Poetry / General

Ajanabi Ajanabi

Hamsafar ban ke ham saath hain aaj bhi phir bhi hai ye safar ajanabi ajanabi
Raah bhii ajanabi morr bhi ajanabi jayein ham kidhar ajanabi ajanabi

Zindagii ho gai hai sulagata safar door tak aa rahaa hai dhuaan saa nazar
Jaane kis morr par kho gai har Khushii dey ke dard-e-jigar ajanabi ajanabi

Hamane chun chun ke tinke banaaya tha jo aashiyaan hasaraton se sajaayaa tha jo
Hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhi lag raha hai magar ajanabi ajanabi

Kis ko maalum thaa din ye bhi aayeinge mausamon ki tarah dil bhi badal jaayeinge
Din hua ajanabi raat bhi ajanabi har ghari har pehar ajanabi ajanabi

· 1 Like · Aug 26, 2015 at 05:08
Category: general
 
Poetry / General

Mian Usman

Ibn E Adam

fard ki qismat mai asmaan naheen
aur iss zameen par uska koee makaan naheen

chand hathoon mai hai marqooz muqadir uska
ghut k marjanaa bhi ab kharij-e-imkaan naheen

ibn-e-adam hai kissi aur ki aulaad naheen
yeh bhi iss ghar ka makeen hai koee mehmaan naheen

mudatoon isko andheray mai sulaya tumnay
ab iss say chand chupana koee asaan naheen

jo naik dil thay unhay zehr peelaya tumnay
naik aur bud ki tumhay aaj tak pehchaan naheen

· 1 Like · Aug 24, 2015 at 18:08
Category: general
 
Poetry / General

Mere Paas Kya Raha Hay (Pak Old)

Main khushi se kyun na gaoun
Mera dil bhi gaa raha hay
Yeh faza haseen hay etni
K nasha sa chaa raha hay

Mere humnasheen mubarak
Tujhaye pyaar ki yeh manzil
Tujhaye mil gayi woh dolat
Jo hay zindagi ka hasil
Woh gumaan tha ek haqeqat
Yeh yaqeen a raha hay

Yeh khushi bhi kiya khushi hay
K nikal pare hain aansou
Kaheen dil na baith jaye
K naheen hay dil pe kabuu
Tujhaye nazar doon to kiya don
Mere paas kiya rahaa hay

· 1 Like · Aug 20, 2015 at 21:08
Category: general
 
Poetry / General

Tere Bagair (Pak Old)

Kaise jiyen ge dard k maare tere bagair
Ab koun de ga dil ko sahare tere bagair


Tanhaiyon ki aag mere aas paas hay
Koy naheen jo pouche nazar kyun udas hay
Lagte hain phool mujhay sharare tere bagair

Tere hi dam se ghar ki faza khushguwar thi
Dur_o_diwar pe noor tha harso bahar thi
Benoor hain yeh sare nazare tere bagair

Har din hay soguwaar
Hr ek raat gham ki raat hay

Katte hain raat din teri yadoon k sath sath
Aansu bane hain gham k sitare tere bagair

· 1 Like · Aug 18, 2015 at 15:08
Category: general
 
Poetry / General

Kise Awaaz Doon (Pak Old)

Kisey awaaz doon tere siwaa

Dhundh raha hay tujhay pyaar mera

Khushi ki woh tamana hoon

Tarapti hay jo ahooon main

Najane kab se yeh aankheen

Bichi hain teri rahoon main

Jahan tere qadam hoon ge

Waheen manzil meri ho gi

Waheen ponche ga parwana

Jahan shama jali ho gi

· 1 Like · Aug 18, 2015 at 07:08
Category: general
 
Poetry / General

Aap Jin K Kareeb Hote Hain

Aap jin k kareeb hote hain
Woh bare khushnaseeb hote hain
Jab tabiyat kisi par ati hay
Mout k din kareeb hote hain
Muj se milna phir aap ka milna
Aap kis ko naseeb hote hain
Zulm sah kar jo uff naheen karte
Un k dil bhi ajeeb hote hain
Ishq main aur kuch naheen milta
Sankaroon gham naseeb hote hain
Nouh ki qadar koy kiya jane
Kaheen aise adeeb hote hain

· 1 Like · Aug 16, 2015 at 15:08
Category: general
 
Poetry / General

Sitaroo (Pak Old)

Sitaroo tum to so jao

Pareshan raat sari hay

Sakoon par marg tari hay

Humeen to aaj ki shab

Po phatney tak jagna ho ga

Yehi kismat hamari hay

Tumeen kiya hum agar

Lute gaye rah e mohabbat main

Yeh bazi hum ne hari hay

Humeen bhi nennd aa jayegi

Hum bhi so hi jayeen ge

Abhi kuch bekarari hay

· 1 Like · Aug 14, 2015 at 06:08
Category: general
 
Poetry / General

Neend Ki Rah Aksar Taka Karty Hain

Neend ki rah aksar taka karty hain

Raat ko dair talak

Dono he jaga karty hain

Dikhaa kar ek dojay ko

Dil par lagy daag apny

Chaand aur main

Darrd ki apny DUA karty hain

· 1 Like · Aug 13, 2015 at 19:08
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kismat

Kuj shok a yaar FAQIRI da
kuj ISHQ ne dur dur ROLL ditta,

Kuj SAJNAN hajat nai chadi
Kuj ZEHAR RAQIBAN kol ditta,

Kuj hijr FIRAQ da rang charrya
Kuj DARD MAAHI anmol ditta,

Kuj SARR gai KISMAT budqismat di
Kuj PIYAR vich judai roll ditta.

· 1 Like · Aug 13, 2015 at 07:08
Category: general
 
kokla chapatati jumerat ai hai
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 08, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS