Poetry / General

Abdul Waheed

Roye Hain Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai

Roye Hain Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila Hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob milgaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar Mila Hai

Gham nahi mujhe k Dushman hua yeh zamana
Jab Pyaar Hi Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hai

Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala Kaise De Diya
Ashiqe Ko Tou Uske Dur Se Sirf Inkaar Hi Mila Hai

· 1 Like · Sep 06, 2015 at 20:09
Category: general
 
Poetry / General

Simran Chaudhry

Bhingi Palkon Ka Ishara, Yaad Aaj Bhi Hai

Bhingi palkon ka ishara, yaad aaj bhi hai
Wo khuli khidki si parde ka hatna, yaad aaj bhi hai

Wo bheega badan, Wo zulf ghataaon si
Un julfon ka hona juda chehre se, yaad aaj bhi hai

Dar kar zamane se chhupa lena khud ko yaad aaj bhi hai
Kaamptay haatho se karna salam unka, yaad aaj bhi hai

Wo tadap aankhon ki, aur waqt ki bechainiyan
Kaampte hoton ki o bebasi, yaad aaj bhi hai

Soni raahon me pukarna,Wo saaj yaad aaj bhi hai
Sharma kar hatheliyon se chehra chhupana, yaad aaj bhi hai

Nazren utha k dekhna, phir palkon ko jhuka lena
Un lamhon ki wo kashish, yaad aaj bhi hai

Taaron ki chhaun me ik Saaya, yaad aaj bhi hai
Garm saanson ki wo sar-sarahat , yaad aaj bhi hai

Ye ROOh ki bechainiyan, ye sitam yaadon ka
Zekhm purana hai magar, kyon hara aaj bhi hai


· 2 Like · Sep 06, 2015 at 07:09
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Meri Tm Se Guzarish Hai

Meri Tm Se Guzarish Hai, Wafaon Ka Bharm Rakhna

Chaly Aana Meri Khatir, Sadaaon Ka Bharm Rakhna

Charagh-E-Jaan Nahi Bujhta, Hawa Maayoos Hoti Hai

Usy Aata Nahi Shayad, Hawaon Ka Bharm Rakhna

Mujhy Logon Ne Mehfil Men Hamesha Hanstay Dekha Hai

Meri Fitrat Men Shamil Hai, Anaon Ka Bharm Rakhna

· 1 Like · Sep 05, 2015 at 20:09
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mery Ghar K Ujry Angan Men

Mery Ghar K Ujry Angan Men Koi Phool Khila, Tum Yad Aay
Tery Shehr K Basny Walon Men, Koi Shaks Mila, Tm Yad Aaye

Wo Kehta Tha K Baad Mèry Tm Yad Mujhy Kr Royo Ge
Sach Pooch Kisi Ki Ankhon Se Koi Ashk Gira, Tm Yad Aaye

Har Bar Main Tujh Ko Bholny Ki Khud Se Qasmen Khata Hon
Par Jab Bhi Kisi Ne Hans K Mujhy Jab Apna Kaha Tm Yad Aaye

Din Bhar To Main Is Dunya K Dhandon Men Hi Khoya Raha
Din Guzra Aur Deewaron Se Jb Dhoop Dhali Tm Yad Aaye

· 2 Like · Sep 05, 2015 at 14:09
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Jahan Luty Hain Baharon K Karwan Aksr

Jahan Luty Hain Baharon K Karwan Aksr
Hum Us Maqam Se Guzry Rawan Dawan Aksr,

Zara Sanbhal K Ay Yaran-E-Tez Gaam Chalo
Bhatak Gaye Sir-E-Manzil Bhi Karwan Aksr,

Tujhy Khabar Hai Mohbat K Kitny Afsany
Suna Gaye Teri Mehfil Men Bezuban Aksr,

Wo Ek Baat Jo Lafz-O-Bayan Tak Na Aa Saki
Chali Wo Baat, Mery Un K Darmyan Aksr,

Teri Nigah Ne Ay Dost Dil Ki Waadi Men
Basa Basa K Ujaari Hain Bastiyan Aksr.

· 1 Like · Sep 04, 2015 at 19:09
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Marhala Shoq

Her Marhala Shoq Se Lehra K Guzar Ja
Aasaar Talatam Hon To Bal Kha K Guzr Ja

Behki Hui Makhmoor Ghataon Ki Sada Sun
Firdos Ki Tadbeer Ko Behla K Guzr Ja

Mayoos Hen Ahsas Ki Uljhi Huvi Raahen
Payal Dil-E-Majboor Ki Chhanka K Guzr Ja

Kehti Hen Tujhy Maikada-E-Waqt Ki Rahen
Bigrri Hui Taqdeer Ko Samjha K Guzr Ja

Bujhti Hi Nahi Tishnagi Dil Kisi Soorat
Ay Abr-E-Karm Aag Hi Barsa K Guzr Ja

Kanty Jo Lagen Hath To Kuch Gham Nahi SAGAR
Kaliyoon Ko Her Ik Gaam Pe Bikhra K Guzr Ja

· 1 Like · Sep 04, 2015 at 06:09
Category: general
 
Poetry / General

Khulasa Hai Ye Mere Halaat Ka

khulasa hai ye mere halaat ka

k apna sb safar hai raat ka

tapish kitni hai maa ke ansuoo mein

ye pani kon si barssaat ka hai


ilahi maut na aaye meri tabah hali mein

ye naam hoga k gham e rozgar seh na saka


gire ga ek patta bhi to cheekh niklegi

ye daal daal ka rishta buhat purana hai


khushi se apni ruswai gawara ho nahi sakti

garibaan parta hai tang jab diwana hota hai


main aor aap se iltijaye karam aap se karoo

ye bheek dijyee usey jis ka khuda na ho


bekhudi shaoq ki aor arz e tammna meri

nahi maloom k munh se mere kya kya nikla


jazba e ulfaat ke maze kuch kaam to aane lage

ponch kar daman se ansu mujh ko smajhane lage

· 2 Like · Sep 03, 2015 at 08:09
Category: general
 
Poetry / General

Mehreen Ali

Ajeeb Shakhas Tha Kesa Mzaaj Rakhta Hai

Ajeeb shakhas tha kesa mzaaj rakhta hai
Saath reh kar bhi ikhtalaaf rakhta tha

Main kiun na daad doon us k fun ki
Mere har sawal ka pehly he jawab rakhta tha

Wo to Roshnion ka baasi tha magar
Meri andhair Nagri ka bara khyal rakhta tha

Muahabbat to usy kisi aor se thi shayed
Hum se to younhi hansi mazaaq rakhta tha

· 1 Like · Sep 03, 2015 at 02:09
Category: general
 
Poetry / General

Muskurata Hua Sabka Sansar Ho

Muskurata hua sabka sansar ho
Phool ke jism me jaise mehkar ho

Log chamka karein jugnuo ki tarah
Be misali yahaan sabka kirdar ho

Ham banate rahein khushbuon ke mehal
Her zehan me basa pyar hi pyar ho

Nafraton ko panahein mayassar na ho
Bas muhabbat bhara aalam e yaaar ho

Jagmagane lage farz ki ghumbade
Aasman ki tarah dil ka meenar ho

Log milte rahein doosron se gale
Beech me koi SAJID na deevar ho

· 1 Like · Sep 02, 2015 at 08:09
Category: general
 
I Really Miss You! :(
Posted by najam ali khan
Posted on : Jul 12, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS