Search
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Ankhon Ka Rang Baat Ka Lahja Badal Gaya

ANkhoN ka rang baat ka lahja badal gaya
vo shaKhs ek shaam meN kitna badal gaya
kuch din to mera aks raha aine pe naqsh
phir yuN hua ke Khud mera chehra badal gaya
jab apne apne haal pe ham tum na reh sake
to kyaa hua jo hamse zamana badal gaya
qadmoN tale jo ret bichi thi vo chal padi
us ne churaya hath to sehra badal gaya
koi bhi chiiz apni jagah par nahiN rahii
jate hi ek shakhs k kya kya badal gaya
ek sar khushi ki mauj ne kaisa kiya kamal
vo be-niyaaz sare ka sara badal gaya
uth kar chala gayaa koi waqfay ke darmiyaaN
parda utha to sara tamaasha badal gaya
hairat se saare lafz usay daikhte rahe
baatoN meN apni baat ko kaisa badal gaya
kahne ko ek sehan meN divar hi bani
ghar ki fiza makaaN ka naqsha badal gaya
shaayed wafa ke khel se ukta gaya tha wo
manzil ke paas a ke jo rastaa badal gaya
qayam kisi bhi haal pe duniya nahi rahi
taabir kho gayi kabhi sapna badal gaya
manzar ka rang asl meN saya tha rang ka
jis ne usay jidhar se bhi daikha badal gaya
andar ke mausamoN ki Khabar us ko ho gayii
us no-bahar-e-naaz ka chehra badal gaya
aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraya aur meri duniya badal gaya
apni gali meN apna hi ghar dhundhte haiN log
Amjad ye kaun shahr ka naqsha badal gaya

·
2 Like ·
Jan 18, 2017 at 13:01
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Dolphin K Pait Se Volleyball Nikal Liya Gaya
چین میں ڈاکٹروں نے ڈولفن کا کامیاب آپریشن کر کے اس کے پیٹ سے والی بال نکال لیا۔ ذرائع ابلاغ کے مطابق چین کے دارالحکومت بیجنگ میں ڈاکٹروں نے دو گھنٹے طویل آپریشن کے بعد ڈولفن کے پیٹ سے والی بال نکال لی...
مزید پڑھیں
·
2 Like ·
Dec 06, 2016 at 11:12
Category: health
Advertisement
Poetry / Love

Muzammil Shahzad
Zamana Ho Gaya Hai Un Ko Mehmaan Kiye Hue

Har Ek Harf-E-Aarzu Ko Dastan Kiye Hue
Zamana Ho Gaya Hai Un Ko Mehmaan Kiye Hue
Surur-E-Aish Talkhi-E-Hayat Ne Bhula Diya
Dil-E-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-E-Jan Kiye Hue
Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue Vo Ayenge
Vo Ayenge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue
Sukun-E-Dil Ki Rahaton Ko Un Se Mang Loon
Sukun-E-Dil Ki Rahaton Ko Bekaran Kiye Hue
Vo Ayenge To Ayenge Junun-E-Shauq Ubhaarne
Vo Jayenge To Jayenge Tabahiyan Kiye Hue
Main Un Ki Bhi Nigah Se Chhupa Ke Un Ko Dekh Loon
K Un Se Bhi Hai Aj Rashk Bad-Guman Kiye Hue

1 Like ·
Oct 17, 2016 at 19:10
Category: love
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Wo Phir Se Mil Gaya To Phir

Ye Dard Mit Gaya To Phir?
Ye Zakham Sill Gaya To Phir?
Bichar K Sochti Hoon Mai..
Wo phir Se Mil Gaya To Phir?
Usay Bhi Kuch nahi Mila..
Mujhe Bhi Kuch Nahi Mila..
Tamam Umer K Liye..
Ye Dard Mil Gya To Phir?
Mai IS Liye To Aj TAk..
Sawal Bhi Na Kar Saki..
Agar Mere Sawal Ka..
Jawab Mil Gya To Phir?
Mai Titlion k sheher Mai..
Jaoon To Mujh Ko Khauf Hai..
Wo Phool Jo khila Nahi..
Wo Phool Khil Gaya TO Phir?
Ye Sach hai Laut Kar Phir..
Mere hi Dil Mai AAo ge..
Magar Ye Soch Lo Zara..
Badal YE DIL Gaya To Phir????
Ye Zakham Sill Gaya To Phir?
Bichar K Sochti Hoon Mai..
Wo phir Se Mil Gaya To Phir?
Usay Bhi Kuch nahi Mila..
Mujhe Bhi Kuch Nahi Mila..
Tamam Umer K Liye..
Ye Dard Mil Gya To Phir?
Mai IS Liye To Aj TAk..
Sawal Bhi Na Kar Saki..
Agar Mere Sawal Ka..
Jawab Mil Gya To Phir?
Mai Titlion k sheher Mai..
Jaoon To Mujh Ko Khauf Hai..
Wo Phool Jo khila Nahi..
Wo Phool Khil Gaya TO Phir?
Ye Sach hai Laut Kar Phir..
Mere hi Dil Mai AAo ge..
Magar Ye Soch Lo Zara..
Badal YE DIL Gaya To Phir????
·
1 Like ·
Sep 18, 2016 at 10:09
Category: sad
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Be Aitbar Shakhs Tha So War Ker Gaya

Be-Aitbar Shakhs Tha So War Ker Gaya..
Lakin Mery Shaoor Ko, Bedaar Kr Gaya..
Kch Main Nay Ishtiaal Main Shikway Gilay Kiay..
Kch Wo Shikaayatain, Sar'e'bazaar Ker Gaya...
Pahlay Wo Meri Zaat Ki Tameer Main Raha..
Phir Mujh Ko Apnay Hath Say Masmaar Ker Gaya..
Wo Aa Mila To Faslay Kat'tay Chalay Gaiy...
Bichra Tou Rastay Mery Dushwar Ker Gaya,.

Sep 10, 2016 at 16:09
Category: sad
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Jo Ranjishein Thiin Jo Dil Mein Gubaar Tha Na Gaya

Jo Ranjishein Thiin Jo Dil Mein Gubaar Tha Na Gaya
K Ab Ki Baar Gale Mil K Bhi Gila Na Gaya
Ab Us K Wada-E-Fardaan Ko Bhi Taraste Hain
Kal Uski Baat Pe Kyun Aitbaar Kia Na Gaya
Ab Us K Hijr Mein Royain Na Wasl Main Khush Hon
Wo Dost Ho Bhi To Samjho K Dostaana Gaya
Nigaah-E-Yaar Ka Kya Hai Huii Huii Na Huii
Ye Dil Ka Dard Hai Pyaare Gaya Gaya Na Gaya
Sabhi Ko Jaan Thii Pyaari Sabhii The Lab Basta
Bas Ik Faraz Tha, Zaalim Se Chup Raha Na Gaya

Sep 01, 2016 at 10:09
Category: sad
Social Wall / Photos
Mehmood Khan
Woh Kon Se Nabi The Jin Ko Aag Main Dala Gaya Magar Aag Allah K Hukum Se Gulzar Ban Gai?
·
0 Like ·
Aug 19, 2016 at 10:08
Category: photos
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
mahshar mein paas kiyon dam e faryaad aa gaya

mahshar mein paas kiyon dam -e- faryaad aa gaya
reham iss nay cab kya tha keh ab yaad aa gaya
uljha hai paon yaar ka Zulf -e- daraaz mein
lo aap apnae daam mein sayyad aa gaya
nakamiyoo mein tum nay jo Tashbih mujh say di
sheeren ko dard farhaad aa gaya
dil ko qlq hai tark muhabbat kay baad bhi
ab aasmaa ko Shewa -e- beddad aa gaya
jab ho chuka yqin keh nahi Taqat -e- wisaal
dam mein hamaray woh sitam ijaad aa gaya
ذکرِ sharaab o hoor kalaam khuda mein daikh
momin mein kya kahon mujahe kya yaad aa gaya

Aug 11, 2016 at 04:08
Category: sad
Social Wall / Photos
Abdul Waheed
Khawand Maali Mushkilaat Ka Shikaar Ho Gaya
·
0 Like ·
Aug 09, 2016 at 09:08
Category: photos

Sponored Video