Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Pyaar

Pyaar

Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya

Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya

Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya

Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya

Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
Woh Pighal Gaya

Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
Woh Baras K Thum Gaya

Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
Woh Bujh Gai

Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
Woh Murjha Gaya

Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
Wo Toot Gaya

Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay

Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To,
Woh Be-Wafa Niklay,

· 1 Like · May 29, 2016 at 00:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ajab Pagal Si Larki

Ajab pagal si larki...!

Meri khamosh aankhon main,

Mehakti, muskurati, gungunati, khwab si gehri mohabbat k sabhi rangon se waqif hai...
...
Magar anjaan banti hai,

Wo meri beqarari k sabhe maana samajhti hai,

Magar khamosh rehti hai,

Usay maloom hai ye betahasha bolne wala...!

Zamane bhar k qissey, daastanen us se kehta hai,

Her ek mozoo pe us se baat kerta hai...

Woh us se keh nahi sakta,

"Meri sochon k mehwar ho,

Tumhare bin mujhe ye zindagi bekaar lagti hai,

Mera her din tumhari soch k suraj se ugta hai,

Meri her shaam k pehloo main tum he muskurati ho,

Meri her raat karb-e-naarsai se sulagti hai,

Ager khud se tumhen minha karoon tou kuch nahi bachta..."

Usay maloom hai ye shab gaye tak jaagne wala...!

Jise khwabon ki dunia se mohabbat si mohabbat hai,

Woh kyon sone se darta hai?

Usay kia khof lahaq hai?

Woh khul ker kyon nahi hansta?

Woh kyon chhup chhup k rota hai...?

Usay maloom hai sub kuch,

Mager anjaan banti hai...

Usay ye kon samjhaaye?

K dil youn naarsai ki tapish ziada dino tak seh nahi sakta,

Jise khwabon ki dunia se mohabbat si mohabbat ho,

Woh khwabon k bina aise adhoora reh nahi sakta,

Usay ye kon samjhaye?

K us se betahasha bolne waala...!

Jo her mozoo per uss se baat kerta hai,

Kabhi ye keh nahi sakta,

"Meri veraan aankhon main,

Kayi sapne samo jao,

Tumhare bin adhoora hon,

Meri takmeel ho jao..."

Usay maloom hai sub kuch magar ye kon samjhaye...

Ajab pagal si larki hai...!!!,

· 1 Like · May 28, 2016 at 09:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Teri Furqat Ka Jo Jalta Hua Lamha Hoga

Apne Khuwabon Mei Tujhe Jis Ne B Dekha Hoga
Aankh Khulte He Tujhe Dhoondhne Nikla Hoga

Zindagi Sirf Tere Naam Se Mansoob Rahe
Jane Kitne He Dimaghon Ne Yeh Socha Hoga

Dost Hum Us Ko He Paigham-E-Karam Samjhenge
Teri Furqat Ka Jo Jalta Hua Lamha Hoga

Daaman-E-Zeest Mei Ab Kuch B Nahe Hai Baqi
Maut Aai To Yaqeenan Usay Dhoka Hoga

Roshni Jis Se Utar Aai Lahoo Mei Mere
Ae Maseeha Woh Mera Zakhm-E-Tamanna Hoga
,

· 1 Like · May 27, 2016 at 07:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Muhabbat Lafz Hai Lekin

MuhAbbAt lAfz hAi lekin
koi mAtlAb nA jAne
jo kArte hAin muhAbbAt
wo hud is ko nA jAne
muhAbbAt pAAk hAi jAzbA
jo ho jAye AgAr sAchi
muhAbbAt ko AgAr mAno
ibAdAt hAi KHUDA ki yeh.,

· 1 Like · May 24, 2016 at 21:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye To Chaand Raaton Ki Dilgeer Roshni Main
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina
Agar Woh Nakhal Falak Say Urh Kar
Tumharay Kadmoon Aagiray To Yeh Jaan Laina
Woh Istiaara Tha Meray Dil Kaa
Agar Naa Aaye?
Magar Yeh Mumkin Hi Kis Tarha Hai Kay Kisi Par Nigah Daloo
Too Us Ki Deewaar-E-Jaan Naa Tootay
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye!!
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
Garaiz Karti Hui Hawaoon Ki Lehroon Pay Haath Rakhna
Main Khushbuoon Main Tumhain Miloon Gaa
Mujhay Gulaab Ki Patioon Main Talaash Karna
Main Aous Qatra Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
Agar Sitaaroon Main, Aous Khushbhuoon Main
Naa Paoo Mujh Koo To Apnay Kadmoon Main Dekh Laina
Main Gird Hoti Musafitoon Main Tumhain Miloon Gaa
Kahin Pay Roshan Chiraagh Dekh Loo To Jaan Laina
Kay Har Patangay Kay Saath Main Bhi Sulag Chuka Hoon
Tum Apnay Haatoon Say In Patangoon Ki Khaak Darya Main Daal Daina
Main Khaak Ban Kar Sumandar Main Safar Karoon Gaa
Kisi Naa Dekhay Huay Jazeeray Par Ruk Kay Tumhain Sadain Doon Gaa
Sumandaroon Kay Safar Pay Nikloo
Too Is Jazeeray Pay Kabhi Utarna..,

· 1 Like · May 21, 2016 at 11:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Yaar Ko Humne Ja Ba Ja Dekha

Yaar Ko Humne Ja Ba Ja Dekha
Kahin Zahir Kahin Chupa Dekha

Kahin Mumkin Hua Kahin Wajib
Kahin Fani Kahin Baqa Dekha

Kahin Woh Baadshah e Takht Nashin
Kahin Kasa Liye Gada Dekha

Kahin Woh Dar Libaas e Mashuqan
Bar Sar e Naaz Aur Ada Dekha

Kahin Ashiq Niaz Ki Surat
Seena Bariyaan O Dil Jala Dekha !!!,

· 1 Like · May 19, 2016 at 22:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai

Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai...
Issey Khud Hi Bhuja Jana Kabhi Aana Hawa Ban Kar...

Tumhari Aarzo Ki Hai, Kabhi Manga Hai Jo Rab Se ...
Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar...

Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon, Tumhein Main Raat Din Soochoon...
Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar...

Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main...
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gada Ban Kar...

Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein ...
Main Bemar-e-muhabbat Hoon, Tum Aa Jao Shafa Ban Kar...

Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din ...
Tumharey Dil Main Utroon Ga, Muhabbat Ki Sada Ban Kar...

Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai...
Zara Tum Bhi Nazer Dalo, Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar...

Tumhein Yeh Raaz Batla Doon, Ke Akser Chaand Ratoon Main ...
Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Ki Zaya Ban Kar...,

· 1 Like · May 19, 2016 at 14:05
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Na Jee Bhar Ke Dekhaa Na Kuch Baat Ki

Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...,

· 1 Like · May 12, 2016 at 07:05
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Mery Khawaboon Ky Jharoonko Ko Sajaany Wali

Mery khawaboon ky jharoonkoon ko sajaany wali
tery khawaboon mein mera kahein guzer hai ke nahi
pouch kar apni nigha say bataday mujhy...
meri ratoon ky mukader mein saher hai ky nahi
meri ujraii hoiw nendoon ky shabastanoo mein
tu kissi khawab ky paiker ki tarha ayee hai
kabhi apni kabhi giar si nazer ayee hai hai
kabhi ekhlaas ki sourat kabhi har jaiee hai
piyaar per bas to nahi hai mera phir bhii
tu bataday ky tujhy piyaar karoon ky na karoon
touny khoud apny tabbasum say jagaya hai jinhein
un tamanaoo ka ezhaar karon ya na karoon
tera altaf-wa-karam ek haqiqat hai muger
ye haqiqat bhi haqiqat mein fasana na ho
meri manoos nigahoon ka ye mohtaat piyaam
dil ky khoon karny ka ek our hi bahana na ho
kon janey mery amrooz ka farda kia hai
qurbatien barh kar pashemaan bhi hojati hein
dil ky daman say liptie hoie rangeen nazrien
dekhty dekhty anjaan hoo bhi jati hein
meri darmanda jawani ki tamanoo ky
muzmahil khawab ki tabeer bata day mujhy
tery daman mein gulistaan bhi hein veraany bhi
mera hasil meri takdeer bata day mujh ko...,

· 1 Like · May 11, 2016 at 00:05
Category: love
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS