Poetry / General

Muzammil Shahzad

Sar Salamat Nae Rehty Yahan Dastar K Bech

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech,

· 1 Like · Jun 09, 2016 at 00:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Niklay Safar Pay Hum Toh Teray Ghar Bhi Ayengai

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai,

· 1 Like · Jun 08, 2016 at 17:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ravish Main Garish E Sayyar Gaan Se Achi Hai

روش میں گردشِ سیارگاں سے اچھی ہے
زمیں کہیں کی بھی ہو آسماں سے اچھی ہے

جو حرفِ حق کی حمایت میں ہو وہ گمنامی
ہزار وضع کے نام و نشاں سے اچھی ہے

عجب نہیں کل اسی کی زبان کھنچی جائے
جو کہہ رہا ہے خموشی زباں سے اچھی ہے

بس ایک خوف کہیں دل یہ بات مان نہ جائے
یہ خاک غیر ہمیں آشیاں سے اچھی ہے

ہم ایسے گل زدگاں کو بہارِ یک ساعت
نگار خانۂ عہدِ خزاں سے اچھی ہے,

· 1 Like · Jun 06, 2016 at 07:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein..
Use Uski Saheliyon Ney Sajaya Hoga..

Meri Jaan Ke Gore Haathon Par..
Sakhiyon Ney Mehndi Ko Lagaya Hoga..

Boht Gehra Chadega Mehndi Ka Rang..
Us Mehndi Main Usney Mera Naam Chupaya Hoga..

Reh Reh Ker Ro Padegi..
Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga..

Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Main..
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga..

Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh..
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga..

Aaj Meri Jaan Ney..
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga..

Usney Beti Hone Ka..
Dosto Aaj Har Farz Nibhaya Hoga..

Majboor Hogi Woh Sabsey Zyada..
Sochta Hoon Kis Tarah Usney Khud Ko Samjhaya Hoga..

Apne Haathon Say Usney..
Mere Khaaton Ko Jalaya Hoga..

Khud Ko Mazboot Bana Ker Usney..
Apne Dil Say Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga..

Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Main..
Kuch Na Us Pagli Ney Mere Bageir Khaya Hoga..

Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska..
Jab Waqt Usski Bidayi Ka Aaya Hoga..

Bade Pyaar Say Meri Jaan Ko..
Maa Baap Ney Doli Main Bithaya Hoga..

Ro Padegi Aatma Bhi..
Dil Bhi Cheekha or Chilaya Hoga…

Aaj Apney Maa Baap Ke Liye..
Usney Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga..

Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse..
Der Hai K Zehar Chupke Say Us ney Khaya Hoga…,

· 1 Like · May 28, 2016 at 03:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yahan Apnay Siwa Koi Mulakati Nahi Hota

Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota,
Yahan Apnay Siwa Koi Mulakati Nahi Hota,

Aur Ab Is Bat Par Bhi Mujhse Mere Yaar uljhtay Hain,
K Main Har Baat Sun Leta Hoon Jazbati Nahi Hota,

Girftar-e-Wafa, Ronay Ka Koi Aik Mousam Rakh,
Jo Nala Roz Beh nikalay Woh Barsati Nahi Hota,

Tujhay Dil Mein Jaga Di Hai Nazar Se Door Kya Kartay,
Jo marhaz Mein Theher Jaye Woh Mazafati Nahi Hota,

Bicharnay Ka Irada Ho Toh Mujhse Mashwara Karna,
Muhabbat Mein Koi Bhi Faisla Zaati Nahi Hota......!!!!,

· 1 Like · May 26, 2016 at 19:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Chiragh E Sehar Bujh Gaya Jaltey Jaltey

Mareez-E-Mohabbat Unhi Ka Fasana Sunata Raha Dum Nikaltey Nikaltey
Magar Zikr-E-Shaam-E-Alum Jab Ke Aaya, Chiragh-E-Sehar Bujh Gaya Jaltey Jaltey

Irada Tha Tark-E-Mohabbat Ka Laikin, Fariab-E-Tabassum Main Phir Aa Gaey Hum
Abhi Kha Ke Thokar Sanbhalney Na Paey, Ke Phir Khai Thokar Sanbhaltey Sanbhaltey

Unhain Khat Main Likha Ke Dil Muztarib Hai, Jawab Onka Aaya Mohabbat Na Kartey
Tumhain Dil Laganey Ko Kis Nay Kaha Tha, Behal Jaey Ga Dil Beheltey Beheltey

Aray Koi Vadaa Khilafi Ki Hud Hai, Hisab Apney Dil Main Laga Kar To Dekho
Qayamat Ka Din Aa Agaya Rafta Rafta, Mulaqaat Ka Din Badaltey Badaltey

Humain Apney Dil Ki To Parwa Nahi Hai, Magar Dar Raha Hoon Yeh Kam_Sin Ki Zid Hai
Kaheen Paa-E-Nazuk Main Mooch Aa Na Jaey, Dil-E-Sakht Jaan Ko Masaltey Masaltey
,

· 1 Like · May 24, 2016 at 02:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Zaraa Si Der Mein Kyaa Ho Gayaa Zamaane Ko

Kabhi Kahaa Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gai Zamaane Ko

Chaman Mein Barq Nahin Chorti Kisi Surat
Tarah Tarah Se Banataa Hun Aashiyaane Ko

Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge
Kaho To Aaj Sajaa Lun Gharib-Khaane Ko

Duaa Bahaar Ki Maangi To Itane Phool Khile
Kahin Jagah Na Mili Mere Aashiyaane Ko

Chaman Mein Jaanaa To Sayyaad Dekh Kar Jaanaa
Akelaa Chor Kar Aayaa Hun Aashiyaane Ko

Meri Lehad Pe Patangon Ka Khoon Hotaa Hai
Huzoor Shammaa Na Laayaa Karen Jalaane Ko

Dabaa Ke Chal Diye Sab Qabr Men Duaa Na Salaam
Zaraa Si Der Mein Kyaa Ho Gayaa Zamaane Ko

Ab Aage Is Mein Tumharaa Bhi Naam Aayegaa
Jo Hukm Ho To Yahin Chor Dun Fasaane Ko

'Qamar' Zaraa Bhi Nahin Tujh Ko Khauf-E-Rusavaai
Chale Ho Chaandani Shab Mein Unhen Manaane Ko
,

· 1 Like · May 23, 2016 at 13:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Shamaa Gul Ho Gai Sahar Na Hui

Khatm Shab-E-Qissaa-E-Mukhtasir Na Hui
Shamaa Gul Ho Gai Sahar Na Hui

Roi Shabanam Jalaa Jo Ghar Meraa
Phool Ki Kam Hansi Magar Na Hui

Hashar Mein Bhi Vo Kyaa Milenge Mujhe
Jab Mulaaqaat Umr Bhar Na Hui

Aainaa Dekh Kar Ye Kijiye Shukr
Aap Ko Aap Ki Nazar Na Hui

Sab The Mahafil Mein Un Ki Mahv-E-Jamaal
Ek Ko Ek Ki Khabar Na Hui

Sainkaron Raat Ke Kiye Vaade
Un Ki Raat Aaj Tak "Qamar" Na Hui
,

· 1 Like · May 23, 2016 at 05:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Bijli Vahaan Giri Hai Jahaan Aashiyaan Nahin

Is Mein Koi Fareb To Ai Aasmaan Nahin
Bijli Vahaan Giri Hai Jahaan Aashiyaan Nahin

Sayyaad Main Asir Kahun Kis Se Haal-E-Dil
Sirf Ek Tu Hai Vo Bhi Meraa Ham-Zubaan Nahin

Tum Ne Diyaa Hamaari Vafaaon Kaa Kyaa Javaab
Ye Ham Vahaan Bataayenge Tum Ko Yahaan Nahin

Sajde Jo But-Kade Mein Kiye Meri Kyaa Khataa
Tum Ne Kabhi Kahaa Ye Meraa Aastaan Nahin

Gum-Kardaa Raah Ki Mitti Na Ho Kharaab
Gard Us Taraf Uri Hai Jidhar Kaarvaan Nahin

Kyun Shama-E-Intazaar Bujhaate Ho Ai "Qamar"
Naale Hain Ye Kisi Ke Sahar Ki Azaan Nahin
,

· 1 Like · May 22, 2016 at 22:05
Category: general
 
Mehreen Raheel
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 30, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS