Poetry / General

Muzammil Shahzad

Koi Na Daikh Saka

Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Sakaa
Vo Dhundh Thi K Ye Manzar Koi Na Dekh Saka

Talaash Karte Hue Ungaliyaan Jalaa Daalin
Vo Teergi Thi Ki Main Shama Bhi Na Dekh Saka

Mila Tha Shaam Mujhe Ik Bujha Hua Suraj
Main Us Ke Baad Phir Raushani Na Dekh Saka

Jo Rabt Baqi The Sab Qataa Kar Liye Us Ne
Vo Meharabaan Merii Bechaargi Na Dekh Saka

Nigaah Vaise To Baam-E-Falak Ko Chu Aai
Main Jis Zameen Pe Khara Tha Vahi Na Dekh Saka

Vahi Hai Aainaa Khaana Vahi Hain Tasveeren
Main Umr Bhar Koi Surat Nayi Na Dekh Saka

Tamaam Shahar Men Vo Deeda var Hua MashHoor
Vo Apni Naak Se Aage Kabhi Na Dekh Saka

· 1 Like · Oct 16, 2015 at 11:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Samajh Mein Ye Nahin Aata

Samajh Mein Ye Nahin Aata K Dil Kii Kho Kya Thi
Safar To Aath Pehar Kaa Tha Justaju Kya Thi

Vo Aabshaar Ke Paani Si Taba Rakhta Tha
Magar Thake Huye Lahaje Ki Guftagu Kya Thi

Hui Shikast Jahaan Fateh Ka Yaqin Hua
Koii Chupa Hua Dushman Tha Aarzu Kya Thi

Talaash Karte Ho Kis Shay Ko Is Kharaabe Mein
Darakht Hi Na Rahe Shaakh-E-Rang-O-Bu Kya Thi

Tu Aaftab Agar Tha To Kyon Ghuroob Hua
Ye Roushni Si Tere Baad Chaar Su Kya Thi

Darakht Pukhta Chhatain Tor Kar Nikal Aaye
Ye Ik Azaab Hi Thaa Quuvat-E-Namu Kya Thi

· 1 Like · Oct 16, 2015 at 05:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Bhulaa Dijiye Mujhe

Mumkin Ho Aap Se To Bhulaa Dijiye Mujhe
Patthar Peh Hun Lakeer Mita Dijiye Mujhe

Har Roz Mujh Se Tazaah Shikaayat Hai Aap Ko
Main Kyaa Hun Ek Baar Bata Dijiye Mujhe

Mere Sivaa Bhi Hai Koi Mauzu-E Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikhaa Dijiye Mujhe

Main Kya Hun Kis Jagah Hun Mujhe Kuchh Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Door Sadaa Dijiye Mujhe

Ki Main Ne Apne Zakhm Ki TashHeer Jaa Bajaa
Main Maanta Hun Jurm Sazaa Dijiye Mujhe

Qaayam To Ho Sake Koi Rishtaa Gauhar Ke Saath
Gehare Samundaron Mein Bahaa Dijiye Mujhe

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasane Se Faayada
Hai Teeragi To Aag Lagaa Dijiye Mujhe

Jalate Dinon Mein Khud Pas-E-Diivaar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mein Laga Dijiye Mujhe

"Shehzad" Yun To Sholaa-E-Jaan Sard Ho Chuka
Lekin Sulag Uthun To Havaa Dijiye Mujhe

· 2 Like · Oct 15, 2015 at 13:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Laut Aayi Hai

Laut Aai Tere Lams Se Mahaki Hui Shaamen
Phir Aag Lagaa Di Teri Saanson Ne Hava Mein

Raqsaan Hain Isi Lay Peh Sitaaren Hon K Shabanam
Kya Sahar Hai Is Dil Ke Dharakane Ki Sadaa Mein

Ik Noor Ka Sailaab Hai Band Aankhon K Andar
Lipate Hue Chehare Hain Andhere Ki Ridaa Mein

Kis Aag Ne Rakha Hai Qadam Dil Ki Zameen Pe
Sooraj Se Damakate Hain Nishaan Kaf-E-Paa Mein

Is Khauf Se Ik Umr Hamen Neend Na Aai
Ik Chor Chupa Baithaa Hai Seene Kii Gufaa Mein

Jaag Uthaa Hai Dil Mein Koi Soyaa Hua Vahashi
Ham Ghar Mein Hain 'Shehzad' K Jangal Ki Fazaa Mein

· 1 Like · Oct 15, 2015 at 07:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Miltee Hai Kho E Yaar

Miltee Hai Kho-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Hoon Gar Na Miltee Ho Raahat 'Azaab Mein

Kab Se Hoon Kya Bataaoon Jahaan-E-Kharaab Mein
Shab Haaye Hijr Ko Bhi Rakhoon Gar Hisaab Mein

Taa phir Na Intezaar Mein Neend Aaye 'Umr Bhar
Aane Ka Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein

Qaasid K Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaanta Hoon Jo Woh Likhenge Jawaab Mein

Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Tha Daur-E-Jaam
Saaqi Ne Kuch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein

Jo Munkir-E-Wafa Ho Fareb Us Peh Kya Chale
Kyoon Badghumaan Hoon Dost Se Dushman K Baab Mein

Main Muztarib Hoon Wasl Mein Khauf-E-Raqeeb Se
Daala Hai Tumko Weham Ne Kis Pech-O-Taab Mein

Hai Tevaree Chadee Huee Andar Naqaab K
Hai Ik Shikan Padee Hui Tarf-E-Naqaab Mein

Woh Naala Dil Mein Khas K Baraabar Jagah Na Paaye
Jis Naale Se Shigaaf Pare Aaftaab Mein

Woh Sehar Muddaa Talbee Mein Na Kaam Aaye
Jis Sehar Se Safina Ravaan Ho Saraab Mein

'Ghalib' Chutee Sharaab, Par Ab Bhee Kabhi Kabhi
Peeta Hoon Roz-E-Abr -O- Shab-E-Maahtaab Mein

· 1 Like · Oct 14, 2015 at 15:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aah Ko Chahiye

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak
Kaun Jiitaa Hai Terii Zulf Ke Sar Hone Tak

Daam Har Mauj Mein Hai Halqaa-E-Sad_Kaam-E-Nahang
Dekhein Kyaa Guzarey Hai Qatare Peh Gauhar Hone Tak

Aashiqii Sabr Talab Aur Tamannaa Betaab
Dil Kaa Kyaa Rang Karun Khuun-E-Jigar Hone Tak

Ham Ne Maanaa Ke Tagaaful Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jaayeinge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak

Partav-E-Khuur Se Hai Shabanam Ko Fanaa Kii Taaliim
Main Bhii Huun Ek Inaayat Kii Nazar Hone Tak

Yak_Nazar Besh Nahiin Fursat-E-Hastii Gaafil
Garmii-E-Bazm Hai Ik Raqs-E-Sharar Hone Tak

Gam-E-Hastii Kaa Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaaj
Shammaa Har Rang Mein Jaltii Hai Sahar Hone Tak

· 1 Like · Oct 14, 2015 at 08:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Hamne Dekhaa Nahin

Sirf Ashk-O-Tabassum Mein Ulajhe Rahe
Hamne Dekhaa Nahin Zindagi Ki Taraf

Raat Dhalte Jab Unka Khayaal Aa Gaya
Tiktiki Bandh Gayi Chaandani Ki Taraf

Kaun Saa Jurm Hai,Kyaa Sitam Ho Gayaa
Aankh Agar Uth Gai, Aap Hi Ki Taraf

Jaane Vo Multafit Hon Kidhar Bazm Men
Aansuon Ki Taraf Ya Hansi Ki Taraf

· 1 Like · Oct 13, 2015 at 10:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kia Hoga

Nazar Fareb-E-Kazaa Kha Gai To Kyaa Hoga
Hayaat Maut Se Takaraa Gai To Kya Hoga

Nayi Sahar Ke Bahut Log Muntazir Hain Magar
Nayi Sahar Bhi Kajlaa Gai To Kya Hoga

Na Rahanumaaon Ki Majalis Mein Le Chalo Mujhko
Main Be-Adab Hun Hansii Aa Gai To Kya Hoga

Gham-E-Hayaat Se Beshaq Hai Khudkushi Aasaan
Magar Jo Maut Bhi Sharmaa Gai To Kyaa Hoga

Shabaab-E-Laalaa-O-Gul Ko Pukaarane Vaalon
Khizaan-Sirisht Bahaar Aa Gai To Kya Hoga

Ye Fikr Kar K Is Aasodagi K Dhoke Mein
Teri Khudi Ko Bhi Maut Aa Gai To Kya Hoga

Khushii Chhini Hai To Gham Ka Bhi Aitamaad Na Kar
Jo Rooh Gham Se Bhi Ukataa Gai To Kya Hoga

· 1 Like · Oct 12, 2015 at 14:10
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Raz E Zindagi

Kehnay Ko Hai Ye Raz-E-Zindagi
Lutf Uttaeye Aur Muskura Lijeay

Aina E Tagaful Hay Koi Uttaey Howay
Tu Mathaey Say Paseena Ponch Lijeay

Umr E Rufta Ko Gar Koi Awaz Day
Dukh Ka Hath Jhatuk Diya Jaye

Jawan Rahna Her Ek Ki Pasand Thehra
Burhapa Oper Na Aanay Diya Jaye

· 1 Like · Oct 11, 2015 at 12:10
Category: general
 
Who is the 1st Punjabi Poet?
Posted by shama qadir
Posted on : Aug 29, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS