Poetry / General

Anmol

Aankhon me jo tehreerain theen
honto pay vo bol na thay
hum thay us k pyar k aashiq
bas hathon mein kashkol na thay
hum ne us ko toot k chaha
ye us ka haq tha lakin
wo bhi hum ko toot k chahey
hum itnay ANMOL na thay

· 1 Like · Jul 04, 2015 at 03:07
Category: general
 
Poetry / General

Hum Apne Pyar Ka Izhaar Isliye Nahi Karte

hum apne pyar ka izhaar isliye nahi karte
kyun k hum unki haan ya na se dartey hain,
agar unho ne kar di haan to khushi se mar jayenge
agar unho ne kar di na to ro ro ke mar jayenge,
baat ye nahi ke hum apni maut se dartey hain
humari maut pe beh na jayen unke do aansu,
hum un do aansoon ki qadar karte hain…..

· 1 Like · Jul 02, 2015 at 00:07
Category: general
 
Poetry / General

Mujh Se Kahta Hai Kabhi Dill Main Malal Aty Hain

Mujh se kahta hai kabhi dill main malal aty hain

Kasy kasy mery dushman ko sawal aty hain

Yah jo hum rootay hain chhup kar kabhi tanhai main

Rafta rafta tujhy ankhoon se nikaal aty hain

Hum mohabat pe Bhi ahsan koi rakhtay nahi

Nekiyan karty hain daryaoon main dall aty hain!!!

· 2 Like · Jun 30, 2015 at 12:06
Category: general
 
Poetry / General

Neeyat

kahaa hai
kaisaa hai
kaun hai
kisake jaisaa hai
aur
kab rang badal de
pataa nahee
jaanate ho kaun
aadamee kee neeyat

· 1 Like · Jun 29, 2015 at 18:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yun Dil Na Lagy Na Dard Uthy

Yun dil na lagy na dard uthy, mat roz milo to acha hai,
Na piyar Barhay na Jhagra ho, tum door Baso to acha hai,

Kisi phool sè milty chèhry ko mèri dunya dèkhna chahy gi,
Jo paas tumhary kuch Bhi nahi, pardy mèn raho to acha hai,

Is pyar ki sundar Baanhoon mèn, ab Baanhèn daal k so Bhi chuko,
Yun Ji, Ji k ab marny sè, mar mar k gèo to achha hai,

Lè kar zanjèèrèn haathon mèn, kuch log tumhari taak mèn hain,
Aè ishq humari galiyon mèn na aur phiro to acha hai...

· 2 Like · Jun 29, 2015 at 11:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tum Apnay Khat Men

Tum Apnay Khat Men Yun Lafzon Ka Silsila Rakhna
Har Aik Lafz Ka Mafhum Dusra Rakhna!

Tumharay Lab Ki Mehak Raaz Faash Kr Day Gi
Lifafa Band Na Karna, Yun Hi Khula Rakhna!

Na Itna Tut K Milliye K Dil Pe Shak Guzray
Khulus Men Bhi Zaruri Hai Fasla Rakhna

Main Zindagi Men Kahin Tum Se Mil Hi Jaun Ga
Magar Ye Shart Hai,Bichharnay Ka Hosla Rakhna!

Ye Soz-O-Karb Mujhe Tajurbon Ne Baksha Hai
Jalana Shama To Daman Se Faasla Rakhna..!

· 1 Like · Jun 28, 2015 at 23:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tum Apnay Khat Men

Tum Apnay Khat Men Yun Lafzon Ka Silsila Rakhna
Har Aik Lafz Ka Mafhum Dusra Rakhna!

Tumharay Lab Ki Mehak Raaz Faash Kr Day Gi
Lifafa Band Na Karna, Yun Hi Khula Rakhna!

Na Itna Tut K Milliye K Dil Pe Shak Guzray
Khulus Men Bhi Zaruri Hai Fasla Rakhna

Main Zindagi Men Kahin Tum Se Mil Hi Jaun Ga
Magar Ye Shart Hai,Bichharnay Ka Hosla Rakhna!

Ye Soz-O-Karb Mujhe Tajurbon Ne Baksha Hai
Jalana Shama To Daman Se Faasla Rakhna..!

· 2 Like · Jun 28, 2015 at 17:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kabi Naraz Mat Hona

Kabi Naraz Mat Hona
Gilay Chahy Boht Krna !
Rulana Or Boht Larhna !

Suno Naraz Mat Hona !
Kabi Aisa Jo Ho Jay !
K Teri Yad Se Ghafil Ksi !Lamhe Jo Ho Jaon !
Bina Dekhe Teri Surat !
Kisi Shab Main Jo So Jaon !
To Sapno Men Chale Aana !
Mujy Ehsas Dila Jana !

;; "Suno Naraz Mat Hona" ;;
Kabi Aisa Jo Ho Jay !
Jinhen Kehna Zruri Ho !
Wo Muj Se Lafz Kho Jayn !
Anaa Ko Beech Mat Lana !
Meri Awaz Ban Jana !
"Kabhi Naraz Mat Hona"

· 1 Like · Jun 28, 2015 at 11:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Betaab Nazrain Yun Mili

Bètaab Nazrain Yun Mili Iqraar Hum Karny Lagy,
Yè Kia Hua Kion Is Tarha Izhar Hum Karny Lagy.

Chhalky Huvy Jazbaat Kuch Aansu Bhi Kuch Bikhry Huvy,
Ab Qatra Qatra Zindgi Sarshaar Hum Karny Lagy.

Shaadab Hèn Aankhèn Lahu Sè Kuch Gulabi Shaam Hai,
Qos-E-Qaza Rangoon Mèn Guftar Hum Karny Lagy.

Vèèraan Kaday Mèn Aa Gayè Jo Wo Baharon Ki Tarha,
In K Tassavur Sè Sukhan Gulzar Hum Karny Lagy.

Rahny Lagy Hèn Gurèzaan To Tumhary Qurb Sè,
Is ehad-E-Ulfat Sè Ghazab Ka Piyar Hum Karny Lagy.

Shama Kion Shikwa Gila Ahl-E-Wafa Thèhry Jo Hum,,
Jalty Huvy Sholon Ka Dariya Paar Hum Karny Lagy~...

· 1 Like · Jun 27, 2015 at 17:06
Category: general
 
Nafs
Posted by sadaf butt
Posted on : Sep 13, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS