Poetry / 0

Mohammad Afzal

Aaj Puchun Ek Sawaal Aapse

Kyu mere dard se tum
Bechain rehte ho,
Aankhon se keemti moti baha dete ho,
aaj puchun ek sawaal aap se,
kyu dour hoke bhi
Mere pass rehte ho...?

Aansuo ko chupate ho,
kyu har hadd paar karte ho,
Aaj puchun ek sawaal aapse,
Kyu mehfil mein bhi
Tanha ho jate ho...?

Bina andhere k ujala nahin hota,
kyu jise chaho woh pass nahin hota,
Aaj puchun ek sawaal aapse,
Kyu humse apne
Aansoo chupa jate ho...?

Kyu dhadkano mein hai pyar hota ,
Kyu kisi ko kisi pe hai Naaz hota ,
Aaj puchun ek sawaal aapse,
Kyu aapko hamari bewafaai pe yakeen nahin hota....?




· 1 Like · Apr 27, 2015 at 08:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Dil Lagi Ki Kisi Ko Aisi Sazaa Naa Mile

Dil Lagi Ki Kisi Ko Aisi Sazaa Naa Mile
Pyaar K Bina Jeena Zindagi Aisi
Kisi Ko Aisi Mout Naa Mile

Kamm Se Kamm Sambhalne Keliye
Dostoun Ka Sahara Toh Mile

Zindagi Me Sab K Din Hain Chaar
Ussme Kisi Ko Bhi Itne Gham Naa Milen

Mohabbat Hoti Nahi Sabse Zindagi Me
Jis Se Bhi Ho mohabbat Ho Dil Se

Bass Dil Ko Uss Se Bewafai Naa Mile
Hum Toh Jee Lenge Kaise Bhi Unke Bina

Bass Humari Wajhe Se Unki Aankhoun
Ko kabhi Aansoo Naa Mile Ye Dua Hai Meri

· 1 Like · Apr 27, 2015 at 01:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Mujhe Mil Gaya Tu (Pak Old)

Mili gul ko khushbo

Mujhe mil gaya tu

Pasand apni apni

Naseeb apna apna

Mohabbat ki raahon main

Agar tu na milta

To yeh zindagi kitni

Dushwaar hoti

Na aankhon main jine ka

Armaan hota

Na koy khushi dil main

bedaar hoti

Jo chaha tha main ne

Mujhe mil gaya hay

Mere dil main ab koy

Hasrat naheen hay

Hay imaan mera

Mohabbat se barh kar

Zamane main koy bhi

Dolat naheen hay

· 0 Like · Apr 26, 2015 at 19:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Tujhey Pyaar Ki Kasam Hay (pak Old)

Tujhey pyaar ki kasam hay

Mera pyaar ban k aaa ja

Meri bekarariyon ka

Tu karaar ban k aaa ja

Tere intezar main hain

Abhi sham k nazare

Koy kyun mujhey sadaa de

Koy kyun mujhey poukare

Meri zindagi khizaan hay

Tu bahar ban k aaa ja

Mera dil dharak raha hay

Mere dil se yun na khelo

Tumain waasta wafa ka

Mera pyaar muj se le lo

Teri jeet ho chuki hay

Meri haar ban k aaa ja

· 1 Like · Apr 26, 2015 at 13:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Kisi K Dil ki Tu Fariaad Hay Karaar Naheen (Pak Old)

Dukhaye dil jo kisi ka

woh aadmi kiya hay

Kisi k kaam na aaye

To zindagi kiya hay

Kisi ko tuj se gilah

Teri berukhi ka na ho

Jo ho chuka tera

Tu agar usi ka na ho

Phir us k waaste

Yeh kayenaat bhi kiya hay

Kisi k dil ki tu fariaad hay

Karaar naheen

Khilaye phool jo zakhmon k

Woh bahaar naheen

Jo dusaroon k liye gham ho

Woh khushi kiya hay

Yeh kiya k aag kisi ki ho

Aur koyi jale

Bane shareke safar jis ka

Us se bach k chale

Jo faasale na mita de

Woh pyaar hi kiya hay

Kisi k kaam na aaye

To zindagi kiya hay

· 2 Like · Apr 26, 2015 at 06:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Kash Yeh Mohabbat Na Hoti

Is jahaan mein kaash yeh mohabbat na hoti,
Shararat na hoti,Shikayat na hoti,
Naino mai kisi ke nazakat na hoti,
Na hoti bekrari,na hote hum tanha,


Agar jahan me kambhkat ye mohabbat na hoti!!!!
To safar-e-zindagi mein mithaas na hoti,
Agar milti bewafao ko saza mein maut to,
Deewano ki kabrein udaas na hoti..


Meri mohabbat ne unhe khushi de di,
Badle mein mujhe khamoshi de di,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin Khuda ne bhi Jeenay ke liye zindagi de di.


· 1 Like · Apr 24, 2015 at 10:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Aye Mohabbat

Aye Mohabbat tere anjam se rona aaya.
Jane kyun aaj tere naam se rona aya,

Yun to her sham umid me guzar jati hai.
Aaj kuch baatein yaad aayi to sham pe rona aya.

Kabhi taqdir, kabhi matam,kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq k har kaam pe rona aya.

Jab hua zamane me mohabat ka zikr.
Mujhe apne dil-e-nakaam pe rona aya

· 1 Like · Apr 24, 2015 at 04:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Bhool Ja

Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey,
Kahaan Morr Tha, Ussay Bhool Jaa,
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh,
Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa,

Woh Tere Naseeb Ki Baarishein,
Kisi Aur Chhat Pe Baras Gayien,
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun,
Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa,

Mein Tou Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein,
Teri Aass Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,
Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa

Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham,
Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya,
Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa

Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi,
Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa,
Dil-e-Muntazir Tou Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa,

Ussay Bhool Jaa

Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa,
Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa

Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya,
Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya,
Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja

· 1 Like · Apr 23, 2015 at 22:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Mohabbat Zindagi Ban Jati Hai

Maanta hun k zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.



Zindagi ko to hum jab chahen,
Maut ki oor khud le jaate hain,
Par ek baar jo kar lein ishq,
Wo kahaan isko chod paate hain.
Ye duniya kitni khudgarz hai,
Ye mohabbat hume batati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Mohabbat ek jaan lewa aadat hai,
Jis me hoti shikwa shikayat hai,
Par aashiqon k liye to,
Yahi unka khuda aur yahi ibadat hai.
Wo mohabbat hi to hai doost,
Jo jeevan ko haseen banati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Mohabbat hi saathi aur tanhaai hai,
Yahi hoti hansi aur yahi rulaai hai,
Isi me hote kasme wade saare,
Aur isi me hoti bewafai hai.
Wo mohabbat hi hoti hai,
Jab aankhon me koi samati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Mohabbat me sab majboor hote hain,
Kabhi paas to kabhi door hote hain,
Par jab hi ho jaye saamna,
Wo ishq ke nashe me choor hote hain.
Jab yaaden zannat ban jaati hain,
To wo mohabbat kehlati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Jab koi bediyon ko payal kar jaati hai,
Har jhalak uski,qayal kar jati hai.
Jab hota uska mehfil me aana,
Uski har ada hume bas"ghayal"kar jati hai.
Wo mohabbat ki daastan hai ki,
Har saans me kisi ki khusboo aati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Maanta hun k zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


· 1 Like · Apr 23, 2015 at 16:04
Category: 0
 
'Rang Rasiya' Title Song
Posted by Bollywood Music Videos
Posted on : Jan 31, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS