Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Zulf Raton Si Hai Rangat Hai Ujalon Jaisi

Zulf Raton Si Hai Rangat Hai Ujalon Jaisi
Par Tabiat Wohi Hai Bhoolnay Walon Jaisi

Ik Zamanay Ki Rifaqat Pe Bhi Ram-Khorda Hai
Us Kam Aamaiz Ki Khoo Bu Hai Ghazaalon Jaisi

Dhoondta Phirta Hoon Logon Mein Shabahat Uski
Ke Woh Khuabon Mein Bhi Lagti Hai Khayalon Jaisi

Kis Dil Azaar Musafat Se Mein Lauta Hoon Ke Hai
Aanso-On Mein Bhi Tapak Paoon Ke Chalon Jaisi

Uski Batain Bhi Dil Awaiz Hain Surat Ki Tarah
Meri Sochain Bhi Paraishan Mere Balon Jaisi

Uski Ankhon Ko Kabhi Ghor Se Daikha Hai Faraz
Sonay Walon Ki Tarah Jagnay Walon Jaisi

· 1 Like · Oct 15, 2016 at 17:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Zulf Raton Si Hai Rangat Hai Ujalon Jaisi

Zulf Raton Si Hai Rangat Hai Ujalon Jaisi
Par Tabiat Wohi Hai Bhoolnay Walon Jaisi

Ik Zamanay Ki Rifaqat Pe Bhi Ram-Khorda Hai
Us Kam Aamaiz Ki Khoo Bu Hai Ghazaalon Jaisi

Dhoondta Phirta Hoon Logon Mein Shabahat Uski
Ke Woh Khuabon Mein Bhi Lagti Hai Khayalon Jaisi

Kis Dil Azaar Musafat Se Mein Lauta Hoon Ke Hai
Aanso-On Mein Bhi Tapak Paoon Ke Chalon Jaisi

Uski Batain Bhi Dil Awaiz Hain Surat Ki Tarah
Meri Sochain Bhi Paraishan Mere Balon Jaisi

Uski Ankhon Ko Kabhi Ghor Se Daikha Hai Faraz
Sonay Walon Ki Tarah Jagnay Walon Jaisi

· 1 Like · Oct 15, 2016 at 09:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Har Aik Baat Na Kiyon Zeher Si Hamari Lagey

har aik baat na kiyon zeher si hamari lagey
keh hum ko dastay zamana kay zakhm kaari lagey

udaasiyaan hon musalsal، tou dil nahi rota
kabhi kabhi ho tou yeh kefiyat bhi pyari lagey

bazahir aik he shab hai, firaq-e-yaar magar
koi guzarne baithy tou umr saari lagey

ilaj, iss dlِ dard aashna ka kya kijiye?
keh teer ban kay jise harf-e-ghum-gasari lagey

hamare paas bhi betho، bas itna chahtay hain
hamaray saath tabiyat agar tumhari lagey

faraz tairay Junoon ka khayaal hai warna
yeh kya zaroori woh surat sabhi ko pyari lagey

· 1 Like · Oct 10, 2016 at 23:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Apanii Rusvaai Tere Naam Ka Charchaa Dekhun

Apanii Rusvaai Tere Naam Ka Charchaa Dekhun
Ek Zaraa Sher Kahun Aur Main Kyaa Kyaa Dekhun

Niind Aa Jaaye To Kyaa Mehfilen Barpaa Dekhun
Aankh Khul Jaaye To Tanhaai Kaa Sehra Dekhun

Shaam Bhii Ho Gaii Dhundhalaa Gai Aankhen Bhii Merii
Bholaanay Vaale Main Kab Tak Teraa Rastaa Dekhun

Sab Ziden Us Kii Main Poorii Karun Har Baat Sunun
Ek Bachay Kii Tarah Se Usay Hanstaa Dekhun

Mujh Peh Chhaa Jaaye Vo Barasaat Kii Khushbuu Kii Tarah
Ang Ang Apanaa Usii Rut Mein Mahaktaa Dekhun

Tuu Merii Tarah Se Yaktaa Hai Magar Mere Habib
Jii Mein Aataa Hai Koii Aur Bhii Tujh Saa Dekhun

Main Ne Jis Lamhe Ko Poojaa Hai Use Bas Ek Baar
Khvaab Ban Kar Terii Aankhon Mein Utartaa Dekhun

Tuu Meraa Kuchh Nahin Lagtaa Hai Magar Jaan-E-Hayaat
Jaane Kyon Tere Liye Dil Ko Dhadakataa Dekhun

· 2 Like · Oct 07, 2016 at 19:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ik Aarzu Hay Poori Parwardigaar Kare

Ik Aarzu Hay Poori Parwardigaar Kare
Main Dair Se Jaon Woh Mera Intizaar Kare

Apne Hathon Se Sanware Zulfain Meri
Aur Is Tarah Se Muhabbat Ka Iqraar Kare

Lipat Jaye Woh Mujh Se Aalm E Madhoshi Main
Aur Josh-O-Junoon Main Muhabbat Ka Izhaar Kare

Ho Shab Wisaal Ki Aisi Woh Ya Rab
K Choom K Matha Woh Mujhe Baidaar Kare

Usey Chhor K Chahon Ju Main Jana Kabhi
Woh Rooke Mujhe Aur Ik Aur Raat Ka Israar Kare

Kasam Khuda Ki Main Kisi Aur Ka Ho Nahi Sakta
Yeh Wada E Wafa Woh Baar Baar Kare

· 2 Like · Oct 06, 2016 at 05:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Adhoori Hay Zindagi


Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey HawaaS par
Tum Ashk Ho To Merey Dukhon Ka ILaaj Ho

Tum Khuwab Ho To Meri Aankhon Main Ho kahin
Tum Wehem Ho To Mujh Ko Haqeeqat Say Kia Gharaz

Tum Bayes-e-Safar Ho, Huner Ki URaan Ho
Tum Neend Ho To So K Guzarein Gay yeh Hayaat

Tum Husn Ho To Merey Takhayyul Ki Jaan Ho
Tum Raat Ho To Mujh Ko Nahin Subah Ki Talab

Tum Noor Bun k DiL Main Samaey Ho Aaj kal
Tum Khaak Ho To Khaak Nasheenon Ki Ho Talash

Tum Dard Ho To Rooh Peh Chhaye Ho Aaj Kal
Tum Dasht Ho To Main Bhi Musafir Hoon Dasht ki

Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kiya
Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag

Tum Rung Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kiya
Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed

Tum RahGuzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho
Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish

Tum Rut-Jagon Ki BheeR Main Lamha Sakoon Ka Ho
Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka

Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho
Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui

Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho
Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams

Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho
Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Kehkashaan

Tum Husn-e-BayMissal, Meri Kayenaat Ho
Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour

Main Jee rahi Hoon Kion K Zaroori Hay Zindagi
Saanson K Bojh Ko Bhi uThaya hay Rooh Nay

Lekin Terey Bagheir...
Adhoori hay Zindagi

· 1 Like · Oct 03, 2016 at 14:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Un K Andaz E Kram Un Peh Wo Aana Dil Ka

Un K Andaz-E-Kram Un Peh Wo Aana Dil Ka
Haye Wo Waqt Wo Batein Wo Zamana Dil Ka,

Na Suna Us Ney Tawajo Sey Fasana Dil Ka
Umr Guzri Pr Dard Na Jana Dil Ka,

Dil Lagi Dil Ki Lagi Ban K Mita Deti Hai
Rog Dushman Ko Bhi Ya Rub Na Lgana Dil Ka,

Wo Bhi Apney Na Huey Dil Bhi Gya Hathon Sey
Aisey Aaney Sey To Behtar Hai Na Aana Dil Ka,

Unki Mehfil Main Un K Tabbasum Ki Qasam
Hum Dekhtey Reh Gaye Hath Sey Jana Dil Ka.

· 1 Like · Sep 14, 2016 at 23:09
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Us Ki Ankhon Main Muhabbat Ka Sitara Hoga

Us Ki Ankhon Main Muhabbat Ka Sitara Hoga
Aik Din Aaye Ga, Woh Shakhs Humara Hoga

Zindagi! Ab K Mera Naam Na Shamil Karna
Ger Yeh Tay Hay K Yehi Khel Dobara Hoga

Jis K Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi
Kis Tarah Is K Bagair Apna Guzara Hoga

Yeh Achanak Joh Ujala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukara Hoga

Ishq Karna Hay Tou Din Raat Ussey Sochna Hay
Aur Kuch Zehan Main Aaya Tou Khasaara Hoga

Yeh Joh Paani Main Chala Aaya Sunheri Sa Guroor
Us Ne Darya Main Kahin Paaon Utara Hoga

Kon Rota Hai Yahan Raat K Sanaton Main
Mere Jaisa Hi Koi Hijer Ka Mara Hoga

Joh Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain Wasi
Us Ne Seene Main Koi Dard Utara Hoga

Kaam Mushkil Hai Mager Jeet Hi Longa Us Ko
Mere Maula Ka Wasi Jonhi Ishara Hogaa

· 1 Like · Sep 14, 2016 at 10:09
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ye Tabassum, Yea Aariz, Yea Roshan Jabeen

Ye Tabassum, Yea Aariz, Yea Roshan Jabeen,
Ye Ada, Yea Nigaahain, Ye Zulfain Haseen

Aaeenay Ki Nazar Lag Na Jae Kaheen
Janay Jaan Apna Sadqa Utara Karo

Yaqeen To Kia Cheez Hay Jaan Say Jaeen Gay
Mout Aanay Say Pehlay Hi Mar Jaen Gay

Ye Ada Dekhnay Walay Lut Jaen Gay
Youn Na Hans Hans Kay Dilber Eshara Karo

· 3 Like · Aug 24, 2016 at 19:08
Category: love
 
Comment.
Posted by shaista Anam
Posted on : Mar 14, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS