Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Mera Mulk Jal Rha Hai
Gham-e-zindagi sunaon mera mulk jal rha hai,
Main khushi kahan se laon mera mulk jal rha hai,
Tmhen yeh gila hai jana k mizaj Q hain barhm,
Kaho kaise muskraon mera mulk jal rha hai,
Tmhen eid ki khushi hai mjhe yaad hai wo lekin,
Main ye kaise bhol jaon mera mulk jal rha hai,
Hai dagar dagar Asarat' hai qadam qadam Shahadat,
Sar e rah dagmagaon mera mulk jal rha hai,
Mera zkham zkhm seena to lahu lahu safina,
Main nishat kaise paon mera mulk jal rha hai.........

·
1 Like ·
Feb 10, 2012 at 15:02
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Muj Se Gilay Hain Muj Py Bhrosa Nhi Usy
Muj se Gilay hain muj py Bhrosa Nhi Usy
Ye soch kr Hum ny B
To Roka Nhi Usy
.
Wo shaks kbhi Chand Sitaro se ye puchey
.
Hy kon C wo Raat jab
socha Nhi Usy
.
Alfaz Teer bn k utarty rhy Dil ma
.
Suntay rhy chup chap Hi
Toka Nhi Usy
.
Sagar ye Mohabt nhi Asul-e-wafa ha
.
Hum Jan to Dengy Magr
Dhoka Nhi Usy.
Ye soch kr Hum ny B
To Roka Nhi Usy
.
Wo shaks kbhi Chand Sitaro se ye puchey
.
Hy kon C wo Raat jab
socha Nhi Usy
.
Alfaz Teer bn k utarty rhy Dil ma
.
Suntay rhy chup chap Hi
Toka Nhi Usy
.
Sagar ye Mohabt nhi Asul-e-wafa ha
.
Hum Jan to Dengy Magr
Dhoka Nhi Usy.
·
1 Like ·
Feb 10, 2012 at 15:02
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Ye Jo Shafaaf Sa Ik Aks
Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha ,
Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha,
Yaad karty hen kahan bhool k aaye hen usay
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha
Baat kya thi ye mujhe achhi tarah yaad nahi
Haan aap ka zikr b tha aur barri tafseel mein tha,
Koi paigham tha aankhon mein so aankhon mein raha,
Msla asal to paigham ki tarseel ka tha,
Is naye nuskhe mein takhreef hui ha warna,
Zikr mera bi kahin pyar ki injeel mein tha.
Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha,
Yaad karty hen kahan bhool k aaye hen usay
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha
Baat kya thi ye mujhe achhi tarah yaad nahi
Haan aap ka zikr b tha aur barri tafseel mein tha,
Koi paigham tha aankhon mein so aankhon mein raha,
Msla asal to paigham ki tarseel ka tha,
Is naye nuskhe mein takhreef hui ha warna,
Zikr mera bi kahin pyar ki injeel mein tha.
·
1 Like ·
Feb 10, 2012 at 15:02
Category: ghazal
Tags: Bhool
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Humaisha Ki Tarha Aaj Bhi
Humaisha ki tarha aaj bhi,
Sarma ki in sard shaamo main,
Daftar se wapis laotey hue,
Mere barhtey kadam, is landa bazaar key nukarh par,
Ruk say gay hain,
Har saal sochta hon k,
Is bar atay jarhon main,
Dhaani rang ki ake ooni shaal,
Tumhain tohfay main zarur donga,
Jisey orh kar tum jab kabhi,
Dhalti shaam main ghar se niklo ge,
To tumhare gulaabi arez ka damakta rang is dhalti shafak ko mand kar dega,
Aur jisey orh kar kisi sahpaher jab,
Bhaap uratti piyali k uqab se tum,
Mujhey sharaarat bhari nazron se dekho ge,
To mere mann main na janey kitney komal sapney,
Is dhanak rang shaam ki tarha utar ayain gay,
Par kia karon aye meri hum nafas,
Main ake adna sa kalark hon,
Jo sirf khoab hi bonta rehta hai,
Kaash!
In khoabon ki ooni salayan,
Tumhari dhaani shaal bhi bun patti,
Leken nahi'.
Ab aur nahi keh,
Tum to har saal atti sardiyon main,
Mujhe koi na koi tohfa zarur deti ho,
Khud apney hathon se bun kar,
Poorey saal paise jorh kar,
Maslan mere galay se lipta yeh naya garm maflar, yeh swetter,
Aur mere shaano ko dhaanpta yeh koat,

Feb 03, 2012 at 15:02
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Kaha Uss Ne Bhrosa Dil Pe Itna Nahi Krte
Kaha Uss Ne Bhrosa Dil Pe Itna Nahi Krte.
Kaha Me Ne Muhabat Me Kabi Socha Nahi Karte
Kaha Uss Ne Buhat Khush Rang Dunya K Nazare Hy
Kaha Me Ne Jab Tum Ho Tu Hm Kuch Dekha Nahi Krte
Kha Uss Ne Ma Tum Se Door Hoon Lekin Tumhari Hoon
Kaha Me Ne K Sapne Dil Ko Behlaya Nahi Krte
Kaha Uss Ne Tumhari Chahat Tumhen Rusvaya Degi
Kaha Me Ne Shorat Se Ghabraya Nahi Krte
Kaha Uss Ne Samajh jao Samajh Jao
Kaha Me Ne K DiwanO Ko Samjhaya Nahi Karte'
Kaha Me Ne Muhabat Me Kabi Socha Nahi Karte
Kaha Uss Ne Buhat Khush Rang Dunya K Nazare Hy
Kaha Me Ne Jab Tum Ho Tu Hm Kuch Dekha Nahi Krte
Kha Uss Ne Ma Tum Se Door Hoon Lekin Tumhari Hoon
Kaha Me Ne K Sapne Dil Ko Behlaya Nahi Krte
Kaha Uss Ne Tumhari Chahat Tumhen Rusvaya Degi
Kaha Me Ne Shorat Se Ghabraya Nahi Krte
Kaha Uss Ne Samajh jao Samajh Jao
Kaha Me Ne K DiwanO Ko Samjhaya Nahi Karte'
·
1 Like ·
Feb 03, 2012 at 15:02
Category: ghazal
Tags: Dil
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Sard Shaam
Aaj phir tum yaad Aa rahey ho,
Main samandar k beech jahaz k arshey peh khara,
Tumhain soch raha hon,
Woh aisi hi ake shaam thi yehi sama tha,
Jab hum pehli baar miley thay,
Tumhara jism sard hawa se kapkapa raha tha,
Aur mast huwa ka jhonka
tumhari shareer laton ko cheir deta tha,
Chndni ki neeli roshni main tum,
neelam se tarashi hui murat lag rahi thi,
Tab tum nai
Ek ada se mujhe dekha tha,
Aur phir humari mulakatain barhti gai'
Dosti aur dosti se mohabbat ka safar,
Hum nai mil ke teh kia,
Leken kise khabar thi k dil ake ho jain to,
Manzalain juda ho jati hain,
Rastay kho jatay hain,
Jaise chupke se tum nai dil k darwaze pe
Dastak de,
Aise hi ake shaam chupke se
Juda ho gai,
Tab se lekar Aaj tak,
Main tumhain khoj raha hon,
Samadar ki yeh sard sham
Mera dard barha rahi hai,
Aur main zakhmi jigar is se nabard azma,
Tumhain soch raha hon,
Apni zaat main tujhe khoj raha hon.

Tags: Mohabbat
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Koi To Hota
KOI TO HOTA'.
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA'..
jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA'.
mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA''..

Mein Haqeeqat Houn
Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey
Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey
Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey
Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey
Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey
Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey
Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey
Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Dua'ayen De Ke Parwana Mujhey

Tags: Mubarak
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Jab Hum Pehli Baar Miley Thay
Jab hum pehli baar miley thay'.
Tum park k banch pe bethi'.
Udasi se nazrain jhukaye'.
Kuch soch rahi thi'.
Aur main kuch faslay pe khara'.
Tumhain dekh raha tha'.
Phir jab tum nai'.
Palkain utha kar'.
Meri jaanib dekha'.
Aur humari nazrain takrai'.
Woh lamha qayamat tha'.
Us lamhe main ake ajab se khushi thi'.
Phir hum roz isi jagah atay'.
Door se ake dojay ko'.
Dekhtay aur chalay jatay'.
Leken dil ki halat ajab rahi'.
Ake khushi aur ake udasi'.
Kushi tum se milne ki'.
Aur udasi k tum bichar na jao'.
Par aaj main himat kar k'.
Dil pe hath rakh k'.
Tum se'.
Kehta hon'.
Mujhe tum se mohabbat hai'.
Mujhe tum se mohabbat hai'.
Tum park k banch pe bethi'.
Udasi se nazrain jhukaye'.
Kuch soch rahi thi'.
Aur main kuch faslay pe khara'.
Tumhain dekh raha tha'.
Phir jab tum nai'.
Palkain utha kar'.
Meri jaanib dekha'.
Aur humari nazrain takrai'.
Woh lamha qayamat tha'.
Us lamhe main ake ajab se khushi thi'.
Phir hum roz isi jagah atay'.
Door se ake dojay ko'.
Dekhtay aur chalay jatay'.
Leken dil ki halat ajab rahi'.
Ake khushi aur ake udasi'.
Kushi tum se milne ki'.
Aur udasi k tum bichar na jao'.
Par aaj main himat kar k'.
Dil pe hath rakh k'.
Tum se'.
Kehta hon'.
Mujhe tum se mohabbat hai'.
Mujhe tum se mohabbat hai'.
·
1 Like ·
Feb 03, 2012 at 15:02
Category: ghazal
Tags: Mohabbat
Sponored Video