Poetry / Love

Mohammad Asif

Aag kuch dair main ho jayegi madhum khud se
waqt ban jata hai har zakhm ka marham khud se

hum jo ashkon se na seerab karenge isko
khatm ho jayega ik roz tera ghum khud se

Aihl-e-gulzaar ka dakhal is main nahi hai koi
waqt aane pe badal jaate hain mausam khud se

din ba din hum ko zameen khenchey hai apni jaanib
warna karta hai bhala kon kamar kham khud se

un ko sab naam sikhaye thay Khuda ne warna
saahib-e-ilm na thay hazrat-e-Adam khud se

Abd ye waqt nahi hum se giley shikwey ka
mat humen cherr...! ke hum bethe hain barhum khud se,

Advertisement
· 1 Like · May 07, 2016 at 09:05
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Back Up! Topi xD
Posted by afza altaf
Posted on : Aug 24, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS