at 08:04
Category: general
 
Poetry / General

Jalaluddin Ahmed

Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai

Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai
Bohat Tha Jabar Laikin Seh Lia Hai
Azaab-e-Hijr Ab Waapas Palat Jaa
Bohat Din Saath Mere Reh Lia
Nami Aankhon Se Jaati Hee Nahi Hai
Sitam Is Dil Ne Itna Seh Lia Hai
Tujhe Kehna Tha Jo Ehwaal Dil Ka
Dar-o-Deewaar Se Hee Keh Lia Hai.

#poetry

· 4 Like · Apr 01, 2018 at 01:04
Category: general
 
Poetry / Love

Mohammad Ali Shah

Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se

Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se
Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam
Dekhna Hai Ose Qareenay Se
Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha
Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se
Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi
Warna Kia Khauf Os Safeenay Se
Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai
Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se.

#poetry

· 3 Like · Mar 31, 2018 at 18:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Mohammad Afzal

Khushbo Ke Jazeeron Say

#Khushbo ke jazeeron say sitaron ki haddon tak..
Iss #shehar main sab kuch hai bas teri kammi hain..

#poetry

· 3 Like · Mar 31, 2018 at 12:03
Category: sad
 
Poetry / Love

Obaidullah Khan

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun
Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun
Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun
Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun
Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun.

#poetry

· 2 Like · Mar 31, 2018 at 06:03
Category: love
 
Poetry / Love

Asiya Faheem

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga.

#poetry

· 1 Like · Mar 31, 2018 at 00:03
Category: love
 
Poetry / Love

Naila Ahmed

Chand Per Uska Thikana Tha

Mujhe Usko MiNnatain Kar K MaNAna Tha
Usey Bhi Dair Hoti Thi
Mujhe Bhi Door Jana Tha
Nibhaty Kis Tarah Aik Dosrey Sey Apni Dosti
Zameen PEy Mera Ghar Tha Chand Per Uska Thikana Tha

#poetry />

· 2 Like · Mar 30, 2018 at 18:03
Category:
love
 
Poetry / Love

Dawood Ali

Ik Barq_e_tapan Hai Ke Taqallum Hai Tumhara

Ik Barq_E_Tapan Hai Ke Taqallum Hai Tumhara ?
Ik Shehar Hai Larzan Ke Tabasum Hai Tumhara ?

Paya Jo Mujhe Dar Pe Izhar_E_Tamana
Bole Wo Sarasar Ye Toham Hai Tumhara ?

Ashkon Se Hai Ye Khawahish_E_Deedar Ko Shikwa
Kuch Aaj Ghazab Rang_E_Talatum Hai Tumhara ?

Daikhiye Na Hamein Koi Mohabbat Ki Nazar Se
Kiya Khoob Ye Andaaz Teh_Hukam Hai Tumhara ?

Ab Un Se Kaho Aarzoo_E_Shoq Na HASRAT
Wo Husan_E_Bayan Aaj Kahan Gum Hai Tumhara ?

· 1 Like · Mar 30, 2018 at 12:03
Category: love
 
Poetry / Love

Hammad Yousuf

Meri Takmeel Mein Shamil Hai Kuch Teray Hissay

meri takmeel mein shamil hai kuch teray hissay
ham agar tujh se na miltay to adhooray rehtay

#poetry

· 7 Like · Mar 30, 2018 at 05:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Saiqa Bukhari

Khola Jo Dairy Ko To Dekha Teri Yadain

khola jo dairy ko to dekha teri yadain
lipti hue warqon se dam torr rahi thi

· 2 Like · Mar 29, 2018 at 23:03
Category: sad
 
Poetry / Love

Maryam Rauf

Nahi Pasand Muhabbat Mien Milaawat Mujh Ko

"Nahi Pasand Muhabbat Mien Milaawat Mujh Ko.......

Agar Wo Mera Hai To Khawab Bhi Meray He Dekhay.....


· 1 Like · Mar 29, 2018 at 17:03
Category: love
 
Poetry / Love

Maleeha Bukhari

Bohat Udaas Baithay Ho Aaj

Bohat Udaas Baithay Ho Aaj......

Kaho To Dil Doon Khailnay Ko.....


· 2 Like · Mar 29, 2018 at 11:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Zeeshan Kaliya

Moat Kya Hai

Nimat Raha Hun Zindagi Sey Abhi......

Moat Kya Hai.?
Meri Balaa Janay

· 1 Like · Mar 29, 2018 at 05:03
Category: sad
 
Poetry / Love

Amna Omar

Saaf Bach Niklay Ga Wo Bala Ka Zaheen Hai

Saaf Bach Niklay Ga Wo Bala Ka Zaheen Hai......

Muhabbat Chor Day Ga Qismat Ka Bahana Kar K......!

#poetry />

· 4 Like · Mar 28, 2018 at 23:03
Category:
love
 
Poetry / Love

Asma Altaf

Masla Mohabbat Ka Andha Hona Nahee Hai

Masla mohabbat ka andha hona nahi hai
Masla mehboob ka berha aur Muhib ka goonga hojana hai

· 1 Like · Mar 28, 2018 at 16:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Mohammad Ali Khan

Aansoun Ko Khabar Kaise Hui Teri Judai Ki

· 1 Like · Mar 28, 2018 at 10:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sarmad Ali

Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Dunya Ka Gila

Kabhi taqdeer ka matam kabhi dunya ka gila
manzil e ishq mein har gham pe rona aya

#poetry

· 1 Like · Mar 28, 2018 at 04:03
Category: sad
 
Poetry / General

Sanam Baloch

Mehshar Ka Kher Kuch Bhi Nateeja Ho Ae Adam

mehshar ka kher kuch bhi nateeja ho ae adam
kuch guftagu to khul kar karenge khuda ke sath

#poetry

· 1 Like · Mar 27, 2018 at 22:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Rashk Karte Rahe

hum nah uss saf mein thay aur
nah is saf mein thay! !
rastay mein kharray un ko taktey rahay
rashk karte rahay. .. .. . !
aur chup chaap ansoo bahatye rahay
lout kar aa ke dekha to phoolon ka rang
jo kabhi surkh tha zard hi zard hai !
apna pehlu tatola to aisa laga. .. .. . !
dil jahan tha wahan dard hi dard hai

#poetry

· 3 Like · Mar 27, 2018 at 16:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mera Chehra Mujhe Dena

tum mera badan ourh ke phirtay raho lekin
mumkin ho to ik din mera chehra mujhe dena

chhoo jaye hawa jis se to khushbu teri aaye
jatay hoye ik zakham to aisa mujhe dena

aik dard ka Mela he laga he dil o jaan mein
aik rooh ki aawaz ka rasta mujhe dena

#poetry

· 2 Like · Mar 27, 2018 at 10:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Daleel

koi mujh ko aisi Daleel day
kay mein toar kar tre naqsh
aankh ki putliyon se mita sakoo
koi mujh ko aisi Daleel day !
.. . kay mein dil se tri
Umar bhar ki rafaqaton ko mita sakoo
koi mujh ko aisi Daleel day !
kay mein Umar bhar teri yaad ka
koi jashan hi nah mana sakoo
agar aisi koi Sabeel hai to phir aazma
jo nahi to phir !
mujhe yaad kar, mujhe yaad aa

#poetry

· 2 Like · Mar 27, 2018 at 04:03
Category: sad
 
Poetry / Love

Meena Kumari

Pehli Mohabbat

tarq e talluq ki waja kuch youn batatay jatay
ab me kaha kaha buraiyan dhoondo apnay aap mein

· 1 Like · Mar 26, 2018 at 21:03
Category: love
 
Poetry / Love

Sadaf Faiz

Ya Rab Tu Hi Mujh Us Ki Chahat Ata Karde

Ya rab tu hi mujh us ki chahat ata karde
ke har chahat mohtaaj hai teri hi chahat ki!!

· 2 Like · Mar 26, 2018 at 15:03
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Mizaj E Yaar Se Joo Joo Shanasa Hota Ja Raha Hoo

Mizaj e Yaar se joo joo shanasa hota ja raha hoon
me tanha, aur tanha, aur tanha hota ja raha hoon

· 8 Like · Mar 26, 2018 at 09:03
Category: love
 
Poetry / General

Anmol Rubab

Muje Ahl E Mohabbat Se Faqat Itna Hi Kehna Hai

muje ahl e mohabbat se faqat itna hi kehna hai

· 3 Like · Mar 26, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / Love

Amin Lakhan

Qurban Q Na Jau Mei Uss Hakeem Par

· 16 Like · Mar 25, 2018 at 19:03
Category: love
 
Poetry / Love

Kamran Ullah Khan

Wo Poochte Hain, Tum Mohabbat Ki Baatein Kyun Nhi Karte

Wo Poochte Hain,
Tum Mohabbat Ki Baatein Kyun Nhi Karte..?
Maine Kaha,
Jo Lafzon Mein Bayaan Ho Jaye,
Sirf Itni Si Mohabbat Hum Nhi Karte...!!!

· 8 Like · Mar 25, 2018 at 13:03
Category: love
 
Poetry / Love

Anmol Rubab

Sukoon Ho Aap Ke Dil Mein Is Tarha

.*"Sukoon"*. Ho Apke .*"Dil-Mai"*. Es Tarha...!!

.*"Phulon"*. Mai Hoti Hai .*"Khushbo"*. Jis Tarha...!!

.*"Khuda"*. Apki .*"Zindagi"*. Mai De Etni .*"Khushiyan"*....!!

.*"Asman"*. Se Hoti Hai .*"Baarish"*. Jis Tarha...!!! ❤

~ Raesah


· 7 Like · Mar 25, 2018 at 07:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Kashif Mali

Dil To Karta Hai Zindagi Kisi Qaatil Ke Hawale Kar Doo

Dil to karta hai Zindagi kisi qaatil ke hawale kar doo
Judaai me ye roz roz ka marna mujhe acha nahi lagta

· 3 Like · Mar 25, 2018 at 00:03
Category: sad
 
Poetry / General

Abdul Qadeer

Maar Daalay Ga Ye Ehsaas Mujey

Maar Daalay Ga Ye Ehsaas Mujey
Ajnabi Ho Gya Ha Lehja Tera

· 3 Like · Mar 24, 2018 at 18:03
Category: general
 
Poetry / General

Mohammad Afzal

Nazar Na Ai Meri Mohabbat To Iss Zamanay Ko

· 3 Like · Mar 24, 2018 at 12:03
Category: general
 
Poetry / Love

Anam Lateef

Woh Log Bohot Khush Qismat The

Woh Log Bohot Khush-Qismat The
Jo Ishq Ko Kaam Samajhte The
Ya Kaam Se Aashiqi Karte The
Hum Jeete Jee Masroof Rahe
Kuch Ishq Kiya, Kuch Kaam Kiya
Kaam Ishq Ke Aarey Aata Raha
Aur Ishq Se Kaam Ulajhta Raha
Phir Aakhir Tang Aa Kar Hum Ne
Dono Ko Adhoora Chor Diya!!


· 3 Like · Mar 24, 2018 at 06:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Mohammad Ismail

Tujh Se Haal Bhi Poochainn Toh Kis Tarike Se Poochain

Tujh Se Haal Bhi Poochainn Toh Kis Tarike Se Poochain ......!

Sunaa Hai Muhabat Kaarne Waale Bolaa Kam Royaa Bohat Karte Hain

· 1 Like · Mar 24, 2018 at 00:03
Category: sad
 
Poetry / Love

Abdul Ghaffar

Deewana - mein mohabbat hoon, Muje aata hai nafrat ka ilaaj

mein mohabbat hoon, Muje aata hai nafrat ka ilaaj
tum har ek shakhs ke seenay mein mera dil rakh do

· 2 Like · Mar 23, 2018 at 17:03
Category: love
 
Poetry / General

Daud Bhatti

Milte Hain Kaha Aisay Mohabbat Raseedah Log

mlitay hain kahan aisay mohabbat Raseedah log
karte raho hamari ziyarat kabhi kabhi

· 4 Like · Mar 23, 2018 at 11:03
Category: general
 
Poetry / Love

Shahida Malik

Ek Umr Se Aadat Hy Teray Sham O Sehar Ki

,,,,,Kashif,,,,,

Ek umr se aadat hy teray sham-o-sehar ki,
ab kon teri yaad k maamool badlay..... !


· 2 Like · Mar 23, 2018 at 05:03
Category: love
 
Poetry / General

Sakeena Hussain

Parh Parh Kitaban Ilam Diya Tu Naam Rakh Leya Qazi

· 2 Like · Mar 22, 2018 at 22:03
Category: general
 
Poetry / General

Sajjad Yaqoob

Adawaten Theen, Taghaful Tha, Ranjishen Thee Bohat

adawaten theen, taghaful tha, ranjishen thee bohat
bicharne walay me sab kuch tha, bewafai na thi

· 2 Like · Mar 22, 2018 at 16:03
Category: general
 
Poetry / Love

Aftab Ahmed

Ae Chaand Chala Ja Q Aya Hai Meri Chokhat Par

ae chaand chala ja q aya hai meri chokhat par??
chhore gaya woh shakhs jiss ke dhoke me dekhte thay tuje

· 1 Like · Mar 22, 2018 at 10:03
Category: love
 
Poetry / Love

Meena Kumari

Jab Bhi Fursat Mili Hangama E Duniya Se Mujhe

Jab Bhi Fursat Mili Hangama E Duniya Se Mujhe
Meri Tanhai Ko Bas Tera Pata Yaad Aaya..........!!!


· 3 Like · Mar 22, 2018 at 04:03
Category: love
 
Poetry / Love

Mian Usman

Sitaron Se Kaho

· 3 Like · Mar 21, 2018 at 22:03
Category: love
 
Poetry / Love

Nadeem Moti

Gham Ki Taweel Qaid Se Mujh Ko Rehai De

gham ki taweel qaid se mujh ko rehai de
kuch din agar woh chaand sa chehra dikhai de

taweez aisa de koi apnay mureed ko
murshid woh mere hath mein apni kalai de

· 2 Like · Mar 21, 2018 at 15:03
Category: love
 
Poetry / General

Asiya Faheem

Badi Dilchasp Ghaflat Hogai

badi dilchasp ghaflat hogai hai
achanak uss se ulfat hogai hai
gham e jana bhi go ikk hadsa hai
gham e dora se fursat hogai hai

· 2 Like · Mar 21, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Maleeha Bukhari

Hamesha Hi Nahe Rehtay Kabhi Chehray Naqabon Mein

hamesha hi nahe rehtay kabhi chehray naqabon mein
sabhi qirdaar khultay hian kahani khatam honay par

· 2 Like · Mar 21, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Saiqa Bukhari

Nah Hum Rahay Dil Laganay Ke Qaabil

na hum rahay dil laganay ke qaabil
na dil raha gham uthanay ke qabil
teri yadon ne diye itnay zakham
chhora na muskranay ke qaabil

· 2 Like · Mar 20, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Poetry / General

Wafa Chaudhry

Muhabbat Dekh Li Mein Ne Zamany Bhar Kay Logon Ki

Muhabbat Dekh Li Mein Ne Zamany Bhar Kay Logon Ki,
Jahan Kuch Daam Ziyada Hoon, Wahein Insan Bikta Hai.!

· 2 Like · Mar 20, 2018 at 15:03
Category: general
 
Poetry / General

Bushra Shah

Googni Hogai Aaj Kuch Zaban Kehtay Kehtay

· 1 Like · Mar 20, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Ameera Gul

Wo Jo Khud Pairvi E Ahd E Wafa Karta Tha

Wo jo khud Pairvi-e-Ahd-e-wafa karta tha
Mujh se milta tha....tou Talqeen-e-wafa karta tha
Uss k Daaman mein koi phool nahi meray liye
Jo meri Tangi-e-Daamaan'' ka Gila karta tha
Aaj jo uss ko Bulaya tou wo Gumm-Summ he raha
Dil dharaknay ki jo awaz suna karta tha
Aaj wo meri har ikk baat k ma''ani poochay
Jo meri soch ki tafseer likha karta tha
Uss ki Dehleez pe sadiyon se kharra hoon ''Mohsin''
Mujh se milnay ko jo Lamhaat gina karta tha.
.
MOHSIN NAQVI

· 2 Like · Mar 20, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / General

Sadaf Faiz

Saaray Khilonay Chore Kar, Jazbaat Se Kheltay Hain Log

saaray khilonay chore kar, jazbaat se kheltay hain log

· 1 Like · Mar 19, 2018 at 20:03
Category: general
 
Poetry / General

Iqra Raheem

Bus Yahi Dore Hai Iss Dore Ke Insanon Ki

Bus yahi dore hai iss dore ke insanon ki
teri deewar se oonchi meri deewar banay

· 1 Like · Mar 19, 2018 at 14:03
Category: general
 
Poetry / General

Hina Raheel

Chalo So Jatay Hain

chalo so jatay hain ab phir kisi sach ki talash mein
rahin sansen to subh phir is jhooti dunya ka deedar karna hai

· 1 Like · Mar 19, 2018 at 08:03
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Cham Cham Cham Aaath Aanay Ki Chaliya Aath Anay Ka Paan

Cham Cham Cham
Athanay Ki Chaliya

Athanay Ka Paan
Chal Meray Ghoray Hindustan

Hindustan Ki Pahli Gali
Us Me Rahta Liaqat Ali

Liaqat Ali Ko Goli Lagi
Sari Duniya Ronay Lagi

Rotay Rotay bhook lagi
Hum Nay Khaee Mong Phali

Mong Pahli Me Dana Nahi
Hum Tumhare Nana Nahi

Nana Gaye Dilli
Dilli Say Laye Billi

Billi Ne Diye Do Bachay
Allah Miyan Sachay

Sachay Sachay Jaengay Bhai Ki Dulhan Laengay
Bhai Ki Dulhan Kali, 100 Nakhray Wali

Aik Nakhra Toot Gaya Bhai Ka Muh Soojh Gaya
Soojay Soojay Jaingay Dosri Dulhan Laengay

Dusri Dulhan Gori Ghar Main Hogayi Chori
Chori Chori Jaengay Teesri Dulhain Laengay

Teesri Dulhan Achi Ghar Mai Hoogayi Bachi
Bachi Ne Khayi Machli

Machli Me Nikla Kaanta
Ammi Nay Maara Chanta

Chanta Baday Zore Ka
Hum Nay Khayi Polka

Polka Bari Thandi
Hum Gaye Mandi

Mandi Say Laye Aalooo
Aaloo Ke Peechay Lag Gaya Bhaloo

· 2 Like · Mar 19, 2018 at 02:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Shahida Malik

Badal Gaya Quon Uss Ka Mizaj Kuch Hi Dinon Mein

Badal gaya quon uss ka mizaj kuch hi dinon mein
woh to kehta tha badaltay log usay achay nahee lagte

· 1 Like · Mar 18, 2018 at 20:03
Category: sad
 
Poetry / General

Minu Malik

Ye Mohabbat To Ik Shararat Hai

· 1 Like · Mar 18, 2018 at 14:03
Category: general
 
Poetry / Love

Moona Malik

Tum Se Na Kat Sake Ga Andheron Ka Yeh Safar

· 6 Like · Mar 18, 2018 at 08:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Shabana Gul

Koi Batao Ke Aakhir Ye Maajra Kya Hai?

· 1 Like · Mar 18, 2018 at 02:03
Category: sad
 
Poetry / General

Ijunoon

Bohat Arsa Hua Ik Din! Btaya Tha Mujhe Uss Ne

Bohat arsa hua ik din!
Btaya tha mujhe uss ny!
Banana kch nahi aata!

Aagar main kuch banati hon
Tu bas chaye banati hon......

Main chaye ki dewani hon
Bohat achi banati hon.......
Peo ge na ?

Aur main iss baat pr ....
muskurata he rha tha K

Banana kuch nahi aata
Banati ho to bs chaye..

Mujhe chaye se uljhan hai
Nahi peeta, nahi peeta.....

Aur ab iss baat ko guzry
zamanay ho gaya kitnay,

Nahi maloom mujh ko k
Wo kesi hai?kahan py hai?

Magar ab CHAYE
barri kasrat se peta hu
Bari hasrat sy peta hu !!

· 1 Like · Mar 17, 2018 at 19:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Hamara Kia Hai

hum to majboor wafa hain magar ae jaan jahan
apne ashaaq se aisay bhi koi karta hai

teri mahifl ko khuda rakhay abadd tak qaim
hum to mehman hain ghari bhar ke hamara kya hai

· 2 Like · Mar 17, 2018 at 12:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Anjaam

hain labraiz aanhon se thandhi hawae
udasi mein doobi hui hain ghatain

mohabbat ki duniya pay shaam aa chuki hai
siya posh hain zindagi ki fizayen

machalti hain seenay mein laakh aarzoyeen
tadapti hain aankhon mein laakh iltijaayen

taghaful ke agosh mein so rahay hain
tumahray sitam aur meri wafayen

magar phir bhi ae mere masoom qaatil
tumhe pyar karti hain meri duayen

· 1 Like · Mar 17, 2018 at 06:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Abhi Kuch Din

Abhi Kuch Din Mujhe
Meri Muhabbat Azmanay Do
Mujhe Khamosh Rehnay Do
Suna Hai Ishq Sacha Ho
Tu Khamoshi Laho Ban Kar
RagoN Main Nach UthTii Hai
Zara Uski RagoN Mai
Khamoshi Ko Jhoom Janay Do

Abhi Kuch Din Mujhe
Meri Muhabbat Azmanay Do

Usay Mai KyuN Bataon
Mai Ne Us Ko Kitna Chaha Hai
Bataya Jhoot Jata Hai
Sachi Baat Ki Khushboo Tu
Khud Mehsus Hoti Hai
Meri Baatain, Meri Sochain
Usay Jan Janay Do

Abhi Kuch Din Mujhe
Meri Muhabbat Azmanay Do

· 1 Like · Mar 17, 2018 at 00:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ashk Bahatay Kyun Ho?

Laal matti mein milatay kiyon ho ?
hum nashen! asshk bahatye kiyon ho ?

haan agar pyar hai mujh se to kaho !
tum mujhe itna rulatay kiyon ho ?

gir mitana hi zurori thehra
raaygan naqsh banatay kiyon ho ?

jaan-e jaan! apne hsin khowaboon ki
raakh darya mein bahatye kiyon ho ?

kon aaya hai' kisay aana hai
deep sehraa mein jalatay kiyon ho ?

kya naya rang banana hai tumhe
rang' rangon mein milatay kiyon ho ?

· 1 Like · Mar 16, 2018 at 16:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Udaas Mat Hua Karo

· 1 Like · Mar 16, 2018 at 10:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Virsa

· 4 Like · Mar 16, 2018 at 04:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Agar Aa Sako To Aana

Aagar Aa Saku Tu Aana
Parbat Ke Us Paar
JahaN Mai Rehta HuN
Jisay Turbat Kehtay HaiN
Mere Liye Koii Phool Mat Lana
Na Meri Turbat Ko AshkoN Say Bhigona
Meri Tamam TasveereN, Aur Mere Khat
Apne HaathoN Say Bhaley Jala Dena
Ke Mere Khat Meri TasveereN
Chahe Tum Jala Daalo, Ya Sabh Mita Daalo
Phir Bhi!
Mai Jab Tak Tumharay Dil MaiN HuN
Mai Mar Nahi Sakta

· 1 Like · Mar 15, 2018 at 22:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Guzray Hue Ayaam

apne maazi ke tasawwur se hrasan hon mein
apne guzray hue ayyaam se nafrat hai mujhe

apni be car tamanaon pay sharminda hon
apni be sood umedon pay nedamat hai mujhe

mere maazi ko andheron mein daba rehne doo
mera maazi meri zillat ke siwa kuch bhi nahi

meri umedon ka haasil meri kawish ka sila
ik be naam aziat ke siwa kuch bhi nahi

kitni be car umedon ka sahara le kar
mein ne ewaan sajaye thay kisi ki khatir

kitni be rabt tamanaon ke mabham khakay
apne khowaboon mein basaye thay kisi ki khatir

mujh se ab meri mohabbat ke fasanay nah kaho
mujh ko kehnay doo kay mein ne inhen chaha hi nahi

aur woh mast nigehain jo mujhe bhool gayeen
mein ne un mast nigahon ko saraha hi nahi

· 1 Like · Mar 15, 2018 at 15:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Bhook

suno jo bhook hoti hai
! !. . bohat safaaq hoti hai
kisi firqay kisi mazhab se is ka vaastaa kaisa

tadapti aant mein jab bhook ka shola bharakta hai
to woh tahazeeb ke be rang kaghaz ko
tamaddun ki sabhi jhooti dalilon ko
jala kar raakh karta hai
nazar bhukhi ho to phir chodween ka chaand bhi roti sa lagta hai
khudi ka falsafah. . .
jhooti daleelen sab sharafat ki
mehez bakwaas lgty hain. .. .

haqeeqat mein yahi sab se bara sach hai
kay yeh jo bhook hoti hai
barri bud-zaat hoti hai

· 1 Like · Mar 15, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Fasane Se Fasana Nikle

yuhin mil bethnay ka koi bahana niklay
baat se baat fasanay se fasana niklay

phir chalay zikar kisi zakham ke chhil jane ka
phir koi dard koi khawab purana niklay

phir koi yaad koi saaz uttha le aaye
phir kisi saaz ke parday se taranah niklay

yeh bhi mumkin hai kay sahraoon mein gum ho jayen
yeh bhi mumkin hai kharabon se khazana niklay

aao dhunden to sahi ehley wafa ki bastii
kya khabar phir koi gum gashta thikana niklay

yaar aisi bhi nah kar baat kay dono ro den
yeh talluq bhi faqat rasm-e zamana niklay

yeh bhi hai ab nah utthay naghma zanjeer
yeh bhi hai hum sa koi aur deewana niklay

· 1 Like · Mar 15, 2018 at 03:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Taaluq

ik talluq ko bikharne se bachanay ke liye
mere din raat guzarte hain adakari mein

woh kisi aur dawa se mera karta hai ilaaj
mubtala hon mein kisi aur hi bemari mein. .! !

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tera Sab Kuch Qabool Hai

pathar hai tairay haath mein ya koi phool hai
jab to qubool hai, tera sab kuch qubool hai

phir tunay day diya hai naya faasla mujhe
sir par abhi to pichli masafat ki dhool hai

to dil pay boojh le ke mulaqaat ko nah aa
milna hai is terhan to bicharna qubool hai

to yaar hai to itni kari guftagu nah kar
tera usool hai to mera bhi usool hai

lafzon ki aabaroo ko ganwao nah yun Adeem
jo maanta nahi, usay kehna fuzool hai

aake hansi labon pay bikhar bhi gayi Adeem
jane zayan hai yeh kay khushi ka husool hai

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 15:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ek Khuwab Safar Mai Rehta Hai

ik naam ki urti khushbu mein ik khawab safar mein rehta hai
ik bastii ankhen malti hai ik shehar nazar mein rehta hai

kya ehl-e hunar, kya ehley Sharf sab tukre raddi kaghaz ke
is daur mein hai woh shakhs bara jo roz khabar mein rehta hai

pani mein roz bahata hai ik shakhs diye umeedon ke
aur aglay din tak phir un ke hamrah bhanwar mein rehta hai

ik khuwab-e hunar ki aahat se kya aag lahoo mein jalti hai
kya lehar si dil mein chalti hai! kya nasha sir mein rehta hai

jo pairr pay likhi jati hai jo giili rait se bantaa hai
kon uss tehreer ka waris hai! kon aisay ghar mein rehta hai !

har shaam sulagti aankhon ko deewar mein chuun kar jati hai
har khawab, shikasta honay tak zanjeer-e sehar mein rehta hai

yeh shehar katha bhi hai amjad ik qissa sotay jagtay ka
hum dekhen jis kirdaar ko bhi jadu ke assar mein rehta hai

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Abhi Na Khul

abhi nah khul abhi thora hijaab rehne day
kuch aur din mujhe yuhin kharab rehne day

ujaarr day mere dil ki tamam dharti ko
bas ik shehar, mera shehr-e khawab rehne day

wohi howa nah bichernay pay baat aa pohanchi
tujhe kaha tha, puranay hisaab rehne day

meri hatheli par likh day har ik nakami
mere khuda to usay kamyaab rehne day

waraq waraq nah to aisay lakerain khinchtaa ja
kitab Umar mein koi to baab rehne day

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Phir Aahon Ka Dhuwan Utha

jala phir sabr ka Khirmen , phir aanhon ka dhuwan utha
howa phir nazr-e sar sar har nashiman ka har ik tinka

hui phir subh-e maatam aanso-on se bhar gaye darya
chala phir soye gurdon karwan-e naala shab ha
har ik janib fiza mein phir macha kohraam-e yarab ha

umadd i kahin se phir ghata wehshi zamanoon ki
fiza mein bijliyan lehrayin phir se taziyano ki
qalam honay lagi gardan qalam ke pasbanon ki
khula nelaam zehnon ka, lagi boli zabanon ki
lahoo dainay laga har ik dahan mein bukhya lab ha
chala phir soye gurdon karwan-e naala shab ha

sitam ki aag ka eendhan banay dil phir se, dadalha !
yeh tairay saada dil bande kidhar jayen khudawanda
bana phirta hai har ik muddayi pegham Bar tera
har ik buut ko sanam khanaay mein daawa hai khudai ka
khuda mehfooz rakhay az khudawandan-e mazhab ha
chala phir soye gurdon karwan-e naala shab ha

· 1 Like · Mar 13, 2018 at 21:03
Category: general
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

November Aa Gaya Phir Se

November agaya phir se
udasi sath laya hai
is mah mein sah pehar shaam se kuch aisay millti hai
jaisay titlee ke kachay rang, yaksar be dhayani mein hathon par utartay hain .
aur shaam raat ke sath yun hum agosh rehti hai
kay jaisay doo behnain hon taley oopar. . .
hamesha sath chalti hain
hamesha sath rehti hain
hamesha sath roti hain
hamesha sath hansti hain

jo dekho to, wohi ghantay hain poooray bees aur chaar. . .
magar dorania pahron ka aisa ban gaya hai kay
sawera kab howa madham ,
ujala din dhaly mein kab howa madgham ,
gulaabii shaam kaali raat ke sang kab hui madgham. . .
samjhna be had mushkil hai. .

isi mah mein udasi zard rang le kar darakhton par utarti hai. . aur
hamaray dil ke aangan mein ,
guzashta bisri yaado ke ,
sokhey zard pattay, bohat be jaan se ho kar
jhartay hain, utartay hain, bikharte hain. .
howa se urrtay phirtay hain. .
gzrte waqt ke be reham se qadmon taley kirkiratay hain. . .
yuhin yaado ke bikhare zard pattoun ke purkef se jhurmat aur. . .
November ki udasi hum ko be had raas aati hai. . .

· 1 Like · Mar 13, 2018 at 15:03
Category: occassional-events
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tujhe Mera Kitna Khyal Tha

mujhe aisa lutf aataa kya, jo nah hijar tha nah wisaal tha! !
mere mousamoo ke mizaaj daan, tujhe mera kitna khayaal tha! !

kisi aur chehray ko dekh kar, teri shakal zehen mein aagai! !
tera naam le ke mila ussay, mere hafzay ka yeh haal tha! !

kabhi mousamoo ke saraab mein, kabhi baam o dar ke azaab mein
wahan umar hum ne guzaar di, jahan saans lena muhaal tha! !

kabhi too ne ghhor nahi kya, kay yeh log kaisay ujadh gaye ?
koi mere jaisa giriftaa dil, tairay samnay ki misaal tha! !

tairay baad koi nahi mila, jo yeh haal dekh ke pochta. .. .. .. .
mujhe kis ki aag jhulsa gayi? mere dil ko kis ka malal tha

kahin khon-e dil se likha to tha, tairay salِ hijar ka saneha! ! !
woh adhuri dayiri kho gayi, woh najane kon sa saal tha? ?

· 1 Like · Mar 13, 2018 at 09:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Koi To Hamara Hota

Udas Dil Ki Udas Batein
Samajhne Wala Koi To Hota

Ke Jiski Baton Se Dil Sambhalta
Ke Jiski Sangat Me Dil Behalta

Jiski Halki Si Ek Jhalak Bhi
Hamare Dukh Ko Samait Deti

Falak Se Khushyan Undail Deti
Ya Uski Nazuk Si Muskurahat

Hamare Din Ki Sabhi Thakawat Ko Door Karti
Ya Phir Chamakti Wo Aankhein Uski

Hamari Hansi Ka Raaz Hoteen,
Hamary Dukh Ki Kitaab Hota!

Jo Humko Chahta, Humko Parhta,
Guzarte Lamhon Ki Sakhtiyon Me!

Koi To Nazuk Mizaj Hota.
Koi To hamaara Hota .

· 2 Like · Mar 13, 2018 at 02:03
Category: love
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

November Aagaya Phir Se

November agaya phir se
udasi sath laya hai
is mah mein sah pehar shaam se kuch aisay melti hai
jaisay titlee ke kachay rang, yaksar be dhayani mein hathon par utartay hain .
aur shaam, raat ke sath yun hum agosh rehti hai
kay jaisay doo behnain hon taley oopar. . .
hamesha sath chalti hain
hamesha sath rehti hain
hamesha sath roti hain
hamesha sath hansti hain

jo dekho to, wohi ghantay hain poooray bees aur chaar. . .
magar dorania pahron ka aisa ban gaya hai k
sawera kab howa madham ,
ujala din dhaly mein kab howa madgham ,
gulaabii shaam __ kaali raat ke sang kab hui madgham. . .
samjhna be had mushkil hai. .

isi mah mein udasi zard rang le kar darakhton par utarti hai. . aur
hamaray dil ke aangan mein ,
guzashta bisri yaado ke ,
sokhey zard pattay, bohat be jaan se ho kar
jhartay hain, utartay hain, bikharte hain. .
howa se urrtay phirtay hain. .
gzrte waqt ke be reham se qadmon taley kirkiratay hain. . .
yuhin yaado ke bikhare zard pattoun ke purkef se jhurmat aur. . .
November ki udasi hum ko be had raas aati hai. . .

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 20:03
Category: occassional-events
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Aks Kitne Utar Gaye Mujh Mai

aks kitney uttar gaye mujh mein
phir najane kidhar gaye mujh mein

yeh jo mein hon zara sa baqi hon
woh jo tum thay woh mar gaye mujh mein

mere andar thi aisi tareqi
aa ke asaib dar gaye mujh mein

mein ne chaha tha zakham bhar jayyn
zakham hi zakham bhar gaye mujh mein

pehlay utra mein dil ke darya mein
phir samandar uttar gaye mujh mein

kaisa khaka bana diya mujh ko
kon sa rang bhar gaye mujh mein

mein woh pal tha jo kha gaya sadiyan
sab zamane guzar gaye mujh mein

ban ke Khurshid samnay aaye
aur phir raat kar gaye mujh mein

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 14:03
Category: sad
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Haasil Kuch Nahi Aata

jama tum ho nahi satke, tumhen manfi se nafrat hai
tumhen taqseem karta hon to haasil kuch nahi aata

koi qaida koi kulia, nah laago tum pay ho paaya
zarb tum ko agar dun to hsabon mein khalaal aaya

Umar yeh kat gayi meri tumhen humdam samaghnay mein
nah aljebra se lagtay ho, nah ho degree kay samajh aaye

sifar thi ibtida tumhari, sifar hi ab talak tum ho
sifar zarb sifar ho tum, nah jis se kuch farq aaye. .. .! ! !

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 08:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tum Jo Hote

Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota
Hum ne auron ko na youn dukh mein pokara hota

Jitni shiddat se main wabasta tha tum se Farhat
Kis tarha mera tere baad guzara hota...........!

Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalane k liye
main na hota tu koi aur tumhara hota

Aur hum baith k khamoshi se roye jate
Sham hoti kisi darya ka kinara hota

Dil se dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki
kis tarha ujrraa hoa shehar gawara hota

Chaand hota k meri Jaan sitara hota
Hum ne ik tere siwa dil se utaara hota

Tu ne socha hai kabhi kitna mohabat k baghair
Rooh farsaa dil-e-viraan ka nazara hota !!

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 02:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Laakh Doorie Ho

Laakh doori ho magar ehd nibhate rehna
Jab bhi barish ho mera sog manate rehnaa

Tum gaye ho to sare shaam yeh adat thehri
Bas kinaare pe khade haath hilaate rehnaa

Jaane is dil ko yeh adaab kahaan se aaye
Uski raahoN mai nigaahon ko bichhate rehna

Aik muddat se yeh mamool hua hai ab to
Aap hi roothna aur aap manate rehnaa

Tum ko maloom hai farhat ke yeh pagalpan hai
Door jaate huye logoN ko bulaate rehnaa

· 2 Like · Mar 11, 2018 at 18:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Siyah Hijr Gaya

Siyaah hijr gaya , zard intezaar gayey
kisi ka dard gaya dard k hisaar gayey

udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gayey

naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
humain yeh kaisi museebat main tum utaar gayey

ajeeb dushman-e-jaan tha k bin larray jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gayey

bohat hee thori see muhallat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gayey

kisi k bhaijey huay aagayey thay dunya main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gayey

na chaand atka kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat k aangan main baar baar gayey!!

· 1 Like · Mar 11, 2018 at 11:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Pehle Pehle

fikr-e anjaam kar anjaam se pehlay pehlay
din to tera hai, magar shaam se pehlay pehlay
kaisay dam toar gayeen seenay mein rafta rafta
hasaratein, hasrat-e nakaam se pehlay pehlay
baasِ fakhr howa rehzan o qaatil hona
ghar ujarty thay iss ilzaam se pehlay pehlay
aaye bikny pay to herat mein hamein daal diya
woh to be mol thay nilaam se pehlay pehlay
ho bhi sakta hai, bohat khaas nazar anay lagen
woh jo lagtay hain bohat aam se pehlay pehlay
haae woh waqt kay taari thi mohabbat hum par
hum bhi choank uthte thay ik naam se, pehlay pehlay
hum bhi sotay thay koi yaad sarahnay rakh kar
haan magar gardish-e ayyaam se pehlay pehlay
kis qader taiz hawae theen sar shaam kay dil
jal bujha raat ke hangaam se pehlay pehlay
ab ke mushkil woh pari hai kay yeh jaan jati hai
Saad rehtay thay hum aaraam se pehlay pehlay

· 3 Like · Mar 11, 2018 at 05:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kis Mohabbat Se Mujh Ko Maara Gaya

mere khowaboon mein chaand utara gaya
kis mohabbat se mujh ko mara gaya
aik qaatil ne takhat khaali kya
aik qaatil ko phir puraka gaya
meri aankhon mein khoon uttar aaya
mujh ko maqtal se jab guzaraa gaya
mere baazu nahi rahay mere
lo mara aakhri sahara gaya
phir marey haath paon chalne lagey
jab marey haath se kinara gaya
sab se barh kar tha saneha apna
jung ke sath dil bhi haara gaya
log hanstay hain apni baton par
hum jo kehte hain dil humhara gaya
meri qeemat wusool hotay he
Saad dushman pay mujh ko waraa gaya

· 2 Like · Mar 10, 2018 at 23:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aise Lagta Hai

aisay lagta hai yahi qoum ke gham khawar hain bas
rehnuma saaray ke saaray he adakar hain bas
in pay kiyon kholtey ho janat-e Firdous ke baab
ehley duniya hain, yeh duniya ke talab gaar hain bas
ehley haq jantay hain Adal ke asmaar hain kya
ehley zulmat pay yeh asmaar giran baar hain bas
mulk lota hai magar phir bhi Muaziz hain woh
kaisi majboori kay hum in ke taraf daar hain bas
hum woh badbakht nahi chahtay hain apnon ko
aur gheiron ki mohabbat mein girftar hain bas
kon sa jurm tha apna kay mili jis ki saza
hum saya kaar murawwat ke sazawar hain bas

· 1 Like · Mar 10, 2018 at 17:03
Category: general
 
Poetry / Poetry Sms

Muzammil Shahzad

Mere Aashna Bhi Ajeeb Thay

marey aashna bhi ajeeb thay nah Rafeeq thay nah raqeeb thay
mujhe jaan se dard Aziz tha unhen fkrِ charah giri rahi

· 2 Like · Mar 10, 2018 at 10:03
Category: poetry-sms
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tere Qabil Nahi Hota

nah ro ae shama parwano ka naazuk dil nahi hota
yeh deewany hain mar jana inhen mushkil nahi hota

bas ab chupkay raho mansoor ki baabat nah khilwao
mohabbat itni bhar dete ho jitna dil nahi hota


khuda rakhay tumahra gham to kya aalam sama jaye
zara sa dil samajte ho zara sa dil nahi hota

ellahi doob jana he rakha hai kya muqadar mn
idhar jati hai kashti jis taraf saahil nahi hota

azal se mehv hon ainaa dil ki safai mein
tairay qabil banata hon tairay qabil nahi hota

· 3 Like · Mar 10, 2018 at 04:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna
Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne

Kese Ban Gaye Hain TereMere Hathon Main
Apne Naam Ki Lakeer Dekhna

Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne

Kese Ban Gaye Hain Tere Pyar Mein Faqeer Dekhna
Boht Naaz Hy Na Tujy Apni Husn ki Dolat Per Dost
Mere Paas B Hy Zakhmon Ki Jageer Dekhna

Mere Ho Or Mere Hi Raho Ge Hamesha
Rang Laaye Gi Sachey Pyar Ki Taseer Dekhna

Bohat Zulm Sahey Hain Teri Judai K Ham Ne ""
Sada Ek Jesi Nhi Rehti Taqdeer Dekhna

· 6 Like · Mar 09, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Hum Sa Ho Nahi Sakta...

Zamane Me Bhi Dhoondo Ge...
To Hum Sa Ho Nahi Sakta...
Sada Us Ko Hi Chahte Hain...
Jo Apna Ho Nahi Sakta...
Bohut Ujra Huwa Dil Hai...
Magar Apna Aqida Hai...
Jahan Mehken Teri Yaadain...
Wo Sehra Ho Nahi Sakta...
Kisi Ki Yaad Ab Bhi...
Raat Ko Sooney Nahi Deti...
Shab_e Tnhai Se Keh Do...
Main Tanha Ho Nahi Sakta...
Kuch Us Ki Bhi Khatayen Thi...
Wabaal_e Zindgi K Saath...
Sabhi Kuch Hi Muqaddar Ka...
Likha To Ho Nahi Sakta...
Juda Ho Kar Bhi DONO...
Jee Rahey Hain 1 Muddat Se...
Kabhi DONO Hi Kehtey The...
K AISA HO NAHI Sakta...

· 2 Like · Mar 09, 2018 at 14:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Safar E Wafa Ki Raah Me Manzil

Safar-E-Wafa ki raah me manzil jafa ki thi.
Kaghaz ka ghar bana k bhi
Khawahish hawa ki thi.
Thi jugnuon k shehar mein
Taroon sy
dushmani,
Mashooq chaand tha aur tamana sub'ha ki thi.
Tumne to ibadt ka tamasha bana dia,
Chahat namaaz ki thi per aadat qaza ki thi.
Main ne to zindgi ko teray naam likha tha,
Shayed magar kuch aur hi marzi khuda ki thi.
Dard he dena tha to pehly bata dety,
Hum ko bhe azal se he tamana saza ki thi.

· 1 Like · Mar 09, 2018 at 08:03
Category: sad
 
Poetry / Poetry Sms

Kashif Yaqoob

Wo Mere Bare Me Sochta Hai


"Wo mere bare me sochta hai yehi bohat hai
"Use main dekhon to dekhta hai yehi bohat hai.
"Wo khud ko mera nhi smjhta to koi Gham nhi
"Wo mujhko apna to janta hai yehi bohat hai.
"Haqeeqton me milap uska nhi zarori
"Wo mujhe Khawabon me milta hai yehi bohat hai.
"Agr wo mera nhi hua ye mera Muqadar
"Mgr main to uska hon yehi bohat hai
"Wo mujhe nhi chahta to koi Gham nhi
"Meri Mohabat ko to manta hai yehi bhot hy.

· 3 Like · Mar 09, 2018 at 02:03
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Kashif Yaqoob

Wapsi Ki Tamam Raahein

Wapsi Ki Tamam Raahein
Khuli Hain Ab Bhi Tumahari Khatir
Ya Hai Behter Tumhare Haq Mein
Palat He Jao…
K Raahein,Meri Ujaar Raahein
K Shaamein,Meri Wairan Shaamein
K Charon Jaanib Hai Ghup Aandhaira
Nahi Kahi Pa Chamakta Suraj
Na Hai Sawaira
Hai Charon Janib Fasil(Firewall) Aysi
K Jis Ko Ubur Kerna
Tumare Bus Me Na Apny Bus Me
Palat He Jao…
k Meri Raahon Me Manzilo Ka Nisha Nahi Hai
Faqat Safer Hai
Kathin Safer Hai

· 2 Like · Mar 08, 2018 at 20:03
Category: poetry-sms
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Haath Uthae Sar Ko Jhukae

Haath uthae sar ko jhukae,
Aaye hein ya Rabb terei dar par,
Apna karam ki hum pe nazar kar,
Seedhi rah dikha de humko,
Such much naik bana de humko,
Qaum ko dil se piyar karein hum,
Qaum ka beirra paar karein hum,
Ilm wah hunar se shaad humein kar,
Fikron se azaad humein kar,
Naam pe terei jaan fida ho,
Nayyer ki poori yeh dua ho!

· 1 Like · Mar 08, 2018 at 13:03
Category: relegious
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Dikhai Diye Yun Ke Bekhud Kiya

Dikhai diye yun ke bekhud kiya,
Hamen aap se bhi juda kar chale.


Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.


Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.

Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.

Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.

Kahen kya jo puchhe koi ham se .
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.

· 2 Like · Mar 08, 2018 at 07:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mousam E Ishq

Har pal dhiyaan main basne wale log afsaane ho jaate hain
aankhain boorhi ho jaati hain, khuwab purane ho jaate hain

saari baat taaluq wali jazbon ki sachaayi tak hai
mayl diloun main aa jaaye to ghar weerane ho jaate hain

manzar manzar khil uth'ti hai perahan ki qous-e-qazah si
mausam tere hans parne se aur suhaane ho jaate hain

jhon'pariyon main har ik talkhi, paida hote mil jaati hai
isi liye to waqt se pehle, tifl siyaane ho jaate hain

mausam-e-ishq ki aahat se hi har ik cheez badal jati hai
raatain pagal kar deti hain, din deewane ho jaate hain

· 1 Like · Mar 08, 2018 at 01:03
Category: sad
 
Poetry / Love

Kashif Yaqoob

Tumhay Zidd Hai K Main Keh Doon

Tumhay zidd hai k main keh doon
Mujhay zidd hai k tum keh dou
Mujhay tum say mohabbat hai
Kaho mujh say mohabbat hai
Nahin yeh jantay dono
Mohabbat kab bhala mohtaaj hai lafzo ki
Mohabbat tou hamari dharkano ki saaz main shamil
Sureeley geet ki manind
Mohabbat yaad ki devi
Jo tanha raat ko aksar utar aati hai aankho main
Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk say honto main
Mohabbat sandali haathon ki nazuk larzish main hai
Mohabbat soch ki gehraiyon say phootti khushboo
Hamesha saath rehti hai
Mohabbat aankh main palta woh pur-israr jazba hai
jisey ab tak nahin koi samajh paya
Na iss ki koi surat hai
Na iss ka koi paymana
Dhakay alfaaz main iss ka bohat izhar hota hai
Kuch aisay he k jaisay aab
Taha-e-dil say tou hum dono bohat iqrar kartey hain
Magar phir bhi na janay kiyon
Tumhayn zidd hai k main keh doon
Mujhey zidd hai k tum keh dou.

· 3 Like · Mar 07, 2018 at 19:03
Category: love
 
Ameen
Posted by Akram Rahi
Posted on : Dec 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS