Poetry / General

Muzammil Shahzad

Us Ki Yaad

Aaj us ki yaad nay humain tarpaya bohat
Aaj na chahattay howay bhi woh yaad aayi bohat

Us kay baad to jaisay vehshatoon say dosti ho gayi
Phir kyon aaj tanhaiyoon nay darraya bohat

Woh mera tha, mera hai, mera rahay ga
Hum nay is khayal say khud ko behlaya bohat

Shamma kay jalnay per hum afsoos kerain kyoon
Hum nay bhi manind shamma khud ko jallaya bohat

Hum nay jis kissi ko bhi humdard samjha "APNA"
Woh humaray dukh pah na janay kyon muskuraya bohat

· 1 Like · Nov 04, 2015 at 14:11
Category: general
 
Poetry / General

Na Pooch

Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na poch
dil se nikli hui honton me dabi baat na poch

wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha main nay sambhaley mere jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jatey hain
kya nahi dikhlaatey ye gardish-e-halaat na poch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarha usney chhuraya hai mujh se haath na poch

is tarha pal maen mujhay begana kar diya usny
kis tarha apnose khaai hai mainey maat na poch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayanaat na poch

· 1 Like · Nov 01, 2015 at 02:11
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mohabbaton Ka Hisaab

mohabbaton ka hisaab tha na adawaton ka shumaar thaa
kabhii us kii zaat azaab thii, kabhii rooh ka wo Qaraar thaa

merii pyaas itnii hii barh gayii k sarab jitne milay mujhe
howa dhoka jis pe gulaab ka wo sulagta, jalta sharaar thaa

usse main ne murr ker sada na dii k palat gaya tha wo rah se
main khizaN howa tou pata chala, merii zaat ka wo nikhaar thaa

tu bhii duur haii, main bhii duur hon, kion alug hoay ye raaste
terii chahaton ka guraiz thaa ya merii ana ka hisaar thaa

wo agr kissi ko milay kaheen tou koii bata de usse zara
mere fun-e-shairr kii be-khudii, tere ishQ hii ka khumaaR tha...!!!

· 1 Like · Oct 30, 2015 at 15:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Parakhna Mat

parakhna mat parakhne se koi apna nahin rehta
kisi bhi aaeinay main dair tak chehra nahin rehta

badey logon se milne main hammesha faasla rakhna
jahan deriya samander se mila deriya nahin rehta

hazaron shaer mere sou gaye kaaghaz ki qabron main
ajab maa hoon koi bacha mera zinda nahin rehta

tumhara shehar tou bilkul naye andaaz wala hai
humarey shehar main bhi koi ab hum sa nahin rehta

muhabbat aik khushboo hai hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhayi main bhi tanha nahin rehta

koi baadal harey mausam ka phir ailaan kerta hai
khizaan k baagh main jab aik bhi patta nahin rehta

· 1 Like · Oct 30, 2015 at 01:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Khizan K Mausam Se

Khizan kay mousam sey gulaab maang raha hai
phir apney liye koi azab maang raha hai

Jaan mangta to mein zara taghaful na karta
magar woh mujh se mere khawab maang raha hai

Ataa kar k mere zeest ko hijr ki aziyatien
aur mujh se visaal-e-rut k hisaab maang raha hai

Khataien karna hi raha mashghala uss ka
mein kiya doun sila ussey woh sawab maang raha hai

Apni samjh mein uss ki guftagu bhi nahi aati
aur woh ankahey sawaloon kay jawab maang raha hai

Mujh ko apney wajood peh bhi dastaras nahi hasil
aur dil-e-nadan hai mehtaab maang raha hai

Koi zindagi se ghabra gaya iss qadar
kashti ka musafir hai aur gardaab maang raha hai

· 1 Like · Oct 29, 2015 at 15:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Wafa Mein Ab

Wafa mein Ab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tou khair taira intazaaar karna hai

Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai

woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha keh ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai

tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tou sitaray shumaar karna hai

Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai

Kabhi tou dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai

· 1 Like · Oct 28, 2015 at 11:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ye Barishain Bhi Tum Si Hian!

YE BARISHAIN BHI TUM SI HAIN

JO BARAS GAIN TO BAHAAR HAIN

JO TEHAR GAIN TO QARAR HAIN

KABHI CHAA GAI YUNHI SHAB-O-ROAZ

KABHI SHOAR HAI...

KABHI CHUP SI HAIN

YE BARISHAIN BHI TUM SI HIAN!

KISI YAAD MAI

KISI RAAT KO...

AIK DABI HOI SI RAAKH KO

KABHI YUN HUAA KAY BUJHAA DIYAA

KABHI KHUD SE KHUD KO JALA DIYAA..

KABHI BONDH BOONDH MAI GUM SI HAIN....

YE BARISHAIN..............

BHI TUM SI HAIN!!!!!!!!!!!!

· 2 Like · Oct 28, 2015 at 04:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Masoom Mohabbat

masoom mohabbat ka bus itna fasana hai,
kagaz ki haveli hai barish ka zamana hai.

kya shart-e-mahobbat hai kya shart-e-zamana hai,
awaz bhi zakhmi hai or geet bhi gana hai.

us par utarne ki ummeed kam hai,
kashti bhi poorani hai, tufan ko bhi aana hai.

samjhe ya na samjhe wo andaz mohabbat k,
ek shakhs ko ankhon se haal-e-dil sunana hai.

bholi si 'ana' phir koi ishq ki zad par hai,
phir aag ka dariya hai or doob k jana hai.......

· 2 Like · Oct 26, 2015 at 07:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kaha Na Jaye

Tay Honge Kis Tarah Ye Maraahil Kaha Na Jaye
Is Teeragi Men Kyaa Hai Muqaabil Kaha Na Jaye

Khud De Diye Hain Main Ne Usey Haath Kaat Kar
Vo Likh Diyaa Hai Jo Sar-E-Mahafil Kaha Na Jaye

Patthar Hue Vo Lafz K The Jeete Jaagate
Is Khaamashi Se Kya Hua Haasil Kaha Na Jaye

Ab Tak To Chal Rahe Hain Tere Saath Saath Ham
Aayengi Kis Jagah Had-E-Faasil Kaha Na Jaye

Nasha Hai Ya Ke Zehar Fizaa Men Mila Hua
Kuch Hai Har Ek Cheez Men Shaamil Kaha Na Jaye

Aakhir Kahin To Baith Gaye Paaon Tor Kar
Phir Kya Kahenge Agar Ise Manzil Kaha Na Jaye

Ye Aur Baat Kuchh Bhi Dikhaai Na De Sake
Aankhen Khuli Hui Hon To Ghaafil Kaha Na Jaye

· 1 Like · Oct 16, 2015 at 18:10
Category: general
 
Agar koi tum se jalta ho.
Posted by iqra raheem
Posted on : Jul 19, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS