Poetry / General

Muzammil Shahzad

Dair Kitni Lagti Hai

Aag Ho To Jalane Mein Der Kitni Lagti Hai
Barf Ke Pighalane Mein Der Kitni Lagti Hai

Chaahe Koi Ruk Jaaye Chaahe Koi Reh Jaaye
Qaafilon Ko Chalane Mein Der Kitni Lagti Hai

Chaahe Koi Jaisa Bhi Hamsafar Ho Sadiyon Se
Raasta Badalane Mein Dair Kitni Lagti Hai

Ye To Vaqt Ke Bas Mein Hai Ke Kitni Mohalat De
Varna Bakht Dhakne Mein Der Kitni Lagti Hai

Mom Ka Badan Lekar Dhoop Mein Nikal Aana
Aur Phir Pighalane Mein Der Kitni Lagti Hai

Soch Ki Zameenon Mein Raaste Juda Hon To
Door Jaa Nikalne Mein Der Kitni Lagti Hai

· 2 Like · Sep 14, 2015 at 15:09
Category: general
 
· 1 Like · Sep 14, 2015 at 06:09

· 1 Like · Sep 14, 2015 at 00:09
Category: general
 
Poetry / General

Aleezay Abbasi

Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya

NA GILA KIYA NA KHAFA HOWE
YUNHI RASTY MEIN JUDA HOWE
NA WOH BEWAFA NA MAIN BEWAFA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA

WOH GHAZAL KI IK KITAB THA
WOH GULON MEIN IK GULAB THA
ZARA DAIR KA KOI KHWAB THA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA

WOH UDAAS DHOOP SAIK KAR
KAHIN WADION MEIN UTAR GAYA
USY AB NA DY MERY DIL SADA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA

YEH SAFAR BHI KITNA TAWEEL HAI
YAHAN WAQT KITNA QALEEL HAI
KAHAN LOUT KR KOI AAYE GA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA

· 1 Like · Sep 11, 2015 at 16:09
Category: general
 
Poetry / General

Asma Altaf

Bhooley Say Kabhi Unki Nawaazish Nahi Hogi

Bhooley say kabhi unki nawaazish nahi hogi
Khuddaar hain hum say bhi guzaarish nahi hogi

Hum wo hain jo har derd chupa letay hain dil main
Hum say kabhi zakhmon ki numaiish nahi hogi

Iss dil main kisee aur ka gham terey alaawah
Yeh jurm hai hum say tou yeh saazish nahi hogi

Likhi hai ghazal apni tamanna k lahoo say
Kya gham hai jo sheron ki sataaiish nahi hogi

Jiss dil main faqat Aarzo_e_ yaar basey Mahh
Uss dil ko kisi aur ki Khuwahish nahi hogi

· 1 Like · Sep 11, 2015 at 09:09
Category: general
 
Poetry / General

Teri Yaad

Kabhi Rokar Muskuraye

Kabhi Muskura Kar Roye

Teri Yaad Jab Bhi Aayi

Tujhe Bhula Kar Roye

Ek Tera Hi Naam Tha

Jise Hazaar Baar Tha Likha

Jitni Khushi Hui Thi Likh Kar

Utna Usse Mita Kar Roye

· 1 Like · Sep 10, 2015 at 22:09
Category: general
 
Poetry / General

Moiz Malik

Wafa

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh

Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh
Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh

Ye mohabbat ek haseen tohfa hai ae dost
Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh

· 1 Like · Sep 08, 2015 at 19:09
Category: general
 
Poetry / General

Sana Ali

Boht Ummid Rakhna Aur Phir Bey Aas Hona Bhi

Boht ummid rakhna aur phir bey aas hona bhi
Bashar ko maar daita hai boht hassas hona bhi

suno ikk kaan se aur doosre se phaink do baahar
boht nuqsan de hai saheb e ahsas hona bhi

agarchay tum dikhawe k liye hee sath ho merey
chalo, itna hee kaafi hai tumhara paas hona bhi

yunhi to abr e rehmat ki talab karta nahi hon mai
zaroori hai muqaddar mai zara si pyaas hona bhi

kayee chehrey latak jate hain khushyon ki khabar sunn kar
hamain to roop daita hai ghamon ka raas hona bhi

jale gi khud ba khud SAADI dilon mai pyar ki shammey
ghanimat hai usey mera abhi ahsas hona bhi

· 1 Like · Sep 08, 2015 at 12:09
Category: general
 
Poetry / General

Shahid Siddiqui

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Chhurana Chahta Hoon

Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon

Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon

· 1 Like · Sep 08, 2015 at 06:09
Category: general
 
Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us

Facebook

Twitter

Google +

RSS