Poetry / General

Ijunoon

Usi Ko Yaad Kartey Hain

Chalo Khuch Dair hanstey hain

Usi ko yaad kartey hain

Jisey hum zeest kehtay thy

Ke laina sans bhi jis ke bina

Humain ik jurm lagta tha

Ke sang jiss k har ik lamha

Khush-o-khuram lagta tha

Jisey hum zindagi kehtey

Jisey the shayari kehtey

Ghazal ka qafia tha jo

Nazm ka jo ke unwan tha

Woh lehja jab badalta tha

Qayamat khaiz lagta tha

Waqt se agay chalta tha

Bala ka teez lagta tha

Jo saya ban ke rehta tha

Juda ab uss ke rastay hain

Chalo khuch dair hanstey hain

Usi ko yaad kartey hain,

· 1 Like · Apr 06, 2016 at 03:04
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Socha Hi Na Tha

koi neend se jagayega , ye to socha hi na tha ,
khwab toot ke bikhar jaayega , ye to socha hi na tha

humne socha bahut waqt hai , keh denge kabhi,
waqt char hi roz saath dega , ye to socha hi na tha .

phool apne hi gulshan ka tha tod leta kabhi bhi
wo kisi ki sej sajayega .ye to socha hi na tha

mausamo ka badalna bhoola dega har zakhm dil ka
waqt is tarah se tham jayega , ye to socha hi na tha .

saalon baad mile hai yun , ajnabi ki tarah,
kabhi aise bhi milna hoga, ye to socha hi na tha .

likha tha ek sher, teri yaadon ke naam
yun afsaana ban jayega , ye to socha hi na tha

humko to gam-e-firaq ne shayar bana diya ,
wo bhi meri tarah ho jayega , ye to socha hi na tha,

· 2 Like · Apr 05, 2016 at 08:04
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Ye Barishain Bi Tum C Hain

Ye Barishain bi tum si hain

jo baras gai tu bahaar hain
jo tehair gai tu qarar hain
kabhi agai younhe be sabab
kabhi cha gai youn he rozo shub
kabhi shour hain
kabhi chup c hain

ye barishain bi tum c hain

kisi yaad may ksi raat ko
kabhi youn howa k bujha dia
kabhi khud se khud ko jala dia
kahain boond boond me gum c hain

ye barishain bi tum c hain

· 1 Like · Apr 03, 2016 at 20:04
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Dil Main Tumara Piyar

Dil main tumara piyar hay aise

Payal main jhankaar ho jaise

Soch k tuj ko man lahrae

Sansoon main mahkaar ho jaise

Ben tere mahsos ho muj ko

Soona sab sansaar ho jaise

Tere ane se lagta hay

Ayi aik bahaar ho jaise

"Haider"aik tujhi ko chaye

Baki sab bekaar ho jaise,

· 1 Like · Apr 03, 2016 at 12:04
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Yeh Kya Kiya

yeh kya kiya kay bharoosay ki har deewar giraadee
jahaan jahaan tha maira naam voh tehreer mittadee

guzray lamhon ki ek tasveer tujhay bhaijee thi
tunay shayad mairi voh aakhri tasveer jalaadee

ab kahan jakay mai us shaqs say mulaaqat karon
jab raah o rasam ki har aas hee mitee mai milaadee

thaa malaa'maal muhabbat sai khazana maira
loout kar sara khazana mujhay kahay ki saaza dee

pakaay tanhaa mujhay ajaatay hain aksar milnay
marnay vaalon nai mairi rooh ki tanhaaee mittadee

suna hai logon sai kay marg kay hangaam mai bhi
voh mairay waastay rooye mujhay jeenay ki duaa dee

· 1 Like · Apr 03, 2016 at 02:04
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Tum Se Ziyada

ham ko junoon kiya sikhlaate ho, ham the pareshaan tum se ziyada
chaak kiye hain ham ne azeezo chaar garebaan tum se ziyada

chhak-e-jigar muhtaaj-e-rafoo hai, aaj to daaman sirf lahoo hai
ek mausam tha ham ko rahaa hai shauq-e-baharaan tum se ziyada

ahd-e-wafa yaaron se nibhaayen, naaz-e-hareefan hans ke uThaaen
jab hamen armaan tum se siwa tha, ab hain pareeshaan tum se ziyada

ham bhi hamesha qatl huwe aur tum ne bhi dekha door se lekin
yeh na samajhna ham ko huwa hai jaan ka nuqsaan tum se ziyada

zanjeer o diwaar hi dekhi tum ne to Majrooh magar ham
koocha koocha dekh rahe hain aalam-e-zindaan tum se ziyada
,

· 1 Like · Apr 02, 2016 at 13:04
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Abhi Kuch Dair Baqi Hai…!!

Abhi kuch dair baqi hai…!!
Khizan k beet janay main,
Guloun k Muskuranay main,
Khushi k geet ganay mein,
Baharon k zamanay main,
Abhi kuch dair baqi hai..!

Main tum ko bhool jaonga..!
Na tum ko Yaad aaonga..!
Main tum se dour reh k bhi,
Tumhain jee ker dikhaonga..!
Tumhain maloom hay laikin,
Yeh sub main kar na paaonga,
K tum ko bhool janay main,
Abhi kuch dair baqi hay..!
,

· 1 Like · Apr 02, 2016 at 06:04
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Ya Rabb Gham E Hijran Mein Itna To Kia Hota

Ya Rabb gham-e-hijran mein itna to kia hota
Jo haath jigr per hai wo dast-e-dua hota

Ek ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
Ya gham na dia hota ya dil na dia hota

Nakaam-e-tamanna dil is soch mein rehta hai
Youn hota to kya hota, youn hota to kya hota

Umeed to bandh jati taskeen to ho jati
Waada na wafa krte waada to kia hota

Gheiron se kaha tum ne, gheiron se suna tum ne
Kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota,

· 2 Like · Apr 01, 2016 at 23:04
Category: general
 
Poetry / General

Saher

Tarap Rahi Hai Har Aik Tamanna

tarap rahi hai har aik tamanna
na tum se milte na aise hote

bujhi bujhi c hai dil ki dunia
na tum se milte na aise hote

ham aisi mehfil main kese jaen
jahan k manzar hamen jalain

agar hai jalna jalen ge tanha
na tum se milte na aise hote

na chain aaye na maut aaye
na jee rahe hain, na mar rahe hain

kahan tha pehle ye haal apna
na tum se milte na aise hote

· 1 Like · Apr 01, 2016 at 09:04
Category: general
 
Mardin Stone Houses, Turkey
Posted by iJunoon
Posted on : May 27, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS