Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ghar K Andar Kis Ne Aag Lagai Hai

Ik ik patthar jor ke main ne jo diwar banai hai
Jhankhu us ke piche to ruswai hi ruswai hai

Yon lagata hai sote jagate auron ka mohataj hun main
Ankhen meri apani hain par un may nind parai hai

Dekh rahe hain sab hairat se nile nile pani ko
Puche kaun samandar se tujh may kitani gaharai hai

Sab kahate hain ik jannat utari hai meri dharati par
Main dil may sochun shayad kamzor meri binai hai

Bahar sahan may peron par kuch jalate bujhate juganu the
Hairat hai phir ghar ke andar kis ne aag lagai hai

Aj hua malum mujhe is shahar ke chand sayanon se
Apani rah badalate rahana sabase bari danai hai

Tor gaye paiman e wafa is daur may kaise kaise log
Ye mat soch `qateel` ki bas ik yar tera harjai hai,

· 1 Like · May 04, 2016 at 19:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kuch Ishq Tha Kuch Majbori Thi

Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi So Main Ne Jeevan Waar Dia,
Main Kaisa Zinda Aadmi Tha, Ik Shakhs Ne Mujh Ko Maar Dia.

Ik Sabz Shaakh Gulab Ki Thi, Ik Duniya Apny Khwab Ki Thi,
Wo Ek Bahaar Jo Aai Nahi, Us K Liye Sab Haar Dia.

Ye Saja Sajaya Ghar Sathi Meri Zaat Nahi Mera Haal Nahi,
Ay Kash Kabhi Tum Jaan Sako, Is Sukh Ne Jo Aazaar Dia.

Main Khuli Hui Ik Sachai Mujhy Jan'ny Waly Janty Hen,
Main Ne Kin Logon Se Nafrat Ki Aur Kin Logon Ne Piyar Dia.

Wo Ishq Boht Mushkil Tha Mgr Aasan Na Tha Yun Jeena Bhi,,
Is Ishq Ne Zinda Rehny Ka Mujhy Zarf Dia Pindaar Dia..
,

· 1 Like · May 01, 2016 at 09:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ghuroor Lehjy Mein Aa Gaya To Kalam Mumkin Nahi Rahy Ga

Ye Naam Mumkin Nahi Rahy Ga, Maqam Mumkin Nahi Rahy Ga,
Ghuroor Lehjy Mein Aa Gaya To Kalam Mumkin Nahi Rahy Ga..

Ye Barf Mosam Jo Shehar-E-Jaan Mein Kuch Aur Lamhy Thehr Gaya To..
Lahu Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Qayam Mumkin Nahi Rahy Ga..

Wafa Ka Kaghaz To Bheeg Jaye Ga Badgumani Ki Barishon Mein,
Khaton Ki Baaten To Khawab Hon Gi Payam Mumkin Nahi Rahy Ga.

Main Janti Hun Mujhy Yaqeen Hai Agr Kabhi Tu Mujhy Bhula De,
To Teri Ankhon Mein Roshni Ka Qayam Mumkin Nahi Rahy Ga.

Ye Hum Mohabbat Mein La'taaluq Se Ho Rahy Hain To Dekh Lena,,
Duaen To Khair Kon De Ga Salam Mumkin Nahi Rahy Ga..
,

· 1 Like · Apr 29, 2016 at 16:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tanha Ghar Se Bahir Jana Theek Nahi

Tanha Ghar Se Bahir Jana Theek Nahi,
Tum Masoom Ho Aur Zamana Theek Nahi.

Saaf Dilon Ko Phir Se Maila Kr Den Gi,
Guzri Baaton Ko Dohraana Theek Nahi.

Aisi Cheezen Door Se Achhi Lagti Hain,
Chaand Ko Apny Paas Bulana Theek Nahi.

Aao Mery Haath Pe Apna Haath Rakho,
Saail Ko Khali Loutana Theek Nahi.

Rafta Rafta Tabeeren Beh Jati Hen,
Num Aankhon Mein Khawab Sajana Theek Nahi.

Chorr MOHSIN In Pathar Dil Insanon Ko,,
Apny Dil Ka Haal Sunana Theek Nahi..
,

· 1 Like · Apr 29, 2016 at 10:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Sagar Se Lab Laga K Bohat Khush Hai Zindagi

Sagar Se Lab Laga k Bohat Khush Hai Zindagi
Sehn-e-Chamn mai Aa k bohat khush hai zindagi

Aa Jao or B Zara Nazdeek Jane Man
Tum Ko Qareeb Pa k Boht Khush Hai Zindagi

Hota Hai Mahal Bhi To Kya Puchhte Ho Phir
Be-wjah Muskura k Boht Khush Hai zindagi

Saahil pe Bhi To Itni Shagufta Rwish na Thi
Tufan K beech Aa k Boht Khush Hai Zindagi

Veeran Dil Hai Aur “Adam Zindagi ka Raqs
Jangal Main Ghar Bana k Boht Khush Hai Zindagi,

· 1 Like · Apr 28, 2016 at 16:04
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab Bhi Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab Bhi Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Aana Tum
Tumhare Waastay Dil Mein Aqeedat Ab Bhi Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mein Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab Bhi Baki Hai,

· 2 Like · Apr 26, 2016 at 14:04
Category: general
 
Poetry / General

Sorkh Anchal Ki Dhanak Pak Old

Sabz roshni main sorkh aanchal ki dhanak

Sard kamre main machalti garm sansoon ki mahek

Bazuoon k sakht halkay main koi nazuk badan

Salwaten malbos par,aanchal bi kuch dhalka huwa

Garmi_e_rukhsaar se dahki hui thandi hawa

Narm zulfoon se mulaem ungliyoon ki chair chaar

Sorkh hontoon par shararat k kisi lamhye ka aks

Reshmi bahoon main chori ki kabhi madham khanak

Sharmageen lahjoon main dhere se kabhi chahat ki baat

Do diloon ki dharkanoon main gonjati thi ek sada

Kanpate hontoon pe thi ALLAH se sirf ek duaa

Kaash yeh lamhaye thehar jaeen,thehar jaeen zara,

· 1 Like · Apr 23, 2016 at 06:04
Category: general
 
Poetry / General

Sorkh Anchal Ki Dhanak Pak Old

Sabz roshni main sorkh aanchal ki dhanak

Sard kamre main machalti garm sansoon ki mahek

Bazuoon k sakht halkay main koi nazuk badan

Salwaten malbos par,aanchal bi kuch dhalka huwa

Garmi_e_rukhsaar se dahki hui thandi hawa

Narm zulfoon se mulaem ungliyoon ki chair chaar

Sorkh hontoon par shararat k kisi lamhye ka aks

Reshmi bahoon main chori ki kabhi madham khanak

Sharmageen lahjoon main dhere se kabhi chahat ki baat

Do diloon ki dharkanoon main gonjati thi ek sada

Kanpate hontoon pe thi ALLAH se sirf ek duaa

Kaash yeh lamhaye thehar jaeen,thehar jaeen zara,

· 1 Like · Apr 23, 2016 at 00:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aasman

baat aik chhoti si
ab samajh mein ai hai
aaj aasma par jab
surkhi shafaq dekhi
aur apni aankhon mein
ratjagoon ki laali bhi
aasman bhi shayad
meri tarah barsoo say
so nahi saka ho ga

· 1 Like · Apr 20, 2016 at 08:04
Category: general
 
Malik Style
Posted by Aleezay Abbasi
Posted on : Apr 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS