Poetry / Love

Kashif Yaqoob

Tumhay zidd hai k main keh doon
Mujhay zidd hai k tum keh dou
Mujhay tum say mohabbat hai
Kaho mujh say mohabbat hai
Nahin yeh jantay dono
Mohabbat kab bhala mohtaaj hai lafzo ki
Mohabbat tou hamari dharkano ki saaz main shamil
Sureeley geet ki manind
Mohabbat yaad ki devi
Jo tanha raat ko aksar utar aati hai aankho main
Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk say honto main
Mohabbat sandali haathon ki nazuk larzish main hai
Mohabbat soch ki gehraiyon say phootti khushboo
Hamesha saath rehti hai
Mohabbat aankh main palta woh pur-israr jazba hai
jisey ab tak nahin koi samajh paya
Na iss ki koi surat hai
Na iss ka koi paymana
Dhakay alfaaz main iss ka bohat izhar hota hai
Kuch aisay he k jaisay aab
Taha-e-dil say tou hum dono bohat iqrar kartey hain
Magar phir bhi na janay kiyon
Tumhayn zidd hai k main keh doon
Mujhey zidd hai k tum keh dou.

Advertisement
· 3 Like · Mar 07, 2018 at 19:03
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Kaler Kanth - Door
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Jul 31, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS