Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai

Mohabbat ka Iraada Badal Jana bhi mushkil hai.
Tujhe khona or pana bhi mushkil hai.

Zara si baat per Ankhe Bhigo kar baith jate hai.
Tujhe to ab apne Dil ka haal batana bhi mushkil hai.

Tere chehre par gham gawara nahi humko,
Per teri khatir sitaro ko Tod kar lana bhi mushkil hai.

Yahan logo ne khud per itne parde daal rakhe hai.
Kisi k Dil mein kya hai nazar aana bhi mushkil hai.

Tujhe zindagi bhar yaad rakhne ki kasam to nahi li.
Par tujhe ek pal ke liye bhool Jana bhi mushkil hai.,

· 1 Like · Jul 22, 2016 at 17:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Suna Hai

Suna Hay Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain
So Us Kay Shaher Main Kuch Din Thehar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Rabt Hay Us Ko Kharab Haloon Say
So Apnay Aap Ko Barbaad Kar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Dard Ki Gaahak Hay Chash m Naaz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Say Guzar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Ko Bhi Hay Shair o Shairy Say Shaghaf
So Hum Bhi Mojze Apnay Hunar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Bolay Tu Batoon Say Phool Jhartay Hain
Ye Baat Hay Tu Chalo Baat Kar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Raat Usay Chaand Takta Rahta Hay
Sitaray Baam Falak Say Utar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Raat Ko Usay Titliyaan Satati Hain
Suna Hay Raat Ko Jugno Thaher Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Hashar Hain Us Ki Ghazal See Aankhain
Suna Hay Us Ko Heran DashT Bhar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Raat Say Bhar Kar Hain Kaaklain Us Ki
Suna Hay Shaam Ko Saaye Guzar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Ki Siya chashmagi Qyamat Hay
So Us Ko Surma Frosh Aah Bhar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Kay Labon Say Gulab Jaltay Hain
So Hum Bhi Bahar Pay Elzaam Dhar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Aaina Tamsaal Hay Jabeen Us Ki
Jo Saada Dil Hain Usay Ban Sanwar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Jab Say Hamail Hain Us Ki Gardan Main
Mezaaj Or Hi Lal o Guhar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Chashm Tasawur Say Dasht Imkaan Main
Palang Zaviye Us Ki Kamer Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Kay Badan Ki Tarash Aisi Hay
Keh Phool Apni Qabaye Kutar Kay Dekhtay Hain


Bas Ak Nigaah Say Lutta Hay Qafla Dil Ka
So Rahzan Tamanna Bhi Dar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Kay Shabistaan Say Mutasil Hay Bahisht
Makeen Edhar Kay Bhi Jalway Udhar Kay Dekhtay Hain


Ruke Tu Gardishain Us Ka Tawaf Karti Hain
Chalay Tu Us Ko Zamanay Thehar Kay Dekhtay Hain


Kesay Naseeb Kay Bay Pairhan Usay Dekhay
Kabhi Kabhi Dar o Dewaar Ghar Kay Dekhtay Hain


Kahaniyaan Hi Sahi Sab Mubalghay Hi Sahi
Ager Wo Khowab Hay Tabeer Kar Kay Dekhtay Hain


Ab Us Kay Shaher Main Theray Kay Kooch Kar Jaye
Faraz Aao Sitaray Safer Kay Dekhtay Hain


Abhi Kuch Or Karishmay Ghazal Kay Dekhtay Hain
Faraz Ab Zara Lehja Bdal Kay Dekhtay Hain


Judaiyaan Tu Muqaddar Main Hain Phir Bhi Jaan -e- Safer
Kuch Or Dorr Zara Saath Chal Kay Dekhtay Hain


Rah -e- Wafa Main Hareem Khayal Koii Tu Ho
So Apnay Aap Say Aagay Nikal Kay Dekhtay Hain


Tu Samnay Hay Tu Phir Yaqeen Kyun Nahi Aata
Yeh Bar Bar Jo Aankhon Ko Mal Kay Dekhtay Hain


Yeh Koun Log Hain Mujood Teri Mehfil Main
Jo Lalchon Say Tujhay , Mujh Ko Jal Kay Dekhtay Hain


Yeh Qurb Kia Hay Keh Yak Jaan Howay Na Dorr Rahay
Hazaar Ak Hi Qalib Main Dhal Kay Dekhtay Hain


Na Tujh Ko Maat Hoii Na Mujh Ko Maat Hoi
So Ab Kay Dono Hi Chalain Bdal Kay Dekhtay Hain


Yeh Koun Hay Sar -e- Sahil Kay Dobanay Walay
Samandaron Ki Tahon Say Uchal Kay Dekhtay Hain


Abhi Talak Na Kundan Howay Na Raakh Howay
Hum Apni Aag Main Har Rooz Jal Kay Dekhtay Hain


Bohat Dino Say Nahi Hay Kuch Us Ki Khair Khaber
Chalo Faraz Koye -e- Yaar Chal Kay Dekhtay Hain,

· 2 Like · Jul 20, 2016 at 13:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ager Keh Do

Ager keh do
yeh bujhti shammayein aur yeh deep'
phir se jugmaagaeingey
andheeron ke yeh saaey rooshni mein ghum hojaeingey
ager keh do
yeh kaliyaan' yeh bahaarien muskuraayeingi
tumhare pyar ki kushboo hawaa'on mein basaaiyeingi
Mohabbat mein humein saawun ke jhooley yeh jhulaayingi
tao phir in baadloon ke sang humein os paar aana hai
jahaan tum aur tumhari khwaahishon ka ik khazana hai
mujeh maloom hai tum ko jahaan pe laut jana hai
ager keh do
tao sari umur mein raste sajaoongi
tumhari yaad k ansoo aankhoon mein basaoongi
tumhari waapsi aur milun ke geet gaaongi

AGER KEH DO

TUMHE MUJH SE MOHABBAT HAI

tao pulkoon k kinaaron pe haseen kuch khwaab tik jaaein
humari rooti ankhoon pe yeh saare ashuk ruk jaaein
ghataayein runj-o-ghum ki dil ke angun se saaruk jaein
AGER KEH DO


AGER KEH DO,

· 1 Like · Jul 19, 2016 at 11:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bheegi Palkain

بھیگی پلکیں
درد سے چھلکتی آنکھیں
آنکھوں میں لال ڈورے
گالوں پہ پھسلتا موتی
لب کٹتے ہوئے
میں اکثر اسے
بڑی محویت سے دیکھتا ہوں
پگلی!
تجھے کیا معلوم
تجھے رلا کر
میں تیری آنکھوں میں
سارے جہاں کا حسن دیکھتا یوں۔۔۔۔,

· 1 Like · Jul 17, 2016 at 23:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bheegi Palkain

بھیگی پلکیں
درد سے چھلکتی آنکھیں
آنکھوں میں لال ڈورے
گالوں پہ پھسلتا موتی
لب کٹتے ہوئے
میں اکثر اسے
بڑی محویت سے دیکھتا ہوں
پگلی!
تجھے کیا معلوم
تجھے رلا کر
میں تیری آنکھوں میں
سارے جہاں کا حسن دیکھتا یوں۔۔۔۔,

· 1 Like · Jul 17, 2016 at 17:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Eik Lafz Mohabbat Hai

Eik lafz Mohabbat hai isay ker k dekho tum
Barbad na ho jao to mera Naam badal dena

Eik lafz Muqaddar hai is se larr k dekho tum
Haar na jao to mera Naam badal dena

Eik lafz Wafa hai jo duniya mei nahe milti
Kahin se gar mil jaye to mera Naam badal dena

Eik lafz Aansoo hai isay dil mei chupa ker dekho tum

Aankhon se na beh jaye to mera Naam badal dena

Eik lafz Judai hai isay seh ker dekho tum
Toot k bikhar na jao to mera Naam badal dena....,

· 2 Like · Jul 16, 2016 at 17:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Pagal Ankhon Wali Larki

Pagal Ankhon Wali Larki
Itne Mehngy khawab Na Dekhoo
Thak jahoo gi
Kanch se Nazuk Khwab Tumhare
…Toot Gaye Toh Pachtao Gi
Tum Kia Jano
Khwab….Safar Ki Doop Ke sheshay
Khwab….Adohri Raat Ka Dozakh
Khwab….Khayaloon Ka Patchtawa
Khwabo Ka Hasil Tanhi
Mehngy Khwab Kareedna Ho toh
Ankhain Bechna Parti Hain
Rishty Bholna Partay Hain
Andeshoon Ke Raakh Na Phenko
Khwabon Ke Oat Saraab Na Dekho
Pyaas Na Dekho
Itne Mangey Khwab Na Dekho
Thak Jahoo Gayee,

· 1 Like · Jul 16, 2016 at 04:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aa Mai Tujhe Apna Jism Bana Lun

Aa Mai Tujhe Apna Jism Bana Lun,
Apni Rooh Ki Nas Nas Me Sama Lun,

Hai Muhabbat Kitni Haseen Mere Dilbar,
Aake Teri Baahon Me Batla Dun.
Mahka Dun Har Pal Tera Pyaar Ki Khushbu Se,
Phoolon Ko Tera Main Bistar Bana Dun.

Chamak Uthe Har Din Tera Aaftaab Banke,
Raaton Ko Teri Main Kahkashaan Bana Dun.

Tapne Lage Jab Teri Saanse Waqt Ke Safar Mein,
Thandi Hawa Ka Jhonka Ban Tujhko Sahla Dun.

Choo Na Sake Tujhe Mushkil Chaahkar Bhi,

Kuch Yun Tujhe Apni Palkon Mein Chipa Lun.
Hoke Rahe Tu Meri Aur Mai Tera,
Aa Mai Tujhe Apna Naseeb Bana Lu,

· 1 Like · Jul 14, 2016 at 03:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Auron Se Aashnayi Gawara Nahi Mujhe

Auro'n say aashnayee gawara nahee'n mujhay
teri tarah tau koi bhi pyara nahee'n mujhay

ye bhool ja k tujhko kabhi bhool jaoo'n mai
ye bhool ja sanam k tu pyara nahee'n mujhay

dukh usko ye thhehra k nahee'n uskay paas mai
mujhko ye gham k uss nay pukara nahee'n mujhay

sikha hai dushmano'n say jo kutch mainay umr bhar
itna tau dosto'n nay sanwara nahee'n mujhay

ruswaiyyo'n K khauf say mai daikhta nahee'n
ye mat samajh k taab e nazara nahee'n mujhay,

· 1 Like · Jul 13, 2016 at 15:07
Category: love
 
hey doctor
Posted by pinky queen
Posted on : Oct 31, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS