Poetry / Sad

Mehmood Khan

Wo Lamha

· 0 Like · Jun 07, 2018 at 22:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kamran Ullah Khan

Saza Poori Nahi Hoti

Mohabbat naam hai jis ka wo aisi qaid hai
K umren beet jati hain, saza poori nahi hoti

· 0 Like · Jun 07, 2018 at 15:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yousuf Ahmed

Tum Kinara Dekhna

Badban Khulne Se Pahle Ka Ishara Dekhna
Main Samandar Dekhti Hun Tum Kinara Dekhna

Youn Bicharna Bhi Bahut Asan Na Tha Us Se Magar
Jate Jate Us Ka Wo Mur K Dubara Dekhna

Kis Shabahat Ko Liye Aya Hai Darwaze Pe Chand
Ay Shab-E-Hijran Zara Apna Sitara Dekhna

Aaine Ki Ankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye
Jane Ab Kya Kya Dikhaye Ga Tumhara Dekhna.

· 0 Like · Jun 07, 2018 at 09:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Waqas Moti

Ab Bhala Chhor Ke Ghar Kya Karte

Ab Bhala Chhor Ke Ghar Kya Karte
Shaam Ke Vaqt Safar Kya Karte

Terii Masrufiytain Jaante The
Apne Aane Kii Khabar Kyaa Karte

Jab Sitare Hi Nahi Mil Paye
Le Ke Ham Shams O Qamar Kya Karte

Wo Musafir Hi Khuli Dhuup Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kya Karte

Khaak Hi Avl O Aakhir Thahri
Kar Ke Zarre Ko Gauhar Kyaa Karte

Raaye Pehle Se Hii Banaa Lii Tune
Dil Men Ab Ham Tere Ghar Kyaa Karte

Ishq Ne Saare Saliqay Bakhshe
Husn Se Ksb E Hunar Kya Karte

· 0 Like · Jun 07, 2018 at 03:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Nimrah Butt

Hasrat Bhari Nigaahoo''n Ko Aaraam Tak Nahi.

Hasrat Bhari Nigaahoo''n Ko Aaraam Tak Nahi....
Wo Yun Badal Gaya K Ab Salaam Tak Nahi,,,,,,

Jiss Ki Talab Mien Zindagi Apni Guzaar Di.....
Uss Bey_Wafa K Lab Pay Mera Naam Tak Nahi,,,,,

Jo Keh Gaye Thay Shaam Ko Baithien Gay Aaj Phir....
Kuch Saal Ho Gaye Koi Paighaam Tak Nahi,,,,,,

Madfoon Hun Terey Hijjar Ki Ek Aesi Qabar Mien.....
Kutbay Pay Jiss K Aaj koi Naam Tak Nahi,,,,,,

Bey_Ekhtyaar Uthtay Hain Meray Qadam Udhar.....
Haala''n_Keh Uss Gali Mien Mujhay Ab Koi Kaam Tak Nahi,,,,,

· 0 Like · Jun 06, 2018 at 13:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kamran Kaliya

Wo Aks E Mauja E Gul Tha,

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha
Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha
Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha
Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha
Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha..

· 0 Like · Jun 06, 2018 at 07:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ali Bukhari

Mot To Naam Se Badnaam Hue Warna.




· 0 Like · Jun 06, 2018 at 01:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Eshwa Khan

Bewafa Waqt Tha.

Bewafa Waqt Tha , Tum Thay Ya Muqadar Mera
Bast Itni Hai Key Anjaam Judai Nikla.

· 0 Like · Jun 05, 2018 at 17:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abdullah Shahid

Sar E Shaam

· 0 Like · Jun 05, 2018 at 11:06
Category: sad
 
Rishtay k Wastay
Posted by sakeena hussain
Posted on : Apr 16, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS