Search
Poetry / Sad

Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha

Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha
Her Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Thi
Woh Mujh Say Kabhi Na Rootha Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Rahi Thi
Woh Saya-E-Abar Ban Gaya Tha
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Laboon Ko See Liya Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jagta Tha
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main basta Tha
Us Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkaar Ka Kis Main Hosla Tha
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Es Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha
Main Bhi Thi Darri Hui Si Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha
Ek Raah Say Main Bhi Thi Gurayzaan
Ek Morr Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha
Ek Pal Main jhapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha
Soocha To Tehar Gay Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha
Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha
Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gay Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha
Rakhti Thi Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Gar Chatakh Gaya Tha
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Juda Juda Tha...!
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha
Her Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Thi
Woh Mujh Say Kabhi Na Rootha Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Rahi Thi
Woh Saya-E-Abar Ban Gaya Tha
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Laboon Ko See Liya Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jagta Tha
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main basta Tha
Us Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkaar Ka Kis Main Hosla Tha
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Es Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha
Main Bhi Thi Darri Hui Si Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha
Ek Raah Say Main Bhi Thi Gurayzaan
Ek Morr Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha
Ek Pal Main jhapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha
Soocha To Tehar Gay Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha
Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha
Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gay Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha
Rakhti Thi Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Gar Chatakh Gaya Tha
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Juda Juda Tha...!
·
1 Like ·
Nov 17, 2017 at 16:11
Category: sad
Poetry / Sad

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Leke Aa Gaya

Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya,
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya,
Ta umar dhoondta raha manzil main ishq ki,
Anjaam ye k gard-e-safar le ke aa gaya,
Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maiqada,
Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya,
Fakhir sanam kade mein na aata main lot kar,
Ek zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya...!

Nov 15, 2017 at 09:11
Category: sad
Advertisement
Jokes / Miscellaneous
Sarmad Ali
Maa Te Gaya Ae !!!!
khushia ke ghar 5 larkion ke baad 6th bhi larki hoee to uss ne sub ko ye kahaa ke larka hoa hai....sub log bachi ko pyar dai rahe thay ...bachi ke chacha dukhia ne kahaa ""oye yaar shakal waikh bilkul apnay payo te gaya ae..."" aur phir hawa se bachi ke ooper se chaadar urr gaye ...chachay ne jump laga ke kahaa...""oye thaleo maa te gaya ae "" ;)
·
2 Like ·
Nov 10, 2017 at 01:11
Category: miscellaneous
Poetry / 24

Kabhi Safar Tou Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se

Kabhi Safar Tou Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se
Mujhe Khabar Na Howi Aur Zamaana Jaatay Howay
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se
Ose Ziada Zarorat Thi Ghar Basanay Ki
Wo Aake Mere Dar o Baam Le Gaya Mujh Se
Bhala Kahan Koi Juz us ke Milnay Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se
Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Aiwz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se...!

Oct 23, 2017 at 10:10
Category: 24
Poetry / Sad

Yeh Dard Mit Gaya Tu Phir

Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir...?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir...?
·
1 Like ·
Sep 11, 2017 at 05:09
Category: sad
Poetry / Sad

Suraj Bhi Thak Haar Ke Aakhir Doob Gaya Armanon Ka

Suraj Bhi Thak Haar Ke Aakhir Doob Gaya Armanon Ka
Koi Madaawa Kar Na Saka Tootey Hoye Insanoon Ka
Khud Gham Ki Tasveer Baney Thay Shehr Ke Hanstey Bastay Laug
Zikr Bhala Ham Kis Se Kartey Dard Bharey Afsanoon Ka
Tark-e-Taalluq Par He Aakhir Ahl-e-Wafa Majboor Hoye!
Kaun Uttha Sakata Tha Kab Tak Baar Terey ehsaanon ka
Jism Ke Ander Ek Basti Hey, Uss Basti Ka Naam Hey Dil
Yeh Basti Veerana Bhi Hey, Shehr Bhi Hey Armanon Ka
Mera Naam Jali Huroof Mein Terey Saamney Aayega
Zikr Teri Mehfil Mein Hoga Jab Bhi Sokhta Jaanon Ka
Toor Diya Hey Mein Piyar Ke Saarey Jhootey Rishtoun Ko
Jab Se Naseer Ho Gaya Hey Khoon Merey Armanoon ka...!

Sep 10, 2017 at 02:09
Category: sad
Poetry / Sad

Ek Lamhe Ke Liye Ye Moujza Dekha Gaya

Ek lamhe ke liye ye moujza dekha gaya
pathroN ke shahr mein ek aaina dekha gaya
Girne wala to bulandi chhu gaya aakaash kee
jo sambhal kar chal raha tha, Rengta dekha gaya
Aakhir uski kamsini dam todti dekhi gayi
subah jab wo aaine ko choomta dekha gaya
shahr ke har shakhs ko tha apne gum hone ka darr
har koi saaye ke pechay bhaagta dekha gaya
Aaina khanay mein kal us shakhs ko korray pade
jo hawa mutthi mein lekar ghoomta dekha gaya...!

Aug 31, 2017 at 13:08
Category: sad
Poetry / Love

Wisaal Mousam Guzer Gaya Tou Khayal Ban Ker Mila Kerain Gaye

Wisaal mousam guzer gaya tou khayal ban ker mila kerain gaye
Bichar gaye tou hum aik maah e wisaal ban ker mila kerain gaye
Kitab e ehad e wafa k ik ik warq pe apni khabar mila kare gi
Hum ahl e ulfat muhabbaton ki misaal ban ker mila kerain gaye
Abhi tou lamhon ki doorion pe bhatak rahe hain mager kabhi hum
Falak ki gardishon me aa gaye tou hilaal ban ker mila kerain gaye...!

Aug 26, 2017 at 08:08
Category: love
Poetry / Sad

Phailta Gaya Kajal

Main aainey ke samney
khari sooch rahi hoon...!
mera to us se...
koi taaluq naa tha ...?
phr kyu uss k...
jane ke baad...?
meri aankhon mein...
phailta gaya kajal...?
khari sooch rahi hoon...!
mera to us se...
koi taaluq naa tha ...?
phr kyu uss k...
jane ke baad...?
meri aankhon mein...
phailta gaya kajal...?
·
1 Like ·
Aug 23, 2017 at 04:08
Category: sad
Sponored Video