Sad
Poetry / Sad
Madiha Sultan
Mukarna Parra Mujhe
Ek shakhs k salook ki sab ko saza mili
Saari mohabbaton se mukarna parra mujhe
Saari mohabbaton se mukarna parra mujhe
·
0 Like ·
May 17, 2018 at 05:05
Category: sad
Poetry / Sad
Ameera Gul
Hamare Ghar Ki Weerani To Jaye
thahar jao k hairani to jaye
tumhari shakl pahchani to jaye
shab-e-gam tu hi mahman ban k aja
hamare ghar ki wirani to jaye
zara khul kar bhi ro lene do ham ko
k dil ki aag tak pani ho jaye
bala se tor dalo ainon ko
kisi surat ye hairani to jaye...
tumhari shakl pahchani to jaye
shab-e-gam tu hi mahman ban k aja
hamare ghar ki wirani to jaye
zara khul kar bhi ro lene do ham ko
k dil ki aag tak pani ho jaye
bala se tor dalo ainon ko
kisi surat ye hairani to jaye...
·
0 Like ·
May 16, 2018 at 03:05
Category: sad
Poetry / Sad
Fozia Iqbal
Bewafa To Nahi Hai
har waqt tujhe dekhta hun kahan tu nahi he
dil ka aisa koi kona bhi nahi ,jahan tu nahi he
mera saaya bankar ,sang sang chala hai tu
har pal mere hi saath hai, juda tu nahi he
Be fikar ye ahsaas hota hai , mujhe to aaj kal
Roothne ki aadat he magar,khafa tu nahi he
Kon kehta hai ke rehnuma ,tu nahi zindaghi ka
Saanse chalti he tere dam se,bewajah tu nahi he
Dil se aati he sadaa,reh rehkar yehi amin ki
Duniya chahe kuch bhi kahe,bewafa tu nahi he.

1 Like ·
May 15, 2018 at 21:05
Category: sad
Poetry / Sad
Uzma Shaheen
Samandar Kya Karenge Qatra E Shabnam Chura Laen
Samandar kya karenge qatra-e-shabnam chura laen
Agar mumkin ho zakhm-e-hijr ka marham chura laen
Baharon k chaley janey khizan aney ka dar na ho
Koi aisa muhabbat ka naya mosam chura laen
Khabar ho neend ki paryon na hi khwabon ki devi ko
Tumhen palkon ki doli mein bitha kar hum chura laen
Hamen jazbat k sehra ko bhi sairab karna hai
Kisi tootey huey insan ki chashm-e-nam chura laen
Tumhara sath hai to aik bus apna jeewan kyun
Jahan walon ki sari umr aao hum chura laen
Sada ki muskurahat un k honton pe sajaney ko
Chalo Shahi zara chupkey se un k ghum chura laen

May 15, 2018 at 15:05
Category: sad
Sponored Video