General
Poetry / General
Saher
Aksar Socha Voh Shab O Roz Bhula Kar Dekhon
aksar socha voh shab-o-roz bhula kar dekhon
dil nahin bhoolta rootee hoee surat tairi
safar pay niklee akeli bina sochay samjhay
qadam qadam pai padtee hai zaroorat tairi
kaha thaa tunay jhelogi dar badar ka azaab
aaj yaad atee hai reh reh kay voh nasiyaat tairi
aansoo peeta raha hans hans kay vidaa karta raha
kaisay bhoolon voh muhabat voh shafqat tairi
giryaa karta hai maira dil tujhay ab paaon kahan
bana kar rakhlee hai har konay mai moorat tairi
judaiyoon kay andheray mai kho gaye manzar
ashkoon ki baarish mai dhundlaa gaee surat tairi

·
1 Like ·
Mar 31, 2016 at 21:03
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Main Kab Kahtaa Hun Vo Acchaa Bahut Hai
maiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
magar us ne mujhe chaaha bahut hai
Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai
maiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
tumhaare saath ek lamhaa bahut hai
meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai
vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai
magar us ne mujhe chaaha bahut hai
Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai
maiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
tumhaare saath ek lamhaa bahut hai
meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai
vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai
·
1 Like ·
Mar 31, 2016 at 14:03
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Koi Neend Se Jagayega
koi neend se jagayega , ye to socha hi na tha .
khwab toot ke bikhar jaayega , ye to socha hi na tha
humne socha bahut waqt hai , keh denge kabhi
waqt chaar hi roz saath dega , ye to socha hi na tha
phool apne hi gulshan ka tha , tod lete kabhi bhi
wo kisi ki sej sajayega , ye to socha hi naa tha
mausamo ka badalna , bhula deyga , har zakhm dil ka
waqt is tarah se tham jayega , ye to socha hi na tha ,

Mar 31, 2016 at 05:03
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Aik Aangan Mai Rehnay Walon Nai
Aik aangan mai rehnay walon nay
faisla karliya judaee ka
galay milkar magar buhut rooye
waqt jab agayaa vidaaee ka
jab bhi miltay hain rastay mai kaheen
shikwaa kartay hain bewafaee ka
zahir kartay hain hum hain sheer-o-shakar
dar bhi lagta hai jag hansaee ka
aksar aatee hai marsiye ki sadaa
rabta khatam howa geet say shehnaee ka
ghar bhara rehta hai sanaatay ki awaazon say
kaisay ehsaan utaroon mai tanhaee ka

Mar 30, 2016 at 23:03
Category: general
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Woh Hue Mehrbaan Dushman Par
woh huay meharban dushman par
phatt parrey aasman dushman par
jaan iss bay wafa ko hum nay di
jis ki jati hai jaan dushman par
apni pehchan ko qiyamat mein
kijiyej kuch nishaan dushman par
bohat achi hai aap ki talwar
kijiyej imtihaan dushman par
log kehtay hain kya ؟ suno tou sahi
jhuk para ik jahan dushman par
kis ki mehfil mein yeh hui izzat
kya barasti hai shaan dushman par
tum nay bhi kuch suna ؟ keh hai charcha
ghash hai ik nojawan dushman par
ab barasne lagey woh hum par bhi
khil gayi hai zabaan dushman par ؟
daagh tum dil ko dost samjhay ho
dosti ka gumaan dushman par ؟
phatt parrey aasman dushman par
jaan iss bay wafa ko hum nay di
jis ki jati hai jaan dushman par
apni pehchan ko qiyamat mein
kijiyej kuch nishaan dushman par
bohat achi hai aap ki talwar
kijiyej imtihaan dushman par
log kehtay hain kya ؟ suno tou sahi
jhuk para ik jahan dushman par
kis ki mehfil mein yeh hui izzat
kya barasti hai shaan dushman par
tum nay bhi kuch suna ؟ keh hai charcha
ghash hai ik nojawan dushman par
ab barasne lagey woh hum par bhi
khil gayi hai zabaan dushman par ؟
daagh tum dil ko dost samjhay ho
dosti ka gumaan dushman par ؟
·
1 Like ·
Mar 28, 2016 at 20:03
Category: general
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Main Aap Apne Ghar Ka Tamashai Bun Gaya
iss darja ishq mojab ruswai ban gaya
mein aap apnay ghar ka tamashayi ban gaya
dair o haram ki raah say bach gaya magar
teri gali kay more peh sodai ban gaya
bazm wafa mein aap say ik pal ka saamna
yaad aa gaya tou ehad shanasaai ban gaya
bay sakhta bikher gayi jloon ki kainaat
ainaa toot kar tari angrai ban gaya
dekhi jo raqs karti hui mouj zindagi
mera khayaal waqt ki shehnai ban gaya

Mar 28, 2016 at 12:03

Mar 27, 2016 at 18:03
Category: general
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Hum Tere Shehr Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
hmm tairay shehar mein aaye hain musafir ki tarah
sirf aik baar mulaqaat ka mouqa day day
meri manzil he kahan mera thikana he kahan
subah tak tujh say bicher kar mujahe jana he kahan
sochnay kay liye ik raat ka mouqa day day
apni aankhon mein chhupa rakhay hin jugno mein nay
apni palkon peh saja rakhay hain ansoo mein nay
meri aankhon ko bhi barsaat ka mouqa day day
aaj ki raat mera drdِ muhabbat sun lay
kapkapatay hoye honton ki shikayat sun lay
aaj izhaar khayalat ka mouqa day day
bhoolna tha tou yeh iqraar kya hi kiyon tha
bay wafa tou nay mujahe pyar kya hi kiyon tha
sirf dou chaar sawalaat ka mouqa day day
hmm tairay shehar mein aaye hain musafir ki tarah
sirf aِk baar mulaqaat ka mouqa day day

Mar 26, 2016 at 14:03
Category: general
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Tumari Anjuman Se Uth K Dewanay Kahan Jatay
Tumari Anjuman Se Uth K Dewanay Kahan Jatay,
Jo Wabsta Hue Tumse Woh Afsanay Kahan Jatay,
Tumse Bichar K Agar Na Milta Mekhana,
Toh Thukraye Huwe Insan Khuda Janay Kahan Jatay,
Chalo Accha Hua Kaam Aagayi Diwangi Apni,
Warna Hum Zamanay Bhar Ko Samjhanay Kahan Jatay,
Tumhari Berukhi Ne Rakh Li Laaj Mehkhanay Ki,
Tum Aankhon Se Pila Detay Toh Pemanay Kahan Jatay,
"SAGAR" Apna Muqaddar Agar Gham Se Begana Hota,
Toh Apnay Paraye Hum Se Pehchanay Kahan Jatay.....!!!,

Mar 23, 2016 at 15:03
Category: general
Sponored Video