Poetry / General

Muzammil Shahzad

Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai

Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai,
Yaqin Kaamil Nahi Lekin Guman Hai Piyar Karti Hai"

"Laraz Jata Hon Main Ye Soch K Kafir Na Ho Jaon,
Tabiyat Us Ki Pooja Pe Bara Israar Karti Hai"

"Use Maloom Hai Shayad Mera DIL Hai Nishane Per,
Labon Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai"

"Main Us Se Pochta Hon Khwab Mein, 'Mujh Se Mohabat Hai?'
Phir Aankhen Khol Deta Hon Woh Jab Izhaar Karti Hai,

· 1 Like · May 16, 2016 at 21:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Dil Hai K Bhatakta Hai Rahoon Ki Hawa Ho Kar...

Majbor E Ana Ho Kar Paband E Wafa Ho Kar
Hum Beth Gaye Aakhir Razi Ba Raza Ho Kar

Jis Rut Men Wo Bichra Tha Uss Rut K Taaqub Mein
Dil Hai K Bhatakta Hai Rahoon Ki Hawa Ho Kar...

Is Jism K Zindan Mein Ik Umer Se Qaidi Hein
Ur Jayen Gaye Hum Akhir Ik Roz Riha Ho Kar

Aab Tak Mere Aangan Mein Phoolon Ka Basera Hai
Guzrey The Mere Ghar Sey Wo Bad E Saba Ho Kar

Iss Darja Hawadis Sey Khaaif Hai Meri Hasti
Her Lafz Nikalata Hai Hoonthon Sey Dua Ho Kar,

· 1 Like · May 16, 2016 at 14:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ham Haqeeqat Hi Samajhtey Rahey Bahaaney Ko

Ham haqeeqat hi samajhtey rahey bahaaney ko!
Jaan beychain hai ab fir naye fasaaney ko!!

Sach hai: toubaa zaroor ki thi: tum they pahloo mein:
Bin tumhaarey, to, wahee saath hai nibhaaney ko!

Wo kyaa wajah hai, shafaq ruk rahaa hai aaney sey:
Bulbuleyn tak nahin taiyaar hain manaaney ko?

Chaand matmah hai baam par: hai ilaaqaa roshan!
Shagal hai un kaa: zarooree hai dil churaaney ko!!

Na jaaney kyaa hai, ki, beychain ho uthhaa hun main:
Phisal rahey hain qadam fir sharaabkhaaney ko?

Aaj har lamhah khilaafat pai utar aayaa hai:
Hameen miley hain usey, kyounki, aazmaaney ko?

Nisf shab, nisf hee raheygee aaj, lagtaa hai;
Lagey hain saath anaasir, mujhey sataaney ko!

Kitney afraad aa jutey hain unki khidmat mein:
Saraa samajh rahey hain, meyrey aashiyaaney ko!

Koun aayaa hai: muqaffal hain kibaadey saarey:
Haaya, beytaab hun kisko galey lagaaney ko?

Taan sun teyri baansuree ki, mujhey lagtaa hai,
Khwaab mein bhi rahaa hai jaag 'abd' gaaney ko!,

· 1 Like · May 16, 2016 at 01:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise

Yun na mil mujh se KHAFA ho jaise
Saath chal MAUJ-E-SABA ho jaise


Log yun dekh kar HANS dete hain
Tu mujhe BHOOL gaya ho jaise


Ishq ko SHIRKK ki had tak na barha
Yun na mil humse KHUDA ho jaise


Maut b ai to is NAAZ ke saath
Mujh pe EHSAAN kiya ho jaise


Aise ANJAAN bane baithay ho
Tum ko kuch b na PATA ho jaise


Hichkiyan RAAT ko aati hi rahein
Tu ne phir YAAD kiya ho jaise


Zindagi beet rahi hai "DANISH"
Koi be-jurm SAZA ho jaise!!!!...........,

· 1 Like · May 15, 2016 at 18:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Wo Kahte Hain Ranjish Ki Batain Bhula De

Wo Kahte hain ranjish ki batain bhula de
Mobabbat kare khus rahe muskura de

Jawani ho agar javidani to ya Rab
Teri sada duniya ko jannat bana de

Shab-e-Vasl ki bekhudi chah rahi hai
Kaho to sitaroon ki shamaain bujha de

Tum afsana-e-qais kya puchhate ho
Idhar ao hum tum ko "LAILA" bana de

Baharain simat aye khil jaye kaliyan
Jo hum tum chaman main kabhi muskura de

Wo ayeinge aj ai bahar-e-mohabbat
Sitaroon ke bistar main kaliyan bicha de,

· 1 Like · May 13, 2016 at 14:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kisi Morr Per...

Milay kab they hum kisi mod per na ussay khaber na mujhe khaber
K khayal-o-khawab ka tha safer,na ussay khaber na mujhe khaber

Na woh saan main na guman main , na salam tha na payam tha
Kisay kis nay dekha tha chonk ker,na ussay khaber na mujhe khaber

Dar-e-dil pay naram see dastakein , kisay roktay kisay tokatay
Woh mehak thi jan main gai utar,na ussay khaber na mujhe khaber

Kabhi uss kay seenay main mera dil , bada natawaan , bada muzmahal
Meray rukh pay uss ki hai chashm-e-ter,na ussay khaber na mujhe khaber

Dil muztarab, rahin kab talak kisi bay khaber kay khayal main
Kisay dhoondatay rahin umer bhar,na ussay khaber na mujhe khaber

Kabhi kho gay sabhi rastay kabhi rastoon say palat gay
Kahan uss ka ghar,kahan mera ghar,na ussay khaber na mujhe khaber

They nazar main ajnabi rastay to yeh kaisay aa gaya yak ba'yk
Sir-e-rah chahtoon ka nager,na ussay khaber na mujhe khaber.....!!!!,

· 1 Like · May 13, 2016 at 08:05
Category: general
 
Poetry / General

Mohammad Asif

Kaho Kia Bhool Jao Gay ?

Kaho kia bhool jao gay ?
MSN ki woh mulakatein
woh pyar bhari baatein
woh LOGIN hone ka intezar
woh intezar ki sa'atein

kaho kia bhool jao gay ?
woh farzi naam ka batana
HAHA likh ker jhoota kehkaha lagana
woh ASL poochne per
apni umer ko aur kam batana

kaho kia bhool jao gay ?
woh pyar bhari tehrirein
woh MSN ki EMOTICON tasveerein
woh NICK mein haal-e-dil likhna
woh NET ko taiz karne ki tadberain

kaho kia bhool jao gay ?
woh typing se ungliyon mein dard hona
kisi baat per ghussey se chehre ka zard hona
lafz sorry ka screen per aate hi
lehjey ka phir se sard hona

kaho kia bhool jao gay ?
woh jaagna rooz raaton mein
woh jhalakna pyar baaton mein
woh TYPE karte karte
leina MOUSE hathoon mein

kaho kia bhool jao gay ?
woh MSN per dosron ko ignore karna
her jumley per buhat ghour karna
woh dil per hath rakh ker BYE kehna
aur zara aur rukhne per zoor daina

kaho kia bhool jao gay ?
tumarhe LOGIN hotey hi
doston ka woh jhumghata lag jana
tum se baat karne ki khatir
sir dard ka woh jhoota bahana

kaho kia bhool jao gay ?
bewaja baaton per takraar karna
bar bar NETMEETING la israar karna
woh roman urdu mein ki gayeen baatein
pyar ka dabay lehjey mein izhar karna

kaho kia bhool jao gay ?
woh doston se tumhari ID chupana
kabhi FONT badalna kabhi gun gunana
dair se jawab aane per
BUSY hone ka ilzaam lagana

per lagta hai tum bhool gaye ...
MSN ke aanchal per likhi hoi kahani
per mujh ko yaad hai her ek lafz zabani
khuda ra na tum aisa sitam karo
na karo tum aisi naadani ...,

· 1 Like · May 12, 2016 at 13:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Izzaton Say Barh Ker Tou Aur Kuch Nahee Hota

Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota
Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaon jin mein jakrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay......
kiun keh......
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!,

· 1 Like · May 06, 2016 at 21:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Din Guzar Gaya Aitbaar Mein

Din guzar gaya aitbaar mein
Raat kat gayi intezaar mein

Woh maza kahan vasl e yaar mein
Lutf jo mila intezaar mein

Un ki ik nazar kaam ker gayi
Hosh ab kahan hoshyaar mein

Mere qabze mein kainaat hay
Main hon aap k ikhtayaar mein

Aankh tou uthi un ki taraf
Dil ulajh gaya husn e khaar mein

Tujh se kia kahain kitne ghum sahe
Hum ne bewafa tere payaar mein

Fikar e ashiyaan har khazaon ki
Aashiyan jala per bahaar mein

Kis terha yeh ghum bhol jayen hum
Woh juda hua is bahaar mein,

· 1 Like · May 06, 2016 at 04:05
Category: general
 
Edges
Posted by Mehwish Shahzadi
Posted on : Dec 24, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS