Love
Poetry / Love
Wo Apne Chehre Me Bla Ka Nikhaar Rakhta Hay
Wo pari pekar husan o jamal me kuch esa kamal rakhta hai
K chand chura k roshni us k chehre ki snbhal rakhta hai
Maana k mehak chaman ki bohat khush numa hay lekin
Wo phol rang bhi to khushbu kamal rakhta hai
Me us ko dekhon to nazar thehar jati hay
Wo apne chehre me bla ka nikhaar rakhta hay
Me kia kahon us pe k alfaz kam numa hen mere
Fakat itna hi kehta hon k wo gazab ka jamal rakhta hay
Us k honton se sunnay ko tarasta tha kabhi
Wohi naam mera ab vo vird-e-zuban rakhta hay

·
1 Like ·
Jul 06, 2017 at 10:07
Category: love
Poetry / Love
Labon Ki Sarsarahat Se
Labon ki sarsarahat se
badan ke choor hone tak
mai tujh ko es tarha chahoon ki teri saaans ruk jaye
khataoon per khaatain hon
naa ho kch baat kehne ko
mai tujh mai youn sama jaon k teri saans ruk jaye
na himmat tujh mai ho baqi
na himmat mujh mai ho baqi
magar mai pass youn aaon k teri saans ruk jaye
hadoon ko torr dene se
muhabbat kam nahi hoti
tu youn mujh mai simte k teri saans ruk jaye
ye shiddat ekk hone ki
kahin maar na de hum ko
mai tujh ko kis tarah chahoon k teri saans ruk jaye
tu mjhse pooch le JANA
guzarti raat se pehly
bataoun ga tjhy wo sab ki teri saans ruk jaye
tere honton ko mai rakhon
mere honton pe kch aise
k teri pyass bujh jaye
YAA
TERI SAANS RUK JAYE

Jul 06, 2017 at 04:07
Category: love
Poetry / Love
Khud Apne Liye Beth Ke Sochenge Kise Din
Khud apne liye beth ke sochenge kise din
yuun hai ki tujhe bhuul k dekhenge kisi din
bhatke hue phirte hain kai lafz jo dil men
duniyaa ne dia waqt to likhenge kisi din
hil jaayenge ik baar to arshon k dar-o-bam
ye Khaak nasheen log jo bolenge kisi din
apas ki kise baat ka miltaa hii nahi vaqt
har baar ye kehte hain k baithenge kisi din
jaan teri yaad ke be naam parinde
shaakhon pe mere dard kii utrain ge kisi din
jaati hai kisi jheel ki gehrai kahaan tak
aankhon men teri Doob ke dekhenge kisi din
Khushbuu se bhari shaam men jugnuu k qalam se
ik nazm tere vaaste likhen ge kisi din
soyenge teri aankh ki Khilvat men kisi raat
saaye men teri zulf k jagen ge kise din
Khushbuu ki tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
galiyon se tere shahar kii guzren ge kise din
Amjad hai yahi ab ke kafan baandh k sar se
us shahar-e-sitamgar men jaayenge kisi din

Jul 05, 2017 at 15:07
Category: love
Poetry / Love
Suno Pagli!
meri ankhon pe marta tha
meri baaton pe hansta tha
najane shakhs tha kaisa?
mujhe khone se darta tha
mujhe jab b wo milta tha
yehi har bar kehta tha
SUNO PAGLI!
agar main bhool jaon to?
agar main rooth jaon to?
kabhi wapis na aaon to?
bhula pao gi ye sab kuch
yun hi hansti raho ki kya?
yun hi sajti raho gi kya?
yehi baatein hain bas uski
yehi yaadein hain bas uski
mujhe itna pata hai bas
mujhe wo pyar karta tha
meri baaton pe hansta tha
najane shakhs tha kaisa?
mujhe khone se darta tha
mujhe jab b wo milta tha
yehi har bar kehta tha
SUNO PAGLI!
agar main bhool jaon to?
agar main rooth jaon to?
kabhi wapis na aaon to?
bhula pao gi ye sab kuch
yun hi hansti raho ki kya?
yun hi sajti raho gi kya?
yehi baatein hain bas uski
yehi yaadein hain bas uski
mujhe itna pata hai bas
mujhe wo pyar karta tha
·
1 Like ·
Jul 05, 2017 at 02:07
Category: love
Poetry / Love
Meri Nazmoon Meri Ghazloon Main Tumhara Chehra
meri ankhoun main samaya hay tumhara chehra
mere khawaboun main khayaloon main tumhari ankhain
Chand k noor ki kirnoon main tumhara chehra
or subha k ujaloon main tumhari ankhain
meri nazmoon meri ghazloon main tumhara chehra
mere saray hi hawalon main tumhari ankhain
jahan daikhon nigahoun main tumhara chehra
sab jawaboon main, sawaloon main tumhari ankhain

0 Like ·
Jul 04, 2017 at 14:07
Category: love
Poetry / Love
Jo Hm Mahsos Kartey Hain
JO HM MAHSOS KARTEY HAIN
AGER TM TAK POHANCH JAYE
TOU BAS ITNA SAMAJH LENA
YE UN JAZBON KI KHUSHBO HAY
JINHAIN HM KEH NAHI SAKTEY
MAGER TM JO IJAZAT DO
TOU CHAND LAFZON MAIN KEH DALON
K........
TM BIN MAR TOU SAKTEY HAIN
TM BIN JI NAHI SAKTEY!
AGER TM TAK POHANCH JAYE
TOU BAS ITNA SAMAJH LENA
YE UN JAZBON KI KHUSHBO HAY
JINHAIN HM KEH NAHI SAKTEY
MAGER TM JO IJAZAT DO
TOU CHAND LAFZON MAIN KEH DALON
K........
TM BIN MAR TOU SAKTEY HAIN
TM BIN JI NAHI SAKTEY!
·
1 Like ·
Jul 04, 2017 at 08:07
Category: love
Poetry / Love
Likhta Hoon To Tum Hi Utarti Ho Qalam Se
Mera sawan bhi tum ho meri pyas bhi tum ho
Sehra ki banhon me chupi aas bhi tum ho
Tum yoon to boht door boht door ho mujhse
Ahsas ye hota he mere paas bhi tum ho
Har zakhm ki aaghosh me he dard tumhara
Har door me taskeen ka ahsas bhi tum ho
Kho jao to veeran si ho jati he raahain
Mil jao to phir jine ka ahsas bhi tum ho
Likhta hoon to tum hi utarti ho qalam se
Parhta hoon to lehja bhi tum aawaz bhi tum ho

Jul 03, 2017 at 12:07
Category: love
Poetry / Love
Umar Bhar Apni Muhabbat Par Raha Naaz Mujhe
har tarannum me mile he teri awaz mujhe
ek hii naghma sunata hai har ek saaz mujhe
ishq ka bhi koi anjaam hua karta hai
ishq me yaad hai aghaz hi aghaz mujhe
jaise virani se Takaraa ke palatti hai sadaa
dil ke har goshe se aye terii aavaaz mujhe
jo kisi ko bhi na chaahe usay chahana
umar bhar apni muhabbat par raha naaz mujhe

Jul 03, 2017 at 06:07
Category: love
Poetry / Love
Baat Kehta Hai Wo Mujhse Hans Hans Kar Jee Lene Ki
jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta
baat kehta hai wo mujhse hans hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta
aaj hausla deta hai mujhe chand sitaro ko chhu lene ka
wo pyara sa chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta
shayad jaanta hai wo bhi in aankhon men aansuo ka sailaab hai
jaane kyun phir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta
mujhse kehta hai, main to mar jaunga tumhare bina
main zinda hun ab tak ke wo mujhe marna nahi deta

Jul 03, 2017 at 00:07
Category: love
Sponored Video