iJunoon Archives
Jokes / Miscellaneous
Fozia Iqbal
Dewana Mera Naam
aik ustad ne apne bachoon se pucha kon kon jannet main jaye ga tou sab ne unglee utha lee mager aik shagerd ne nahe uthai ..tou ustad ne pucha bata tou jannet main nahe jaye ga ..shagerd... ustad.. maa ne kahan tha beta tou seedha ghar chalee aana ..hahhhahahahahahahahah lots; hai naa sahi baat
·
3 Like ·
Dec 01, 2018 at 19:12
Category: miscellaneous
Poetry / Love
Ijunoon
Kia Kahoon Apney Chaman Se Mai Juda Kiunker Hua
Kia kahoon apney chaman se mai juda kiunker hua
Aur aseere halqa-a-daam e hawa kiunker hua
Jaye hairat hai bura sare zamane ka hoon mai
Mujh ko yeh khilat sharafat ka ataa kiunker hua
Kuchh dikhane dekhne ka tha taqaza taur per
Kia khabar hai tujhko ae dil faisla kiunker hua
Hai talab bemudda hone ki bhi aik mudda
Murgh e dil daam e tamanna se riha kiunker hua
Dekhne wale yehan bhi dekh lete hain tujhe
Phir yeh wada hashr ka sabr aazma kiunker hua
Husne kamil hi na ho is behijabi ka sabab
Wo jo tha pardon mai pinhan khudnuma kiunker hua
Maut ka nuskha abhi baqi hai ai wirde firaq
Charagar deeewana hai mai ladawa kiunker hua

2 Like ·
Dec 01, 2018 at 17:12
Category: love
Quotes / Urdu Quotes
Anam Lateef
Nafs Ki Pasand
Aankhen nafs ki pasandeeda cheezain dekhne lagen to dil anjaam se andha ho jata hai.
·
4 Like ·
Dec 01, 2018 at 16:12
Category: urdu-quotes
Quotes / Urdu Quotes
Ebrahim Ali Ali
Rehm
Khuda tujh par rehm kare to tu dosron par rehm kar.
·
2 Like ·
Dec 01, 2018 at 11:12
Category: urdu-quotes
Jokes / Miscellaneous
Seddiq Al Khan
Aik Aur Chance
aik dafa aik larki ka baap uskey boy friend se milta hai aur kehta hai keh tumhari harkatoon ki waja se mari bati paet se hai woh kehta hai kei agar larka hoa to main 5000 don ga aur agar larki hoi to 10000 do ga larki ka baap thori der chonay key baad ketha hay keh agar hamal key baray hamara khial galat nikla to kia tum aik aur moka nain do gay
·
2 Like ·
Dec 01, 2018 at 10:12
Category: miscellaneous
Articles / Featured
Muzammil Shahzad
Pakistani Nojawanon Ki Phone Application Ne Dhoom Macha Di
اس کا ثبوت حال ہی میں لاہور یونیورسٹی کے طالبعلموں کی بنائی ہوئی دلچسپ ایپ کی دھوم ہے جسے کئی اسمارٹ فونز بنانے والی کمپنیاں دلچسپی لے رہی ہیں۔ اس نئی اسمارٹ فون ایپ کو Groopic کا نام دیا گیا ہے۔ اس د...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Dec 01, 2018 at 10:12
Category: featured
Poetry / Love
Ijunoon
Eik Nazm Se Iqtabaas
Shamm-e-mehfil ho k tu jab soz se khaali raha
Tere parwaane bhi is lazzat se begaane rahe
Rishta-e-ulfat mein jab in ko piro sakta tha tu
Phir pareshaaN kiyuN teri tasbeeh k daane rahe
Shauq-e-beparvaa gaya, fikr-e-falak paimaa gaya
Teri mehfil mein na diwaane na farzaane rahe
Wo jigar sozi nahi, wo shola aashaami nahi
Faaida phir kya jo gird-e-shamma parwaane rahe
Khair, tu saaqi sahi lekin pilaaye ga kisey
Ab na wo maikash rahe baaqi, na maikhaane rahe
Ro rahi hai aaj ik TooTi hui meena usey
Kal talak gardish mein jis saaqi k paimaane rahe
Aaj hain khaamosh wo dasht-e-junooN parvar, jahaaN
Raqs mein laila rahi, laila k diwaane rahe
Waaye nakaami, mataa-e-kaarvaaN jaata raha
KaarvaaN k dil se ehsaas-e-zyaaN jaata raha

Asiah Rahi
Kamyabi
Kamyabi mai yeh khususiyat hai k ye aadmi k buray kamon par parda daal deti hai.
·
5 Like ·
Dec 01, 2018 at 08:12
Category: urdu-quotes
Sponored Video