Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mere Wajood Ki Jageer

mere wajood ki jageer usne mangi Hai
ajab kHawab ki Tabeer usne mangi Hai

uski qaid mein reHTa Hoon main peHle bhi
najane pHir kyon zanjeer usne mangi Hai

guman HoTa Hai wo bHool sakTa Hai mujhe
kyon k aaj meri Tasveer usne mangi Hai

mere kHuda mujhe uske nasib me likH de
k mujhse meri Taqdeer usne mangi Hai..!

· 1 Like · Aug 12, 2015 at 06:08
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Chehra Nahi Raha !

Dunia Ka Bhi Kuch Bura Tamasha Nahi Raha
Dil Chahta Tha Jis Tarah Waisa Bhi Nahi Raha

Tum Say Millay Bhi Hum , Judaaie Kay Mor Per
Kashti Hoyee Naseeb To Darya Nahi Raha

Kehtay Thay Ik Pal Na Jeeyen Gay Tere Baghair
Hum Donoo Reh Gaye , Woh Wada Nahi Raha

Katay Hain Tere Baad Is Tarah Roz -O-Shab
Main Saans Lay Raha Tha Per Zinda Nahi Raha

Ankhain Bhi Daikh Daikh K Khuwab, Aa Gai Hain Tung
Dil Main Bhi Ab Woh Shoq , Woh Lapka Nahi Raha

Kaysay Milaain Aankh Kissi Aainay Say Hum
Hamaray Paas To Ab Chehra Nahi Raha !

· 1 Like · Aug 11, 2015 at 13:08
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Chasm E Saqi

Chasm-E-Saqi Ny Ye Kiya Khail Racha Rakha Hai
Koi Zahid To Koi Makaar Bana Rakha Hai

Jo Phansa Phir Na Kabhi Us Ny Rehai Mangi
Teri Zulfon Ny Ajab Jaal Bicha Rakha Hai

Husan Ho, Ya Ishq Ho Donon Ka Asar Yaksan Hai
Cheez Hai aik Magar Naam Juda Rakha Hai

Rukh Pe Lehrati Hain Kabhi Shanon Sy Ulajh Parti Hain
Tu Ny Zulfon Ko Bahut Sar Pe Charha Rakha Hai

Teri Makhmoor Nigahon Sy Hai Raunaq Sari
Warna SAQI Tery Maykhaney Mein Kiya Rakha Hai..!

· 2 Like · Aug 04, 2015 at 18:08
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Laho Laho Kar K

Azaab-E-Deed mein ankhen lahu lahu kar k
Main sharamsaar hua teri Justaju kar k,

Suna hai Shehr mein zakhmi dilon ka maila hai
Chalen ge hum Bhi mgr pairahan rafu kar k,

Musafat-E-Shab-E-Hijraan k Baad Bhaid khula
Hawa dukhi hai charaghon ki aabru kar k,

Ye kis ne hum se lahu ka khiraaj phir manga
Abhi to soye the maqtal ko surkhuru kar k,

Ujaar rut ko gulabi Banaye rakhti hai
Hamari Aankh teri deed se wazu kar kay...

· 1 Like · Aug 04, 2015 at 00:08
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Raqs

Raqs Krny Ka Mila Hukm Jo Daryaon Mèn
Hum Nè Khush Ho K Bhanwr Baandh Liyè Paon Mèn.

Hosla Kis Mèn Hy Yousif Ki Khrèèdari Ka
Ab To Mèhngai K Charchay Hain Zulèkhaon Mèn.

Wo KHUDA Hai Kisi Tootay Huvy Dil Mèn Ho Ga
Masjidon Mèn Usy Dhoond Na Kalèèsaon Mèn.

Hum Ko Aapas Mèn Mohbat Nahi Karny Dety
Ik Yèhi Aèb Hai Is Shèhr K Daanaon Mèn.

· 1 Like · Aug 03, 2015 at 16:08
Category: general
 
Poetry / General

Kuch To (Pak Old)

Rang barsaat ne bhare kuch to
Zakham dil k huwe hure kuch to
Fursat e bey khudi ganimat hay
Gardasheen ho gayen pare kuch to
Kitne shoredah sar the parwane
shaam hoty hi jal mare kuch to
Aisa mushkil to naheen tera milna
Dil magar justejo kare kuch to
Aao nasir koy gazal chaireen
Jee behal jaye ga arey kuch to !

· 1 Like · Jul 31, 2015 at 03:07
Category: general
 
Poetry / General

Main kis liye jita hoon (Pak Old)

Kyun pouchty ho
Kiya tum se kahoon
Main kis liye jita hoon
Shayad k kabhi mil jao kaheen

Main is liye jita hoon.

Jine ka mujhe kuch shoq naheen
Bas waqt guzara karta hoon
Kuch deer ulhaj kar yadoon main
Dunya se kanara karta hoon
Marta bhi ussi ki khatir hoon main
Jis liye jita hoon shayad k kabhi mil jao kaheen

Main isliye jita hoon

Main hoon k sulagta rahta hoon
Bhujta bhi naheen jalta bhi naheen
Dil hay k tarapta rehta hay
Rukta bhi naheen chalta bhi naheen
Jine ki tamana mit bhi chuki
Phir kis liye jita hoon
Shayad k kabhi mil jao kaheen

Main isliye jita hoon !!!

· 1 Like · Jul 30, 2015 at 18:07
Category: general
 
Poetry / General

Teri Yaad Aaa Gayi (Pak Old)

Teeri yaad a gayi gham khushi main dhal gaye
Ek chirag kiya jala soo chirag jal gaye

Aaj bhi nigah main phir raha hay woh samaa
Sharm se ruke ruke mil gaye the tum jahan
Aisi bijliyaan gireen saare khuwaab jal gaye

Rahguzar main pyaar ki tum the mere humqadam
Tum to ho gaye juda aur bhatak rahe hain hum
Dekhty hi dekhty raasty badal gaye
Gham khushi main dhal gaye...

· 1 Like · Jul 30, 2015 at 11:07
Category: general
 
Poetry / General

Aur Phir Tuut Ja (pak Old)

Khiloney

muskara

Kisi se dil laga

Aur phir tuut jaa

Khushi dhunde ga tu

Mileen ge lakh gham

Tujhay thukrayeen ge

Yeh pathar k sanam

Yeh dhokah tu bhi kha

Kisi ko aazmaa

Aur phir tuut jaa



Mile gi aik din

Mohabbat ki saza

Urye ga rang bhi

Jale ga dil tera

Yaqeen kar pyaar ka

Yeh sadma bhi utha

Aur phir tuut jaa

· 1 Like · Jul 26, 2015 at 22:07
Category: general
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS