Poetry / General

Itnaa Karnaa K Mere Pyaar Ke Mitete Huye Naqsh

Itnaa karnaa k mere pyaar ke mitete huye naqsh
Aik taaboot meN sheeshe ke sajaa kar rakhnaa

Sookhe pattey hee kaheeN tum ko agar mil jaayeN
Tum mairi qabr peh pyaare! wohee laa kar rakhnaa

Raah mushkil hai bohat zeest kee, behtar yeh hai
Apnaa daaman Zaraa kaaNToN se bachaa kar rakhnaa

Koyee jeewan meN tumheN saathi agar mil jaaye
tum usey apnee muHabbat hee banaa kar rakhnaa

Tum ko manzoor ho to dil meN isee meena kee
Ek taSweer adhooree hee banaa kar rakhnaa

· 1 Like · Sep 01, 2015 at 10:09
Category: general
 
Poetry / General

Tujhe Panay Ko Maqsad E Hayat Likha

Tujhe panay ko maqsad-e-hayat likha
Tujhe khoney ko intezaar-e-hayat likha

Tujhe hum ne apne hath ki laqeeron mein likha
Tuney khud ko kissi aur ki taqdeeron mein likha

Tere uss ihteraaz ko hum ne haya tha likha
Tere uss guraiz ko hum ne faraib tha likha

Dil-e-beqarar ko hum ne tere naam tha likha
Wafa tha hum ne apna naam likha

Jab samjhe thy teri bewafayi ko hum
Naqaam tha humne apni hayat ko likha

Muhobbat ko hum ne zawaal tha likha
Bazi-e-ishq ko hum ne maat tha likha

· 2 Like · Sep 01, 2015 at 04:09
Category: general
 
Poetry / General

Kiya Mila Mohabbat Say

Kiya Mila Mohabbat Say

Wasal Ki Tamazet Say

Khawab Ki Musafet Say

Roz-O-Shab Ki Riyazet Say

Eik Hijer Ka Sehra

Eik Thakka Howa Ansoo

Eik Sham Yadooo Ki

Kiya Mila Muhabbat Say

· 1 Like · Aug 31, 2015 at 17:08
Category: general
 
Poetry / General

Kiya Mila Mohabbat Say

Kiya Mila Mohabbat Say

Wasal Ki Tamazet Say

Khawab Ki Musafet Say

Roz-O-Shab Ki Riyazet Say

Eik Hijer Ka Sehra

Eik Thakka Howa Ansoo

Eik Sham Yadooo Ki

Kiya Mila Muhabbat Say

· 1 Like · Aug 31, 2015 at 04:08
Category: general
 
Poetry / General

Qorbani

woh ek khuwahish
woh ek kasuk
woh ek sapna
jo ke mere dil ki atha gehraiyon main
sakoot ordhay,dum sadhay betha hai
or us din ka muntazir hai,
jab isse zinda hona hai,
or ek tofaan ki manind,
her shey ko baha ker lejana hai,
mager nahin......
mujhey usse rookna hoga,
apni khuwahishon ko dabana hoga,
apnay sapnon ko torna hoga,
kahin woh apnay saath,
mera sab khuch na baha ker le jay,
kahin mera dost na mujhse chin jay,
kahin woh bhi na mujhse chin jay,
jo kabhi mujhe mila hi nahin,
jo ke mera apna hai,
mera sapna hai,
kahin aasa na ho,
is tofaan ke bais,
meri chahat mujhse chin jay,
kahin aasa na ho kissi ka dil toot jay,
koi rooth jay,
haan mujhe aasa hi karna hai,
is juzbey ko,
is chahat ko,
apnay dil main qeed karna hai,
kiya maloom,
uski bhi koi chahat ho,
uska bhi koi piyaar ho,
haan main yeh ehsaas,
dil ki gehraiyon main,
dafun kar longa,
or usko bhool jaonga,
kiyon ke piyar panay ka naam nahin,
bulke khone ka naam bhi piyar hi hai,
piyar....
piyar jo qorbani maangta hai,
mujhe qorbani hi to deni hai,
apnay juzbon ki qorbani,
apnay sapnon ki qorbani,
or sab se barh ker,
apnay piyar ki qorbani..

· 1 Like · Aug 29, 2015 at 07:08
Category: general
 
Poetry / General

Wo Raste Hame Phr Yaad Aane Lage

Wo raste hame phr yaad aane lage
jin rastoun say thay ham kutrane lage

wo rusta jo jata tha mehbub k ghar
phr yadoun k sitare wahan jilmilanay lage

bhula baitha tha beete waqton ki sabhi batain
wo nutkhut adayain or dikhawe yad aane lage

qismat mai jo hamari milna nahi likhaa
zahen o dil mai phr wo kyun samane lage

mehbub us jaisa hame mil nahi sakta
hame juda kar k kyun loge pachtane lage

kashish un ki aankhun mai bala ki hia
nazrooun k ter k samne qatil ter sharmane lage

· 1 Like · Aug 28, 2015 at 11:08
Category: general
 
Poetry / General

Titleyon Kay Mousam Mein Nochana Gulabo Ka

Titleyon Kay Mousam Mein Nochana Gulabo Ka

Reet Is Nagar Ki Hai Or JAney Kab Se Hai

Dhekh Ker Parendo Ko Bandna Neshano Ka

Reet Is Nagar Ki Hai Or JAney Kab Se Hai

Shehar Ke Ye Log Bo Ker Bej Nafrat Ka

Sochty HAin Fasal Ho MOhabat Ki

Bhol Ker Haqeqat Ko Palna Gumano Ka

Reet Is Nagar Ki Hai Or JAney Kab Se Hai

Tum Abe Naye Ho Is Leye Pareshen Mat Ho

Aftein Jo Ati Hain Totna Sitaron Ka

Reet Is Nagar Ki Hai Or JAney Kab Se Hai

· 1 Like · Aug 27, 2015 at 16:08
Category: general
 
Poetry / General

Aye Mere Khamosh Sathi

Aye Mere Khamosh Sathi
Tu kiyoun itna udas hai
Tujhe to Khuda ne nemat ataa ki hai
Logon ko hansane ki
Ye tere ansu
Jinhain log dekhne se ghafil hain
Jo apni khushi mein magan hain
Jo apni hasti mein khain gum hain
Tu kiyoun enko khojta hai
Tu kiyoun enko dhundta hai
K tu to shuru se akaila hai
Aur akhir tak akaila hai
K ye khushi jo do pal ki hai
Tu bhi es mein khush hoja
Aur ji le sari zindagi
Tu kiyoun itna udas hai
Tu kiyoun afsurda hota hai
K ye to hain musafir apni hi zindagi k
K najane ye safar kab khatam ho jaye
Phir baqi reh jayega aik ehsas
K Ehsas To Hota Hai Kisi K Jane K Baad
Ye waqt ki rait jo hathon se phisal rahi hai
Kahin tham na jaye
Tu Khush hoja
Aur ji le ye Sham
K kahin waqt guzar na jaye
Aye mere Khamosh Sathi
Aao es Sham k andhere mein
Hum donon beth k batain karain
Koi bhi na ho hamare aas paas
Kuch tum shikwa karo
Kuch hum tum ko manayein
Ye mosam to badal jayega
Magar hum na badlenge
K ye waqt to chala jayega
Magar hum yahin rahenge
Aye Mere Khamosh Sathi........!!

· 1 Like · Aug 26, 2015 at 20:08
Category: general
 
Poetry / General

Ajanabi Ajanabi

Hamsafar ban ke ham saath hain aaj bhi phir bhi hai ye safar ajanabi ajanabi
Raah bhii ajanabi morr bhi ajanabi jayein ham kidhar ajanabi ajanabi

Zindagii ho gai hai sulagata safar door tak aa rahaa hai dhuaan saa nazar
Jaane kis morr par kho gai har Khushii dey ke dard-e-jigar ajanabi ajanabi

Hamane chun chun ke tinke banaaya tha jo aashiyaan hasaraton se sajaayaa tha jo
Hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhi lag raha hai magar ajanabi ajanabi

Kis ko maalum thaa din ye bhi aayeinge mausamon ki tarah dil bhi badal jaayeinge
Din hua ajanabi raat bhi ajanabi har ghari har pehar ajanabi ajanabi

· 1 Like · Aug 26, 2015 at 14:08
Category: general
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS