Poetry / General

Muzammil Shahzad

وقت سے کون کہے

وقت سے کون کہے

وقت سے کون کہے یار

ذرا آہستہ چل

گر نہیں وصل تو یہ خوابِ رفاقت ہی ذرا دیر رہے

وقفئہ خواب کے پابند ہیں

جہاں تک ہم ہیں

یہ جو ٹوٹا تو بکھر جائیں گے سارے منظر


(تیرگی ذاد کو سورج ہے فنا کی تعلیم)

ہست اور نیست کے مابین اگر

خواب کا پل نہ رہے

کچھ نہ رہے

وقت سے کون کہے

یار ذرا آہستہ چل

· 1 Like · Dec 04, 2015 at 04:12
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kuch Tou Hai, Too Badal Gaya Hai

Wo Teri Aankhon Ke Khwaab Saare
Wo Baatein Saari, Hisaab Saare
Sawaal Saare, Jawaab Saare
Wo Khushian Saari, Azaab Saare
Nasha Tha, Jo Utar Gaya Hai
Kuch Tou Hai, Too Badal Gaya Hai
Jo Mere Milne Ki Aarzoo Thi
Jo Tujh Ko Paane Ki Justajoo Thi
Huii Jo Chaahat Abhi Shuroo Thi
Jo Teri Aankhon Main Raushani Thi
Jo Teri Baaton Ki Raagani Thi
Jo Teri Saanson Ki Taazagi Thi
Jo Tere Lehje Main Chaasahani Thi
Wo Meetha Saara, Pighal Gaya Hai
Kuch To Hai, Tou Badal Gaya Hai

· 1 Like · Dec 03, 2015 at 10:12
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yeh Bata De Mujhe Zindagi

Ye Bata De Mujhe Zindagi,
Pyaar Ki Raah Ke Humsafar,
Kis Tarah Ban Gaye Ajnabee,
Ye Bata De Mujhe Zindagi,
Phool Kyon Saare Murjha Gaye,
Kis liye Bujh Gayi ChaNdni,
Ye Bata De Mujhe Zindagi,

Kal Jo Baahon Mein Thi,
Aur Nigaahon Mein Thi,
Ab Wo Garmi Kahan Kho Gayi,
Na Wo Andaaz Hai,
Na Wo Aawaz Hai,
Ab Wo Narmi Kahan Kho Gayi,
Ye Bata De Mujhe Zindagi,

Bewafa Tum Nahin,
Bewafa Hum Nahin,
Phir Wo Jazbaat Kyon So Gaye,
Pyaar Tumko Bhi Hai,
Pyaar Humko Bhi Hai,
Fasale Phir Ye Kya Hogaye,
Ye Bata De Mujhe Zindagi...

· 1 Like · Nov 28, 2015 at 18:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Dar Gaye Hain

Hawa Ke Haathon Ki Meherbani Se Dar Gaye Hain
Ye Phool Khushbu Ki Raye Gaani Se Dar Gaye Hain

Ye Rasm E Rukhsat Nibhaye Kaise Ye Sochte Hain
Tumhari Aankhon Main Aaye Paani Se Dar Gaye Hain

Ye Teer Jitne Fiza Main Aa Ker Theher Gaye Hain
Kisi Prinde Ki Bey Zubani Se Dar Gaye Hain

Abhi To Dil Ko Udas Kerti Nahi Hain Shaamen
Abhi Se Kyoun Gham Ki Hukmarani Se Dar Gaye Hain

Hamen Bhi Sahil Pe Geet Likhne Thay Seepioun Se
Magar Hawaon Ki Meherbani Se Dar Gaye Hain

· 1 Like · Nov 27, 2015 at 16:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Hamay Maathe Pe Bosa Do

Kabhi Hum Khoobsurat The
Kitaabon Main Basi Khushbu Ki Maanind Saans Saakin Thi
Bohat Say Ankahe Lafzon Se Tasveerain Banate The
Parindon Ke Paron Per Nazm Likh Ker

Door Ki Jheelon Main Basnay Waalay Logon Ko Sunaatay The
Jo Ham Say Door Thay Lekin Hamare Paas Rehtay The
Naye Din Ki Musaafat Jab Kiran Ke Saath
Angan Main Utartee Thi

Tou Hum Kehtay Thay
Ammi Titlion Kay Per Bohat Hee Khoobsoorat Hain
Hamain Maathay Pey Bosa Dou kay Ham Ko Titlion Kay jugnuon Ke
Des Jaana Hai
Hamain Rangon Kay Jugnoo roshni Ki Titlian Aawaz Detee Hain

Naye Din Ki Musaafat Rang Main
Doobi Hawa Kay Saath Khirki Say Bulaati Hai
Hamain Maathay Pay Bosa Do
Hamain Maathay Pay Bosa Do

· 1 Like · Nov 24, 2015 at 14:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ab K Muqabile Pe

Vafaa ke bhes men koi raqeeb-e-shahar bhi hai
Hazar! ke shahar ke qaatil tabib-e-shahar bhi hai

Vahi sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaron taraf
Jo mere baKht mien thaa ab nasib-e-shahar bhi hai

Udhar ki aag idhar bhi pahuNch na jaaye kahin
Havaa bhi tez hai jangal qarib-e-shahar bhi hai

Ab us ke hijr mien rotey hain us ke ghaayal bhi
Khabar na thi ke vo zaalim habib-e-shahar bhi hai

Ye raaz naaraa-e-mansoor hi se ham pe Khulaa
Ke choob-e-minbar-e-masjid salib-e-shahar bhi hai

Kari hai jang ke ab ke muqaabile pe `Faraz`
Ameer-e-shahar bhi hai aur khateeb-e-shahar bhi hai

· 3 Like · Nov 22, 2015 at 06:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Zara Pehle Bata Dena

Bharosa Toot Janay Se Zara Pehle Bata Dena,
Mujhe Tum Azmanay Se Zara Pehle Bata Dena,

Kissi Helay Bahanay Se Zara Pehle Bata Dena,
K Mujhko Tum Bholanay Se Zara Pehle Bata Dena,

Zameen Ki Rait Pe Tumne Jo Muhabbat Likhi Thi,
Woh Tehreerein Mitanay Se Zara Pehle Bata Dena,

Mere Dilbar K Is Dil Par Main Rakh Lon Zabt Ka Pathar,
Suno Daman Churanay Se Zara Pehle Bata Dena,

Kissi Bhi Mor Pe MOHSIN Bura Pao Agar Mujhko,
Zamanay KO Batanay Se Zara Pehle Bata Dena.....!!!

· 1 Like · Nov 21, 2015 at 23:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kuch Dhajjiyan Hain

Jo Din Guzar Gaye Hain Tere Iltefaat Mai
Mai Un Ko Jor Loon Ke Ghata Don Hayaat Mai

Kuch Mai Hi Jaanta Hoon Jo Mujh Par Guzar Gaii
Dunya To Lutf Le Gi Mere Waqeaat Mai

Mera To Jurm Tazkara E Aam Hai Magar
Kuch Dhajjiyaan Hain Meri Zulaikha Ke Haath Mai

Aakhir Tamaam Umar Ki Wusat Sama Gai
Ik Lamha E Guzashta Ki Choti Si Baat Mai

Ay Dil Zara Si Jurat E mandi Se Kaam Le
Kitne Charaagh Toot Gaye Ehteyaat Mai

· 1 Like · Nov 21, 2015 at 17:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Bay Ghar

shaam honay ko hai
laal sooraj samandr mein khonay ko hai
aur iss kay paray
kuch parinday
qitarein banaye
unhain jungalon ko chalay
kay payrron ki shakhon peh hain ghonslay
yeh parinday
wahin kar jayen gay
aur so jayen gay
hum hi heran hain
iss makano kay jungle mein
apna kahin bhi thikana nahi
shaam honay ko hai
hum kahan jayen gay ?

· 1 Like · Nov 21, 2015 at 05:11
Category: general
 
hahahahahaha
Posted by mehwish jatt
Posted on : Nov 05, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS