Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kuch To Ay Yaar Ilaaj E Ghum E Tanhaai Ho
Kuch to ay yaar ilaaj-e-ghum-e-tanhaai ho
Baat itni bhi na baRh jaaye ke ruswaai ho
Doobne wale to ankhon se bhi kab nikle hain
Doobne k leay lazim nahen gehraai ho
Jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakha hay
Ab zaroori hai wohi shakhs tamashaai ho
Main tujhe jeet bhi tohfe may nahi de sakta
Chaahata ye bhi nahi hoon tare paspai ho
Aaj to bazm may har aankh thi purnum jaise
Daastaan meri kisi ne yahaan dohrai ho
Koi anjaan na ho shehr-e-mohabbat ka makeen
Kaash har dil ki har ik dil se shanasaai ho
Yoon guzar jaata hay Imran teray kooche se
Tera waaqif na ho jaise koi saudai ho

·
1 Like ·
Nov 12, 2016 at 12:11
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Pyar k deep jalane wale,
kuch kuch pagal hote hain..
Apni jaan se jane wale,
kuch kuch pagal hote hain..
Hijr k gehre zakhm miley,
to mujhko ye ehsaas hua..
Pagal ko samjhane wale,
kuch kuch pagal hote hain..
Jaan se pyare logon se bhi
kuch kuch parda laazim hai..
Saari bat batane wale,
kuch kuch pagal hote hain..
kuch kuch pagal hote hain..
Apni jaan se jane wale,
kuch kuch pagal hote hain..
Hijr k gehre zakhm miley,
to mujhko ye ehsaas hua..
Pagal ko samjhane wale,
kuch kuch pagal hote hain..
Jaan se pyare logon se bhi
kuch kuch parda laazim hai..
Saari bat batane wale,
kuch kuch pagal hote hain..
·
1 Like ·
Sep 30, 2016 at 12:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara Khayal Kuch Bhi Nahi
Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat ka Hasil-o-Hisaal kuch Bhi Nahi,
Wo Hum se khafa thy to Jan Nikal Gayi thi Hamari,
Hum Unse khafa Hain to Unko Malal kuch Bhi Nahi,
Is Qadar Dukh Diya Hai Na Jane kis khataa Par Hamen,
Aur Hum Bhi Sabar karte Gaye kiya Sawal kuch Bhi Nahi,
Uski khushi Mein Hansne Wale khas Hain Ab Us k Liye,
Dukh Mein Us k Sath Hain Hum Or Hamari Misal kuch Bhi Nahi

2 Like ·
Sep 30, 2016 at 02:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Talkh Haqeeqat Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Zindagi Talkh Haqeeqat Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Merey Daaman Mein Salwatoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Aik Omar Lagi Taraashney Mein Khud Ko Magar
Mila Haathoon Ko Zakhmoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Bazahir Dil To Har Aik Baat Par Dharakta Hai
Warna Is Mein Teri Murat Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Raas Aaya Hi Nahi Haqeeqat Kay Ujaloon Ka Safar
Aur Takhayul Mein Bhi Andheroon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Main Ney Sehra-E-Zeest Mein Barsoon Khaak Chaani Hai
Reh Gaya Jholi Mein Wehshatoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Silsiley Teri Mulaqatoon Kay, Terey Khayaal Kay
Aur Aankhoon Mein Ratjagoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Kabhi Jo Dekhta Hoon Deevar-O-Dar Apney Makaan Kay
Nazar Aata Hai Mujhey Patharoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Kia Dhoondtey Ho Waris~, Khizaan Ki Manind Wujood Mein Tum
Is Shajar Mein Sookhey Pattoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Sep 25, 2016 at 06:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kuch Khuwab Suhanay Toot Gaye
Kuch Khuwab Suhanay Toot Gaye,
Kuch Yaar Puranay Rooth Gaye,
Kuch Zakhm Lagey Thay Chehry Per,
Kuch Andar Se Hum Toot Gaye,
Kuch Hum Thay Tabiyat K Saada,
Kuch Log Beganay Loot Gaye,
Kuch Apno Ne Badnaam Kiya,
Kuch Ban Afsany Jhoot Gaye
Kuch Apni Shakista Nao Thi,
Kuch Hum Say Kinaray Chhuot Gaye...
Kuch Yaar Puranay Rooth Gaye,
Kuch Zakhm Lagey Thay Chehry Per,
Kuch Andar Se Hum Toot Gaye,
Kuch Hum Thay Tabiyat K Saada,
Kuch Log Beganay Loot Gaye,
Kuch Apno Ne Badnaam Kiya,
Kuch Ban Afsany Jhoot Gaye
Kuch Apni Shakista Nao Thi,
Kuch Hum Say Kinaray Chhuot Gaye...
·
1 Like ·
Sep 16, 2016 at 07:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kuch Yu Chali Us Se Meri Baat Musalsal
Kuch Yu Chali Us Se Meri Baat Musalsal...
Din Bhi Guzarte Gaye Aur Raat Musalsal..
Phir Yun Hua K Us K Hi Rang Me Rung Gaya Mai...
Aur Badalti Hi Gaeen Meri Aadaat Musalsal..
Us K Piyar Me Doob K Barbaad Mai Kuch Yun Hoa..
Bigartai He Gay Meray Halat Musalsal..
Uski Tapish Ne Mujhe Qareeb Janay Na Dia...
Aur Bharaktai Hi Gay Meray Jazbat Musalsal...
Phir Yun Hua K Chali Gayi Wo Chhor Kar Mujhe...
Aankhoon Se Mery Hoti Rahi Barsat Musalsal..
Ek Dard Sa Meray Dil Me Jo Pehle Tha So Ab Bhi Hai..
Kar Raha Hoon Us Ko Mai Bardasht Musalsal...
Ab Jena Bhi Aik Mout Hai Aur Mout To Phir Mout Hai...
Goyaa K Ho Rahi Hain Meri Amwat Musalsal...

Sep 13, 2016 at 09:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Khush Thay Kuch Aisay Teri Rafaqat K Shauq Main
Khush Thay Kuch Aisay Teri Rafaqat K Shauq Main
Manzil Ganwa Di Ham Ne Musaafat K Shauq Main
Nafrat Hi Pehr E Daar Mili Har Makaam Par
Jis Darr Pe Ham Gaey Hain Mohaabat K Shauq Main
Ham Baargah-E-Ishq Main Maqbool Youn Hue
Khud Se Bichar Gaey Teri Qurbat K Shauq Main
Lautay Hain Ab Tou Saath Hai Ranj O Alm Ki Bheer
Niklay Thay Ghar Se Ik Musarrat K Shauq Main
Daaman Main Hasraton K Siwa Kuch Nahi
Aisay Lutay Hain Ham Teri Chahat K Shauq Main

Sep 08, 2016 at 08:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Paana Bohat Kuch Chahta Hoon Magar
Paana Bohat Kuch Chahta Hoon Magar
Bas Aaj Khud Ko Kahin Khone Do
Karne Ko Baatein Hain Bahut Magar
Bas Aaj Mujhe Chup Rehne Do
Jhinjhod Diya Hai Zindagi Ne Aaj Itna
Ye Toofan Shaant To Hone Do
Apne Hi Jiwan Ki Raahon Mein Kaante
Apne Hi Haathon Se Phir Bone Do
Phir Se Bachpan Jeena Hai Mujhko
Koi Mere Woh Toote Khilone Do
Toote Hue Khwabon Ko Sametoon To Kaise
Mujhe Naye Kuch Sapane Salone Do
Pyar To Khud Se Bahut Kiya Hai
Aj Khud Se Nafrat Bhi Hone Do
Insaan Tha Shayad, Ye Kya Ban Gaya
Kuch Der Iska Ehsaas To Hone Do
Sapne Dekhne Hain Phir Se Mujhe
Kuch Der Ke Liye Bas Sone Do
Hansna Main Bhi Chahta Hoon Shayad
Aaj Magar Mujhe Kuch Rone Do
Bas Aaj Khud Ko Kahin Khone Do
Karne Ko Baatein Hain Bahut Magar
Bas Aaj Mujhe Chup Rehne Do
Jhinjhod Diya Hai Zindagi Ne Aaj Itna
Ye Toofan Shaant To Hone Do
Apne Hi Jiwan Ki Raahon Mein Kaante
Apne Hi Haathon Se Phir Bone Do
Phir Se Bachpan Jeena Hai Mujhko
Koi Mere Woh Toote Khilone Do
Toote Hue Khwabon Ko Sametoon To Kaise
Mujhe Naye Kuch Sapane Salone Do
Pyar To Khud Se Bahut Kiya Hai
Aj Khud Se Nafrat Bhi Hone Do
Insaan Tha Shayad, Ye Kya Ban Gaya
Kuch Der Iska Ehsaas To Hone Do
Sapne Dekhne Hain Phir Se Mujhe
Kuch Der Ke Liye Bas Sone Do
Hansna Main Bhi Chahta Hoon Shayad
Aaj Magar Mujhe Kuch Rone Do
·
1 Like ·
Sep 02, 2016 at 20:09
Category: sad
Social Wall / Videos
Yousuf Ahmed
Paani Wala Dance - Sunny Leone - Uncensored Full Video | Kuch Kuch Locha Hai
·
0 Like ·
Aug 09, 2016 at 09:08
Category: videos
Sponored Video