Poetry / 24

Abdul Rehman Rehman

Kaash Mai.n Tere Hasiin Haath Kaa Kangan Hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

tuu baDe pyaar se baDe chaao se baDe aramaan ke saath
apanii naazuk sii kalaaii me.n chaDhaatii mujh ko
aur betaabii se furqat ke Khizaa.N lamho.n me.n
tuu kisii soch me.n Duubii jo ghumaatii mujh ko
mai.n tere haath kii Khushbuu se mahak saa jaataa
jab kabhii muuD me.n aa kar mujhe chuumaa kartii
tere ho.nTho.n kii shiddat se mai.n dahak saa jaataa

raat ko jab bhii tuu niindo.n ke safar par jaatii
marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa kartii
mai.n tere kaan se lag kar kai baate.n kartaa
terii zulfo.n ko tere gaal ko chuumaa kartaa
jab bhii tuu band qubaa kholne lagatii jaanaa
apanii aa.Nkho.n ko tere husn se kheraa kartaa
mujh ko betaab saa rakhataa terii chaahat kaa nashaa
mai.n terii ruuh ke gulashan me.n mahaktaa rehtaa
mai.n tere jism ke aa.Ngan me.n khanaktaa rehtaa
kuchh nahii.n to yunhi benaam saa bandhan hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

· 4 Like · Jul 06, 2021 at 21:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Hafeez Ur Rehman

Kuch Wakt Lagay Ga

dil ko wapis lanay mein kuch wakt lagay ga
pagal ko samjhanay mein kuch waqt lagay ga

abhi to herat see chhaiii hei ankhon per
hosh thikanay anay mein kuch wakt lagay ga

rothta rab to usay kateel mana bhi leta
rootha yar mananay mein kuch wakt lagay ga

· 3 Like · Jun 13, 2021 at 21:06
Category: 24
 
Poetry / 24

Hafeez Ur Rehman

Mairay Dil Ki Raakh

mairay dil ki raakh kuraid mat, iss muskura kay hawa na day
yeah charagh phir bhi charagh hai kaheen taira hath jala na day

naye door kay naye khawb hain, naye mousmon kay gulaab hain
yeah mohabtoon kay charagh hain inhain nafratoon ki hawa na dey

zara diakh chaand ke patiyoon nay bikhar bikhar kar tamaam shab
taira naam likha hai rait par koi lehar aa kar mita na day

mein udaasiyaan na saja sakoon kabhi jisam o jaan kay mizar par
na diyeah jallay mairi ankh mein mujhay itni sakhat saza na day

mairay sath chalnay kay shouq mein bari dhoop sar pay uthaye ga
taira naak naqsha hai moum ka kaheen gham ki aag ghulla na day

mein ghazal ke shabnami ankh say yeah dukhoon kay phool chuna karon
mairi saltanat maira fun rahay mujh taj o takhat khuda na day..

· 3 Like · Jun 12, 2021 at 12:06
Category: 24
 
Poetry / 24

Mujhe Ab Bhi Muhabbat Hai

Mujhe ab bhi muhabbat hai

tere qadmon ki ahat se,

teri har muskurahat se,

teri baton ki khushbu se,

teri ankhon k jadu se,

teri dilkash adaon se,

teri qatil jafaon se,

mujhe ab bhi muhabbat hai

teri raahon mein rukney se,

teri palkon k jhukne se,

sehar o shaam hathon pe,

tera he naam likhne se,

teri be ja shikayat se,

yahan tak k sanam mere,

teri har aik adat se,
mjhe ab bhi muhabbat hai....!

· 1 Like · Nov 27, 2017 at 04:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Ik Shaks Ko Sochnay Lagi Mein

Ik Shaks Ko Sochnay Lagi Mein
Phir Aaina Dekhne Lagi Mein

Oski Tarah Apna Naam Le Kar
Khud Ko Bhee Lagi Nayi Nayi Mein

TU Mere Bagair Na Reh Sakaa Tou
Kub Tere Bagair Jee Saki Mein ???

Aati Rahay Ab Kaheen Se Aawaaz
Ab Tou Tere Paas Aagayi Mein

Daaman Tha Tera Ke Mera Maatha ?
Jo Daagh Bhee Thay Mita CHuki Mein...!

· 1 Like · Nov 20, 2017 at 09:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Wo Dil Nawaz Hai Nazar Shanas Nahi

wo dil nawaz hai nazar shanas nahi
mera ilaj mere charagar k paas nahi
tarap rahe hain zaban par kai sawal magar
mere liye koi shayan-e-iltamas nahi
tere ujalon main bhi dil kanp kanp uthta hai
mere mizaj ko aasoudgi bhi raas nahi
kabhi kabhi jo tere qurb main guzre the
ab un dinon ka tasawwur bhi mere paas nahi
guzar rahe hain ajab marhalon se dida o dil
sahar ki aas to hai zindagi ki aas nahi
mujhe ye dar hai k teri arzu na mit jaye
bahut dinon se tabiyat meri udas nahi...!

· 1 Like · Nov 19, 2017 at 02:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Safar E Manzil E Shab Yad Nahi

safar-e-manzil-e-shab yad nahi
log rukhsat huye kab yad nahi
dil main har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yad nahi
wo sitara thi ke shabnam thi ke phool
ik surat thi ajab yad nahi
aisa uljha hun gam-e-duniya main
ek bhi khwab-e-tarab yad nahi
bhulte jate hain mazi k dayar
yad ayen bhi to sab yad nahi
ye haqiqat hai k ahbab ko ham
yad hi kab the k ab yad nahi
yad hai sair-e-charagan Nasir
diye k bujhnay ka sabab yad nahi...!

· 1 Like · Nov 18, 2017 at 17:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Niyat E Shauq Bhar Na Jaye Kahin

niyat-e-shauq bhar na jaye kahin
tu bhi dil se utar na jaye kahin
aj dekha hai tujhe deir k bad
aj ka din guzar na jaye kahin
na mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jaye kahin
arzu hai k tu yahan aye
aur phir umr bhar na jaye kahin
ji jalata hun aur ye sochta hun
rayigan ye hunar na jaye kahin
aao kuch der ro hi len Nasir
phir ye dariya utar na jaye kahin...!

· 2 Like · Nov 18, 2017 at 11:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Nasir Kya Kahta Phirta Hai Kuch Na Suno To Behtar Hai

Nasir kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai
diwana hai diwane k muh na lago to behtar hai
kal jo tha wo aj nahi jo aj hai kal mit jayega
rokhi sokhi jo mil jaye shukr karo to behtar hai
kal ye taab o tawan na rahegi thanda ho jayega lahu
naam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar hai
kya jane kya rut badle halat k koi thik nahi
ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar hai
kapre badal kar baal bana kar kahan chale ho kis k liye
raat bahut kali hai Nasir ghar main raho to behtar hai....!

· 1 Like · Nov 18, 2017 at 05:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Naye Kapre Badal Kar Jaun Kahan Aur Baal Banao Kis K Liye

naye kapre badal kar jaun kahan aur baal banao kis k liye
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraoon kis k liye
jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraoon kis k liye
wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha
ab aisay waisay logon k main naz uthaoon kis k liye
ab shahar main es ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye
muddat se koi aya na gaya sunsan parri hai ghar ki faza
in khali kamron main Nasir ab shamma jalaun kis k liye...!

· 2 Like · Nov 17, 2017 at 23:11
Category: 24
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS