Poetry / Sad

Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia

Aise bhi mohabbat ki saza deti hai dunia
mar jaye tu jenay ki dua deti hai dunia

hum kon say momeen thay jo ilzam na sehtay
pather ko bhagwan bana deti hai dunia

ye zakham mohabbat ka hai dikhnana na kisi ko
La kar saray bazar saja deti hai dunia

Qismat per karo naz na itna bhi faqeero
haton ki lakeeron ko mita deti hai dunia

marne ke liye majboor tu karti hai ye lekin
Jeenay kay tareeqay bhi sekha deti hai dunia...!

· 1 Like · Aug 03, 2017 at 09:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ajnabi Kehta Hai Ashna Jo Tha Bohat

Ajnabi kehta hai ashna jo tha bohat
meri har baat ka razdar tha bohat

Yunhi aik roz roo padey dekh kar chehra uska
muskrahaton pe apni guroor jisey tha bohat

Main usay sanwar to deta kisi suljhan ki tarah
meray hath pe magar muhabat ka lahoo tha bohat

Mehaktey hoe gulab sa hai wo
per khushboon se gurezaan mai tha bohat

Usay shikwa hai meri jafaon ka
magan mai muhabaton me tha bohat

Nazar churaie thi jis pal tum ne jana
mai moutabr teri nigahoon me tha bohat

Chalo soo jain oorh kar mati ki chadar Qais
ke teri dunia me bewoqaut main tha bohat....!

· 1 Like · Aug 03, 2017 at 02:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aahat Pe Us Ki Chounk Sa Jata Hoon

Aahat Pe Us Ki Chounk Sa Jata Hoon
Na Chahatay Hoe Bhi Us Ko Bhool Jana Chahata Hoon

Na Janay Kyun Us Ki Yaadon Main Gum Ho Jata Hoon
Main Us Ki Yaadon Say Bhi Nikal Jana Chahata Hoon

Main Nay Us Ki Mohabbat Ka Khaya Hay Dhoka
Ab Main Mohabbat Kay es Dhokay Say Nikel Jana Chahata Hoon

Wo Jo Chehray Pay Dale Bethay Hain Parda Masoomiyat Ka
Us Kay Chehray Say Wo Parda Uthana Chahata Hoon

Husan Parasti Nay Kiya Hay Ham Ko Barbaad
Husan Paraston Ko Ye Baat Samjhana Chahata Hoon

Ye Aag Hay es Say Mat Khailo Jal Jao Gaye
Mager Main Wo Parwana Hoon Jo Jal Jana Chahata Hoon

Zindagi Nay Jis Tarah Jhinjoora Hay Meri Zindagi Ko
Main Ab Us Zindagi Say Nikel Jana Chahata Hoon

Or Jab Kabhi Main Hota Hoon Tanha
Tu Dil Khool Kar Rona Chahata Hoon

Pyaar Mohabbat Koun Karta Hay Yaha Per Kise Ko
Main Ye Paigaam Aam Karna Chahata Hoon...!

· 1 Like · Aug 02, 2017 at 20:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hum Pagal Chand Ko Panay Chalay Thay

HUM PAGAL CHAND KO PANAY CHALAY THAY
HAMAIN KYA KHABAR THI KHUD KO RULANAY CHALAY THAY
AB TAU DAMAN MAI BUS YAADIEN HI PARRI HAIN
BAWAFA HO KAR BHI BEWAFA KEHELWANAY CHALAY THAY
HAMAIN THUKRA KAR ROTA TAU WO BHI HOGA
JIS SAY HUM SACHI MUHABBAT NIBHANAY CHALAY THAY
AB JO KHUWAB TOOTAY HAIN TAU YE EHSAAS HUWA
HUM SAMANDER KINARAY MEHAL BANANAY CHALAY THAY,
DIL DUKHAYA HE TUM NAY PER SADA KHUSH RAHO
HUM TERI RAAHOUN MAI PHOOL BICHENAY CHALAY THAY...!

· 1 Like · Aug 02, 2017 at 13:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aik Saaya Mera Masiihaa Tha

Aik saaya mera masiihaa tha
Kaun jaane wo kaun tha kya tha

Wo faqat sehan tak hii aatii thii
MaiN bhi hujray se kam nikalta tha

Tujh ko bhula nahiiN wo shaKhs ke jo
Teri baaNhoN meiN bhii akela tha

Jaan leva thiN KhahisheN varna
Vasl se intizaar acha tha

Baat to dil shikan hai par yaro
Aqal sachi thi, ishq Jhoota tha

Apne mayaar tak na pohNcha maiN
Mujhko Khud par baRa bharosa tha

Jism ki saafgoi ke baa vasf
Ruuh ne kitna jhoot bola tha....!

· 1 Like · Aug 02, 2017 at 07:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Na The Bahaar E Chaman Ham Magar Ye Sunte Hain

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai

ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagi kam hai

qareeb o duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudi kam hai

tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai

urooj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunooz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai

na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagi kam hai

na saath deNgii ye dam toRti hoi shamain
naye chiraaGh jalao ke roshnii kam hai....!

· 1 Like · Aug 02, 2017 at 01:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Musafir To Bichertay Hein

Musafir to bichertay hein,rafaqat kab badalti hai
mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

tumhi ko chahtey hein,tumhi say pyaar kartey hein
yehi barsoun say aadat hai aur aadat kab badalti hai

tumhein jo yaad rakha hai yehi apni ibaadat hai
jo pathar pay likhi jaye, ibaarat kab badalti hai

kalli ka phool banna aur bikhar jaana muqadar hai
yehi qanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badalti hai

jo dil pay naqash kar jaye aur aankon mein simat aye
alaamat hai ye chahat ki aur chahat kab badalti hai

ussey chaha,ussey pooja,yehi toqeer hai apni
hamein gumrah mat samjho,ibadat kab badalti hai....!

· 1 Like · Aug 01, 2017 at 18:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jeewan Kay Un Sab Barson Men

Jeewan kay un sab barsoN men
Jo ke
Tum bin beet chukay hain !
Kya khoya or kya paya hay ?
Jab yeh sochoon jan-e-jana!
To ehsaas yeh hota hay
Tum ko paa kar
Mein nay sari duniya pa lee

Jeevan kay sab barson mein
Jo ke
Tum bin beet chukay hein !
Un men saansain baar theen mujh par
Un mein ishq khazeena kab tha ?
Un mein jeena?
Jeena kab thaa !!!!!

· 1 Like · Aug 01, 2017 at 12:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Begair Mere Tujhe Chain Aa Nahein Sakta

Begair mere tujhe chain aa nahein sakta
Mera jawab kahein se tu la nahein sakta

Hazaar parde bhi Daalo agar banawat k
Dilon ki baat ko chehra chupa nahein sakta

Bana diya hai zamaane ne dil ko patthar ka
Sataaye koi bhi mujh ko rula nahein sakta

Haseen taaj mehal ka banaane wala bhi
Dilon k TooTe gharonday bana nahein sakta ...!

· 1 Like · Aug 01, 2017 at 06:08
Category: sad
 
'Septic Man' Trailer
Posted by Hollywood Movie Trailers
Posted on : Oct 02, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS