Poetry / General

Muzammil Shahzad

Siraat K Bina


Be-rabt se Tehreer Ibarat Nahi Hoti,
Hathon Ki Lakiron Mein Toh Qismat Nahi Hoti,

Sajday Mein dikhawa Ho Toh Sajda Nahi Hota,
Garden K Jhuknay se Ebadat Nahi Hoti,

Woh Shakhs Muhabbat se Hemesha Raha Mehroom,
Auron K Liye Jis Mein Muhabbat nahi Hoti,

Chehray Ka Singhar Kabhi Kaam Na Aya,
Siraat k Bina Koi Bhi Surat Nahi Hoti,

Shahkaar Ki Taqmeel Mein Shamil Na Ho Gar fiker,
Tasweer Toh Ban Jati Hai Muraat Nahi Hoti......!!!!

· 1 Like · Feb 16, 2016 at 11:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Muhabbat Mousam Nahi

Muhabbat Mousam Nahi
Apni Muddat Pori Karey
Or Rukhsat Hojaye
Muhabbat Sawan Nahi Toot Kr Barsey
Or Tham Jaye
Muhabbat Aag Nahi, Sulgey Bhar K
Or Bujh Jaye
Muhabbat Aaftaab Nahi, Ubhrey Chamke
Or Dhal Jaye

Muhabbat Tu Chand Ki Manend Hy
Jo Barhta Hy Ghateta Hy
Nikalta Hy Chupta Hy
Magar Kabhi Fana Nahi Hota....

· 1 Like · Feb 14, 2016 at 15:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Is Shaam Ka Suraj Dubega

Yah Dhup Kinara Shaam Dhaley,
Milte Hain Dono Waqt Jahan,
Jo Raat Na Din, Jo Aaj Na Kal,
Pal Bhar Ko Amar, Pal Bhar Mein Dhuaan
Is Dhup Kinaare Pal Do Pal.
Hothon Ki Lapak
Baahon Ki Khanak
Yah Mel Hamaara Jhooth Na Sach
Kyon Dosh Dharen
Kis Kaaran Jhoothi Baat Karen
Jab Teri Samandar Aankhon Mein
Is Shaam Ka Suraj Dubega
Sukh Soyenge Ghar Dar Waale
Aur Rahi Apni Rah Lega.

· 1 Like · Feb 14, 2016 at 03:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mujhe Sochna Parega


Ye Wafa Bhi Kya Khata Hai

Mujhay Sochna Paray Ga

Usay Mujh Say Kyun Gila Hai

Mujhay Sochna Paray Ga

Dil-E-Muztarib Hoa Hai Teri Yaad Say Gurezan

Ye Muqam Konsa Hai

Mujhay Soochna Paray Ga

Wo Milay To Beqarari

Na Milay To Beqarari

Meray Dil Ko Kya Hoa Hai

Mujhay Sochna Paray Ga!

· 1 Like · Feb 13, 2016 at 02:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

"Usse kehna"

Agr meri mohabat me na thi pakezgi itni,

Tujhe tark-e-taluq mein Q mushkil pari itni,

Badal jao bhale tum b mgr ye zahen mein rakhna,

Kahin pachtawa na ban jaye ham se be-rukhi itni,

Tujhe yun toot kar chaha wajood apna mita dala,

KHUDA ko paa chuke hote jo karte bandagi itni.

· 1 Like · Feb 12, 2016 at 20:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mohabbat K Safar Main

Mohabbat Ke Safer Me Koi Bhi Rasta Nahi Deta

Zameen Waqif Nahi Banti Falak Saaya Nahi Deta

Khushi Aur Dukh Ke Mausam Sab ke Apney Apney Hotay Hain

Kisi Ko Apney Hissay Ka Koi Lamha Nahi Deta

Udaasi Jis Ke Dil Mein Ho Usi Ki Neind Urhti Hai

Kisi Ko Apni Aankhon Say Koi Sapna Nahi Deta

Uthana Khud Hi Parhta Hai Thakaa Toutaa Badan Apna

Ke Jab Tak Saans Chalti Hai Koi Kandha Nahi Deta

· 1 Like · Feb 11, 2016 at 18:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Jatay Jatay

Hath Khaali Hain Teray Shehar Say Jatay Jatay
Jan Hoti To Meri, Jan Lutaatay Jatay

Mujh Say Pehlay Bhi Musaafir Kai Guzray Hon Gay
Kam Say Kam Raah K Patthar To Hatatay Jatay

Mujhy Ronay Ka Bhi Saleeqa Nahe Aata Shayad
Log Hanstay Hain Mujhy Dekh K Aatay Jatay

Main Bhi Majboor Tha Main Ne Usay Roka Bhi Nahe
Wo Dekhta Raha Murr Murr K Mujhy Jatay Jatay... .

· 1 Like · Feb 05, 2016 at 13:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Sau Khuloos Baaton Mein

Sau Khuloos Baaton Mein Sab Karam Khayalon Mein,
Bas Zara Wafa Kam Hai Tere Sheher Walon Mein,

Pehli Baar Nazrone Chaand Bolte Dekha,
Hum Jawaab Kya Dete Kho Gaye Sawalon Mein,

Raat Teri Yaadone Dil Ko Is Tarah Chheda,
Jaise Koi Chutki Le Narm Narm Gaalon Mein,

Meri Aankh Ke Taare Ab Na Dekh Paaoge,
Raat Ke Musafir The Kho Gaye Ujalon Mein...

· 1 Like · Feb 04, 2016 at 12:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Udaas Ho Gaya Safar

Udas Hogaya Safar
Khili Hoi Kali Bhi Ro Pari Lab-E-Hisar-E-Gham
Fishar-E-Gham Bata Gaya
Khayal Kham Zindagi
Ye Subha Subha Mout Si
Ye Sham Sham Zindagi
Ye Bam Bam Zindagi
Khud Aagahi Ka Shouq Bhi Hai
Dhiyaan Main Racha Hua
Tou Bayhisii Ka Ranj Bhi
Naseeb Main Basa Hua
Ye Baybasi Ye Baybasi
Ye Ashq Ashq Maykashi
Thathak Thathak Gaya Sama
Khamoshiyan Khamoshiyan
Kisi K Rukh Per Ak Pall Bhi Tiktiki
Na Jum Saki
Baras Gai Jo Chashm-E-Dill
Tou Dill Say Bhi Na Tham Saki
Shab-E-Panah Aaah Main Na Jaany Kab
Badal Gai
Subuk Subuk Sadaye Dill
Chanan Chanan Radaye Dill
Hawa Hawa Khayal Sab
Juda Juda Malal Sab
Khuda Khuda Sawal Sab
Kabhi Tou Shah Zindagi Kabhi Ghulam Zindagi
Ye Subha Subha Mout Si
Ye Shaam Shaam Zindagi
Ye Shaam Shaam Zindagi………..!!

· 1 Like · Feb 03, 2016 at 05:02
Category: general
 
James bond.
Posted by faisal razzaq
Posted on : Oct 09, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS