Poetry / General

Maa Mai Ik Chota Sa Bcha Hon

Hm jugnu thy, hm titli thy, hm rang barangi panchi thy,
Kuch mah-o-saal ki janat me Maa hm dono bhi sanjhi thy

Mai chota sa ik bcha tha, teri ungli thaam k chalta tha,
Tu dour nzr se hoti thi mai ansu ansu rota tha,

ik khwabon ka roshan basta tu roz mujhe pehnati thi,
Jb drta tha mai raton ko tu apne sath sulati thi,

Maa tumny kitne barson tk es phol ko saincha hathon se,
Zindagi k gehre bhaidon ko mai smjha teri baton se,

Mai teray hath k takiye pr ab b rat ko sota hon,
Maa mai ik chota sa bcha hon teri yad mei ab b rota hon...!

· 2 Like · Nov 10, 2017 at 20:11
Category: general
 
Poetry / General

Saawan Aaya

Saawan aaya
Baadal chhaye
Bulbul chehkay
Phool khiley
.
.
Tum he nahi jab Barsaton mein
Aag lagay Barsaton ko...!

· 1 Like · Nov 09, 2017 at 01:11
Category: general
 
Poetry / General

Es Baar Bhi Barish Khoob Khob Hui

Es baar bhi barish khoob khob hui aur baadal toot k barsa tha

gali koochy jal thal thy par soch ka darya pyasa tha

band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di

ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha...!

· 1 Like · Nov 08, 2017 at 19:11
Category: general
 
Poetry / General

Shikwa E Ashq Nahi Jurat E Guftar Nahin

Shikwa-e-ashq nahi Jurat-e-guftar nahin

mairay hathon main jabar ki talwar nahin

Ibn-e-Adam hun insan se Mohabat ki hai

Aag ka chand ka Pathar ka paristar nahin

ae khuda mujh ko meri Ibadat k badlay Mohabat de de

Main teri kisi bhi jannat ka kharidar nahin

jis ne insan se mohabat hi na ki ho

wo dar haqiqat khuda ka b talabgaar nahin...!

· 1 Like · Oct 29, 2017 at 01:10
Category: general
 
Poetry / General

Dua Ki Soorat Mein Uss Ki Khaatir

Dua Ki soorat Mein Uss Ki Khaatir
Jo meray honton se lafz niklay
Jo meri Aankhon se ashk niklay
Unhi k badley Mein ae KHUDAYA

Jab bhi us ka naseeb likhna

UROOJ likhna
KAMAL likhna
Kabhi na harf-e-ZAWAL likhna
Khusian likhna
or us ki umr-e-draaz likhna...!

· 1 Like · Oct 28, 2017 at 19:10
Category: general
 
Poetry / General

Toote Hue Dilon Ki Duaa Mere Saath Hai

Toote hue dilon ki Duaa mere saath hai,
Duniya teri taraf hai Khuda mere saath hai.

Awaaz ghungro ki Nahin hai to kya hua
Saagar ke tootne ki Sadaa mere saath hai

Tanhai kisko kehte hain Mujhko pata nahin
Kya jaane kis hasin ki Duaa mere saath hai

Paimana saamne hai to Kuch ghum nahin Nizaam
Ab dard-e-dil ki koi Dava mere saath hai

Duniya teri taraf hai Khuda mere saath hai
Toote hue dilon ki Duaa mere saath hai....!

· 1 Like · Oct 28, 2017 at 13:10
Category: general
 
Poetry / General

Mere Liye Itna Kaafi Hai Ke

Mere liye itna kaafi hai ke,
Mein apni sarzameen per maut dekhoon,
Aur yahin dafan hoon,
Aur es miti mein pighal kar phel jaaon,
Phir phool ki tarah zameen se bahar niklo,
Mere des ke bache es ke sath khailain,
Mere liye itna hi kaafi hai
Ke mein apne watan ki gaud mein rahoon,
es tarah jese muthi bhar gard,
Bahaar ki ghaas ki tarah,
Aik phool ki manind...!

· 1 Like · Oct 26, 2017 at 12:10
Category: general
 
Poetry / General

Naseeb Azmanay Ke Din Aarahe Hain

Naseeb azmanay ke din aarahe hain
Kareeb aney ke din arahe hain,

Jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai
Sab us ki sunaney ko din arahe hain,

Abhi se dil o jaan sare raah rah doon
Ke lutne lutanay ke din arahe hain,

Tapakne lagi in ankhon se masti
Nigahen churanay ke din aarahe hain

Shadi K Din aarahe hain....!

· 1 Like · Oct 26, 2017 at 06:10
Category: general
 
Poetry / General

Seeny Se Laga K Kaha Kerti Thi Maa Mujh Ko

Seeny se laga k kaha kerti thi maa mujh ko
to laal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choar jaun gi
zamana dikhaye ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
mudat se meri maa ne seeny se nahin lagaya
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya...!

· 1 Like · Oct 26, 2017 at 00:10
Category: general
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS