Search
Poetry / Sad
Ashkoon main dhal gayi (Pak Old)
Hoti hay tere name se wehisht kabhi kabhi
Barhum huy hay yun bhi tabiyat kabhi kabhi
Aye dil kise naseeb yeh tofeq azteraab
Milti hay zindagi main yeh rahat kabhi kabhi
Josh jannon main dard ki tagyanio k sath
Ashkoon main dhal gayi teri surat kabhi kabhi
Tere kareb reh k bhi dil mutmaen na tha
Guzri hay muj pe yeh bhi qiyamat kabhi kabhi
Kuch apna hosh tha na tumara khiyal
Yun bhi guzar gaye shab e furkat kabhi kabhi
Aye dost hum ne tark e mohabbat k bawajood
Mehsoos ki hay teri zarorat kabhi kabhi!!!

·
1 Like ·
Oct 02, 2015 at 19:10
Category: sad
Poetry / General
Shahid Siddiqui
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Chhurana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Chhurana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon
·
1 Like ·
Sep 08, 2015 at 06:09
Category: general
Advertisement
Poetry / Sad
Safia Saeed
Main Usey Bhula Na Saka
Aaj kuch is tarah hume unki yaad ane lagi
Dil ki gahrayi se ye baat hume satane lagi
Main samajhta raha usey bhool raha hun mai
Ayena dekha to tasveer uski nazar ane lagi
Pal har pal mai tadpta rahta hun uske liye
Marna chaha bhi to saanse uski satane lagi
Rom rom me basi hai uske jism ki khushbu
Usey dil bhar k chumne ki khwahish ane lagi
Main kya bataun kis tarah se ji raha hun mai
Aisa lagta hai maut ki aahat mjhe satane lagi
Main khafa hun us se wo bewafa hai mujhse
Phir najene kyon ye ankhen mjhe rulane lagi

Sep 07, 2015 at 18:09
Category: sad
Poetry / Love
Meri Neend Main Abhi Aik Khwab Baqi Hai
Meri neend main abhi aik khwab baqi hai
Meri mohabbat ka sawal o jawab baqi hai
AnkhooN say izhaar e mohabbat kiya to kiya
Khamoshi kay ghamooN ka hisaab baqi hai
Aapki justjoo nay aisi aag laga di dil maiN
Ab bhi shama jalti hai aur iltihaab baqi hai
Aap hi ki ankhooN main gum, madhosh rahooN
Woh sunehra lamha, shab-e-mahtaab baqi hai
Murjha chukka hai waqt intezar kartay huay
Laikin meri mohabbat ka woh gulaab baqi hai
Ranga hai mujhay kuch aisay rangooN maiN
Kay wafa ki dastaan, aik kitaab baqi hai
Chua hai aapkay labooN ko us paimanay nay
JismaiN meri zindagi, kuch sharab baqi hai

Sep 02, 2015 at 18:09
Category: love
Poetry / Poetry Sms
Main Zard Beej Hon
Main zard beej hon aor sabz hona chahta hoon
Mairi zameen,tairi mitti ka mashwara kiya hy?
Bikhr raha hoon teri tarah mein bhi aey rad e gul
So tujh sy poochta hon,taira tajarba kiya hy ?
Mairi zameen,tairi mitti ka mashwara kiya hy?
Bikhr raha hoon teri tarah mein bhi aey rad e gul
So tujh sy poochta hon,taira tajarba kiya hy ?
·
2 Like ·
Aug 29, 2015 at 15:08
Category: poetry-sms
Poetry / Sad
Sheher Bhar Ko Khafa Karounga Main
Sheher bhar ko khafa karounga main
Zikr itna tera karounga main
Khusk pattay hawa main urnay lagay
Ab koi faisla karounga main
Jane wale inhein bhi leta ja
Teri yaadoun ka kya karounga main
Marr nahee jaounga tumhare baad
Dekh lena jiya karounga main
Yaad bikhri hai sheher main us ki
Apne ghar main raha karounga main
Zikr itna tera karounga main
Khusk pattay hawa main urnay lagay
Ab koi faisla karounga main
Jane wale inhein bhi leta ja
Teri yaadoun ka kya karounga main
Marr nahee jaounga tumhare baad
Dekh lena jiya karounga main
Yaad bikhri hai sheher main us ki
Apne ghar main raha karounga main
·
2 Like ·
Aug 27, 2015 at 09:08
Category: sad
Poetry / Songs Lyrics
Main Tera Shaher (Pak Old)
Mere azeez tujhe yeh khushi mubarak ho
Nayi bahaar nayi zindagi mubarak ho
Is se pahly k teri chashm e karam
Mazerat ki nigah ban jaye
Pyar dhal jaye mere ashkoon main
Aarzo ek aah ban jaye
Muj pe a jaye ishq ka ilzaam
Aur tu beygunah ban jaye
Main tera shaher chhoor jaon ga
Is se pahly k saadgi teri
Lab_e_khamosh ko gilah kah de
Teri majboriyan na dekh sake
Aur dil tuj ko bewafa kah de
Jane main bekhudi main kiya pouchon
Jane tu beyrukhi se kiya kah de
Main tera shehar chhoor jaon ga
Chhoor kar sahil_e_muraad chala
Ab safina mera kaheen thehre
Zehar pina mera muqadar hay
Aur tere hont dilnashen thehre
Kistara tere aastaan pe rukon
Jab na paoun talay zameen thehre
Main tera shahar chhoor jaoun ga
Muj ko itna zaroor kehna hay
Waqt rukhsat salam se pahly
Toor loon rishta_e_nazar main bhi
Tum utar jaoo baam se pahly
Yeh meri jaan mera wahda hay
Kal kisi waqt shaam se pahly
Main tera shahar chhoor jaoun ga
Nayi bahaar nayi zindagi mubarak ho
Is se pahly k teri chashm e karam
Mazerat ki nigah ban jaye
Pyar dhal jaye mere ashkoon main
Aarzo ek aah ban jaye
Muj pe a jaye ishq ka ilzaam
Aur tu beygunah ban jaye
Main tera shaher chhoor jaon ga
Is se pahly k saadgi teri
Lab_e_khamosh ko gilah kah de
Teri majboriyan na dekh sake
Aur dil tuj ko bewafa kah de
Jane main bekhudi main kiya pouchon
Jane tu beyrukhi se kiya kah de
Main tera shehar chhoor jaon ga
Chhoor kar sahil_e_muraad chala
Ab safina mera kaheen thehre
Zehar pina mera muqadar hay
Aur tere hont dilnashen thehre
Kistara tere aastaan pe rukon
Jab na paoun talay zameen thehre
Main tera shahar chhoor jaoun ga
Muj ko itna zaroor kehna hay
Waqt rukhsat salam se pahly
Toor loon rishta_e_nazar main bhi
Tum utar jaoo baam se pahly
Yeh meri jaan mera wahda hay
Kal kisi waqt shaam se pahly
Main tera shahar chhoor jaoun ga
·
2 Like ·
Aug 17, 2015 at 19:08
Category: songs-lyrics
Poetry / Songs Lyrics
Main Kya Hoon
Khwabon Ki Pehali zin, Kadmo Ko Ab Mere,
Hai Chumati Aahhhaaaaaa
Pehle Tha Mein Peeche, Yeh Duniya Ab Peeche
Hai Ghoomati Aaahhhaaaaa
Main Kya Hoon Main Kya Yeh Batalaon
Main Woh Hun Jo Chahun Woh Paon
Main Khud Se Hi Wade Nibaon
Main Woh Hun Jo Chahun Woh Paon
Ab Sari Raahein Khole Banhein
Peeche Aaye Mere Manzile
Aab Jaon Jahan Lage Wahan
Mere Hone Se Hai Mehfilein
Main Jeene Ka Andaaz Jaanoo
Main Khushiyon Ka Har Raaz Jaanoo
Main Janu Jahan ko Batlaon
Main Woh Hun Jo Chahun Woh Paon
Main Khud Se Hi Wade Nibaon
Main Woh Hun Jo Chahun Woh Paon
Ab Jana Main Ne Jeena Kya Hai
Kya Hai Pura Hona Khwaab Ka
Ab Dekhon Na Woh Sochu Na Woh
Jo Bhi Yahan Na Ho Khwaab Sa
Hai shamoo Main Ab to Savere
Hai Hatoon Mein Ab Waqt Mere
Main Uncha Irradon Se Jaon
Main Woh Hun Jo Chahun Woh Paon
Main Khud Se Hi Wade Nibaon
Main Woh Hun Jo Chahun Woh Paon
Jo Chahun Woh Paon
Khwabon Ki Pehali Zin,Kadmo Ko Ab Mere,

Aug 10, 2015 at 02:08
Category: songs-lyrics
Social Wall / Photos
Abdul Qaddoos
Husband Aur Wife Main Jhagra.
·
2 Like ·
Aug 03, 2015 at 12:08
Category: photos
Sponored Video