Poetry / Love

Mohammad Asif

Bohat He Muddat Kay Baad Jab

Bohat he muddat kay baad jab
Kitab-e-Mazi ko mainay khola
Bohat say cheray nazar main utray
Bohat say namoun pay dil paseeja
Aik aisa safa bhee is main aya
Likha houa tha jo ansoouon say
Kay jis ka unwan "HUM SAFAR" tha
Jo safa sab say he moutabir tha
Kuch or ansoo phir is pay tapkay
Phir iss say agay main par na paya
Kitab-e-Mazi ko band kar kay
Thumari yadoun main kho gaya main
Agar tou milta tou kaisa hota
Inhee khayaloun main soo gaya main..,

· 1 Like · May 10, 2016 at 10:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aik Jhonke Ki Tarah Dil Main Utarte Q Ho

ایک جھونکے کی طرح دل میں اترتے کیوں ھو
گر بچھڑنا تھا تو یادوں میں چمکتے کیوں ھو

ھو سکے تو مجھے خوشبو سے معطر کر دو
پھول بن کے میرے بالوں میں اٹکتےکیوں ھو

تم جو کہتے ھو کوئی بات کبھی غزلوں میں
اپنے الفاظ میں کہنے سے جھجکتے کیوں ھو

ھم نہ کہتے تھے اسے کھویا تو مر جاؤ گے
اب چراغوں کی طرح شب کو سسکتےکیوں ھو

جس کو جانے دیا روکا بھی نہیں الفت میں
اس کے سائے سے سر شام لپٹتے کیوں ھو

میرے دل سے کب کسی ھمدرد نے پوچھا
تم شب ہجر کے لمحوں میں بکھرتے کیوں ھو

جس نے خود سے کبھی اقرار محبت نہ کیا
اس کی خاطر بھری دنیا سے الجھتے کیوں ھو,

· 1 Like · May 09, 2016 at 21:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Chalo Ishq Nahi Chahanay Ki Aadat Hay

Chalo Ishq Nahi Chahanay Ki Aadat Hay
Kia Karay Keh Hamay Dosaron Ki Aadat Hay

Tu Apni Sheesha Gari Ka Na Kar Hunar Zaya
Main Aaina Hoon Mujhay Totnay Ki Aadat Hay

Wasaal Main Bhi Wahi Fasalay Saraab Kay Hain
Keh Us Ko Neend Mujh Ko Ratt Jagay Ki Aadat Hay

Tera Naseeb Hay Ay Dil Sada Ki Mahroomi
Na Woh Sakhi, Na Tujhay Mangnay Ki Aadat Hay

Ye Khud Azyati Kab Tak Faraz Tu Bhi Usay
Na Kar Yaad Ke Jesay Bholnay Ki Aadat Hay,

· 1 Like · May 09, 2016 at 15:05
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

De Hey Wehshat Tu Ye Wehshat Hi Muslsal Ho Jaey

De Hey Wehshat Tu Ye Wehshat Hi Muslsal Ho Jaey ...
Raqas Kertey Howey Etraaf Main Jangl Ho Jaey ...
Aey Meray Dasht Mzaajo Ye Meri Ankhin Hain ...
In Se Romal Bhi Cho Jaey Tu Badal Ho Jaey ...
Chalta Rehney Do Miyan Silslah Dildaari Ka ...
Ashqi Din Nahi Hey Keh Mukamal Ho Jaey ...
Halat-e-Hijar Main Jo Raqs Nahi Ker Sakta ...
Is Key Haq Main Yahi Behtar Hey Keh Pagal Ho Jaey ...
Mera Dil Bhi Kisi Aseeb Zada Ghar Ki Tarah ...
Khud Ba Khud Kholney Lagay Khud Hi Muqfal Ho Jaey ...
Dobti Nauo Main Sab Chikh Rahay Hain TABISH !
Aur Mujhey Fikar Ghazal Meri Mukmal Ho Jaey ...,

· 2 Like · May 07, 2016 at 21:05
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Waqt Ban Jata Hai Har Zakhm Ka Marham Khud Se

Aag kuch dair main ho jayegi madhum khud se
waqt ban jata hai har zakhm ka marham khud se

hum jo ashkon se na seerab karenge isko
khatm ho jayega ik roz tera ghum khud se

Aihl-e-gulzaar ka dakhal is main nahi hai koi
waqt aane pe badal jaate hain mausam khud se

din ba din hum ko zameen khenchey hai apni jaanib
warna karta hai bhala kon kamar kham khud se

un ko sab naam sikhaye thay Khuda ne warna
saahib-e-ilm na thay hazrat-e-Adam khud se

Abd ye waqt nahi hum se giley shikwey ka
mat humen cherr...! ke hum bethe hain barhum khud se,

· 1 Like · May 07, 2016 at 09:05
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Wo Mera Khuwab Mukaml Nahi Hone Deta

Neend aankhon mein muslsal nahi hone deta
Wo mera khuwab mukaml nahi hone deta

Aankh k sheesh mehalmein wo kisi bi lamhe
Apni tasveer ko ojhal nahi hone deta

Rabta bi nahi rakhta hai Sar-e-Wasl koi
Or Tal'luq bi moat'tal nahi hone deta

Dil ye Kehta hai usey Lout k aana hai Yahin
Ye dilasa mujhe pagal nahi hone deta...,

· 1 Like · May 07, 2016 at 03:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

In Jheel Si Gahri Aankhon May

In jheel si gayhrii ankoo may
Ik sham kahi abad to ho

Is jheel kinaray pal do pal
Ik khuab ka nila phole khilay
Wo phole baha day layhroo may
Ik roz khabi hum sham dhalay
Is phole kay bayhtay rangoo may
Jiss waqat larzta chand chalay
Is waqat kahai in ankoo may
Is basray pal ki yadd to ho

In jheel si gayhrii ankoo may
Ik sham kahi abad to ho

Phir chahy umar samandar ki
Har mojj parayshan ho jayay
Har khuab garayza ho jayay
Phir chahy phole kay chayhray ka
Har dard numaya ho jayay
Is jheel kinaray pal do pal
Wo roop nagar ijadd to ho
Din raat kay is ayinay may
Wo akass khabi azadd to ho

In jheel si gayhrii ankoo may
Ik sham kahi abad to ho,

· 1 Like · May 06, 2016 at 14:05
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Na Tumse Miltay Na Aisa Hota

Tarap Rahi Hai Har Ek Tamana,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota,

Bujhi Bujhi Se Hai Dil Ki Duniyaan,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota,

Hum Aisi Mehfil Mein Kaise Jayein,
Jahan Ka Manzar Humein Jalaye,

Agar Hai Jalna Toh Jalengay Tanha,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota,

Uddas Chera Nazar Pareshan,
Gham-e-Muhabbat Gham-e-Tamanna,

Kahan Tha Pehle Yeh Gham Humara,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota...!!!,

· 1 Like · May 04, 2016 at 00:05
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Ab Uss Kay Dar Say Mein Utha Malal Koi Na Tha

AB USS KAY DAR SAY MEIN UTHA MALAL KOI NA THA
KAY MERI JHOLI MEIN BAQI SAWAL KOI NA THA

BAHAR AAI TOU APNAY SIWAYE ZANDAAN KAY
TAMMAM SHEHAR MEIN PERISHAAN HAAL KOI NA THA

KAHAN SAY LAA KAY BICHAIN TUMHARI RAH MEIN PHOOL
KAY DAAL DAAL TOU KIYA KHAAL KHAAL KOI NA THA

WOH DIN HI THEEK THAY JUB DIL MAIN RUTH BADALNAY KA
GUMAAN O KHUWAB YAQEEN O KHNAYAL KOI NA THA

YAQEEN KAR KAY TERI AANKH UTHNAY SAY PEHLAY
MERI NIGAH KAY SHISHAY MEIN JAAL KOI NA THA


HOWA JO YUN TOU YEH KHOOBI TERAY HUNAR KI THI
MERI WAFAOON MEIN MERA KAMAAL KOI NA THA,

· 1 Like · May 03, 2016 at 18:05
Category: love
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS