Search
Poetry / Love
Kuch Es Tarah Say Guzray
Kuch es Tarah Say Guzray
Ye Zindagi Khudaya . . . ..!
Wo ik Nazr jo Dekhay . . .
Uss Ki raza k mujh per
Sab Bhaid Khultay jaain ....!
wo jab mujhay pukaray
main pankh pankh bikhro
aur wo mujhay samaitay .... !
meri kisi khata per
us ka mizaaj bigray
aur meri aankh bhegay .....
To wo mujhay manaye ....!!
main Sirf Uss Ko Chaahon
wo Sirf mujh Ko Chaahay ....
Bas es Tarah Say Guzray
Ye Zindagi Khudaya ..!!
Ye Zindagi Khudaya . . . ..!
Wo ik Nazr jo Dekhay . . .
Uss Ki raza k mujh per
Sab Bhaid Khultay jaain ....!
wo jab mujhay pukaray
main pankh pankh bikhro
aur wo mujhay samaitay .... !
meri kisi khata per
us ka mizaaj bigray
aur meri aankh bhegay .....
To wo mujhay manaye ....!!
main Sirf Uss Ko Chaahon
wo Sirf mujh Ko Chaahay ....
Bas es Tarah Say Guzray
Ye Zindagi Khudaya ..!!
·
1 Like ·
Dec 24, 2017 at 02:12
Category: love
Poetry / Sad
Dard Kuch Dair He Rehta Hy Bht Dair Nahi
Dard kuch dair he rehta hy bht dair nahi
Jis tarhaa shakh sy toray hoe ek patty ka rang
Maand parr jata hy kuch roz alg shaakh sy reh kr
Shaakh sy toot kr ye dard jiye ga kb tk?
Khatm ho jaye gi jb es ki rasad
Timtemay ga zra dair ko bujhty bujhty
Or phir lambi si ek saans dhunway ki ly kr
Khatm ho jaye ga ye dard bhi bujh jaye ga
Dard kuch dair he rehta hy bht dair nahi...!!

Dec 23, 2017 at 19:12
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Kuch Bhi Nhi
Jis ko chaha wohi kehta hai wafa
"kuch bhi Nhi"
Aisa lagta hai mere paas raha
"kuch bhi Nhi"
Yun bhi usne mjhe faramosh kiya!
Sun kar Hr baat meri Jaisy suna
"kuch bhi Nhi"
Boht wiraan si ho Gayi hai zindagi meri!
Wo Jb sy choar kr Gaya mere paas
"kuch bhi Nhi"
Mujh sy puchey koi kya Dil pe mere beet Gai!
Us sy kya puchtey ho Jis ka Gaya
"kuch bhi Nhi...!

Dec 20, 2017 at 22:12
Category: sad
Poetry / Love
Kuch Door Hamare Saath Chalo
Kuch Door Hamare Saath Chalo
Hum Dil Ki Kahani Kehdein Ge
Samjhe Na Tum Jisse Aankhon Se
Woh Baat Zubaani Kehdein Ge
Jo Pyar Karein Ge Jaanein Ge
Har Baat Hamari Maanein Ge
Jo Jaley Na Hon Khud Ulfat Mein
Woh Aag Ko Paani Kehdein Ge
Jab Pyaas Jawan Ho Jaye Gi
Ehsaas Ki Manzil Paye Gi
Khamosh Rahein Ge Aur Tumhein
Hum Apni Kahani Kehdein Ge
Is Dil Mein Zara Tum Baitho To
Kuch Haal Hamara Poocho To
Hum Sada Dil Hain Ashk Mager
Har Baat Poorani Kehdein Ge...!
Hum Dil Ki Kahani Kehdein Ge
Samjhe Na Tum Jisse Aankhon Se
Woh Baat Zubaani Kehdein Ge
Jo Pyar Karein Ge Jaanein Ge
Har Baat Hamari Maanein Ge
Jo Jaley Na Hon Khud Ulfat Mein
Woh Aag Ko Paani Kehdein Ge
Jab Pyaas Jawan Ho Jaye Gi
Ehsaas Ki Manzil Paye Gi
Khamosh Rahein Ge Aur Tumhein
Hum Apni Kahani Kehdein Ge
Is Dil Mein Zara Tum Baitho To
Kuch Haal Hamara Poocho To
Hum Sada Dil Hain Ashk Mager
Har Baat Poorani Kehdein Ge...!
·
1 Like ·
Dec 09, 2017 at 17:12
Category: love
Poetry / Sad
Kuch Bhi To Nahi Waisa
Kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jitna tujhay chaha tha
socha tha teray lab per
kuch harf duaoon k
kuch phool wafaoon k
mehkain gay meri khatir
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
mehsoos yeh hota hai
dukh jheelay thay jo ab tak
bay naam musafat main
likhnay ki mohabbat main
perhnay ki zaroorat main
bay sood riyazat thi
bay faiz ibadat thi
jo khawab bhi thay dekhay
in jaagti aankhon ne
sab khaam khayali thi
phir bhi tujhay panay ki
dil k kissi goshay main
khawahish to bachaa li thi
laikin tujhay pa ker bhi
aur khud ko gawa ker bhi
is habs k mausam ki khirki se hawa aai
na phool se khushboo ki koi bhi sada aai
ab neend hai aankhon main
na dil main woh pehli si taza sukhan aarai
na lafaz meray niklay
na harf o mani ki danish meray kaam aai
nadeeda rafaqat main
jitni bhi aziyyat thi
sab meray hi naam aai
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jaisa tujhay chaha tha....!

Nov 25, 2017 at 10:11
Category: sad
Poetry / Love
Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Pyaar ke deep jalane wale kuch kuch pagal hotay hain
Apni jaan say jaane walay kuch kuch pagal hotay hain
Hijar ke gehray zakham milay tou mujhko yeh ehsass hua
pagal ko samjhanay walay kuch kuch pagal hotay hain
Jaan say pyaare logon say kuch kuch parda laZim hai
Saari baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain
khuwabon main bhi piya milan kay sapnay dekhte rehte hain
neendon main muskuranay walay kuch kuch pagal hotay hain
es jhooti nagri main hum nay yehi hamesha dekha hai
sachi baat bataane walay kuch kuch pagal hotay hain
Pyaar jinhe hojaye unko chain bhala kab mill paata hai?
shab bhar ashk bahane walay kuch kuch pagal hotay hain
Apni Zaat ke ujray gulshan se woh pyaar kahan karte hain?
Auroon ko mehkaane walay kuch kuch pagal hotay hain
Issi ke ishq main bheeg ke sanam hum ko yeh ehsaas hua
Dil ki baat main Anay Walay kuch kuch pagal hotay...!

2 Like ·
Nov 22, 2017 at 16:11
Category: love
Poetry / Love
Yun Lagta Hai Usne Mujhe Kuch Yun Dua Di Hai
Yun lagta hai usne mujhe kuch yun dua di hai
Jese kanton main Khuda ne pholon ko panah di hai
Yun aawaz di thi usne bichartay waqt mujhe
Sehra main jese kisi musafir ne sada di hai
Dekh kar qismat ko yun lagta hai ab mujhe
Muqadar ne jese kahin bewaja saza di hai
Ghalat hai agr dunya main kisi ko chahna yaron
To zindagi main hum ne bohat bari khata ki hai
Loutna mumkin nahi ab yahan se kabhi
K kisi ki khatir main ne apni hasti bhula di hai...!

Nov 21, 2017 at 10:11
Category: love
Poetry / 24
Nasir Kya Kahta Phirta Hai Kuch Na Suno To Behtar Hai
Nasir kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai
diwana hai diwane k muh na lago to behtar hai
kal jo tha wo aj nahi jo aj hai kal mit jayega
rokhi sokhi jo mil jaye shukr karo to behtar hai
kal ye taab o tawan na rahegi thanda ho jayega lahu
naam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar hai
kya jane kya rut badle halat k koi thik nahi
ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar hai
kapre badal kar baal bana kar kahan chale ho kis k liye
raat bahut kali hai Nasir ghar main raho to behtar hai....!

Nov 18, 2017 at 05:11
Category: 24
Jokes / Miscellaneous
Bushra Shah
Kuch Nahein Ho Ga....
ek dafa ek choti se larki apni teacher ke paas gayi. us ne pucha ke main MAMA to nahein banoon gi. teacher ne kaha "" no baby u r too small 2 b MAMA"". saath mein ek chota sa larka khara tha. us ne foran kaha ""main ne kaha tha na kuch nahein ho ga.""
·
3 Like ·
Nov 11, 2017 at 20:11
Category: miscellaneous
Sponored Video