Poetry / Sad

Shahida Malik

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Kharre Woh.

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Kharre Woh
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool Parre Woh
Bhoola Nahin Dil Hijr Ke Lamhaat Karray Woh
Raatein To Barri Theen Hi Magar Din Bhi Barre Woh
Kyun Jaan Pe Ban Aayi Hai Bigrra Hai Agar Woh
Uss Ki To Yeh Aadat Ke Hawaaon Se Larre Woh
Alfaaz They Us Ke Ke Bahaaron Ke Peyamaat
Khushbuu Si Barasney Lagi Yoon Phool Jharre Woh
Har Shakhs Mujhe Tujhse Juda Karne Ka Hwa’haan
Sun Paaye Agar Aik To Dass Ja Ke Jarre Woh
Bachey Ki Tarah Chaand Ko Choonay Ki Tammana
Dil Ko Koi Shay Dede To Kya Kya Na kArray Woh
Tufaan Hai To Kya Gham Mujhe Awaz To Di Jiye
Kya Bhool Gaye Aap Mere Kachay Gharre Woh.

· 0 Like · Jun 05, 2018 at 04:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Alisha Khan

Yaqeenan Raastay Dushwaar Bhi Hain.

Yaqeenan Raastay Dushwaar Bhi Hain....
Magar Hum Chalnay Ko Tayaar Bhi Hain,,,,,

Mustaqbil Sey Nimat Lun Ga Yaqeenan.....
Meray Dushman Pass-e-Dewaar Bhi Hain,,,,

K Jiss Dil Mien Kadurat Pal Rahi Hai.....
Wohi Baahien Galay Ka Haar Bhi Hain,,,,

Meray Gham Mien Ezaafa Kar Rahay Hain....
Jo Kehnay Ko Meray Gham_Khawaar Bhi Hain,,,,,,

· 0 Like · Jun 04, 2018 at 16:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Owais Kareem

Mohabbat Ki Piyas

kash usy waqat k sehra mi lagy muhabat ke pyas...
"Or wo tarap k mangy mujhe pani ke tarha....

· 2 Like · Jun 04, 2018 at 09:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yousuf Ahmed

Meri Tehreer Mein Lipty Hwe Taboot Na Khol

Meri tehreer mein lipty hwe taboot na khol..
Lafz jii uthey to tu khouf se mar jaega..

· 0 Like · Jun 03, 2018 at 21:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Javed Ashraf

Rastey Main Ik Shajar Hai Zameen Par Para Hua.

Rastey Main Ik Shajar Hai Zameen Par Para Hua.
Sayaa Magar Hai Apni Anaa Par Arra Hua..
Deeda-Waron Ne Uss ko Banaya Ameer-e-Shaher.
Tha Jis Ki Chashm-e-Kour Main Pathar Jurra Hua..
Kis Kis Se Ta''aziat ka Fareza Adaa karun.
Har Aadmi Ke Sar Pe Hai qatbaa Garrha Hua.
Torre Ga Kon Waqt Ke Zalim Jamoud ko.
Ahle Hunar Ke Lab Pe Hai Taala Para Hua..
Qaatil Bhi Yaar The Mere Maqtool Bhi Aziz.
"Wasif" Main Apne Aap Main Naadim Bara hua.

· 1 Like · Jun 03, 2018 at 15:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mehwish Shahzadi

Aa K Ly Jaey Meri Aankh Ka Pani Mujse

Aa k ly jaey meri Aankh ka pani mujse
Q hasad krti hai darya ki rawani mujse?

Gosht Nakh''un se Aalag kr k dekhaya mene
Usne puche the wafa k maan''ni mujse

teri khushbo ki lahad par main bara tanha tha
ro pari mil k gale raat ki rani mujse

khatam hone laga jab khon b ashkon ki tarhan
kr gye khawab mere nakal-makani mujse

sirf ek shakhs ki khatir mujy barbaad na kr
Roz rote howe kahti hai jawani mujse..!

· 2 Like · Jun 03, 2018 at 08:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mehmood Khan

Ujarr Chuki Hai Duniya Meri.

Ujarr Chuki Hai Duniya Meri
Bata Kis Cheez Ka Dilaasa Hai Mujhy???
Kitna Anmol
Heera Ban Chuka Hoon,,
K Hr Kisi Ne Dard Sey Tarasha Hai Mujhy..

· 0 Like · Jun 02, 2018 at 20:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Afza Altaf

Bas Itni Si Inaayat Mujh Pe Aik Baar Kijiye.

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrate
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye.......


· 0 Like · Jun 02, 2018 at 14:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Shabana Gul

Tera Muskurate Hoye Aana Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga
Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga
Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga
Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga
Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga.....


· 1 Like · Jun 02, 2018 at 07:06
Category: sad
 
Har Ghar Amul Ghar
Posted by Video Ads
Posted on : Feb 25, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS