Poetry / General

Muzammil Shahzad

Muamma

hum dono jo harf thay
hum ik roz milay
ik lafz bana
aur hum nay ik maani paye
phir janay kya hum par guzri
aur ab yun hai
tum ik harf ho
ik khanay mein
mein ik harf hon
ik khanay mein
beech mein
kitney lamhoon kay khanay khaali hain
phir say koi lafz banay
aur hum dono ik maani paain
aisa ho sakta hai
lekin
sochna ho ga
in khaali khanon mein hum ko bharna kya hai ?

· 1 Like · Nov 20, 2015 at 22:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tumhara Lehja Badal Raha Hai

Wohi Hai Dharti,
Falak Wohi Hai
Ye Dil Samunder,
Bhanwer Se Naina
Yaqeen Wohi Hai,
Gumaan Wohi Hai
Ye Chand Or Kehkashan
Wohi Hai
Tumhari Surat,
Tumhari Murat
Tumhari Baatein
Wohi Hain !

Lekin ...

Buhat Dinon Se
Yuon Lag Raha Hai ..
Samaton Mein Uter Ke ..
Suraj Pighal Raha Hai ..

Tumhara Lehja Badal Raha Hai!!

· 1 Like · Nov 20, 2015 at 04:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Maine Socha Na Tha

Main Ne Socha Na Tha
Khawahishain Barf-Zaaron Main Jal Jaain Gii
Or Masloob Ho Jaye Gii Zindagii
Roshnii , Roshnii Ko Nigal Jaye Gii

Main Ne Socha Na Tha
Chaand Gehenaain Ge
Rang Maadoom Ho Jaain Ge
Aanchalon Kii Dhanak Maand Per Jaye Gii
Apnii Touheen Per Muskuraye Ga Dil
Piyaar Ka Zaaiqa Bhool Jaye Ga Dil
Main Ne Socha Na Tha.......

Main Ne Socha Na Tha
Oass Ke Motiiyon Kii Tarah Jag-Magaatii Huee
Apnii Aankhon Main Khawabon Ke Jugnu Liye
Surmaii Baadalon Kii Tarah Raqs Kertii Huee
Chaandnii Raat Main Sheir Kehtii Huee Gaatii Huee
Aagahii Ke Safar Per Nikaltay Huay
Ek Larkii Kahin
Ilim-O-Daanish Ke Malbay Talay Dab Ke Reh Jaye Gii
Main Ne Socha Na Tha

· 1 Like · Nov 19, 2015 at 15:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

All The World

All the world's a stage,
And all the men and women merely players;
They have their exits and their entrances;
And one man in his time plays many parts,
His acts being seven ages. At first the infant,
Mewling and puking in the nurse's arms;
Then the whining school-boy, with his satchel
And shining morning face, creeping like snail
Unwillingly to school. And then the lover,
Sighing like furnace, with a woeful ballad
Made to his mistress' eyebrow. Then a soldier,
Full of strange oaths, and bearded like the pard,
Jealous in honor, sudden and quick in quarrel,
Seeking the bubble reputation
Even in the cannon's mouth. And then the justice,
In fair round belly with good capon lin'd,
With eyes severe and beard of formal cut,
Full of wise saws and modern instances;
And so he plays his part. The sixth age shifts
Into the lean and slipper's Pantaloon,
With spectacles on nose and pouch on side;
His youthful hose, well sav'd, a world too wide
For his shrunk shank; and his big manly voice,
Turning again toward childish treble, pipes
And whistles in his sound. Last scene of all,
That ends this strange eventful history,
Is second childishness and mere oblivion;
Sans teeth, sans eyes, sans taste, sans everything.
William Shakespeare

· 1 Like · Nov 10, 2015 at 02:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Siyah Bakhtiyan

Khaak Par Khaak Ki Dheriyaan Reh Gaiyn ....
Admi Uth Geay Naikiyaan Reh Gaiyn ....
Kis Ki Taleem Ka Akhri Saal Tha ....
Chooriyan Bik Gaiyn Baliyaan Reh Gaiyn ....
Ishaq Ik Rup Tha Husan Ki Dhoop Ka ....
Yaad Kio Dhoop Ki Sakhtiyaan Reh Gaiyn ....
Khun Main Gul Gaiyn Sanwali Qurbatain ....
Tan Main Tapti Hoi Hadiyaan Reh Gaiyn ....
Dard Angur Ki Bail Thay , Phal Gaey ....
Gum Kashun K Liay Talkhiyaan Reh Gaiyn ....
Ersa-e-Fasq Main , Qismat-e-Ishaq Main ....
Hikmat Ameez Paspaiyaan Reh Gaiyn ....
Qum qum Ki tarha Qehqahay Jal Bhujay ....
Maiz Par Chaey Ki Piyaliyaan Reh Gaiyn ....
Is Bulandi Pe Hum Ney Perao Kiya ....
Jis Ke Agay Faqt Pastiyaan Reh Gaiyn ....
Husan Ke Hath Se Aeyna Gir Para ....
Fersh-e-Pandaar Par Kirchiyaan Reh Gaiyn ....
Hum Ney Kagaz Ko Bhi Aeyna Ker Diya ....
Lakin Apni Siyah Bakhtiyaan Reh Gaiyn ....

· 1 Like · Nov 06, 2015 at 15:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ab Tu Kuch Neend Si Aati Hai Mujhe

Tarz jeene kaa sikhati hai mujhe
tashnagi zahar pilaatii hai mujhe
raat bhar rahti hai kis baat ki dhun
na jagaati hai na sulaati hai mujhe
ruthta hon jo kabhi dunya se
zindagi aake manaati hai mujhe
aaina dekhun to kyon ker dekhun
yaad ik shaKhs ki aati hai mujhe
band kartaa hun jo aankhen kyaa kyaa
roshni si nazar aati hai mujhe
koi mil jaaye to rasta kat jaaye
apni parchai Daraati hai mujhe
ab to ye bhool gayaa kis ki talab
des pardes phiraati hai mujhe
kaise ho Khatam kahaani Gham ki
ab to kuch nend si aati hai mujhe

· 1 Like · Nov 06, 2015 at 03:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yaad Rahega

us shaam vo ruKhsat kaa samaa yaad rahegaa
vo shahar vo kuuchaa vo makaan yaad rahegaa

vo Tees k ubharii thii idhar yaad rahegi
vo dard ke uThaa thaa yahaan yaad rahegaa

ham shauq ke shole ki lapak bhuul jaayenge
vo shamaa-e-afsurdaa ka dhuaan yaad rahegaa

kuch meer ke abyaat the kuchh faiz ke misare
ik dard kaa thaa jin mein bayaan yaad rahegaa

jaan baKhsh si thi us gul barg ki taraavaat
vo lams-e-aziz-e-do-jahaan yaad rahegaa

ham bhool sake hain na tujhe bhool sakenge
tu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa

· 1 Like · Nov 05, 2015 at 21:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Chalo Ishq Nahi

Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
Kya karein k Hamein Dusrey ki Adat hai

Tuu apne Sheesha Gari ka na ker Hunar Zaya
Mai Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai

Wisaal mai bhi wohi Faasley Sarab k hain
Ke Usko Neend, Mujh ko Rat Jage ki Adat hai

Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi!!
Na Wo Sakhi hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai

Ye Khood Aziyati kab tak "FARAZ"
Tu bhi usey na ker Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai....

· 1 Like · Nov 05, 2015 at 15:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yaad Rakhta Hun

Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hn
Mein baatein bhool bhi jaun to lehjay yaad rakhta hn

Sar-E-mehfil nigahein mjh pe jin logon ki parti hein
Nigahon k maani sy wo chehray yaad rakhta hn

Zara sa hut k chalta hn zamany ki riwayat sy
K jin pe boajh mein dalun, wo kandhay yaad rakhta hn

Main yun to bhool jata hn, kharashain talkh baaton ki
Magar jo zakhm gehray dein, ravayye yaad rakhta hn...!!!

· 1 Like · Nov 05, 2015 at 02:11
Category: general
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS