Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mulaqat Ka Aalam

Muddat Mein Wo Phir Taaza Mulaqaat Ka Aalam
Khaamoash Adaaon Mein Wo Jazbaat Ka Aalam

Wo Saadgi-E-Husn Wo Mehboob Nigaahi
Wo Mehfil-E-Sad Shukr O Shikayaat Ka Aalam

Aariz Se Dhalakte Huey Shabnam K Do Qatray
Aansoo Se Chhalakta Hua Barsaat Ka Aalam

Wo Nazron Hi Nazron Mein Sawalaat Ki Dunya
Wo Aankhon Hi Aankhon Mein Shikayaat Ka Aalam

Aalam Meri Nazron Mein Jigar Aur Hi Kuchh Hai
Aalam Hai Agarchay Wahi Din Raat Ka Aalam

· 1 Like · Dec 23, 2015 at 16:12
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Shikwe Tu Hain Itne

Aise Tootay Hain Tamannaon K Pindar K Bas,
Maine Jheelay Hain Muhabbaton Mein WOh Aazaar K Bas,

Ek Dhamakay Mein Zamanay Mere Hathon Se Gaye,
Is Qadar Teaz Hui Waqt ki Raftar K Bas,

Tu Kabhi Rakh K Humein Dekh Toh Bazar K Beech,
Is Tarah Toot K Ayeingay Khridar K Bas,

Kal Bhi Sadiyon Ki Musafat Pe Thay Dono,
Darmiyan Aaj Bhi Parti Hai Woh Deewar K Bas,

Yeh Toh Ik Zid Hai K "MOHSIN" Mein Shikayat Na Karun,
Warna Shikway Toh Hain Itnay Mere Yaar K Bas.....!!!

· 1 Like · Dec 23, 2015 at 04:12
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yeh Manzilain Yeh Raste

Ye Manzalain Ye Rasatay
Tery Wasaty
Ye Sakoun Ye Qarar Bi
Meri Ashqi Tery Wasaty
Tujy Her Khushi Naseeb Ho
Meri Her Dua Tery Wasatay

· 2 Like · Dec 22, 2015 at 09:12
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Suno ! Tumhein Pata Hai

Suno ! Tumhein Pata Hai
Koi Mera Bhi Hone Laga Hai
Koi Mujhe Bhi Chahne Laga Hai
Koi Mujhe Bhi Sochne Laga Hai
Suno ! Tumhein Pata Hai
Woh Ajnabi Hai Per
Apna Apna Sa Lagne Laga Hai
Tumhari Tarah Usne Mujhe
Koi Khuwaab Nahi Dikhayee
Phir Bhi Najanee Kyun
Dil Usi Ki Taraf Murne Laga Hai
Suno ! Tumhein Pata Hai
Woh Jis Ke Aane Se
Surmaiii Si Shamein Haseen
Aur Raatein Rangeen Hogaye Hain
Suno ! Tumhein Pata Hai
Woh Tumhari Tarah Apna Nahi Hai Magar
Ab Apna Apna Sa Lagne Laga Hai

· 2 Like · Dec 15, 2015 at 14:12
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

عرصہِ تمنا میں

عرصہِ تمنا میں
اہل درد کی خوشبو
افتخار رکھتی ہے
اعتبار رکھتی ہے
یہ گروہِ غم آثار
غم بہ غم بہم ھو کر
خود سے دور ھونے تک
غم سے مہکے جاتا ہے
خالی شیشیاں جیسے
عطر کی مہکتی ہیں
چور چور ھونے تک????

· 1 Like · Dec 14, 2015 at 12:12
Category: general
 
Poetry / General

Aa Ay Imaam E Asar

Nasl E Sitam Hai Dar'paye Azaar Ab To Aa
Phir Khul Rahe Hain Zulm Ke Darbaar Ab To Aa
Phir Aa Phir Wohi Dar O Deewaar Ab To Aa
Kaabe Pe Phir Hai Zulm Ki Yalghaar Ab To Aa
Din Dhal Raha Hai Waqt Ko Taaza Uraan De
Aa Ay Imaam-E-Asar, Haram Ma Azaan De

· 1 Like · Dec 09, 2015 at 09:12
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Sath Chalne Wale Jab

Sath Chalne Wale Jab...
Sath Chor Jate Hain..
Waqt Tham Nahi Jaata..
Koi Mar Nahi Jaata...
Koi Mar Bhi Jaaye To...
Zindagi Nahi Rukti...
Rastay To Chalte Hain..
Yaar Dost Milte Hain..
Zakham Aisay Siltay Hian...
Gard Gard Lamhon Main..
Umar Cut He Jati Hai...
Kuch Musafiron Ko Bas..
Manzilain Nahi Milti....

· 2 Like · Dec 06, 2015 at 20:12
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Chaloo Yunhi Sahi

Chalo Younhi Sahi.......

Tum Hum Se, Hum Tum Se Badghumaan Sahi
Lataaftoon Ka Mausam Bhi Guzar Hi Jaye Ga..

Khwahishein Mitt Jaien Gi....
Yeh Dil Bhi Tham Jaye Ga..

Yeh Bekali Si Jo Chayi Hai,
Mitt Hi Jayi Gi.

Siyaah Raat Bhi Katt Hi Jaye Gi

Magar Jana Sunu......
Inn Sab Ke Hune Se...
Shab-O-Roz Ke Guzarne Se,

Dooriyaan Barh Jaien Gi
Kammi Hu Jaye Gi Shiddatoon Mein

Fasle Barh Jaien Gaye..
Muhabbat Ghutt Jaye Gi...!!!

· 1 Like · Dec 06, 2015 at 08:12
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Main Kisey Suna Raha Hun

Mai Kisey Suna Raha Hoon Yeh Ghazal Muhabbaton Ki
Kahin Aag Sazishon Ki Kahin Aanch Nafraton Ki

Koi Baagh Jal Raha Hai Yeh Magar Meri Dua Hai
Mere Phool Tak Na Pahunchay Yeh Hawa Tamazaton Ki

Mera Kon Sa Hai Mausam Mere Mausamon Ke Wali
Yeh Bahaar Bedili Ki Yeh Khizan Muhabbaton Ki

Kahin Chaand Ya Sitare Huye Humkalaam Mujh Se
Kahin Phool Seedhiyon Ke Kahain Jhaariyan Chaaton Ki

Mere Kaaghzon Mai Shayed Kahin Ab Bhi So Rahi Ho
Koi Subha Gulstan Ki Koi Shaam Parbaton Ki

· 2 Like · Dec 05, 2015 at 18:12
Category: general
 
chalu bcha.
Posted by qaisar mahmood
Posted on : Feb 06, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS