Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Door Nazar Tak Tanhaie Thi

Raat Ki Gaihraie Mai
Jage Kitne Sapne Naino Mai
Sunhaire Komal Sapne
Kachchi Neend Ke Khuwab
Kitni Chahato Ke Baad
Sajaye Sapne Naino Mai
Aankh Khuli To Har So
Dukh Ki Chaie Virane The
Saihra Ki Gaihre Khamoshi The
Beech Samander
Neela Pani
Door Nazar Tak Tanhaie The,

· 1 Like · Jun 18, 2016 at 13:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Dil Ne Kisiko Dilse Chaha

Ek Beqarari Mein Doob Kar,
Ek Masti Mein JhooM Kar,
Mohabbat Ne Apna Izhaar Chaha
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dil Se Chaha,

Khwaab Bane Aarzu Ki Tarah,
UMMid Bani Zindagi Ki Tarah,
Har Ehsaas Ne Iqraar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,

Aitbaar Ka Haath ThaaM Kar
Yaadon Ko HaMraah Le Kar,
Is MasooM Ne Be-Ikhtiyar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,

Ek Khoobsurat ItMinaan Ki Tarah,
TuM Hue HaMari Dua Ki Tarah,
HuMne TuMhe Toot Kar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha...,

· 1 Like · Jun 16, 2016 at 04:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tum Kisi Aur Ko Chahogi To Mushkil Hogi

TuM Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Nahi,
TuM Kisi Aur Ko Chahogi To Mushkil Hogi,

Ab Agar Mel Nahi Hai To Judayi Bhi Nahi,
Baat Todi Bhi Nahi TuMne Banayi Bhi Nahi,

Ye Sahara Bhi Bahut Hai Mere Jeene Ke Liye,
TuM Agar Meri Nahi Ho To Parayi Bhi Nahi,

Mere Dilko Na Saraho To Koi Baat Nahi,
Gair Ke Dil Ko Sarahogi To Mushkil Hogi,

TuM Haseen Ho, TuMhe Sab Pyar Karte Honge,
Main Jo Marta Hoon To Kya Aur Bhi Marte Honge,

Sabki Aankhon Mein Isi Shoq Ka Toofan Hoga,
Sab Ke Seene Mein Yehi Dard Ubharte Honge,

Mere GaM Mein Na Karraho To Koi Baat Nahi,
Aur Ke GaM Mein Karrahogi To Mushkil Hogi,

Phool Ki Tarah Hanso Sabki Nigahon Mein Raho,
Apni MasooM Jawani Ki Panahon Mein Raho,

Mujhko Wo Din Na Dikhana, TuMhe Apni Hi KasaM,
Main Tarasta Rahoon TuM Gair Ki Baahon Mein Raho,

TuM Jo Mujhse Na Nibhao To Koi Baat Nahi,
Kisi DushaM Se Nibhaogi To Mushkil Hogi,

TuM Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Hogi,
TuM Kisi Aur Ko Chahogi To Mushkil Hogi...,

· 1 Like · Jun 15, 2016 at 22:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Teri Tareef Karte Hai To Isme Kya Burayi Hai

Teri Tareef Karte Hai To IsMe Kya Burayi Hai,
Khuda Ne Apne Hathonse Teri Surat Banayi Hai,

Hazaron Ki Tarah Sunle Teri Ruswai Ke Dar Se,
Teri Tasveer HuMne Kitabon Mein Chhupayi Hai,

Teri MasooM Surat Ki Yehi Tarif Hai Sun Le,
Zubaan Pe Hai Yehi Sab Ke Khudayi Hai Khudayi Hai,

Marz Ye Ishq Ka Aisa Laga Ki Phir Nahi Chhuta,
Dua Bhi HuMne Ki Dawa Bhi AazMaayi Hai...,

· 1 Like · Jun 15, 2016 at 15:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Anjaan Si Ladki Rehti Hai

Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai,
Kabhi Nazrein Milati Hai Kabhi Nazrein Churati Hai,
Kabhi Deewana Karti Hai Kabhi Pagal,
Kabhi Naagin Se Lat Se Khelti Hai Darati Hai,
Kabhi MasooM Sa Chehra Bana Kar SeheM Jaati Hai,
Kabhi Aanchal SaMetti Hai Kabhi Khud SiMat Jaati Hai,
Kabhi Chalte Hi Chalte Thoda Sa Ruk Jaati Hai,
Kabhi Aabroo Churati Hai Kabhi Palkein Jhukati Hai,
Kabhi MasooM Sa Chehra Bana Kar SeheM Jaati Hai,
Kabhi KhaMosh Se KhaMosh Chup Si Rehti Hai,
Kabhi Chalti Hai Latak Matak Ke Chalti Hai,
Kabhi Paayal Ki ChaM ChaM Se Neendon Ko Udati Hai,
Kabhi Chhoti Se Chhoti Baat Pe Rooth Jaati Hai,
Kabhi Dosti Banti Hai To Saare Dukh Bantti Hai,
Kabhi Hijr Mein Akela Sa Tanha Sa Chhod Jaati Hai,
Kabhi Gairon Se Hans Hans Kar Baatein Karti Hai,
Kabhi Begana Karti Hai Kabhi Apna Banati Hai,
Isiliye Areeb Itna Mujhko Bhaati Hai,
Apni Chizon Pe Mera NaaM Likhe Jaati Hai,
Aankhon Hi Aankhon Mein Dilko Har Baar Kehti Hai,
Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai...,

· 1 Like · Jun 15, 2016 at 07:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Pagal Aankhon Wali Larki

~~Pagal aankhon wali larki..
Itnay mahangay khawab na dekho..
Thak jao gi..
Kanch say nazuk khawab tumharay..
Toot gaye tu pachtao gi..
Soch ka sara ujla kundan..
Zabt ki rah may ghul jaye ga..
Tum kia jano..
Khawab, safar ki dhoop k sheeshay..
Khawab, adhoori rat ka dozakh..
Khawabon ka hasil tanhai..

Khawabon ki manzil ruswai..
Khawab, khayalon ka pachtawa..
Tum kia jano..
Mahangay khawab khareedna hon..
Tu aankhain bechna parti hain~~,

· 1 Like · Jun 11, 2016 at 03:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Najane Shakhs Tha Kaisa

Meri baton pe hansta tha

Najaney shakhs tha kaisa

Muje khoney se darta tha

Muje jab be wo milta tha

Yahe hr bar kehta tha

Suno

Agar mein bhol jaon to

Agar mein rooth jaon tho

Kabi Wapis na aon to

Bhula pao gy ye sab kuch

Yonhi hansty rho gy kia

Yehi batein hen bas us ki

Yehi yadein han bas us ki

Muje Bas pata hai itna

Muje wo pyar kerta tha

Muje khone se darta tha,

· 1 Like · Jun 06, 2016 at 16:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Meri Har Ghazal Ko Yeh Arzoo

Meri har ghazal ko yeh arzoo, karey aisey ko terey ru-ba-ru
Jo terey hi jaisa ho sar-ba-sar, jo tujhi sey milta ho hu-ba-hu

Woh chaman-parast bhi haiN yahaN, jinheiN aaj tak na khabar hui
Key GuloN ki jis sey hai parwarish, raG-e-KHaar meiN hai wohi lahoo

Hui KHatm sohbat-e-maikashi, yehi daaGh seenoN meiN reh gaya
Key tuloo’a honey sey gaye, kayi aftaab-e-KHum-o-sabuu

Kayi lakh phooloN key pair-han sar-e-baaGh haNs key uRaa diye
Zahe fasl-e-Gul, woh hawa chali key chaman ki le uRRi abroo

Tujhey paa key khudh ko bhi paooN ga key tujhi meiN khoya hua hooN maiN
Yeh teri talaash hai is liye key khudh apni hai justujoo

Hui wardaat-e-sehar yahaN, to GuloN key seeney dhaRak gaye
Woh chali key teGH-e-naseem ne, kayi haath uchaal diya lahoo

Wohi aaNkh jaam-e-mai-e-hayaa, wohi aaNkh jaam-e-jahaaN-numaa
Jo nigaah uThti na thi kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo

Na yeh bhed husn ka khul sakaa, na bharan yeh ishq ka miT sakaa
Kisi roop meiN yeh hai tu key maiN, kisi bhes meiN yeh hooN maiN key tu!

Ab usi ka takiya zamaaney meiN, sunaa hai key marj’a-e-KHalq hai
Jo “Firaaq” tere liye phiraa, kabhi dar-ba-dar, kabhi ku-ba-kuu

,

· 2 Like · Jun 05, 2016 at 18:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apnaa Hai

Tu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apnaa Hai
Ke Ham Ko Teraa Nahin Intazaar Apnaa Hai

Mile Koi Bhi Teraa Zikr Chaer Dete Hain
Ke Jaise Saaraa Jahaan Raazdaar Apnaa Hai

Wo Door Ho To Bajaa Tark-E-Dosti Kaa Khayaal
Wo Saamne Ho To Kab Ikhtiyaar Apnaa Hai

Zamaane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Liyaa Dil Se
Is Aasre Pe Ke Ik Ghamgusaar Apnaa Hai

‘Faraz’ Raahat-E-Jaan Bhi Vahi Hai Kyaa Kije
Wo Jis Ke Haath Se Sinaafigaar Apnaa Hai
,

· 1 Like · Jun 03, 2016 at 02:06
Category: love
 
Sky Racers - Dubai
Posted by Interesting Videos
Posted on : Oct 10, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS