Search
Poetry / Love
Kuch Door Hamare Saath Chalo
Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khud ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Aashik mager
Har baat poorani kehdein ge...
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khud ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Aashik mager
Har baat poorani kehdein ge...
·
1 Like ·
Jun 18, 2015 at 17:06
Category: love
Poetry / Poetry Sms
Karni Khuda Se Kuch Fariyaad Baaki Hai
Karni Khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hamein unse kehni kuch baat baaki hai
Maut aegi to kehna ruk,abhi
apne Dost se Mulaakaat baaki hai
Hamein unse kehni kuch baat baaki hai
Maut aegi to kehna ruk,abhi
apne Dost se Mulaakaat baaki hai
·
2 Like ·
May 31, 2015 at 18:05
Category: poetry-sms
Advertisement
Poetry / Poetry Sms
Beshak Kuch Waqt Ka Intezaar Mila Humko,
Beshak kuch waqt ka intezaar mila humko,
Par khuda se badhkar yaar mila humko,
Ab na rahi tammanna jannat ki,
Aey dost teri dosti se woh pyaar mila humko.
Par khuda se badhkar yaar mila humko,
Ab na rahi tammanna jannat ki,
Aey dost teri dosti se woh pyaar mila humko.
·
1 Like ·
May 21, 2015 at 01:05
Category: poetry-sms
Poetry / Sad
Aditya
Bichrey Huwey Kuch Loog Yaad Aatey Hain..
Bichrey huwey kuch loog yaad Aatey hain..
Aankhon mein Aansoo ban key jagmagatey hain..
Jin sey jurey hotey hain hamarii qismat key sitarey..
Woh zindagi key meley mein najaney kahan gum hojatey hain..
Zindagi bhar saath nibhaney ki qasmein khaney waley
Bheech rastey mein hi hamein tanha chhor key chaley jatey hain..
Ab pata laga nazuk hotey hain yeh dil key rishtey bhi
Bass zira si thaiss lagii aur toot jatey hain..
Kiyun jatey hain kuch loog hum sey rooth key itni duur
Key phir chahein bhi to loot key nahi Aatey hain..
Bichrey huwey kuch loog yaad Aatey hain...
Aankhon mein Aansoo ban key jagamagatey hain

May 17, 2015 at 17:05
Category: sad
Poetry / Love
Kuch Bat Kro
ay chand suno
kuch bat kro
teri bat chale
meri raat katy
kuch bat kro
us bsti ki
baadal barish
or masti ki
kch bat kro
us bandhan ki
payal churi
or kangan ki
kuch bat kro
un sapno ki
jinhen tm bhi
socha krty ho
ay chand suno
kch bat kro
teri bat chaly
meri rat katy
kuch bat kro
teri bat chale
meri raat katy
kuch bat kro
us bsti ki
baadal barish
or masti ki
kch bat kro
us bandhan ki
payal churi
or kangan ki
kuch bat kro
un sapno ki
jinhen tm bhi
socha krty ho
ay chand suno
kch bat kro
teri bat chaly
meri rat katy
·
1 Like ·
May 09, 2015 at 11:05
Category: love
Poetry / 0
Moiz Malik
Kuch Rishtey Aesay Bhi Ban Jatey Hain
Kuch Rishtey aesay bhi ban jatey hain
Kuch is Tarha say Dil-o-Jaan mein utar jatey hain
Hamesha sath rehtey hein Sath detey hain
Koi matlab nahe hota in ka..
Kahein jagah nahe hoti in ki....
Ranj-o-gham khod pay
Sehtay hein sila nahe mangtey..
Mohabat nahe chahtey kabi kabi inhe samjhny mein..
umrein beet jati hein...
Judaiyaan jeet jati hein...
Aysa he ik Rishta jo tery mery bech hai
Dekhny wali ankh ko lagey jesy Bekhra hova hai
wo he rishta Dil-o-jaan say guzr kar
Rouhon tak utra hova hai

Apr 27, 2015 at 21:04
Category: 0
Poetry / 0
Tum Kuch Nahi Kehna
Suno Tum Kuch Nahi Kehna
Yahan Koi Nahi Sunta
Ye Dasht-o-Sahra Ki Matti
Yahan Koi Phool Nahi Chunta
Suno Tum Bass Sabar Kerlena
Un Saray Ghumoon Per
Yahan K Loag Aesay Hayn
Unhay Kise Ka Dukh Nahi Dikhta
Suno Jab Bohat Toot Jaoo To
Tum Kuch Dair Ro Lena
Yahe Dastoor-e-Duniya Hay
k Yahan Per Dil Nahi Miltay
Wafa K Patay Nahi Khiltay
Sunoo Ab Bhi Sambhal Jaoo
Mayn Tum Say Durr Hon Kitna
Mujhee Abb Yaad Mat Kerna
Meri Qismat He Aisi Hay
Suno Tum Kuch Nahi Kehna
Yahan Koi Nahi Sunta..!
Yahan Koi Nahi Sunta
Ye Dasht-o-Sahra Ki Matti
Yahan Koi Phool Nahi Chunta
Suno Tum Bass Sabar Kerlena
Un Saray Ghumoon Per
Yahan K Loag Aesay Hayn
Unhay Kise Ka Dukh Nahi Dikhta
Suno Jab Bohat Toot Jaoo To
Tum Kuch Dair Ro Lena
Yahe Dastoor-e-Duniya Hay
k Yahan Per Dil Nahi Miltay
Wafa K Patay Nahi Khiltay
Sunoo Ab Bhi Sambhal Jaoo
Mayn Tum Say Durr Hon Kitna
Mujhee Abb Yaad Mat Kerna
Meri Qismat He Aisi Hay
Suno Tum Kuch Nahi Kehna
Yahan Koi Nahi Sunta..!
·
1 Like ·
Apr 22, 2015 at 07:04
Category: 0
Poetry / 0
Dhoka Diya Hai Tum Ne Kuch Is Ihtamam Se
DHOKA DIYA HAI TUM NE KUCH IS IHTAMAM SE
NAFARAT HI HOGAI HAI MUHABBAT KE NAAM SE
YADOO PE BHALA ZOOR CHALA HAI K AB CHALE
LAGTA HAI MEELA GHAR PE MERE YADOO KA SHAM SE
MUJH KO TU PILA AANKHO SE BAS AE SAQI E GULFAM
HUTA HAI NAHI NASHA KUCH MUJHE PYALE SE JAAM SE
DARTE HO AGAR TUM TU AAOO NA SAATH ME
AATE HO TU AAOO PHIR DARu NA KISI ILZAAM SE
IN DESH KE NEETAOO KO GARAZ KUCH BHI NAHI HAI
ISAA SE, MUHAMMAD SE, NA KUCH RAAM SE
DEKHA TUMHE TO DIL HUA PHIR MUZTARIB BADA
ROKA THA HUM NE LAKH ISSE MUHABBAT KE NAAM SE
PUTLI PHIREGI NAZAR ME AAYEGA KUCH NA YAAD
KARLO KHUDA KO YAAD ABHI IHTAAMAM SE
PATLI KAMR HAI AAP KI WALLAH HO BADI HASEEN
DIKHTA HAI GUZARTA HUA PAANI BHI KAAM SE
KHUD KA WAJOOD KHATAM KIA HAI NAFEES NE
PUKARTAY HAIN AB SABHI ISE TERE NAAM SE

Apr 09, 2015 at 21:04
Category: 0
Poetry / 0
Teri Baahon Main Marne Ka Maja Kuch Aur Hai
hasratein puri karne ka maja kuch aur hai
teri baahon mein marne ka maja kuch aur hai
peekar to madhosh sab hote hain aksar
teri aankhon se peene ka maja kuch aur hai
manjil to paa leta yun to akela main bhi
par tere sath hone ka maja kuch aur hai
hanste to sab hain mehfilon mein humdum
par rotey huye muskuraane ka maja kuch aur hai
har aarju dil ki aaj ufaan par hai yun to
par kuch baatein chhupaane ka maja kuch aur hai
jo likh kar tu hamesha bhool jata hai
kabhi kabhi wo gajal gungunaane ka maja kuch aur hai

Mar 27, 2015 at 21:03
Category: 0
Sponored Video