Poetry / General

Muzammil Shahzad

Waqt Nahi

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi

Din Raat Dhundhti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsas Toh Hai
Par Maa Ko Maa Kahne Ka Waqt Nahi

Saare Rishton Ko Toh Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Gairon Ki Kya Baat Karein
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Mein Hai Neend Bari
Par Sone Ke Liye Waqt Nahi

Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ko Bhi Waqt Nahi

Paiso Ki Daur Mein Aise Daure
K Thakne Ka Bhi Waqt Nahi

Paraye Ehsano Ki Kya Kadar Karein
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata Ae Zindagi Iss Zindagi Ka Kya Hoga
K Har Pal Marne Waalon Ko Jeene Ke Liye Waqt Nahi

· 1 Like · Oct 10, 2015 at 12:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Main Bhatak Jaon

Mera Din Chopa Kisi Raat Main
Meri Raat Chopi Teri Zaat Main

Main Jab Kabhi Bhatak Jaon
Wahin Girte Girte Sambhal Jaon

Mujhe Thokron Se Pata Chala
Koi Hath Hai Mere Hath Main

· 1 Like · Oct 10, 2015 at 04:10
Category: general
 
Poetry / General

Guzre Lamhon (Pak Old)

Guzre lamhoon ki uljhi huy door k us taraf
khuwab mere jahan mati main the
Barshon ne wahan ghaas itni uga di
Koy rahnama si ilamat, nishani kuch bacha hi naheen
Kuch bacha hi naheen k kisi yaad ki
koy uljhi hui ghira kholty!
Woh sira dhundhty!
Aik bheidoon bhara aur zamanoon pe phela huwa
Woh sira dhundhty!
Jo kaheen khuwab aur us ki tabeer k darmiyan kho gaya!
Ho chuki hain bohut hijar ki barshain
Din bohut ja chuke!
khuwab mere jahan dafan mati main hain
Ab wahan har taraf ghaas hi ghaas hay
Aur is ghaas main sarsarata huwa
Saanp sa aik dar hay,
kaheen yeh na ho!
Dhundty dhundty woh sira mil bhi jaye!
Woh ghira khul bhi jaye!
To lamhon ki uljhi huy door k us taraf
Kuch na ho......!!!

· 1 Like · Oct 04, 2015 at 17:10
Category: general
 
Poetry / General

Raat ki seej khali khali hay (Pak Old)

Raat ki seej khali khali hay
Dekh, woh suba hone wali hay!

Mere dil se teri nigahon tak
Dard ne rah kiya nikali hay!

Hay pare had e aasman se kiya?
Sab feza apni dekhi bhaali hay

keh rahi hay chamak sitaron ki
Dard ki raat dhalne wali hay!

Jo na kehni thi baat, keh aaye
Aur jo kehni thi woh chupa li hay

Aankh walon k wasty, manzar
Aik rozan hay, aik jaali hay!

Phir wohi aansoon ki barish hay
Phir wohi dil ki khushak sali hay!

phelti ja rahi hay kos e qazha
Dil pe kis ne nigah daali hay!!!

· 1 Like · Oct 04, 2015 at 07:10
Category: general
 
Poetry / General

DIL KASHI (Pak Old)

Dil kashi hay tumari zaat k sath
Warna dukh dard hain hayaat k sath

Saaz dil ka bara shikasta hay
Cheirna is ko ahetiyat k sath

Rooz jata hoon haal dil kahne
Lout ata hoon dil ki baat k sath

Rang bharna the bhar gayi tanha
Zindagi talkh waqiyat k sath...

· 1 Like · Oct 01, 2015 at 20:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ye Koun Shakhs

Ye Kon Shakhs Hai Jo Meri Baat Nahi Sunta
Mien Chalta Hon To Wo Mere Sath Nahi Chalta

Andheri Raat Mein Tanha Beth Kar
Mein Jalta Hon To Wo Mere Sath Nahi Jalta

Mein Is Qabil To Hon K Wo Mujh Se Baat Kare
Mein Khawab Dekhon To Wo Meri Tabeer Nahi Banta

Barson Pehle Us Ne Ek Baat Kahi Thi
K Mein Piyar To Karta Hon Magar Izzhar Nahi Karta

Ek Yehi Us K Piyar Ki Qaid Kafi Hai
Wo Zanjeer Hila Deta hai Magar Azaad Nahin Karta

· 2 Like · Sep 18, 2015 at 17:09
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Shaam Ke Baad

Tu Ne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad
Kitne Chup Chaap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad

Itne Chup Chaap Ke Raaste Bhi Rahenge Laa Ilm
Chhor Jaayenge Kissi Roz Nagar Shaam Ke Baad

Main Ne Aise Hi Gunaah Teri Judaai Mein Kiye
Jaise Toofaan Mein Koi Chhor De Ghar Shaam Ke Baad

Shaam Se Pehle Vo Mast Apni Uraanon Mein Raha
Jis Ke Haathon Mein The Toote Hue Par Shaam Ke Baad

Raat Beeti To Gine Aable Aur Phir Socha
Kaun Tha Baais-E-Aaghaaz-E-Safar Shaam Ke Baad

Tu Hai Suuraj Tujhe Maaluum Kahaan Raat Ka Dukh
Tuu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam Ke Baad

Laut Aaye Na Kissi Roz Vo Aavaaraa Mizaaj
Khol Rakhate Hain Isi Aas Pe Dur Shaam Ke Baad

· 1 Like · Sep 16, 2015 at 10:09
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aalam E Visaal

Samay Samay Ki Khalish Mein Tera Malaal Rahe
Judaaiyon Mein Bhi Yun Aalam-E-Visaal Rahe

Anaa Ki Jang Men Ham Jeet To Gaye Lekin
Phr Us Ke Baad Bahut Der Tak Nidhaal Rahe

Raah-E-Junoon Mei.N Yahi Zaad-E-Raah Hota Hai
Ke Justaju Barhe Divaanagi Bahaal Rahe

Haseen Raaten Bhi Mahaken Tumhaari Yaadon Se
Karre Dinon Mein Bhi Pal Pal Tera Khayaal Rahe

Tu Ek Baar Zaraa Kishtiyaan Jalaa To Sahi
Hai Kya Majaal Ke Ek Lamhaa Bhi Zavaal Rahe

· 1 Like · Sep 15, 2015 at 22:09
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Dair Kitni Lagti Hai

Aag Ho To Jalane Mein Der Kitni Lagti Hai
Barf Ke Pighalane Mein Der Kitni Lagti Hai

Chaahe Koi Ruk Jaaye Chaahe Koi Reh Jaaye
Qaafilon Ko Chalane Mein Der Kitni Lagti Hai

Chaahe Koi Jaisa Bhi Hamsafar Ho Sadiyon Se
Raasta Badalane Mein Dair Kitni Lagti Hai

Ye To Vaqt Ke Bas Mein Hai Ke Kitni Mohalat De
Varna Bakht Dhakne Mein Der Kitni Lagti Hai

Mom Ka Badan Lekar Dhoop Mein Nikal Aana
Aur Phir Pighalane Mein Der Kitni Lagti Hai

Soch Ki Zameenon Mein Raaste Juda Hon To
Door Jaa Nikalne Mein Der Kitni Lagti Hai

· 1 Like · Sep 15, 2015 at 02:09
Category: general
 
My Shoes [MAPS Film School]
Posted by Interesting Videos
Posted on : May 24, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS