Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Kuch Bhi Ho Jana
Mohabbat Kuch Bhi Ho Jana
Mohabbat Dars Deti Hay
Mohabbat Zabt Deti Hay
Mohabbat Barishain Aisi
Koii Tu Doob Jata Hay
Koii Tu Paar Hota Hay
Ye Wo Unwaan Hay Jana
Jisay Ham Likh Nahi Saktay
Koii Anjaam Ho es Ka
Suhail Itna Zara Socho
Mohabbat Jeet Jati Hay
Mohabbat Haar Deti Hay
Kise Ko Zinda Rakhti Hay
Kese Ko Maar Deti Hay
Mohabbat Dars Deti Hay
Mohabbat Zabt Deti Hay
Mohabbat Barishain Aisi
Koii Tu Doob Jata Hay
Koii Tu Paar Hota Hay
Ye Wo Unwaan Hay Jana
Jisay Ham Likh Nahi Saktay
Koii Anjaam Ho es Ka
Suhail Itna Zara Socho
Mohabbat Jeet Jati Hay
Mohabbat Haar Deti Hay
Kise Ko Zinda Rakhti Hay
Kese Ko Maar Deti Hay
·
1 Like ·
Mar 23, 2017 at 16:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahey Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta
Dheerey Dheerey
Phir Haalat Hijr Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakhm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !
Kuch Roz Rahey Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta
Dheerey Dheerey
Phir Haalat Hijr Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakhm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !
·
1 Like ·
Mar 22, 2017 at 02:03
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ik Baat Suno Kuch Aisa Hua
Ik baat suno kuch aisa hua
Wo mujhko mila main us ko mili
Izhar hua Iqrar hua
Wo chahne laga main chahne lagi
Usay pyar bohat
Mujhe pyar bohat
Phir kuch yun hua
Wo choar gaya
Main toot gayi
Phir kuch yun mile
Wo tanha tha
Main akeli thi
Bus hum do the
Or koi na tha
Wo rone laga
Main bebas rahi
Na pyar na hi izhar raha
Bas farq sirf itna sa raha
Wo mitti k ooper rota raha
Main mitti k andar soti rahi
Wo mujhko mila main us ko mili
Izhar hua Iqrar hua
Wo chahne laga main chahne lagi
Usay pyar bohat
Mujhe pyar bohat
Phir kuch yun hua
Wo choar gaya
Main toot gayi
Phir kuch yun mile
Wo tanha tha
Main akeli thi
Bus hum do the
Or koi na tha
Wo rone laga
Main bebas rahi
Na pyar na hi izhar raha
Bas farq sirf itna sa raha
Wo mitti k ooper rota raha
Main mitti k andar soti rahi
·
2 Like ·
Mar 08, 2017 at 12:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tere Khayaal Me Kuch Aise Gum Raha Barson
Tere Khayaal Me Kuch Aise Gum Raha Barson
Mai Apney Aap Say Bhi Mil Naa Saka Barson
Kaheein Wo Zaiqa Tehleel Hi Naa Ho Jaye
Mai Us Say Mil Ke Kisi Say Nahi Mila Barson
Kaha Tha Tumne Ke Tum Laut Aao Gay EK Din
So Mai Jahan Tha Wahein Par Khara Raha Barson
Tairay Baghair Meri Umer Rayagan Guzri
Koi Bhi Kaam Nahi Theak Say Howa Barson
Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aas Me Mazhar
Mai Apney Ghar Say Kaheein Bhi Nahi Gaya Barson
Mai Apney Aap Say Bhi Mil Naa Saka Barson
Kaheein Wo Zaiqa Tehleel Hi Naa Ho Jaye
Mai Us Say Mil Ke Kisi Say Nahi Mila Barson
Kaha Tha Tumne Ke Tum Laut Aao Gay EK Din
So Mai Jahan Tha Wahein Par Khara Raha Barson
Tairay Baghair Meri Umer Rayagan Guzri
Koi Bhi Kaam Nahi Theak Say Howa Barson
Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aas Me Mazhar
Mai Apney Ghar Say Kaheein Bhi Nahi Gaya Barson
·
1 Like ·
Mar 01, 2017 at 16:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sukoon E Dil Ke Liye Kuch
Sukoon e dil ke liye kuch
to ehtimaam karoon
zara nazar to mile
phir unhe salaam karoon
Mujhe to hosh nahi
aap mashwara dijay
kahan se chedoon fasana
kahan tamaam karoon
Unhi ke zulam ka shikwa karoon zamane se
unhi ke haq main duaein main subah shaam karoon
Woh bewafa hain to ham ne Shakeel soch liya
mujhe kasam hai kisi se agar kalam karoo
to ehtimaam karoon
zara nazar to mile
phir unhe salaam karoon
Mujhe to hosh nahi
aap mashwara dijay
kahan se chedoon fasana
kahan tamaam karoon
Unhi ke zulam ka shikwa karoon zamane se
unhi ke haq main duaein main subah shaam karoon
Woh bewafa hain to ham ne Shakeel soch liya
mujhe kasam hai kisi se agar kalam karoo
·
2 Like ·
Feb 21, 2017 at 17:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Main Lafzon Main Kuch Bhi Izhaar Nahi Karti
Main Lafzon Main Kuch Bhi Izhaar Nahi Karti
Is Ka Matlab Ye Nahi Keh Main Tujh Say Pyaar Nahi Karti
Chahati Hoon Main Tujhay Aaj Bhi Per
Teri Soch Main Apna Waqt Barbaad Nahi Karti
Tamasha Na Ban Jaye Kahii Mohabbat Meri
Is Liye Apna Dard Ko NamoDaar Nahi Karti
Jo Kuch Mila Hay Usi Main Khush Hoon Main
Teray Liye KHUDA Say Taqrar Nahi Karti
Per Kuch Tu Baat Hay Teri Fitrat Main Zalim
Warna Main Tujhay Chahanay Ki Khatta Baar Baar Nahi Karti
Is Ka Matlab Ye Nahi Keh Main Tujh Say Pyaar Nahi Karti
Chahati Hoon Main Tujhay Aaj Bhi Per
Teri Soch Main Apna Waqt Barbaad Nahi Karti
Tamasha Na Ban Jaye Kahii Mohabbat Meri
Is Liye Apna Dard Ko NamoDaar Nahi Karti
Jo Kuch Mila Hay Usi Main Khush Hoon Main
Teray Liye KHUDA Say Taqrar Nahi Karti
Per Kuch Tu Baat Hay Teri Fitrat Main Zalim
Warna Main Tujhay Chahanay Ki Khatta Baar Baar Nahi Karti
·
1 Like ·
Jan 30, 2017 at 04:01
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Aye Kuch Abr Kuch Sharab Aye
Aye kuch abr kuch sharab aye
us ke bad aye jo azab aye
baam-e-miina se maahtab utre
dast-e-saaqi meN aftab aye
har rg-e-KhuuN meN phir charaGhan ho
saamne phir wo be naqab aye
kar raha tha dil Gham-e-jahan ka hisab
aj tum yaad be hisab aye
na gai tere Gham ki sardari
dil men yuun roz inqilab aye
is tarah apni Khamoshi gungi
goya har simt se javab aye
Faiz thi raah sar ba sar manzil
ham jahan pohunche kaamyaab aye
us ke bad aye jo azab aye
baam-e-miina se maahtab utre
dast-e-saaqi meN aftab aye
har rg-e-KhuuN meN phir charaGhan ho
saamne phir wo be naqab aye
kar raha tha dil Gham-e-jahan ka hisab
aj tum yaad be hisab aye
na gai tere Gham ki sardari
dil men yuun roz inqilab aye
is tarah apni Khamoshi gungi
goya har simt se javab aye
Faiz thi raah sar ba sar manzil
ham jahan pohunche kaamyaab aye
·
1 Like ·
Jan 20, 2017 at 19:01
Category: love
Poetry / Sad
Ab K Saal Kuch Aisa Karna
Ab k saal kuch aisa karna
Apney pichley guzray saal k
Dukh sukh ka andaza karna
Bichri yaadein taza karna
khuwaobon sa ik kagaz ley kar
Bhooley bichray pal likh lena
Phir iss beetey ik ik pal ka
Apney guzrey ik ik kal ka
Ik Ik mourr ka ehata karna
Sarey dost akhata karna
Saree subhain hazir rakhna
Saree shamein paas bulana
Aur alawa in k dekhoo
sarey mausam dheyaan mein rakhna
Ik ik yaad gumaan mein rakhna
Phir mohtaat qiyaas lagana
Ger to khushiyaan barh jati hain
Tu phir tum ko meri taraf se yeh saal mubarak
Aur agar gham barh jaye to
To hum ko ik pal k liye zaroor yaad kerna
Apney pichley guzray saal k
Dukh sukh ka andaza karna
Bichri yaadein taza karna
khuwaobon sa ik kagaz ley kar
Bhooley bichray pal likh lena
Phir iss beetey ik ik pal ka
Apney guzrey ik ik kal ka
Ik Ik mourr ka ehata karna
Sarey dost akhata karna
Saree subhain hazir rakhna
Saree shamein paas bulana
Aur alawa in k dekhoo
sarey mausam dheyaan mein rakhna
Ik ik yaad gumaan mein rakhna
Phir mohtaat qiyaas lagana
Ger to khushiyaan barh jati hain
Tu phir tum ko meri taraf se yeh saal mubarak
Aur agar gham barh jaye to
To hum ko ik pal k liye zaroor yaad kerna
·
1 Like ·
Dec 13, 2016 at 13:12
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tera Mera Rishta Kuch Aesa Uljha Hai
tera mera rishta kuch aesa uljha hai
uss ko suljhatay suljhatay
apnay dil ki poorein zakhmi kar betha hon
rishta shayad sulajh na paye
lekin iss ko suljhanay ki dhun mien jana
saray khwaab bhula betha hon
apna aap ganwaa betha hon!!!
uss ko suljhatay suljhatay
apnay dil ki poorein zakhmi kar betha hon
rishta shayad sulajh na paye
lekin iss ko suljhanay ki dhun mien jana
saray khwaab bhula betha hon
apna aap ganwaa betha hon!!!
·
1 Like ·
Dec 06, 2016 at 11:12
Category: love
Sponored Video